OS Zindagi Ek baar phir 3rd part pg 7 updated

rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#1

Ananya ki nazar cabin se bahar gayi...Kabir Ronnie Richa aapas mein baat kar ke hans rahe they...Richa ne Kabir ka hath pakda tha...Jane kya baat huyi kabir ne Richa ko do sec ke liye gale laga liya...ye dekh kar Ananya muskura pari... usse apne purane Reporters wale din yaad aa gaye...apne colleagues ke sath bitaye fun moments..
Ab wo News ke number one channel KKN ki Editor in chief thi... isiliye ye bebaki... ye khulapan...ye aatmiyata( bonding) colleagues ke beech miss karti thi... ab usse ek leader ka part ada karna hai.. isiliye ek deewar uske aur auron ke beech thi...
Usne waqt dekha...raat ke 9 bajne wale they... kabir ki bulletin ka time ho gaya tha...
Kabir news desk par beth gaya ...Ananya cabin se bahar aayi.. PCR room mein gayi... Ronnie ki bagal me khadi ho wo nirikshan(watch) karne lagi... Bulletin over hote hi...Kabir bhi PCR room me aaya...
Ronnie aur kabir ne hawa me hath milaya..."chaa gaye boss..." Ronnie ne kabir ki peeth par hath maarte huye kaha...
"Yaar ... tu to roz tarif karta hai...Ananya mam bolein to maanu.. " kabir ne Ananya ke paas ja kar bola..
"Mr Kabeer... aapka bulletin apne slot ke top position par hai... best hai sab jante hai maante hai" Ananya ne muskurate huye kaha..
" Mam ... khas insaan se tareef milne ki khushi alag hoti hai... par ye ajeeb baat hai ki apne liye ye khushi maine...khas insaan se apni tarif khud karwa ke li hai.." ye kehte waqt Kabir Ananya ki aankho me jhaank ke bol raha tha..
Ananya sakpaka gayi... usne palat kar Ronnie ko dekha... Ronnie shararati aankho se kabir ko dekh raha tha..
"Mr Kabir 10:30 baje "mudde ki baat" ka panel discussion ka sanchalan aap hi kar rahein hai...right??" Ananya ne sakht lehje mein kaha...
"Ji haan... main hi kar raha hoon... iss baar tareef bina maange kar dijiyega.." kabir ne jate jate kaha..
Ananya apne cabin mein aa kar kursi par beth gayi... apne gusse ke dikhawe se wo thakne lagi thi... har baar kabir uske shaant man ke jheel mein paththar phenk kar halchal macha deta hai... wo pyar ke, chahat ke ,dosti ke ,apnepan ke, sari bhawnaon ko andar dafan kar chuki hai... kayi salon se wo zinda laash si bina kisi expectation ke jee rahi hai...apni kartavyo ko poora karte huye...
Do saal pehle maa chal basi... tab se ek kona jo maa ke liye jeeta tha..wo bhi mar gaya... 6 mahine pehle kkn ki EIC bani hai wo... Kabir ne bhi ussi waqt kkn me senior reporter ke post par join kiya...
Pehle din se hi...kabir uske sath frank tha...
Ananya ko ye baat ajeeb lagti thi... usne kabir ko kayi baar toka.. ki wo Ananya ko mam bole...
Kabir ne chir ke usse mam kehna shuru kiya...par apna dayra seemit nahi kiya... wo Ananya se khul ke baat karta tha... Ananya ne hamesha usse doori banayi rakhi...par ab wo mehsoos kar rahi thi ki uske andar kuch badal raha hai... mare huye...dafnaye huye jazbaat angdaai le rahein hai...
Uski aankhon mein...chehre par ek muskurahat rehti hai ab...kabir jab usse dekhta hai...ya jab wo kabir ko dekhti hai... uske dil ki dhadkan bhar jati hai... uska khud par koi kaabu nahi rehta...wo khud se darne lagi thi...
35 saal ki umr mein aisa mehsoos karna kya sahi tha?? Wo bhi apne se 7 saal chote ladke ke liye...
Ananya khud ko dhikkarti... kabir din ba din uske nazdeek aate jaa raha tha... aur wo bebas si kuch nahi kar paa rahi thi...

Kabir ne "mudde ki baat" khatm ki... discussion kafi badhiya raha... Ananya kabir ka saamna nahi karna chahti thi... kabir jaise hi green room mein gaya... wo kkn se nikal gayi... Car ke saamne khade ho kar usne darwaza khola...
"Bhagna chahti ho mujhse... par kab tak" kabeer ki awaz thi...
"Mr Kabeer... aap kehna kya chahte hai??"
"Wahi jo tum samajh ke nahi samajhti..."
"Mai aapse umr mein badi hoon... "
"Badi ho to kya hua... bada hona koi gunah to nahi... ya ye kehna chahti ho... badi ho isiliye tumse pyar nahi kar sakta" kabir ko josh aa gaya tha..
"Aap mujhse tameez se baat kijiye..." Ananya ki awaz tez thi aur kaanp rahi thi... ye bolte hi wo car mein beth gayi...
Kabir dusri taraf se car mein beth gaya...
"Mr kabir aap car se bahar nikaliye..." Ananya ne ghabra kar kaha...
"Kyu dar gayi...par kisse aur kyu?? bolo ..pehle yahan se chalo...Car start karo"
Ananya ne car start kiya... bina baat kiye dono bethe rahe...bemaqsad Ananya car chalati rahi...
"Car ko roko ...saamne coffee joint hai... " kabir ne kaha..
Ananya kabir aamne saamne bethe they...
"Tum kisse darti ho itna... KKN mein sab jante hain mai tumse pyar karta hoon... tum bhi janti ho.. " kabir ne coffee ka sip lete huye kaha..
"Par main pyar nahi karti aapse..." Ananya ne niche dekhte huye kaha...
"Tum karti ho pyar... mujhe dikhta hai... par tum darti ho... darti ho apne beete huye kal se... tumko lagta hai tum khushiyo ke kaabil nahi ho"...Kabir ne Ananya ke hathon par apna hath rakh diya...
Ananya ki aankhein dabdaba aayi...
Ek mukhauta jo wo kabir ke aage laga ke bethi thi...gir gaya...
"Tum jante ho mera past bahut ghinauna hai... "...
"Past ka matlab samajhti ho... beet chuki zindagi past hoti hai... jo beet gayi usse dar ke...usse apna wajood bana kar aaj aur aanewala kal kyu kharab karna chahti ho"
"Mere beete huye kal ke ghaw bahut gehre hai kabir... jo kabhi nahi bharenge...reh reh kar usse mawad nikalta rahega aur mujhe dard dega...aur agar koi mere sath raha to usse bhi"
"Dard se koi nahi bhag sakta Ananya... usko bhi jiya jata hai...par dard poora jiwan ka hissa nahi ho sakta... mujhe bolo sab...mai sununga"
Ananya ki aankho se aansu behne lage... kabir ne Ananya ka kandha pakad kar uthaya...dono bahar nikal aaye... car ke paas jaa kar khade ho gaye...
Ananya chup ho kar aasmaan ko dekhti rahi...
"Jab shrey se meri shadi huyi... mai "jansamachar" mein reporter thi... hamari arrange marriage thi... papa ka dehant kafi salo pehle ho gaya tha...Maa meri shadi jald se jald kara dena chahti thi... Arman tab college mein tha...Arman mera bhai...Haan meri shadi 7 saal pehle huyi thi...
Shadi ke kuch mahine thik they...Shrey ek MNC mein job karta tha...party mein jana... sharab peena ek aam baat thi... Shrey mujhe bhi parties me le kar jata... unhi parties mein promotion ke naam par... ashlil khel khele jate...Shrey kafi ambitious tha... aage badhne ke liye usne mera istemaal karne ka irada kar liya...
Pehli baar jab ye ghinauna khel hua... tab mujhe kuch pata nahi tha aesa hoga... Dhokhe se usne mujhe hotel ke ek room mein lock kar diya... jahan pehle se uska boss maujood tha... mai sab samajh gayi... maine darwaza peetna shuru kiya... uske boss ne mujhe rokne ki koshish ki par tab tak...room ke bahar logon ki bhid aa gayi thi... Gate khula... main bahar nikli...Shrey kahin nahi tha... main sab ki aankho mein sawal chor kar...Ghar bhagi...Shrey ghar par tha... maine shrey ko thappad mara... shrey par uss din bhut sawar tha...wo mujhe peetne laga tab tak peettha raha jab tak wo thak nhi gaya...mai behosh ho gayi thi... do din tak mai na kuch kar saki..na bol saki... mere por por mein dard tha... usne mujhe kamre mein bandh rakha tha... maa se arman se kisi se mai baat nahi kar sakti thi... uske baad har raat kisi high profile aadmi ko mere paas bhejta... mere jism ke taar taar hote... mai roti bilakhti par usse daya nahi aati...
Shrey ne "jansamachar" walo...maa ko bol diya tha ki hum dono holidays par jaa rahein hai...maa ka phone aane par wo bahana bana ke mujhse baat nahi karwata... maa ko ye baat khatakne lagi... Maa aur Armaan ghar par aa gaye... door bell ring huyi... Shrey ne gate khol diya saamne maa arman ko dekh kar wo darr gaya... usne gate bandh kar diya... maa ne ghabra ke darwaza khatkhataya... Shrey ko gussa aa gaya tez aur wo mujhe peetne laga..usse laga maa ko maine khabar di hai...par mai kaise de sakti thi... mai qaid thi...
Jab kafi der tak darwaza nahi khula... maa ne chilla kar kaha wo police bulayengi... padosi bhi jhankne lage they...Shrey ne darwaza khol ke maa aur arman ko andar bula liya...maa meri halat dekh kar seham kar rone lagi... mai paththar ki ho chuki thi tab tak... sooni aankho se maa aur arman ko dekh rahi thi... tabhi achanak... Arman ne bat se shrey ke sar par mara...khoon ki dhar behne lagi...Shrey gir gaya..uski saans ruk gayi thi... "meri didi ke sath tune kya kiya..mai tujhe nahi chorunga..." chilla ke Armaan usse bat se maarte raha...
Police Arman ko arrest kar ke le gayi... usse taumr qaid ki saza huyi hai... mere andar sab mar gaya tha..bas maa ke liye mai zinda laash ban kar jeeti rahi... maa ne chaha isiliye maine phir se "jansamachar" mein as reporter join kiya... mujhe jeene ka shouk nahi hai... maa bhi nahi rahi... bas Armaan ke intzaar mein hoon...apna kaam nishta se karti hoon...aaj tumhare saamne khadi hoon apne ghinaune ateet ke sath..." Ananya ka gala sukh gaya... wo zor zor se rona chahti thi..par raaste mein ye sambhav nahi tha...
Kabir ne muththi car ke upar patka... gusse se uski aankhein laal thi... "main kyu nahi tha jab tum itna kuch seh rahi thi... Ananya mai tumse bahut jyada pyar karta hoon bahut jyada... mujhe apna lo... " Kabir ki aankho se aansoo gir rahe they... usne Ananya ko khinch kar gale se laga liya...
Ananya ka sar Kabir ke seene par tha... uska shirt kas kar pakde... ek bada chikh nikal kar wo zor zor se rone lagi...wo bhul gayi ki raste mein thi... kabir ne usse jee bhar ke rone diya...ye salon purana gubar tha ... Kabir ke aage sare bandhan tod kar aa gaya tha... Ananya ke dil ne kabir ko apna liya hai...
Kabir ne Ananya ko jakad liya... hamesha ke liye...


Edited by rabzonedge - 9 years ago

Created

Last reply

Replies

63

Views

9.1k

Users

20

Likes

93

Frequent Posters

kavikas thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
I am the first one to comment!
WAH WAH KYA BAAT HAI HAI!!👏👏👏
Applauds for you for such an awesome os. Loved ti to the fullest!
Sagi97 thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#3
Itna shuddhh Hindi...are baapre.
Nahi padh payi...Divya Aunty kuchh karo na!
Maria_TR thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
Omg! Pure Hindi! 😲 Though I didnt get some terms in hindi😳 I liked the concept. A new thought. Liked it.😃
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#5

Originally posted by: kavikas

I am the first one to comment!

WAH WAH KYA BAAT HAI HAI!!👏👏👏
Applauds for you for such an awesome os. Loved ti to the fullest!


Thanks a lott dear... glad u liked it... 😃 I loved ur comment 😳
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#6

Originally posted by: Sagi.

Itna shuddhh Hindi...are baapre.

Nahi padh payi...Divya Aunty kuchh karo na!


😭 itte words english me likha phir b nhi samjhi tum... kya karu bolo..
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#7

Originally posted by: Maria_TR

Omg! Pure Hindi!😲Though I didnt get some terms in hindi😳I liked the concept. A new thought. Liked it.😃


Thankoo dear... i knw hindi me prob hoti hai but i can express better in hindi..thats y i write in hindi... i ll try to give meanings of typical words dear 😳
Maria_TR thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
#8

Originally posted by: rabzonedge


Thankoo dear... i knw hindi me prob hoti hai but i can express better in hindi..thats y i write in hindi... i ll try to give meanings of typical words dear 😳



You should definitely write the way you are comfortable with. That will enhance the beauty. Thank you so much🤗
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#9

Originally posted by: Maria_TR




You should definitely write the way you are comfortable with. That will enhance the beauty. Thank you so much🤗


Thanks for encouragement and understanding ... 🤗
Zannat18 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
#10
Wow , Loved it 😳
Have to say that u r a fantastic writer 👏
write more on KaYa 😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".