Part 6 Continued...
xxx
Haveli:
Ghafoor- Rashid ki aaj ki activity kya hai yeh to sab ko pata hai (everyone stopped chewing/eating/drinking or whatever it is they were doing and turned to stare at him while he continued eating his food in peace and razia smiled adjusting her dupatta) par baaki sab ka din kaise beetega aaj? (Silence ensued for a good 5 minutes causing him to look up from his plate not so happily)
Ghaffur- Ya to hum deewaron se baatein kar rahe hain ya aap log behre ho chuke hain.
Saima- Woh..Woh bhai sahib hum log to ghar pe hi hain..
Ghaffur- Aur umeed bhi kya ki ja sakti hai? Naina, Kajol beti aap log aaj ka din kaise betaenge (Kajol just looked up slyly from her plate and blew a kiss to Zain who smiled to himself as he focused on his plate again. Maya smiled at him and ruffled his hair affectionately as she caught the exchange) Kajol (ghaffur said a little more sternly this time and Zain choked)
Kajol- Ji..Ji?
Naina- (glared at her) Woh Abbu hum log aaj teenon I mean hum dono aur Humeira hum campus dekhne jaa rahe hain..
Ghaffur- Yeh to bauhat achi baat hai. Classes shuru hone mein din hi kitne baaki hain. Pehle se tayaari karna achi baat hai. Just make sure guard saath jaye (all 3 of the girls faces fell and they stared at Maya for help who just gave them a reassuring nod)
Maya- Actually uh main unke saath hi jaa rahee hoon. Campus ke baare mein bauhat suna hai toh dekhne mein interest ho raha tha mujh so humme guard ki zaroorat nahin hogi (Ghaffur and her engaged in a glaring battle for a few minutes before he turned his attention in a different direction causing her to roll her eyes at him)
Ghaffur- Anaya aap hospital (anaya nodded) aur hiba aap apni saheli ki charity event mein jaa rahe ho (she nodded a little too innocently causing everyone at the table to roll their eyes) Aur tum dono?
Zain- Duty (Ghaffur nodded sternly)
Gaffur- Acha hai humme bauhat khushi hai dekh ke ke aap log iss naukri mein dilchaspi le rahe hain aur busy rehte hain. Kamaz kam apki baaki hobbies se behtar hai yeh. It keeps you busy and out of trouble meaning it helps save you from dishonouring our familys name and legacy (Azlan clutched his fork tighter about to unleash a few harsh realities and negative words at him but Maya covered his hand with hers stopping him and Javed look at her gratefully before sighing in relief and then turned his attention to Ghaffur)
Javed- Hum baaki sab shaam ko Sapna ke haan uske saas sasur ki anniversary party mein jaa rahe hain.
Ghaffur- Jab dawat ayee thee tab hum waake hi jaa rahe thewoh hamare samdhee ki haisiyat rakhte hain iss ghar ki behn beti ka sasural hai uski izzat aur rutbe aur hamare khandaan ki izzat ka savaal tha (all the kids were rolling their eyes) par ab hum nahin jaa rahe hain.
Salman- WHAT?
Salma- Aapka dimaagh to theek haina? Woh hamari beti ka sasural hai samdhi hain woh hamare aur hum itni bari davat pe nahin jayenge-
Ghaffur- Bilkul waise jaise woh hamari pichli, iss shehr mein hamari sabse pehli aur woh bhi itni bari dawat badhshah ki salgira pe nahin aite
Javed- Sapna aapko bol chuki hain unhe koi family problem- (Ghaffur put up a hand)
Ghaffur- Mujhe aap logon ko yaad dilane ki zaroorat nahin hai ke jo beti aap log de chuke hain uske ilaava ek aur beti dene ki koshish kar rahe hain wahan iss liye humme har kadam soch samajh kar uthana parega. Haseena bi Rashid miyan ki ghair maujoodgi ko lekar naraaz hain woh chahtin hain ke Rashid unse maafi maange par hamesha ki tarha Rashid ghalat raasta hi chun raha hai aur maafi maangne se inkaar kar raha hai. Aap log jaante hain ke elections sar pe hain. Yahan ke log humse pehle jaisa andhar pyaar aur andha bharosa nahin karte ab. Hamara har kadam unki nazron mein hamari izzat bana sakta hai ya bighad sakta hai. Ab sochiye agar aap log wahan gaye aur uske saas sasur ne ya Haseena ne aapko taana diya..toh? Wahan tamasha kiya toh? Hamare talukat aaj nahin to kal Haseena ke saath behtar ho jayenge..par woh talukat elections tak apne ghar ki chaar dewari mein hi rakhne honge humme. Aaj ki party mein na jaane ka hamare paas bahana hai. Hum bhi unhe bol deinge ke humme koi family problem thi to hum nahin aa sake woh log koi savaal nahin utha payenge. Ek baar elections ho gaye toh milna milana phir se pehle jaisa ho jayega. Par tab tak Haseena bi ko logon ke saamne bolne ka mauka nahin deinge hum. Aap log jaante hain woh kaisi aurat hai
Azlan- (scraped his chair and got up walking out) Tab bhi aap meri phool jaise behen ki shaadi uske ghar mein karwana chahte hain (he walked out)
Razia- Shireen hum keh dete hain Iss Azlan ko sambhalo. Iski zubaan ko lagaam do, iski bewakoofiyon aur ghusse ki wajah se ek din hum sab barbaad ho jayenge DEKH lena..
Shireen- Abhi khabar lete hain iski (She walked off. Razia hot on her heels. Slowly they all made their way to the front foyer out of the breakfast room and Rashid turned to his mother and father)
Rashid- Ammi, Abbu ab main chalta hoon.
Salma-(her eyes filled with tears) Asad ko hamari taraf se bhi poochna, pyaar dena..woh..woh kaisa hai Rashid?
Rashid-(laughed) Sunne mein aaya hai ke ghusse waala hai.
Salman- Nawabon ka beta hai. Ghussa to hamare khandaan ki nishani hai (stared towards the stairs where Azlan was busy on the phone)
Rashid- Par sunne ko aaya hai ke janaab apne bhai ko aapko apne par dada ko aap sabka number kaat chuke hain. Ghusse ke maamle mein woh aap sabka par daada hai (both his parents laughed with a certain longing and sadness in their eyes)
Salman- Phir tumhe dair nahin karni chahiye waise bhi mujhe lagta hai uske ghusse ka sabse favourite shikar tum hi ho (Rashid nodded laughingly)
Rashid- Allah Hafiz (just as he turned around to leave him and his parents were left stunned by the sight at the door. Haseena, her husband, her husband's brother and his wife all stood smiling and carrying boxes of mithai)
xxx
Khan Mansion:
Asad was sitting dressed in the living room looking ridiculously handsome in a pair of jeans and a white t-shirt wearing his eye glasses checking his watch every few minutes.
Asad- Ab yeh Ammi kahan reh gayee hain. I have a flight to Delhi in 3 hours woh (the anger in his voice ever present as he spoke about his father) kissi bhi wakt aate honge aur Ammi? Dunya jahan ke kaam chorke bahar chali- (his mug of coffee appeared before his eyes and he looked up to see Aisha holding it out to him clearly upset, hurt and angry. Her eyes still filled with unshed tears)(Instead of grabbing the coffee he held her wrist and made her sit on the sofa and he knelt before her)
Asad- Aish, I know your hurt and..and I know your angry maybe with me as well. He...he hurt and betrayed you as well not just me and Ammi. Yet we made the decision of letting him come and didn't bother asking if you wanted him to. This is your house as much as ours and you had the right to decide but Aish..Aisha (sighed looking down) main bhi nahin chahta..ke woh iss ghar mein ayen. Main bhi unse milna nahin chahta. Not now, not ever ab humne finally unke bina jeena seekh liya hai (Anwar who was sitting on the sofa behind him smiled shaking his head but let him continue living in the delusion that he had come to terms with his fathers absence) I..aur woh..ab aana chahte hain..
Aisha- But Asad, WOH INSAAN unhone Ammi..Ammi ko itne dhuk diye itne dard diye mujhe aur tumhe sivai aanson aur mehroomi ke kuch nahin diya. Hamari zindagi barbaad kar di unhone. Ammi ko..Ammi ko itni takleefein uthani pari humme bara karne mein aur ab jab mushkil wakt tal gaya hai toh unhe hamari yaad aa gayee? TAB KAHAN the who jab hamare paas khaane ke do nivale nahin the? Jab tum sarkon par logon ke joote polish karte the? Jab tum logon ka zulm sehte the mere aur Ammi ke liye ek wakt ki roti kamane ke liye TAB KAHAN THE WOH? Jab tum mujhe apne kandhe pe school chorke aate the woh apne bachon ko bari bari gariyon mein chorne aate the. Unhe poori dunya ghuma laye who aur tum saari zindagi meri wheelchair- (Anwar wiped his tears about to intervene. The stories hiting him just as hard each and every time no matter how many times he heard them. Asad was sitting frozen as if there was a time capsule playing before his eyes and he was reliving all those painful memories. His jaw clenched tight and Aisha was openly crying. The opening of the door snapped them all out of it and they turned to see Dilshad all dressed up., wearing a heavily embroided and fancy black kurta with black capri trousers and a black fancy equisite and very expensive shawl draped around her stylish and gracefully. She had her hair done and soft makeup on her face, minimal but elegant silver bracelets on her arms. She was carrying bag after bag of gourmet and bakery food to go with the tea they were to have with Rashid. One would doubt if she had left any item in the cafe)(Her smile vanished as she walked in seeing the three of them like that, immediately sensing the tension in the air. She looked at them questioningly but before she could get to ask Aisha got up and walked over to her taking the bags from her and looked to Asad over her shoulders)
Aisha- Asad (both he and Dilshad looked towards her) waise to Ammi aaj tumhari coffee banana bhool gayeen (looked back towards Dilshad) par maine bana di hai pee lo nahin to thandi ho jayeegi (saying so she walked off)
2 Hours Later: The fancy tea Dilshad had set, lay untouched. There was nothing lacking in the elaborate set up by Dilshad. Tea, croissants, 5 different assortments of cookies and biscuits, cakes, pastries and muffins. The coffee table was a mini cafe and tea shop in its own. Aisha sat on the sofa both angry and a little scared every time she looked in Asads direction. Anwar sat on another sofa upset about the whole situation because he could sense what was coming. Dilshad was pacing worriedly but Asad..Asad was livid with anger.
Asad-(ripped his glasses off) BADTAMEEZI KI BHI HAD HOTI HAI (Aisha flinched and Anwar and Dilshad closed their eyes. They knew it was only a matter of time) unhone aapko 10 baje ka time diya tha. 12 se upar time ho raha hai. Agar woh nahin aana chahte the to unhone PHONE KYUN KIYA!! AAPKO JHOOTI UMEED KYUN DI! SACH MEIN UN MEIN EK HI HUNAR HAI.
Dilshad- Main tumhe bata rahee hoon na Asad woh waake hi aana chahte the. Shayad..shayad kuch majboori ho..kuch zaroori kaam..
Asad- (his disbelief giving way) ZAROORI KAM? Zindagi bhar hum unka intezaar karte rahe unka zaroori kam ek din unka intezaar nahin kar sakta tha? SACH TO YEH HAI AMMI KE WOH JHOOTE AUR KHUD GARZ INSAAN HAI AUR AAJ SE UNKI ZUBAAN SE NIKLA HAR LAFZ MAIN JHOOT MAAN KAR CHALOONGA..
Dilshad- Asad main keh rahee hoona beta woh aana chahte the par..par shayad..ghar mein kissi ko..kuch hogaya ho aur-
Asad-(spun around facing her) Kissi ko kyun Ammi? Khuda kare unhe hi kuch hogaya ho-
Dilshad - ASAD!!! (Both Anwar and Aisha jumped to their feet in fear. Anwar attempting to come in between but he really had no words or ideas of what to say to either of them) TUM KHOSH MEIN TO HO? TUM JAANTE HO TUM TUMHARE ABBU KE BAARE MEIN-
Asad- WOH MERE ABBU NAHIN HAI!! (The words resonated and echoed within the walls of his mansion for a long time. The words piercing through all of their hearts with as much ferocity as he had yelled them. It was a surprise he hadnt damaged his vocal cords with the ferocity he had yelled those words) NAHIN HAIN WOH MERE ABBU! MERE ABBU MERE PAIDA HONE SE PEHLE MAR GAYE THE-
Dilshad- ASAD KUCH BHI HO WOH TUMHARE ABBU HAIN BETA-
Asad- (all of a sudden he was mellow and calm. But a storm was brewing in his eyes and what they saw in his eyes; the pain, the hurt, the anger, the rage, the tsunami of emotions rising in them chilled them to their bones. This calm demeanour of his was more frightening and concerning than his usual yelling and anger tantrums) Abbu hain? Abbu- okay. HEY..Abbu? Abbu? (yelled a little louder) ABBU? Can you hear me? Can you..Can you see me? Kidhar ho aap? Please bahar ayee na. Mujhe bhi aapko dekhna hai. Aapse, aapse itni baatein karni hain ke shayad ek umar bhi kam par jaye. Iss dunya ke mujhpe kiye hue zulmon ki shikaytein lagani hain. Aap..aap sunte kyun nahin ho dad?.Aap..aap unhe rokte kyun nahin ho? Mere sar pe haath kyun nahin rakhte ho? Mujhe baaki abbu ki tarah zulm aur takleefon se bachate kyun nahin ho? Iss chot se kyun nahin bachaya aapne? (touched his abdomen as his eyes overflowed with tears. His mother and sisters heart shattering with the pain in his voice and the complaints he held) Aap jaante ho..kitna dard hua tha mujhe..jab mujhe woh chura lagga? Meri cheekh mere gale mein hi atki reh gayee Abbu aur ussne dobara churi mari mujhe (Dilshad fell to the ground crying as Anwar consoled her crying himself but Asad continued staring ahead. Tears streaming down his cheeks as he laughed a little) tab kahan the aap? Tab kahan the aap Abbu jab paise kamane ke liye main chup chap logon ki maar khata tha? Unke zulm sehta tha. Jaante hain kitna khoon baha hai mera kitna dard saha hai maine 2 wakt ki roti ke peeche? Aapke hote hue mujhe rupees rupees ke liye bheek kyun maangni pari? Ghalat raaste kyun chunne pare Abbu? Itne andhere raaste ke jabse main unpar chala hoon mujhe raaton ki neend naseeb nahin hoti. Ek pal..ek pal ka sukoon naseeb nahin hota? Kabhi mere saath bachpan mein khele kyun nahin aap? Mere sar pe aap pyaar se haath kyun nahin pherte..mujhe..kabhi gale se kyun nahin lagate? Mere aanson kyun nahin ponchte? Jab main koi bura khawb dekhke darta hoon toh aap hausla dene kyun nahin aate? Jab main cigarette peeta hoon toh aap daantte kyun nahin ho? Please daanton..daanton na Abbu. KUCH TO KAHO, KUCH TO KARO. Aap Aap mujhse pyaar bhi karte ho..hunh? HUNH Abbu? ABBU!! Karte ho AAP MUJHSE PYAAR?! YA NAFRAT KARTE HO! TELL ME SOMETHING! Abbu! ANYTHING (he kicked the sofa screaming in agony) Iss chot ka pata lene aa rahe the aap Abbu iska? Inn baaki sab choton ka kya? Hunh? (Ripped off his shirt as Aisha and Dilshad both covered their faces with their hands crying inconsolably)(Apart from the thick white bandage on his abdomen there were general unhealed bruises, scarring and faint injury marks all over his chest and abdomen) INN CHOTON KA HAAL POOCHNE WAKT KAHAN THE? KIN KIN ZAKHMON KA POOCHENGE ABBU Aur kin kin ka badla leinge? Inn mein se (his voice finally cracked) Inn mein se aadhe se zyaada to aap hi ke diye hue hain (the words hung in the air for a long time. Dilshad was broken. She sat on the floor in Anwars arms crying inconsolably unable to face her son and Aisha had her head on her knees her arms wrapped around herself crying inconsolably as well. They all just heard a loud BANG and flinched after Asad had stalked his way to his bedroom)
xxx
Farooqui Mansion:
Zeenat was sitting in front of the vanity in Zoya's room getting dressed for the party so deeply lost in her own thoughts that she hadnt heard zoya come out of the bathroom or call out to her. She kept on brushing and re-brushing the same strands over and over again. She only realized when a towel came flying onto her face. She jerked out of the day dream/trance she was in and looked up in the mirror glaring at the offender when a smirking Zoya fresh from the shower, her hair dripping wet, dressed in a plain white short 3/4 sleeves kurta hiding her boxer shorts beneath it threw her arms around her. She had clearly just caught Zeenat amidst fantasizing/dreaming of someone and was not going to leave the opportunity to rub it in. She smacked a loud kiss on her cheek before screaming loudly in her ear..
Zoya- Mere Khwaabon Mein Jo Aaye (pinched her cheek) Aake Mujhe Chhed Jaaye (hugged her tightly from behind. Enveloping her in death grip as she rocked her side to side) Mere Khwaabon Mein Jo Aaye..Aake Mujhe Chhed Jaaye (Kissed the top of her head as she jumped back from her now dancing all over the place still smiling at zeenat in the mirror even though her eyes had watered up and zeenat blushed prettily) Use Kahon Kabhi Saamne To Aaye (As zeenat got up to admonish her zoya grabbed her hand and twirled her inwards towards herself as Zeenat yelped in shock and zoya began waltzing with her) Mere Khwaabon Mein Jo Aaye..Aake Mujhe Chhed Jaaye (she dipped Zeenat back as Zeenats mouth fell open in shock) Use Kahon Kabhi Saamne To Aaye
(She dropped zeenat on the bed beneath her before falling on it herself and bursting out laughing along with Zeenat) Mere Khwaabon Mein Jo Aaye
Zoya- (dancing her way over to the dressing table again) Kaisa hai kaun hai woh jaane kahan hai..(As zeenat lined her eyes with Kajol. Zoya sat beside her on the ground. Her head resting on her elbows as she batted her eyelashes at Zeenat in the mirror) Ho Kaisa Hai Kaun Hai Woh Jaane Kahan Hai..
(Tapped zeenats cheek as she sat on the bench beside her and Zeenat smiled at her blushing again) Jiske Liye Mere Hoton Pe Aah Hai (nodding her head questioningly at Zeenat who just narrowed her eyes at her) Apna Hai Ya Begana Hai Wo (and just as suddenly those choclate brown eyes came rushing back to her. As she subconciously began clutching the mysterious chain in her neck. Zoning out into the mystery that those eyes were and last night was)
Sach Hai Ya Koi Afsana Hai Wo (Zeenat tapped her shoulder and zoya snapped out of it as she began doing exaggerated actions in the mirror making Zeenat laugh just as for some odd reason that ridiculously handsome arrogant assholes face flashed before her eyes again) Dekhe Ghur Ghur Ke Yunhi Door Door Se..Usse Kahon Meri Neend Na Churaye (Zeenat shoved a hot pink sharara into her hands pushing her to go wear it but Zoya instead stood and danced with it as she stared at Zeenat with a sad smile on her face) Mere Khwaabon Mein Jo Aaye..Aake Mujhe Chhed Jaaye..Use Kahon Kabhi Saamne To Aaye..Mere Khwaabon Mein Jo Aaye
(Zoya stood lost in her own thoughts her fingers again subconsciously skimming the length of her neck she could still feel the warmth of his breath on) Jadoo Se Jaise Koi Chalne Laga Hai (she closed her eyes as her heart began beating wildly again as she remembered the feel of a pair of lips graze her earlobe. She felt scared, nervous and excited all at once just as her breathing picked up pace) Ho Jadoo Se Jaise Koi Chalne Laga Hai..Main Kya Karun Dil Machalne Laga Hai (This time Zeenat came and hugged her from behind nodding her head questioningly and Zoya put on her brightest smile for her) Tera Deewana Kehta Hai Wo
Chup Chup Se Phir Kyon Rahta Hai Wo (She turned around and shocking Zeenat due to the suddenness of her action she got on her knees holding out her hand which had a rose in it causing Zeenat to laugh again) Kar Baitha Bhool Wo Le Aaya Phool Wo..Usse Kaho Jaaye Chaand Leke Aaye (she stood up and began dancing crazily around Zeenat who watched her adoringly for a while) Mere Khwaabon Mein Jo Aaye..Aake Mujhe Chhed Jaaye..Mere Khwaabon Mein Jo Aaye..Aake Mujhe Chhed Jaaye..Use Kahon Kabhi Saamne To Aaye (and finally Zeenat enveloped her in a tight hug and Zoya hugged her back just as fiercely as both their eyes filled with tears but for completely different reasons. Suddenly though Zoya's eyes snapped open again as she 0nce again saw the arrogant assholes handsome face before her eyes frustrating her)
Zoya- ALLAH MIYAN!!
xxx
Haveli:
Haseena- Ab wajah chahe kuch bhi ho..Razia ne kaha..aur humme maan liya aur maaf bhi kar diya Rashid miyan. Aapki jo bhi majboori rahee ho hum nahin pooncheinge..kyunki hum doosre ke mamlat mein dilchaspi dene waale log nahin hain (Maya raised her eyebrow at her) issi liye ab aap humme bas ye bata dijiye ke hum rishta leke aapke ghar kab ayen?
Salman- Rishta? Itni Jaldi.
Haseena- (Looking absolutely offended) Jaldi? Kya matlab hai aapka? Aap log rishta nahin karna chahte kya? Ek to waise hi aapki ladki ki umar mashallah hai aur aap-
Maya- Umar to aapke bete ki bhi kam nahin hai Haseena behen
Haseena- Par kamaz kam 100 kamiyon ka maara to nahin haina mera beta? (The khan family was simply ready to toss them out but Ghaffur and Razia gave them the eyes to make them stay shut) Mera bacha America se par kar aaya hai. U.S ke bare se bare hospital mein kaam karke aaya hai. Mashallah mumbai ke sabse bare hospital mein usse naukri milli thi woh to bas uski apni zid hai ke woh yahan Kasauli mein rehna chahta hai aur yahan ke ghisse phisse hospital mein kaam karna chahtai hai aur yahan ke logon ki madad karna chahti hai. Mashallah lakhon mein ek hai mera beta rishton ki kami nahin hai humme. Woh to faisal ke kehne pe hum yahan aa gaye ladki dekhne. Faisal miyan ki to biwi hai iss liye uske aur uske khandaan walon ke gun gaate rehte hain who par na Amma aur nahin Abba kuch zyaada dilchaspi rakhte hain usmein aur uske khandaan mein. Shaadi ke agle hafte hi miyan ko leke Mumbai chali gayee sab khandaan ko chorkar. Aur mashallah tabse dono miyan biwi office mein hi ghusse rehte hain. Na ghar ka hosh hai na zimedaari ka. Khud ke bete ko bhabi ne paala aur faisal ke bete ko humne aur uski daadi ne..
Maya- Phir to mashallah bara karam hoga uss bache par.
Haseena- Yeh to Faisal aur Sapna ki ghair zimedaari hai ke aap log hamare aur hum aapke ghar mein zyaada aate jaate nahin hain (laughed) issi liye to na aaj tak aap log faisal ke bete ko aur na hi hum log sapna ke bete ko mil paye hain..
Salma- Par woh dono ek doosre ko mil chuke hain aur achi tarah se jaante hain
Haseena- To agar aapko mujhpar..Razia par..Sapna par yakeen nahin hai..to apne bhanje se hi pooch lijiye na..ke kaisa lakhon mein ek rishta aaya hai aapki beti ka..hum to khuda ke kaamon ke aage bol hi nahin rahe..warna sach to yeh hai..ke aapke khandaan ki izzat ke peeche hi hum yeh rishta karna chah rahe hain..warna kami to uss mein hai hi..aapki ladki to pari hui bhi nahin hai.
Maya- Dekhiye hamari ladki ki ek mehroomi dekh kar aap uske baare mein raye mat banayee..woh ek bauhat hi achi suljhi hui aur shareef ladki hai..heera hai hamari Anaya..aur sirf secular education hi sab kuch nahin hoti hai. Nahin zyaada par likh kar ya kam par likh kar koi insaan acha ya bura hota hai. Yeh to uski tameez aur tehzeeb pe depend karta hai aur hamari Anaya se achi ladki aapko kahin nahin milegi..
Haseena- Kya woh bhi aap jitna hi bolti hai? (Razia snickered as Maya rolled her eyes and Salma gave Razia a hateful glare)
Maya- Ji aapse to thora sa kum-
Razia- (cut in) Arre Haseena hum bhi kin fazool baaton mein par rahe hain dekho yeh sab baatein jaise ladki ka zyaada bolna chalna uske khandaan ki wajah se hota hai aur tumne khud kaha na ke tumhe to hamara khandaan bauhat hi pasand aaya..to bas? Phir baat kya hai..tum log inshallah iss sunday ko risha le ao na? Aur hamare hone waale damaad ko iss baar zaroor leke aana humse milne? Baat pakki karte hi hum sigai ki tareekh nikal leinge
Haseena- Arre..Razia tum to itni jaldi dekha rahee ho kamaz kam ladki ke apne maan baap se hi pooch lo ke unki kya marzi hai? Rashid miyan ki to dilchaspi hi nahin lag rahee hai iss rishte mein. Lagta hai yahan se zyaada kahin aur dil laga baitha hai inka (The whole khandaan who was busy glaring at razia now turned towards Rashid who seemed lost somewhere else. In his own thoughts, regret and repent over having to go another day and losing another chance of meeting his wife and kids and seeing him like that made Shireen insecure, upset and angry)
Shireen- Nahin Haseena bi aisi koi baat nahin hai woh bas unki tabiyat kuch theek nahin hai..haina Rashid (and upon finding him unresponsive again she tapped his shoulder and he finally looked up a little startled and surprised)
Rashid- Kya keh rahe the aap log? (Haseena and her family shared a knowing look)
Razia- Woh log weekend ko .Anaya ka rishta laane waale hain agar aapki manzoori ho to.h (Rashid turned towards his family members and then to Shireen who looked away and smiled at Haseena)
Shireen- aap log sunday ko aa jaye hum tayaar raheinge.
xxx
Continued in next post...
xo - DailyDaisy!
124