My Poetry Collection (Updated Page 9 And 10) - Page 8

Created

Last reply

Replies

74

Views

10.8k

Users

5

Likes

117

Frequent Posters

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#71
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Shab-E-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jao So Jao Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Yeh Pareshan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba To Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Qabr Say Aaj Bhi "Mohsin" Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#72
Nahi Aata Mujhe Fun Kisi Ko Mananay Ka
Faqat Itna Hi Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"

Tumharay Nazdeek Agar Meri Hansi Dilkash Hai
To Main Muskura K Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"

Agar Tum Dekhna Chaho Meri Aankh Mai Aansu
To Mai Ro Ro K Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"

Saza Dene Se Hoti Gai Gar Tassalli Tumhare
To Phir Mai Kaan Pakar K Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"

Dekho Aise Kisi Se Roothna Acha Nahi Hota
Ab Main Bohat Maan Se Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"

Tum Gar Chaho K Meri Saans Bhi Na Ho Baaki
To Dam-e-Aakhir Mai Kehta Hon
"Chalo Bus Ab Maan Jao Na"
.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
#73
Usay Apnay Parday Ki Fikar Thi Wo Jo Mera Waakif-E-Haal Tha
Wo Jo Uski Subh-E-Urooj Thi Wohi Mera Waqt-E-Zawaal Tha

Meri Baat Kaisay Wo Maanta Mera Dard Kaisay Wo Jaanta
Wo To Khud Fanaa Ke Safar Par Tha Usay Rokna Bhi Muhaal Tha

Kahan Jaogay Mujhay Chor Kar Mai Ye Pooch Pooch Kar Thak Gaya
Wo Jawab Mujhko Na De Saka Woh To Khud Sarapa-E-Sawaal Tha

Wo Jo Lauta Sadiyoon Ke Baad Bhi Meray Lab Par Koi Gila Na Tha
Usay Meri Chup Ne Hara Diya Jisay Guftguu Par Kamaal Tha

..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#74

Originally posted by: Alone_Prince

mera naaam 😍
😆
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
#75
yup Welcome back! 😊
so how were the examz?
lagta hai graduate kar k wapis aaye hain aap! 😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".