Originally posted by: SurbhikiPankhi
Aksar khwab haqeeqat se zyaada khoobsurat hote hain, aur khwab toh aksar pure nahi hote.
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 26th Nov '25/ DT Note pg 149.
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 27th Nov 2025
VIDYA IN CHAIR🪑 26.11
SAASS & BAHUS 27.11
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Nov. 26, 2025 Episode Discussion Thread
Ekta Kapoor, tujhe kya ho gaya?
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Nov 27, 2025 Episode Discussion Thread
Dharmendra Celebration Of Life Prayer Meet
Ranveer to keep a low profile before Dhurandhar release
Anupamaa's new home in Mumbai !!!!
Hrithik Roshan is over & out?
ManVik OS - by the poolside ;)
Deepika’s flop brand 82°E reports loss of 12.26 crores
Tere Ishks 2-week condition shrinks Dhurandhar’s show count ?
Vrinda Angad Marriage
21 years of Hulchul
Originally posted by: SurbhikiPankhi
Aksar khwab haqeeqat se zyaada khoobsurat hote hain, aur khwab toh aksar pure nahi hote.
Originally posted by: farz_parachute
Lekin...kehte hai na...Ke.Na umeedi gunaah hoti hai. Haseen khwab ho ya adhoori khwab. Jo bhi ho. Let's not lose hope.:')
Originally posted by: SurbhikiPankhi
You guys are on a roll today! AND I LOVE IT. 😆<3333
So many possibilities! So many scenarios and so much hope! Sigh.Maybe there is something poetic in that too.Houses signify so many things no?Beautiful piece Noe! :')And the possibilities will remain possibilities.Ps: Really hoping you write an OS!
Originally posted by: farz_parachute
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala tha...shayad.Shayad.❤️
Originally posted by: farz_parachute
Masha Allah Masha Allah!
Wah wah! Wah wah! I need some time to ponder. So beautiful. And...more.
Originally posted by: Nikita_Smith
Dayin aur pe seedhiya lagnewali thi,
Seedhiyon pe chadhte hue, us sundar se jhumar ka nazara
kya lagta!
Woh seedhiyan pahonchati thi khwabgaah ko,
jaise dharti se jannat ko,
Khwabgaah ki ek aur zaronkha tha,
Neeche bageeche pe jo khulta tha,
Haan...zaroor bageecha lagnewala tha.
Us zaronkhe se sard raton main narm chandani aani thi,
Aur har naye din ke saath suraj ki madham kirane bhi,
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,
Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala
tha...shayad.
Abhi to bahot cheezein bata rahi thi ye blueprint,
Kisi ne bahot pyaar se banayi thi ye blueprint,
Kai haseen sapne the,
Us ghar main basnewali yaadon ki umeedein thi.
Kya hua ki khwabgaah khwabon ke intezaar main reh
gaya?
Aur woh zaronkha chandni ke?
Kya hua ki bageecha lagne se pehle murza gaya?
Bechara Blueprint in sawalon ka jawab nahi de paata,
Woh to sirf batane ki koshih karta hain ki,
Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti.
Raddi ki dukan pe mila tha ek blueprint.
Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti ❤️
Spellbound 👏
Originally posted by: SurbhikiPankhi
Hope breeds eternal misery and misery loves nothing but company.But I'll take your word for it. 😳
Thank you.Possibilities will remain possibilities.We are not new to it though.OS? Areee...I am thinking of an entire FF. Time crunch hain. Chalo...OS to banti hain.