Laksh's POV- Hayye re meri kismat! Poore school mein kitni saari ladkiya thi, ek se badkar ek items thi par mera yeh badtameez, bewakoof sa dil usi ke paas gaya..woh ladki, that girl jisne mere hosh udda diye..thodi ajeeb si thi, zyaada baat cheet nahi karti thi..chup chaap rehti thi..sabse alag thi par sabse zyaada beautiful thi..waise uska yoon chup chaap, isolated sa rehna justified bhi tha..aakhir topper jo thi class ki, aur ye topper log na aise hi ajeeb se hote hai, mental se..salwar kameez pehenti thi woh..can you imagine? Aaj ke zamaane mein bhala koi salwaar suit pehenta hai? Par woh pehenti thi aur to be honest, bohot beautiful lagti thi..mere dost kehte the "bhai tujhe poore school mein koi aur nahi mili? Yahi mili baba aazam ke zamaane ki behenji?"..gussa toh bohot aata tha! Mann karta tha mooh tod du saalo ka par saale kehte toh sahi the..Main, Laksh Maheshwari, jiske peeche saari ladkiya bhawro ki tarah bhaagti thi usko pyaar hua bhi toh kisse? Iss topper se? Arrey uske chakkar mein teen saal ek hi class mein parhta raha main..jab woh 9th mein thi, tab main 11th main tha..jab woh 10th mein thi tab bhi main 11th mein tha aur jab woh 11th mein thi, tab bhi main 11th mein hi tha..roz left row ke 1st bench par baithti thi woh..maano uski favourite seat thi woh! Agar kabhi uski favourite seat na mile baitne ko toh ro deti thi..rondu keheeki! Par rote hue toh maano pari lagti thi..lekin kya karta? Rote hue dekh nahi sakta tha main usko..pyaar jo karta tha usse pagalo ki tarah..islye jo bhi uske seat pe baitha ho use laat maarke utha deta tha main waha se..woh meri taraf dekhti toh thi, par kehti kuch nahi thi..Arrey itni mehnat kari uske liye, uske liye kisiko 1st bench se hata diya, kam se kam thank you toh bol deti? Par nahi! Madam kyu bolengi thank you? Thank you bolne mein toh jaise unki jaan chali jaaye..teen saal se uske pyaar mein lattoo tha main! Jab use pehli baar dekha tha, nervous thi, darri hui thi..kaap rahi thi! Aur upar se main gadha, andho ki tarah chal raha tha..takkar kha gaaye hum! Abb aankhein bandh karke chaloonga toh accident toh hoga hi na? Par kisi ne sach hi kaha hai..jo hota hai acche ke liye hota hai.. uski darri hui, sehmi hui si aankhein dekh kar fida ho gaya tha main..pyaar ho gaya tha mujhe..love at first sight, you know? Bolna bohot kuch chaahta tha par awaaz hi nahi nikli islye "sorry" bolkar nikal liya waha se! Main tha class ka sabse naughty ladka toh zaahir si baat hai, last bench hi mera mandir tha..kisine sach hi kaha hai, last benchers ko books mein bilkul interest nahi hota..kaise hota? Mera interest toh usi pe hua karta tha din bhar..har class mein, har subject mein, har book mein wohi dikhti thi mujhe..pagal sa ho gaya tha main! Zindagi mein pehli baar saccha pyaar hua tha..sharmaane mein toh jaise maine degree le rakhi thi un dino! Galti se bhi meri aankhein uss par pad jaaye toh chehra laal ho jaata tha mera tamatar ki tarah..par use bhi toh koi signal dena chahiye na..mere dost kehte the "jaa bhai, bol de bhabi ko apne dil ki baat..kahi aisa na ho ki tu yaha dekhta rahe aur koi aur use udaa le jaaye"..baat toh sahi thi! Main yaha signal ka wait kare rehta aur udhar koi aur mooh maar deta toh? Main toh khada khada devdas bann jaata..par kya karu? Darr bhi lagta tha..ye topper logo ka koi bharosa nahi..kahi dil ki baat bol di aur usne sabke saamne gaal pe kheech kar chipka diya toh? Meri toh sabke saamne izzat lut jaati..aur woh hai ki koi signal bhi nahi de rahi thi..ek baar toh hadd hi ho gayi..woh saamne se aa rahi thi aur mauka paakar mere dosto ne mujhe uske paas dhakka de diya..kameene! Par chalo accha bhi tha woh..takkar khaakar girne hi wali thi meri Ragini ki tabhi maine uski kamar pakdi aur use girne se bacha liya..uss din pehli baar maine use chuaa..kaise bataau dil mein kitni ghantiya baj rahi thi? Kitni soft thi woh..aur uski aankhein? Aankhein toh mashallah katilaana thi uski! Agar aankhon se murder hona possible hota toh abb tak main marr chuka hota aur use jail ho chuki hoti..kehna toh bohot kuch chaah raha tha aur ummeed bhi thi ki who bhi kuch kahegi..par meri ummeedo par paani tab phir gaya jab usne dheere se apni meethi si awaaz se mujhe "thank you" kaha aur chup chaap nikal lee waha se..jeeta jaagta chutiya bann gaya main toh! Mann kar raha tha iss dharti ke saare moh maaya tyaag kar Himayala chala jaau aur waha jaakar sanyaasi bann jaau..Tab lagne laga shayad mera pyaar ek tarfa tha..shayad main hi uske pyaar mein pagal tha..woh toh mujhe dost bhi nahi samajhti thi..aur samjhegi bhi kyu? Woh thehri topper, aur main? Main teen saal se ek hi class mein parh raha tha..kyu baat karegi mujhse? Ye topper log na aise hi hote hai!
Ragini's POV- Topper! Yahi bulaata tha woh mujhe..last bench par baitha hota tha roz..teen saal se ek hi claas mein parhta dekha tha maine usko..jab main 9th mein thi, woh 11th mein tha..jab
main 10th mein thi, woh 11th mein tha aur jab main 11th
mein thi tab bhi woh 11th mein hi tha..school ke pehle din hi usko dekh kar pyaar ho gaya tha mujhe..kismat ne saath diya uss din mera! Hum takkar khaakar mil gaye aur bas, mera dil uska ho gaya..ajeeb si feeling aati thi usko dekh kar..dil mein guitar bajne lagte the..mann karta tha use chilla chillakar sabke saame keh du "Laksh Maheshwari, I love you" par darrti thi bohot..woh tha ek stud, ek handsome hunk! Aur main? Main ek "behenji"..sab toh mujhe behenji hi kehte the..I agree, main simple thi..salwar suit pehenti thi..chote kapde pasand nahi the mujhe..saari ladkiya use chipakne ko marrti thi toh woh bhala mujhse pyaar kyu karega? Pyaar? Arrey pyaar toh dur ki baat, dosti bhi kyu karega woh mujhse? Kaha woh aur kaha main! Lekin kabhi kabhi lagta tha maano uske mann mein bhi kuch hai..jaise woh bench waali baat hi le lo! Main hamesha left row ke first bench par baithti thi..woh meri favourite seat thi..islye nahi kyuki mujhe teachers ke lectures sunne the..but islye kyuki uss seat se main use directly dekh sakti thi..zyaada sar hilaana nahi padta tha..bas thodi si aankhein hilaani padti thi! Woh seat na mile toh meri aankhon mein aansu aa jaate the..darr jaati thi main ye sochke ki aaj ka pura din use dekhe bina bitaana padega..directly piche mudne ki himmat bhi toh nahi thi mujhme islye uss seat ki help toh leni hi padti thi mujhe..par jab aisa hota tha, woh kahi na kahi se aa jata tha meri help karne superman ki tarah..jo bhi meri seat par baitha ho use laat maar kar utha deta tha..kahi woh bhi mujhse pyaar toh nahi karta? Arrey nahi! Pyaar? Aur mujhse? Kabhi nahi! Sympathy waali feeling hogi islye meri help karta hoga.."Thank you" bolne ka mann toh bohot karta tha par himmat hi nahi hoti thi..awaaz nahi nikalti thi meri..pata nahi kya sochta hoga woh mere baare mein! Mann karta tha ki usko signal du..bata du use ki I love him..par kaise bata deti? Woh reciprocate nahi karta toh? Agar sabke saamne mujh par has deta, meri insult kar deta toh? Main toh kisiko mooh dikhaane ke laayak nahi rehti..Tamasha bann jaata mera..aaj bhi yaad hai mujhe, ek baar main class ki taraf jaa rahi thi ki tabhi woh galti se mujhse takda gaya aur main girne hi waali thi ki tabhi usne meri kamar pakdi aur mujhe girne se bacha liya..pehli baar usne mujhe touch kiya tha uss din! Pet mein titliya udd rahi thi meri..mann mein laddoo phoot rahe the..mann kar raha tha lipat jaau usse aur keh du "Laksh, I love you" par kaise kehti? Awaaz hi nahi nikli..bas kisi tarah mushkil se "thank you" bol kar chali aayi..bewakoof kaheeki! I was hoping ki woh mujhe peeche se awaaz dekar rokega par nahi, usne nahi roka mujhe..main class mein aakar bohot royi uss din, bohot dil dukha mera par ye toh hona hi tha..main ummeed bhi kaise kar sakti thi ki THE LAKSH MAHESHWARI mujhe rokega? Samajh aa gaya tha mujhe ki mera pyaar ek aisi nadi hai jiska koi kinaara nahi..One-sided love tha mera aur ye baat mujhe uss din samajh aa gayi thi!
/p>