Raglak- Love is in the air

chandra1998 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#1
RagLak Two shots- Love is in the air

Laksh's POV- Hayye re meri kismat! Poore school mein kitni saari ladkiya thi, ek se badkar ek items thi par mera yeh badtameez, bewakoof sa dil usi ke paas gaya..woh ladki, that girl jisne mere hosh udda diye..thodi ajeeb si thi, zyaada baat cheet nahi karti thi..chup chaap rehti thi..sabse alag thi par sabse zyaada beautiful thi..waise uska yoon chup chaap, isolated sa rehna justified bhi tha..aakhir topper jo thi class ki, aur ye topper log na aise hi ajeeb se hote hai, mental se..salwar kameez pehenti thi woh..can you imagine? Aaj ke zamaane mein bhala koi salwaar suit pehenta hai? Par woh pehenti thi aur to be honest, bohot beautiful lagti thi..mere dost kehte the "bhai tujhe poore school mein koi aur nahi mili? Yahi mili baba aazam ke zamaane ki behenji?"..gussa toh bohot aata tha! Mann karta tha mooh tod du saalo ka par saale kehte toh sahi the..Main, Laksh Maheshwari, jiske peeche saari ladkiya bhawro ki tarah bhaagti thi usko pyaar hua bhi toh kisse? Iss topper se? Arrey uske chakkar mein teen saal ek hi class mein parhta raha main..jab woh 9th mein thi, tab main 11th main tha..jab woh 10th mein thi tab bhi main 11th mein tha aur jab woh 11th mein thi, tab bhi main 11th mein hi tha..roz left row ke 1st bench par baithti thi woh..maano uski favourite seat thi woh! Agar kabhi uski favourite seat na mile baitne ko toh ro deti thi..rondu keheeki! Par rote hue toh maano pari lagti thi..lekin kya karta? Rote hue dekh nahi sakta tha main usko..pyaar jo karta tha usse pagalo ki tarah..islye jo bhi uske seat pe baitha ho use laat maarke utha deta tha main waha se..woh meri taraf dekhti toh thi, par kehti kuch nahi thi..Arrey itni mehnat kari uske liye, uske liye kisiko 1st bench se hata diya, kam se kam thank you toh bol deti? Par nahi! Madam kyu bolengi thank you? Thank you bolne mein toh jaise unki jaan chali jaaye..teen saal se uske pyaar mein lattoo tha main! Jab use pehli baar dekha tha, nervous thi, darri hui thi..kaap rahi thi! Aur upar se main gadha, andho ki tarah chal raha tha..takkar kha gaaye hum! Abb aankhein bandh karke chaloonga toh accident toh hoga hi na? Par kisi ne sach hi kaha hai..jo hota hai acche ke liye hota hai.. uski darri hui, sehmi hui si aankhein dekh kar fida ho gaya tha main..pyaar ho gaya tha mujhe..love at first sight, you know? Bolna bohot kuch chaahta tha par awaaz hi nahi nikli islye "sorry" bolkar nikal liya waha se! Main tha class ka sabse naughty ladka toh zaahir si baat hai, last bench hi mera mandir tha..kisine sach hi kaha hai, last benchers ko books mein bilkul interest nahi hota..kaise hota? Mera interest toh usi pe hua karta tha din bhar..har class mein, har subject mein, har book mein wohi dikhti thi mujhe..pagal sa ho gaya tha main! Zindagi mein pehli baar saccha pyaar hua tha..sharmaane mein toh jaise maine degree le rakhi thi un dino! Galti se bhi meri aankhein uss par pad jaaye toh chehra laal ho jaata tha mera tamatar ki tarah..par use bhi toh koi signal dena chahiye na..mere dost kehte the "jaa bhai, bol de bhabi ko apne dil ki baat..kahi aisa na ho ki tu yaha dekhta rahe aur koi aur use udaa le jaaye"..baat toh sahi thi! Main yaha signal ka wait kare rehta aur udhar koi aur mooh maar deta toh? Main toh khada khada devdas bann jaata..par kya karu? Darr bhi lagta tha..ye topper logo ka koi bharosa nahi..kahi dil ki baat bol di aur usne sabke saamne gaal pe kheech kar chipka diya toh? Meri toh sabke saamne izzat lut jaati..aur woh hai ki koi signal bhi nahi de rahi thi..ek baar toh hadd hi ho gayi..woh saamne se aa rahi thi aur mauka paakar mere dosto ne mujhe uske paas dhakka de diya..kameene! Par chalo accha bhi tha woh..takkar khaakar girne hi wali thi meri Ragini ki tabhi maine uski kamar pakdi aur use girne se bacha liya..uss din pehli baar maine use chuaa..kaise bataau dil mein kitni ghantiya baj rahi thi? Kitni soft thi woh..aur uski aankhein? Aankhein toh mashallah katilaana thi uski! Agar aankhon se murder hona possible hota toh abb tak main marr chuka hota aur use jail ho chuki hoti..kehna toh bohot kuch chaah raha tha aur ummeed bhi thi ki who bhi kuch kahegi..par meri ummeedo par paani tab phir gaya jab usne dheere se apni meethi si awaaz se mujhe "thank you" kaha aur chup chaap nikal lee waha se..jeeta jaagta chutiya bann gaya main toh! Mann kar raha tha iss dharti ke saare moh maaya tyaag kar Himayala chala jaau aur waha jaakar sanyaasi bann jaau..Tab lagne laga shayad mera pyaar ek tarfa tha..shayad main hi uske pyaar mein pagal tha..woh toh mujhe dost bhi nahi samajhti thi..aur samjhegi bhi kyu? Woh thehri topper, aur main? Main teen saal se ek hi class mein parh raha tha..kyu baat karegi mujhse? Ye topper log na aise hi hote hai!


Ragini's POV- Topper! Yahi bulaata tha woh mujhe..last bench par baitha hota tha roz..teen saal se ek hi claas mein parhta dekha tha maine usko..jab main 9th mein thi, woh 11th mein tha..jab
main 10th mein thi, woh 11th mein tha aur jab main 11th
mein thi tab bhi woh 11th mein hi tha..school ke pehle din hi usko dekh kar pyaar ho gaya tha mujhe..kismat ne saath diya uss din mera! Hum takkar khaakar mil gaye aur bas, mera dil uska ho gaya..ajeeb si feeling aati thi usko dekh kar..dil mein guitar bajne lagte the..mann karta tha use chilla chillakar sabke saame keh du "Laksh Maheshwari, I love you" par darrti thi bohot..woh tha ek stud, ek handsome hunk! Aur main? Main ek "behenji"..sab toh mujhe behenji hi kehte the..I agree, main simple thi..salwar suit pehenti thi..chote kapde pasand nahi the mujhe..saari ladkiya use chipakne ko marrti thi toh woh bhala mujhse pyaar kyu karega? Pyaar? Arrey pyaar toh dur ki baat, dosti bhi kyu karega woh mujhse? Kaha woh aur kaha main! Lekin kabhi kabhi lagta tha maano uske mann mein bhi kuch hai..jaise woh bench waali baat hi le lo! Main hamesha left row ke first bench par baithti thi..woh meri favourite seat thi..islye nahi kyuki mujhe teachers ke lectures sunne the..but islye kyuki uss seat se main use directly dekh sakti thi..zyaada sar hilaana nahi padta tha..bas thodi si aankhein hilaani padti thi! Woh seat na mile toh meri aankhon mein aansu aa jaate the..darr jaati thi main ye sochke ki aaj ka pura din use dekhe bina bitaana padega..directly piche mudne ki himmat bhi toh nahi thi mujhme islye uss seat ki help toh leni hi padti thi mujhe..par jab aisa hota tha, woh kahi na kahi se aa jata tha meri help karne superman ki tarah..jo bhi meri seat par baitha ho use laat maar kar utha deta tha..kahi woh bhi mujhse pyaar toh nahi karta? Arrey nahi! Pyaar? Aur mujhse? Kabhi nahi! Sympathy waali feeling hogi islye meri help karta hoga.."Thank you" bolne ka mann toh bohot karta tha par himmat hi nahi hoti thi..awaaz nahi nikalti thi meri..pata nahi kya sochta hoga woh mere baare mein! Mann karta tha ki usko signal du..bata du use ki I love him..par kaise bata deti? Woh reciprocate nahi karta toh? Agar sabke saamne mujh par has deta, meri insult kar deta toh? Main toh kisiko mooh dikhaane ke laayak nahi rehti..Tamasha bann jaata mera..aaj bhi yaad hai mujhe, ek baar main class ki taraf jaa rahi thi ki tabhi woh galti se mujhse takda gaya aur main girne hi waali thi ki tabhi usne meri kamar pakdi aur mujhe girne se bacha liya..pehli baar usne mujhe touch kiya tha uss din! Pet mein titliya udd rahi thi meri..mann mein laddoo phoot rahe the..mann kar raha tha lipat jaau usse aur keh du "Laksh, I love you" par kaise kehti? Awaaz hi nahi nikli..bas kisi tarah mushkil se "thank you" bol kar chali aayi..bewakoof kaheeki! I was hoping ki woh mujhe peeche se awaaz dekar rokega par nahi, usne nahi roka mujhe..main class mein aakar bohot royi uss din, bohot dil dukha mera par ye toh hona hi tha..main ummeed bhi kaise kar sakti thi ki THE LAKSH MAHESHWARI mujhe rokega? Samajh aa gaya tha mujhe ki mera pyaar ek aisi nadi hai jiska koi kinaara nahi..One-sided love tha mera aur ye baat mujhe uss din samajh aa gayi thi!
/p>
Edited by chandra1998 - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

14

Views

5.7k

Users

9

Likes

30

Frequent Posters

wohradhahai thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#2
Oh My God oh my god chandra...it was fantastic fabulous mind blowing. ...u r one of my fav writers on the forum. .both of them love each other but can't tell their feelings. ..it was amazing. ..

Do continue soon.. n sincerely I can't wait. .
sudhi03 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#3
Omg this is super cute😳
Another awesome work from you

Laksh is in the same class for 3 years just for ragini how adorable

Loved laksh's dialogues

Please update next part soon

dewcute thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#4
Girl...this was beautiful!!!!

Love you for writing this ..


Continue soon
rbb1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Elite Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#5
Omg this is awesome brilliant I loved how you wrote it so simple yet so much emotions in it

Both thinking their love is one sided is sad hope soon they realise they love each other

Aww I love how Laksh's friend tease him and pushed him on her aww

Can't wait to read what happens next hope you post it soon

Thanks
Senoritaamor thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 9 years ago
#6
OMG!!
I am in love with what you have written. It is so cute so romantic😳

Laksh repeating same class and Ragini sitting on same seat to see each other.

It is beautiful.
Continue soon😆
Sakkiyah thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#7
Awesome,
You beautifully portrayed the feelings of laksh and ragini
qwerty012 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#8
Yaar this is beautiful but i couldnt understand this fully. I am from south india. so pls if it possible translate to english.. Please
chandra1998 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#9

Part-2-



Lakshya's POV- Aur phir aaya woh din! Woh din jiska mujhe besabri se intazaar tha..woh din jab main usse pehli baar baat karne ke liye tayyar tha..bohot saari tayyari ki thi maine usse baat karne ki..aaine mein khudse baat karta tha use imagine karke..pagal ho gaya tha main..mandir jaakar bhagwaan ka aashirwaad bhi lekar aaya tha taaki kuch gadbad na ho..aisa lag raha tha jaise main border pe koi jung ladne jaa raha hu..itna zyaada nervous toh main shayad boards pe bhi nahi hota..Uss din mere dost ka birthday tha..mere kehne par usne poori class ko party mein invite kiya taaki Ragini bhi usi bahaane aa sake..par ye saale dost hote bade kameene hai! Mera dost bolta raha "Bhai, tere kehne par poori class ko invite kiya teri uss topper ke liye..abb toh sabka bill tu hi pay karega..main toh sirf apne group ko bulaane wala tha"..abb ise kameena nahi kahenge toh kya kahenge? Saala phir se topper ke chakkar mein bhikhaari bann gaya main..Khair koi nahi, usse baat karne toh milega at least..party shuru hone waali thi 6 baje shaam ke aur main 4 baje se venue par uska wait kar raha tha..uska ek bhi view miss nahi karna chahta tha main..aur ye bhi nahi chahta tha ki mujhse pehle use koi dekhe..saala 4 ghante wait kiya..4 se 8 baje tak khada raha party ke baahar security guard ki tarah..dost bolte rahe "bhai rehnde tu, nahi aayegi teri waali..chal andar"..eh lo! Ye kaahe ke dost hue? Apne dost ko demotivate kar rahe the saale..waise baat toh sahi thi..4 ghante wait karaya usne..par saala mera ye dil maan nahi raha tha..keh raha tha mujhse ki "Lucky beta, itna wait kar liya..thoda aur kar le..aayegi woh, zaroor aayegi..dekh liyo"..aur sabse bada jhatka mujhe tab laga jab baarish ki moti moti si boonde mujh par girne lagi..iss baarish ko bhi abhi aana tha? Kismat hi kharab thi meri! Phir bhi 15 minutes aur wait kiya maine uska baarish mein bheeg kar..jab main ummeed kho chuka tha, jab laga ki nahi aayegi, jab main andar jaane hi waala tha tab mujhe uski woh perfume ki smell aayi..wahi perfume jo meri Ragini lagati thi..main bina deri kiye peeche muda aur waha dikhi woh! Ragini, meri Ragini! Baarish mein lath path..poori tarah bheege hue the hum dono..thand bhi thi, kaap rahe the dono..aur tab hua ek chamatkar! Woh aayi meri taraf, khud se..meri toh maano saansein ruk gayi thi..darr gaya tha main..bohot gusse mein lag rahi thi..lag raha tha jaise maano gabbar ki aatma ghus gayi ho uske andar..kahi thappad toh nahi maarne waali? Par usne woh kiya jiski mujhe ummeed bhi nahi thi..usne mera haat pakda aur mujhe kheech kar ek chote se tea stall par le gayi..main toh maano alien bann chuka tha tab..samajh nahi aa raha tha sapna dekh raha hu ya hakeeqat hai..pairo tale zameen khisak gayi thi meri..kitni beautiful thi woh! Maine apne haat ki taraf dekha, woh haat jisko usne pakda hua tha..maine soch liya tha, abb toh zindagi bhar apna woh haat nahi dhounga..accha hua hug nahi kiya usne..karti toh shayad main poori zindagi nahaata hi nahi! Phir jab usne apni meethi si awaaz se chaai waale se kaha "Bhaiyya, do cup garma garam chaai dena" kasam se main toh pagla gaya tha..mann kar raha tha Mars mein jaake rehne lagu..Earth mere liye chota pad gaya tha! Main uski taraf aise dekh raha tha jaise maano woh koi alien ho..aur usne bhi wahi baat poonch di.."Aise kya dekh rahe ho? Kya main koi alien lag rahi hu?"..Exactly yahi words the uske..aaj bhi yaad hai mujhe..Pehli baar usne mujhse, directly mujhse baat ki..dil toh mera iss speed se dhadak raha tha maano kisi race mein participate kiya ho..usi din himmat karke maine usse pooncha "kya tum meri dost banogi?" and guess what? She accepted! Bann gayi woh meri dost..mujhe apni khud ki aankhon par bharosa nahi ho raha tha..maine khud ko pinch kiya, tab pata chala ki yeh sab toh sach mein ho raha hai..dhinka chika dhinka chika! Uske baad hum dheere dheere bohot acche dost bann gaye..maine apne dosto se bhi uski introduction kara di thi..phir toh mere dosto ka uspar opinion totally change ho gya..jo dost mera mazaak udaate the Ragini se pyaar karne ke liye, abb wahi saale kehne lage "bhai, mere liye bhi koi dhoond de Ragini bhabi jaisi"..main toh maano unke liye matrimonial site bann chuka tha..khair, abb climax ke taraf chalte ha..zyaada nahi pakaaunga abb aap sab ko meri love story se..accha toh ending mein hua yeh ki poori class ko humare teachers lekar gaye the trip pe..jaante ho kaha lekar gaye the? Goa! Hahaha joke tha..humari aisi kismat kaha ki koi hume Goa lekar jaaye! Woh lekar gaye hume Lokhandwaala..par acchi baat toh ye thi ki meri Ragini bhi uss din mere saath aayi thi..phir shaam ko mere dosto ne kaha "bhai, aaj toh tujhe use apne dil ki baat batani hi hogi..nahi bolega toh hum bol denge"..darra rahe the kameene! Par maine bhi soch liya tha..aaj toh maine use kisi bhi haal mein propose karna hi hai..phir chaahe woh haa kahe ya na..woh sab baad mein dekh lenge! Sab kuch plan ke according chal raha tha..truth and dare game start hua..woh bhi mere dosto ka plan tha..woh saale bhale hi kitne bhi kameene ho par moosibat ke waqt hamesha saath dete hai..kisine sach hi kaha hai, "Har ek friend kameena hota hai"..aur saala jo kameena nahi, woh friend hi nahi..so as per the plan, bottle mujh par aakar ruki..mere dost ne mujhse poocha "Bhai, kya tu Ragini se pyaar karta hai?"..sab kuch mera plan tha..maine sab kuch socha hua tha..kaise kya karna hai sab kuch soch rakha tha par saala uss waqt meri bilkul phatt gayi thi..mooh se jawaab nahi nikal raha tha..darr gaya tha main..agar uska jawaab na hota toh? Sab dosto ne kaha "bhai, kya kar raha hai? Kyu statue banke khada hai? Bol de..aisa mauka dobara nahi aayega"..phir maine apni aankhein bandh ki, lambi si saans li aur kisi tarah himmat karke bol diya "Haa main Ragini se pyaar karta hu"..main apni aankhein kholne hi waala tha ki tabhi mujhe kisine aakar hug kiya..jaise hi meri aankhein khuli, main toh maano Mars par chala hi gaya tha..Ragini ne saamne se aakar mujhe hug kiya uss din pehli baar..jo ladki mujhse baat tak nahi karti thi usne mujhe hug kiya tha..abb toh main pakka zindagi mein kabhi nahi nahaane waala tha..main kaap raha tha..par kisi tarah himmat karke I hugged her back..uski aankhon mein aansu the aur dekhte hi dekhte main bhi ro pada..shayad khushi ke aansu the..uss din pata chala main toh bekaar hi darr raha tha..Ragini bhi mujhse pyaar karti thi..shayad bohot pehle se par mujhe kabhi uska pyaar dikha hi nahi..main bata nahi sakta kitna khush tha main uss din..usne dheere se apni meethi si awaaz se kaha "Lakshya, main bhi tumse bohot pyaar karti hu"..sabne hume congratulate kiya..aur uss din hum ek hue..Ragini aur Lakshya se RagLak' bane!

Ragini's POV- Lakshya ke dost ka birthday tha uss din..and guess what? Main bhi invited thi! Maine kabhi expect toh nahi kiya tha but I was happy..bohot khush thi main ye sochke ki abb sab mujhe accept karne lage hai..sab mujhse dosti karna chahte hai..party shuru hone waali thi shaam ke 6 baje par main 4 baje hi waha chali gayi kyuki main Lakshya ki ek bhi jhalak miss nahi karna chahti thi..main bas uske liye hi toh uss party mein jaa rahi thi..I was very nervous..pehle toh maine socha ki main na jaau par accha hua ki main chali gayi..waha pohochkar maine dekha Lakshya kisi ka wait kar raha tha..uske dost use andar bula rahe the par woh zaroor kisika intazaar kar raha tha..andar jaa hi nahi raha tha! Aur jab woh baahar tha, toh main andar jaake kya karti? Main bhi wahi ek tree ke peeche chup kar use dekhti rahi..woh 4 ghante wahi security guard ban kar khada raha..aakhir itni besabri se woh kiska wait kar raha tha? Kahi uski koi girlfriend toh nahi? Mere andar tab ek CID officer paida ho gaya..maine soch liya tha, aaj toh main sacchai pata karke hi rahoongi..mera dimaag kharaab ho gaya tha..bohot gussa aa gaya tha mujhe..4 ghante se kiska wait kar raha tha woh? Hadd hai yaar! Aisa bhi kya pyaar ki 4 ghante kisika wait karte raho? Waise ye bolna galat hoga kyuki main khud bhi pagaalo ki tarah 4 ghante se use dekh rahi thi..tab aayi ek badi si baarish..baarish ki boondein mujh par giri, toh laga jaise main Shimla pohoch gayi..OMG kitni thand thi! Aaj bhi yaad karti hu toh sweater pehenne ka mann karta hai..par woh gadha Lakshya! Itni tez baarish mein bhi khade hokar kisika wait kar raha tha..aur uske chakkar mein mujhe bhi baarish ka target banna pad raha tha..bewakoof kaheeka! 15 minutes tak waise khada raha woh baarish mein..Phir toh mera paara chadd gaya..dimaag ki dahi bann gayi meri..bina kuch soche samjhe main chali gayi uske paas, uska haat pakda aur le gayi use chaai waale ke paas..thandi thandi baarish ki boondein aur garma garam chaai..aaahhh what a fantastic combination! And then I realised ki maine uska haat pakda hua tha..thodi embarassment feel hui toh thi mujhe par dikha thodi sakti thi..woh mujhe aise dekh raha tha jaise maano main koi alien hu..haa I know main thodi behenji types thi par thik hai na..har kisi mein koi na koi kami toh hoti hi hai..finally maine usse poonch hi liya "Aise kya dekh rahe ho? Kya main koi alien lag rahi hu?"..Uske baad jo hua that was completely unbelievale..maine sapne mein bhi aisa expect nahi kiya tha..usne mujhse khud poocha "Kya tum meri dost banogi?"..Of course banoongi! Kyu nahi banoongi? Isi din ka besabri se wait kiya tha maine..maine turant haa kar di..uske baad hum bohot acche dost bann gaye..yaha tak ki usne apne friends ke saath meri bhi dosti kara di thi..jo log mujhe "Behenji" kehte the, jo mujhse baat bhi nahi karte the woh abb mere dost the..all thanks to Lakshya! Phir ek din teachers hume Lokhandwaala lekar gaye trip pe..bohot maza aa raha tha uss din..khush the hum sab..khush thi main par Lakshya thoda nervous lag raha tha..pata nahi kya baat thi..khair, last part mein hua ye ki kisine truth and dare khelne ka plan banaya..sab accha chal raha tha..sabko maza aa raha tha..phir bottle ruki Lakshya ki taraf..aur ek idiot ne usse ek aisa sawaal poocha jisse uski aur meri friendship bhi toot sakti thi..usne poocha "Bhai, kya tu Ragini se pyaar karta hai?"..ye sunkar mere hosh udd gaye the..uss saale par bohot gussa aaya tha mujhe..matlab poori duniya mein ghoom ghaam kar usko bas yahi ek sawaal mila tha poochne ko Lakshya se? Maine apni fingers cross kar li thi..mujhe pata tha jawaab kya hoga..par waisa nahi hua jaisa maine socha tha..Lakshya ne bilkul uska ulta jawaab diya..he said "Haa main Ragini se pyaar karta hu"..phir? Phir kya? Phir toh main rok nahi paayi khudko..mujhe yaqeen nahi ho raha tha..I just wasn't being able to believe my own ears..matlab itne saalo se jo main uske liye feel karti aa rahi thi, wahi woh bhi mere liye feel karta tha? Aur mujhe kabhi pata bhi nahi chala? Kitni bewakoof thi main! Phir toh main bas bhaagte hue uske paas gayi aur hug kar liya use..aasu ruk nahi rahe the mere..meri poori duniya uski baahon mein samaa gayi thi..sab kuch mil gaya tha mujhe..usne bhi mujhe hug kiya..uss din hum ek hue..uss din hum Ragini aur Lakshya se RagLak' bane!

Lakshya's POV- Aur aaj humari shaadi ko teen saal ho chuke hai..meri Ragini hospital mein hai..darr lag raha hai mujhe..khushi bhi hai..khushi iss baat ki jald hi koi mujhe "papa" kehne waala hai..aur darr iss baat se ki kahi inn sab mein meri Ragini ko kuch ho na jaaye..jaan hai woh meri..zindagi basti hai usme meri..thodi der baad doctor aaye..main bas unke mooh se kuch sunne ka intazaar kar raha tha..mujhe ye sunna tha ki mera baccha aur meri Ragini dono bilkul theek hai..ye doctor log bhi na bohot pakaate hai..Sala kuch bol hi nahi raha tha! Aur finally, phir nikli doctor ke mooh se awaaz..unhone kaha "Congratulations Mr. Maheshwari, aapki wife aur aapka baccha, dono theek hai..aapko beta hua hai"..main khushi ke maare pagaal ho gaya tha..I broke down..aansu aa gaye the meri aankhon mein..pehli baar baap banne ki khushi kya hoti hai ye main aap sab ko aise nahi bata sakta..maine doctor se poocha "doctor, kya main Ragini se mil sakta hu?'..I wasn't even waiting for his answer..woh mana bhi karte tab bhi main Ragini se milne andar zaroor jaata..waha pohochkar maine apni jaan ko uski jaan ke paas sukoon se sote hue dekha..haa, abb beta aa gaya hai toh papa ko kaha milega mumma ka pyaar? Pehle toh main hi hua karta tha uski jaan..par abb nahi..abb toh mujhse zyaada mere chote prince se pyaar karegi woh..maine dheere se apne bacche ko apni god mein liya aur uske chehra pehli baar dekha..bilkul meri tarah dikhta hai woh..wahi aankhein, wahi naak, poori tarah mujhpar gaya hai mera beta..tab Ragini ne bhi dheere se apni aankhein kholi..maine uska haat pakda, uske haat ko kiss kiya aur kaha "I Love you".

Ragini's POV- Aaj humari shaadi ko poore teen saal ho chuke hai aur aaj ke din main hospital mein hu..darr toh hai..maut se kisko darr nahi lagta? Par khushi bhi hai ki aaj main Lakshya ko uski zindagi ka sabse bada taufa jo dene waali thi..baap banne ki khushi uski aankhon mein dekhi thi maine..darrta bhi tha..darrta tha ki inn sab mein mujhe kho dega..jaan jo hu main uskli..zindagi basti hai mujhme uski..bohot pyaar karta hai mujhse..darr lagta hai ye soch kar ki mere bina kaise jeeyega woh? Lights on hui, door lock hua, operation start hua..bas ek hi khayaal tha mere mann mein..kuchi bhi ho jaaye, chahe meri maut hi kyu na ho jaaye par Lakshya ko uski khushi deni hai..Lakshya ko kisi bhi haal mein uska baccha dena hai..phir operation ke waqt kya hua mujhe pata nahi..jab meri aankh khuli toh maine apne paas Lakshya ko paaya aur uske haat mein ek chota ka nanha sa prince dekha..bilkul apne baap pe gaya hai..uski naak, uski aankhein sab bilkul Lakshya jaisi hai..kisi bhi angle se mera baccha toh lagta hi nahi hai..phir Lakshya dheere se mere paas aaya..usne mera haat pakda, use chooma aur dheere se kaha "I Love You".

THE END

dewcute thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#10
Wow!

This was amazing..

Beautifully written...

Well done girl!

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".