Originally posted by: prettywomaniya
pyaar karna aur pyaar nibhana.!!
pyaar toh koi bhi kar sakta hai..
kunal ne kia.. tumse mauli.
lekin nandini se bhi..
aur ab fir se wo us pyaaar ko yaad kar, jeena chahta hai wo pal kyuki wo akela hai.. use zaroorat hai tumhari.. !
lekin !! pyaar har koi nibha nahi skta..
kunal nhi nibha paya.. lekin ishaan ne nibhaya, tumse.. aakhir tak.. !!
tumne bhi nibhaya mauli , kunal se apna pyaar. aakhir tak..!!
lekin ab yeh tumpe hai mauli.. k tum kya samajhti ho pyaar ke bare mein.. tumne kya seekha pyaar ke bare me, juzzbaton ke bare mein, rishto ke bare mein..!!
ps : felt like writing in hindi..
those who have problem in understanding but want to read can ask me to translate it.