Kahan Ye Bas Mai Ke Hum Khud Ko Honsla Detay
Yahi Bahut Tha Ke Har Gham Mai Muskura Detay
Hawa Ki Dourr Ulajhti Joi Ungliyoon Se Kabhi
Hum Asaman Par Tera Naam Tak Saja Detay
Hamaray Aks Mai Hoti Jo Zakhm-E-Dil Ki Jhalak
Hum Ainay Ko Bhi Apni Tarha Rula Detay
Hamaein Bhi Roshniyoon Par Jo Dastaras Hoti
Kabhi Chiraagh Bujhatay Kabhi Bujha Detay
Hamaray Panv Hawaoon Ki Zad Thay Warna
Guzarti Umar Ko Ruk Ruk Kar Sada Detay
Ab Uski Yaad Se Uska Badan Tarashtay Hain
Woh Khuwaab Bhi To Nahi Tha Ke Hum Bhula Detay