Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 25 Aug 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 24 Aug 2025 EDT
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 25th August 2025
ARMAN KI JOGAN 24.8
ANSHUMAN GONE 25.8
No hype this year
BALH Naya Season EDT Week #11: Aug 25 - Aug 29
Deepika vs Katrina wars…World War 3 👀
Navri’s Love
Parineeti Chopra is pregnant
A Study on Miss Abhira "Jogan" Sharma
Yeh Rishta kya Kehlata hai
Anupamaa 25 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Why I'm least interested in watching CID Season 2 Upcoming Episodes?
Punishment to kill one or five is same
A study On Miss Geetanjali Armaan Poddar
Who Brings a Song to Life: The Singer’s Voice or Actors’ Expressions?
18 years of Heyy Babyy
KSBKBT FF: The broken ties Part1 : Gunjan threatens Bhoomi Pg1
Nashibvan: Star Pravaah new show
Part 37: daar ka saamna...
Sameer (S), Naina (N), Pandit ( PT) , Munna ( M), Swati ( ST), Preety ( P), Arjun bhaiya ( A), Rakesh sir (R), Vishakha ( V) , Poonam Bhabhi ( PooB), Pooja didi ( PooD), mama, mami, taiji ( TJ) , Ananad chachaji (AC), Shefali (SF) , Mundit ( Munna + Pandit) , SaMunDit ( Sameer + Munna + Pandit), Samiana ( Sameer + Naina ), Bela Chachi ( BC), SwaTiNa( Swati + Preeti + Naina), Kamya ( KM), Hema ( HM), Rohan (RH)
N - Hopsital ka kamra:
Sameer(S) daud kay atta hain kamrey mein par N ney abhi aankhein nahin kholi.. sirf uska haath hil raha hain. Arjun(A) bhi daudta hua aata hain aur N ka haath hiltey huey dekhta hain aur khush ho jata hain. MunDit, ST is there too and are really happy to see that N is getting better.
A khushi sey S ko galey laga leta hain aur S bhi khushi kay aasoon ro raha hain. Mundit , ST yeh dekh kay khush ho jate hain aur kamrey kay bahar chale jaatey hain.
A bhi S kay aasoon dekh kay samaj jata hain shayad yeh pal in dono ko akela chod dena hi accha hain aur vo bhi kamrey kay bahara chala jata hain.
S to bas Naina ( N ) ko dekhey jaa raha hain aur uskey aasoon thamney ka naam hi nahin le rahey aur tabhi N apni aankhein kholti hain.
N aankhein khol kay dekhney ki koshish karti hain par sab kutch dhoondala dikhai deta hain aur tabhi usey S ka ehsaas hota hain aur vo apna haath aagey badhati hain.
N ka haath upar uthatey hue dekh- S usey thaam leta hain aur usey sehlaney lagta hain aur uskey aasoon ki boondin uskey haat pey girti hain.
N ab S ki aur dekhti hain aur usey rota paati hain aur khud bhi roney lagti hain.
S aagey badhkay uskey aasoon ko pohchata hain aur N bhi S kay aasoon pochati hain.
S ko to samaj hi nahin aata vo kya karein.. vo jaldi sey nurse ko awaz deta hain.
S: Nurse- N ko hosh aagaya hain please tum usey check karkey batao ab vo thik hain?
Nurse daud kay aati hain aur uski aankhein aur temp check karti hain aur muskurati hain: Mr Maheshwari ab yeh kafi behtar hain temp abhi bhi 100 hain aur inkey chehrey ka raang waapis aa raha hain, weakness hain abhi par jald hi yeh thik ho jayengi.
S muskurata hain: Nurse vo rang to wapis ana hi tha- mujhey jo dekh liya hain usney .
N bhi yeh sunkey muskurati hain.
Nurse reports leke room sey chali jaati hain aur N uth kay baithney ki koshish karti hain.
S: arey arey N tum kafi weak ho abhi please leti raho- nurse ney kahan tum abhi weak ho.
N : tum mere pass ho to fir main kamzor kaisey ho sakti hoon? Aur vo S ka haath thamey uth kar baithney ki koshish karti hain.
S uska pillow thik karkey usey baithata hain aur usey jor sey gaaley lagakey roney lagta hain...
Teri baahoin mein sukoon hain mera..
Teri baahoin mein Jannat hain meri...
Agar in baahooin ka saath na ho..
to kya ho mera...
Shayad patjhad kay kisi pattey ki tarah
toot jaoon mein ... Bikhar jaoon mein...
Tumhi ney sambhala hain..
tumhi ney bachaya hain...
Warna ..warna aaj meri bagaawat dekhta...
yeh zamana ...
Meri Naina..
N bhi S ko galey lag leti hain aur usey maloom hain aaj S ka ro lena hi behtar hain kyunki vo jaanti hain agar aaj vo sambhal gaya to uska yeh daar kabhi bhi nikal nahin payega.. vo usey sehlati hain aur usey roney deti hain aur saath mein khud bhi roti hain..
S: tum to mujhe aisey sehla rahi ho jaisey bimar main hoon tum nahin..
N muskurati hain: kisney kahan sirf bimar ko hi sehlatein hain? Jissey sabsey jyada pyar ho , jis pey sabsey jyada adhikaar ho.. usey bhi to sehla sakte hain... hain na?
S yeh sunkey bas N ki aur dekhey jaata hain. Bimar hain abhi tak puri tarah thik bhi nahi hui- par khayal usey sirf mera hain... aur bhagwanji sey dua maangta hain- ki yeh pyar ki chaanv hameinsha uskey pass bas aisai hi rahey..
S- N ki bajoo mein uska haath thaamey baith jaata hain: N aaj tumney jis tarah sey mujhey dara diya tha.is dar ki choobhan main zindagi bhar nahin bhoolonga.. aur tum wada karo mujhsey, aagey sey tum kabhi bhi... Sach mein.. kabhi bhi aisi laparwahi nahin karogi...kaisey bataoon tumhey in chand ghantoin mein... kahan kahan sey gujara hoon main... kin kin khayalooin ney mujhe ghera tha... tum kya jaano.. aur vo macchal uthata hain...
N yeh dekh kay sahem jaati hain par usey bolney deti hain...
S: gussa to itna aa raha tha tumpey ki ... tum bhi...tum bhi nanaji ki tarah mujhsey picha chooda kay chali jaaoogi.. aur vo N kay hatoo mein sir rakh kay chote bachhey ki tarah roney lagta hain...
N: Sameer... main kahin nahin gayi aur tum manogey nahin.. par behoshi kay aalam mein bhi .. mujhe pura yakeen tha ki tum mujhey kahin jaaney nahin dogey... aur ab to main tumsey baat bhi kar rahi hoon to fir yeh dar aur gussa kis baat ka? S abhi to hamein bahout lamba safar tay karna hain...aur tumhey is safar mein akele chod kay jaaney ka mera koi irada nahin hain, kyunki tumhey sahi raah pey chalaney kay liye meri jarrorat hain , vo to shayad apney gharwaloin ko bhi pata hain... warna tum to ... keh kay muskurati hain..
N ki vo hansi sey S jaisey apni saansein tham leta hain.. bas usey dekha karta hain...
S: N- hospital mein tumhey yoon behosh dekh key sach mein dar gaya tha main... thik waisey hi us din jab mainey nanaji ko dekha tha... tab to main kisi ko kutch bhi keh nahin paya... sab kutch itna jaldi ho gaya.. ki kya ho raha hain... kyun ho raha hain... vo samajney ki na to mujhe mein himmat thi nahin samaj... main to us sailaab mein behta chala gaya jisney meri duniya ujaad di thi.. aaj bhi ek ek pal main mehsoos kar sakta hoon... ( flashback to nanaji hospital scenes ) us din nanaji key jaaney ka gham to tha hi par usesey bhi badi shikayat.. tumharey saath na honey ki thi.. tum hoti to sambhal leti mujhey... shayad meri duniya banjar na hoti...
N bas us paal ko mehsoos karkey sahem jaati hain. S ney kabhi us din kay barein mein nahin bataya.. haa MunDit ney kaha tha.. ki S ki halat to dekhi na jaaye aisi ho gayi thi.. par aaj jab vo S ki baatein sun rahi hain to.. na chahtey hue... apni kismat ko kosti hain.. ki kaash main hoti uskey paas us din...
Par vo yeh bhi jaanti hain.. bita hua paal... chahey kitna bhi daravana kyun na ho.. vo bit gaya hain... aur agar vo daar ka ehsaas puri zindagi bhar rahey to ...zindagi kahin na kahin khud pey hi boj ban jati hain aur vo kateh nahin chahti ki S is tarah sey jiye.
N: S aaj mere is hospital mein aaney sey ek baat to acchi hui.. tumney nanaji kay jaaney ki baat to batai mujhey... kitney salooin sey tum yeh dard apney andar chupaye baithe the... par ab bas.. ab aur nahin.. vo pal bit gaya hain aur yeh pal, jo hum dono pey bhari tha vo bhi bit gaya hain... aab aagey hum dono ko iskay saaye mein nahin jina hain... wada karo mujhsey...
S N ki baat sunkey muskurata hain aur jhat sey uth kay useky maathey ko chum leta hain.. aur uski aankoin mein dekhta hain: Naina, aaj wada kia maine tumsey, aaj kay baad vo daar hamarey bich kabhi bhi nahin aayega..
S ki chuvan sey mano N to ek dum taro taaza ho gayi ho aur vo badi si smile deti hain aur sharma jaati hain...
Tabhi darwajee pey knock ki awaz sunai deti hain...
------------------------------------------------
Part 38: Ek pyarey sey rishtey ka aagaaz...