OS Zindagi Ek baar phir 3rd part pg 7 updated - Page 5

Created

Last reply

Replies

63

Views

9.2k

Users

20

Likes

93

Frequent Posters

elrein_2046 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#41
Thanx fr cnsidering my sggestion
Ws waiting fr ur update.. wounds of ananya's past are sooo deep dat it will take tym to heal... we can't expect frm her to jump in relation wid kabir... nd m sure kabir's love nd care will sooth her soon
I mst say u r a brilliant writer.. i luved d way u express deir emotions.. update soon. I'll be eagerly waiting
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#42

Originally posted by: RaizadaPriya

jaandaar shandaar and dhamaakedaar


Thanks a lott priya 😳
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#43

Originally posted by: elrein_2046

Thanx fr cnsidering my sggestion
Ws waiting fr ur update.. wounds of ananya's past are sooo deep dat it will take tym to heal... we can't expect frm her to jump in relation wid kabir... nd m sure kabir's love nd care will sooth her soon
I mst say u r a brilliant writer.. i luved d way u express deir emotions.. update soon. I'll be eagerly waiting


Glad you liked it... i was in doubts while posting... thanks for reading and commenting 😊
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#44

Zindagi ek baar phir part 3

Khalid ne kabeer ke kandho par hath rakha... Kabeer samhal gaya tha...
"Kahan le ke chale tumhe tumhara Driver..."khalid ne kabeer ka mood badalne ki koshish ki..
"Ghar hi chalte hain ...Khalid..."
"Mere ghar chalte hain...waise bhi Tarini tere sms ko dekh kar pareshan ho gayi thi"
"Tumne Tarini ko sms kyu dikhaye?"
"Maine nahi dikhaye... shaadi karo phir samjhoge... mera mobile Tarini ke paas jyada rehta hai..waise bhi tumhari best friend hai usse tumhare bare mein kuch bhi chipana...khud ko qatl karne jaisa hai"
"Thik hai...tumhare Ghar hi chalo...mujhe abhi tum dono ki zarurat hai"
Khalid kabeer ne ghar pahuch kar dekha...Tarini aur Anurag soye huye they...
"Khalid Tarini ko mat uthana...sone do ...subah baat kar lenge...abhi hum bhi so jate hain"
"Subah teesra viswayudh karana hai kya mere aur Tarini ke beech mein...dekh main usse jaga dunga... mujhe phir atleast 6 months tak tane nahi sunne"
"Tane you mean taunts...Tarini tujhe taunts kyu maregi.." Kabeer ne ascharya ho kar poocha..
"I will sincerely pray teri shaadi jald se jald ho...phir tu mera dard samjhega... taunts honge... 'tumne jaanbujh kar mujhe nahi uthaya. Tum meri aur kabeer ki friendship se jalte ho...typical male ho tum...tum chahte ho tumhari sari female friends ko mai accept karu par tum ...' .."
"Bas Khalid ho gaya...mere best friend se meri jyada tarif karne ki zarurat nahi hai" Tarini ki awaz thi...
"Lo ji madam uth gayi...tum dono baat karo ... main chala apne bete ke paas sone" Khalid room me jate jate bola..
"Anurag abhi abhi soya hai...dhire se lethna...nahi to uth jayga..." Tarini ne Khalid se kaha
"Thik hai..." Khalid chala gaya...
Tarini Kabeer ko dekh rahi thi...kabeer bahut khoya khoya sa tha...
"Mujhse baat karo kabeer..."
"Kya boloon Tarini...mai nistabdh hoon... yani ki numb ... Ananya ki kahani mujhe jhakjhor gayi hai...uski aatma par gehre zakhm hai... soch raha hoon ki kya mai is qabil hoon ki uske zakhmo par marham laga sakoon?? Usko daldal se nikal sakoon??.."
"Kabeer mujhe Ananya ka past nahi maloom...aur na mai pooch ke tumhe duvidha mein dalungi... na jane kyu mujhe lagta hai mai Ananya ko samajh sakti hoon... usne tumhe nahi apnaya... uski jagah mai hoti tab mai bhi yahi karti kabeer"
"Kyu Tarini... mai bas Ananya ka sahara banna chahta hoon...uska sath dena chahta hoon... ateet mein ulajh kar wo mujhe kyu tukra rahi hai??" Kabeer aahat(hurt) tha...
Tarini kabeer ke paas aa gayi... usne kabeer ke balon par hath phera..."Ananya ne tumhe tukraya nahi hai kabeer... mujhe yaqeen hai... kya kaha hai usne tumhe wo batao" ...
Kabeer ne Tarini ko Ananya ki baat batayi...
"Kabeer tum Ananya ki baaton mein chipi baat ko nahi samjhe ??..." Tarini ne sari baat sun kar poocha...
"Kaun si chipi baat ..." kabeer Tarini se gambhirta se bola..
"Ananya ne tumse kaha ki iss rishte mein sirf tum hi dete rahoge...wo mansik(mental) taur se tum par nirbhar (dependent) rahegi... iss baat mein nirbharta ka dard chipa hai... wo aisa rishta chahti hai...jahan tum dono ek dusre ke poorak(complimentary) ho...na ki ek poori tarah se dusre par dependent rahe... Ananya ka aatm samman iss rishte ko sweekar nahi kar raha kabeer..."
"Tarini ye baat maine bhi samjhi hai...par sachchai yahi hai ki Ananya zinda hai... jee nahi rahi... kisi apne ka pyar...sath usse phir se zindagi ke aur rang dikhayega...iss waqt aatm samman... dependency ki baat sochna kya sahi hai??"
"Kabeer tum Ananya ka nazariya practical ho kar soch rahe ho...tum apni jagah sahi ho... Ananya ke ateet ne usse jyada samvedanshil bana diya hai... toota hona. .lachar hona... aur uss lachari ki wajah se tumhe apni zindagi mein aane dena uske aatmsamman ko hurt karega "
"Rishte aatmsamman ke sahare nahi chalte... pyar... understanding ..compatibility unki zaruri hoti hai.. kal agar mere jeewan mein bura kuch ghat jaye... .mai sabse pehle apne sathi ka sath chahunga... aatm samman ko le kar betha rahunga to khud ko bachaunga kaise?? Ye seedhi si babaat hai... isse jatil bana rahi hai Ananya" kabeer khijhne(irritate) laga tha...
"Kabeer Ananya ki apni soch hai... tum usse pyar karte ho... tumhe usse zindagi ki dusri pehlu bhi dikhani hogi... ek aurat jisne apne ateet mein bahut kuch saha hai... jiske astitva ko...aatm samman ko tar tar kiya gaya hai... uss aurat se tum kya umeed rakhte ho kabeer..?? Aatm samman wapis pane ke liye usne phir se khud ko sameta hoga..kaam ke liye nikli hogi... KKN ki EIC ki position haasil ki hogi... kya Ananya ko money,power ka lalach hai?? Nahi hai tum bhi jante ho...andar se mari huyi hai wo... par apni maa ke liye... apni saans lene ki zimmedari ke liye..usne khud ko dhakela hoga... main samajhti hoon kabeer...Ananya ko mai samajhti hoon..." Tarini ka chehra kas gaya tha...awaz tez ho rahi thi...
"Tarini bas karo... Meri baaton ko alag direction mein le jaa rahi ho tum..." kabeer ne Tarini ke peeth ko sehlaya...
Tarini uttejit ho gayi thi... dhire dhire shaant huyi...
"Mai kya Ananya se miloon kabeer..."
"Nahi Tarini mai nahi chahta...Ananya ko lage main us par dabaw daal raha hoon...kuch chijein waqt par chorna hi sahi hai.. Khalid ne jaise waqt liya ... Anuraag aur tumhe sweekarne mein...aur aaj dekho..."
Tarini muskura uthi... " haan Kabeer kisi insaan ko sweekarna hi usse pyar karne ki pehli seedhi hai"

Khalid aankh malte malte aa gaya...
"Ab tak soye nahi tum dono...2-3 ghante hi...so jao..nahi to sar bhari rahega sara din...chalo utho.."
"Main yahin sofa par sounga... subah hote hi nikal jaunga.. " kabeer sofa par ludak gaya...

Subah jab kabeer Khalid ke ghar se nikla... wo teeno soye hute they...
Apne ghar jaa kar fresh ho kar usne Ananya ko call kiya...
"Hello Madamji ... "
"Hello ...madamji kya hai...subah subah chira rahe ho??"
"Ek junior apni senior ko chiraye... kya bol rahin hain aap...naukri khatre mein nahi daalni... tauba tauba"
"Achcha kabeerji... phone rakhiye... mere parathe aapki bak bak se jal na jaayein"
"Parathe bana rahi ho... kiske?? dekho aloo ke parathe hain to mere liye bhi le kar aao "
"Senior ek junior ke liye aloo ke parathe laye... ye ajooba kahan dekha tumne?? "
"Ananya aloo ke paratho ko le kar koi mazak nahi please...mai 15 min me tumhare ghar aa raha hoon...bye bye bye.."
"Kabeer kabeer suno..." par phone disconnect ho chuka tha...
Ananya ne kabeer ko phir se call kiya...kabeer ne phone nahi uthaya...
Kabeer ke liye jab Ananya ne gate khola... pressure cooker ki seeti ki awaz aa rahi thi..
"Paratho ke sath kya bana rahi ho tum?? "
"Aloo ubale hain abhi..."
"Abhi ...kyu...?"
"Kyuki aap aayein hai...aapko aloo paratha khana hai..."
"Pehle aloo ke parathe nahi bana rahi thi kya??"
" nahi ... par tum poori baat sunte kahan ho..."
"Achcha hua nahi suna...aloo ke parathe khane ko mil rahein hai..." Kabeer ne side sway karte huye kaha...
Kabeer Ananya ke piche piche kitchen tak gaya... Aloo chilne mein Ananya ki help karne laga..."tumhe kitchen ka kaam karna pasand hai kya??" Ananya ne poocha..
"Mujhe tumhari help karna pasand hai..." kabeer ne masoomiyat se kaha...
"Haan kal bhi tumne dishes wash kar di thi...abhi aloo chil rahe ho..."
"Arre main aata bhi guth( dough) dunga... parathe bhi senk dunga...tum bas bolo to sahi"
" nahi nahi aata main guth dungi ...tum bas parathe senk dena..."
"Ok madamji ...meri bossji"
Sara kaam bahut jaldi ho gaya...
"Ananya parathe maine achche se senke... aur parathe mast bane they... waah" kabeer nashta karne ke baad bola..
"Haan sab tumne kiya mai to khadi thi na...tumhe dekh rahi thi..." Ananya ne jhuta gussa dikhaya..
"Tumne bhi thoda bahut help kiya... chalo thik hai sab tumne kiya...ab khush" Kabeer hath jod kar bola...
"Haan thik... tumhare sath reh jar mai bigad jaungi... time dekho... ready ho kar nikalna hoga...aaj tak kabhi mai KKN mein der se nahi pahuchi"
"Main fast drive karta hoon...jaldi pahucha dunga... ghabrao mat"
"Nahi kabeer ...logon ko gossip karne ka mauka nahi dena chahti ... itni jaldi ..."
"As colleagues hum sath jaa hi sakte hai Ananya..tum jarurat se jyada sochti ho" ...
"Main aisi hi hoon kabeer... "
"Thik hai Ananya...phir mai nikalta hoon... bas itna kahunga... tumko maine tum jaisi ho waise apna liya hai... tum mujhe kaise apnati ho... humara rishta kis disha mein jayega sab ab tum par hai... iss rishte ki zimmedari tumhari hai...Rishte mein bhi mai tumhare orders follow karunga... " kabeer halka sa muskura ke bye karta hua chala gaya...
'Kabeer ne apni paripakwata(maturity) se mujhe jhuka diya... ab main kya karoon?? 'Ananya soch mein doob gayi..


Aalina. thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#45
Whenever I read this fiction...get so emotional. ur an awesome writer. Beautiful n superb..love to read this FF.
Update soon
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#46

Originally posted by: Aalina.

Whenever I read this fiction...get so emotional. ur an awesome writer. Beautiful n superb..love to read this FF.

Update soon


Awww dear... thankooo... glad you are loving it... i ll surely update soon..
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#47
sona_naksh thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#48
amazing update
loved d emotions
uodate soon
elrein_2046 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#49
I hv injured my right Arm nd shoulder so cn't type a detail cmmnt 😭 😭
Bt it ws amazing 👏 👏
UD soon
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#50
Superb
It's very emotional but I love it
Continue soon pls
Please pm me

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".