Blueprint - Little Something for Shaad and Jannat

Noe123 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 6
Posted: 10 years ago
#1
Paper peela pad gaya tha,
Siyahi kai jagah pe fail gayi thi,
Maine silvatein khol ke table pe failani ki koshih ki to thoda phat bhi gaya,
Raddi ki dukan pe mila tha ek blueprint.

Aangan bahot bada tha,
Shayad do-teen moterain park honewali thi,
Ya phir bada sa bageecha lagnewala tha.
Woh kya hain? Fawwara hai shayad,
Tab to zarroor bageecha hi lagnewala tha.

Darwaza khulta tha ek bade se kamre main,
Wahan shayad mehman bithaye jaane the,
Sundar sa jhumar lagna tha us chhat pe,
Shayad mehfilein sajnewali thi.

Aur ye kya tha?
Itna bada bawarchikhana?
Koi zaroor khane-khilane ka shauk rakhnewala yahan rehna tha.

Dayin aur pe seedhiya lagnewali thi,
Seedhiyon pe chadhte hue, us sundar se jhumar ka nazara kya lagta!
Woh seedhiyan pahonchati thi khwabgaah ko,
jaise dharti se jannat ko,

Khwabgaah ki ek aur zaronkha tha,
Neeche bageeche pe jo khulta tha,
Haan...zaroor bageecha lagnewala tha.
Us zaronkhe se sard raton main narm chandani aani thi,
Aur har naye din ke saath suraj ki madham kirane bhi,
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,
Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala tha...shayad.

Abhi to bahot cheezein bata rahi thi ye blueprint,
Kisi ne bahot pyaar se banayi thi ye blueprint,
Kai haseen sapne the,
Us ghar main basnewali yaadon ki umeedein thi.

Kya hua ki khwabgaah khwabon ke intezaar main reh gaya?
Aur woh zaronkha chandni ke?
Kya hua ki bageecha lagne se pehle murza gaya?
Bechara Blueprint in sawalon ka jawab nahi de paata,
Woh to sirf batane ki koshih karta hain ki,
Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti.

Raddi ki dukan pe mila tha ek blueprint.

- Noe


[Khwabgaah - Bedroom
Silvatein - Creases
Raddi - Waste/Scrap paper
Zaronkha -- Balcony]
Edited by Noe123 - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

25

Views

2.9k

Users

11

Likes

105

Frequent Posters

SurbhikiPankhi thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#2
You guys are on a roll today! AND I LOVE IT. 😆<3333
So many possibilities! So many scenarios and so much hope! Sigh.
Maybe there is something poetic in that too.
Houses signify so many things no?
Beautiful piece Noe! :')
And the possibilities will remain possibilities.
Ps: Really hoping you write an OS!
Edited by SurbhikiPankhi - 10 years ago
farz_parachute thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#3
Masha Allah Masha Allah!








Wah wah! Wah wah! I need some time to ponder. So beautiful. And...more.
muskaan17rocks thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#4
So thoughtful and so beautiful
loved it😊
farz_parachute thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#5
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,
Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala tha...shayad.





Shayad.



❤️
farz_parachute thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#6
Gardens and springs.



Oh this is just :)
beguiling thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#7

Dayin aur pe seedhiya lagnewali thi,
Seedhiyon pe chadhte hue, us sundar se jhumar ka nazara
kya lagta!
Woh seedhiyan pahonchati thi khwabgaah ko,
jaise dharti se jannat ko,

Khwabgaah ki ek aur zaronkha tha,
Neeche bageeche pe jo khulta tha,
Haan...zaroor bageecha lagnewala tha.
Us zaronkhe se sard raton main narm chandani aani thi,
Aur har naye din ke saath suraj ki madham kirane bhi,
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,
Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala
tha...shayad.

Abhi to bahot cheezein bata rahi thi ye blueprint,
Kisi ne bahot pyaar se banayi thi ye blueprint,
Kai haseen sapne the,
Us ghar main basnewali yaadon ki umeedein thi.

Kya hua ki khwabgaah khwabon ke intezaar main reh
gaya?
Aur woh zaronkha chandni ke?
Kya hua ki bageecha lagne se pehle murza gaya?
Bechara Blueprint in sawalon ka jawab nahi de paata,
Woh to sirf batane ki koshih karta hain ki,
Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti.

Raddi ki dukan pe mila tha ek blueprint.




Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti ❤️


Spellbound 👏

SurbhikiPankhi thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#8

Originally posted by: Nikita_Smith


Dayin aur pe seedhiya lagnewali thi,
Seedhiyon pe chadhte hue, us sundar se jhumar ka nazara
kya lagta!
Woh seedhiyan pahonchati thi khwabgaah ko,
jaise dharti se jannat ko,

Khwabgaah ki ek aur zaronkha tha,
Neeche bageeche pe jo khulta tha,
Haan...zaroor bageecha lagnewala tha.
Us zaronkhe se sard raton main narm chandani aani thi,
Aur har naye din ke saath suraj ki madham kirane bhi,
Shayad koi wahan baith ke taare ginanewala tha,
Aur koi aisi bachakani harqat pe hansnewala
tha...shayad.

Abhi to bahot cheezein bata rahi thi ye blueprint,
Kisi ne bahot pyaar se banayi thi ye blueprint,
Kai haseen sapne the,
Us ghar main basnewali yaadon ki umeedein thi.

Kya hua ki khwabgaah khwabon ke intezaar main reh
gaya?
Aur woh zaronkha chandni ke?
Kya hua ki bageecha lagne se pehle murza gaya?
Bechara Blueprint in sawalon ka jawab nahi de paata,
Woh to sirf batane ki koshih karta hain ki,
Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti.

Raddi ki dukan pe mila tha ek blueprint.




Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti ❤️


Spellbound 👏

Aksar khwab haqeeqat se zyaada khoobsurat hote hain, aur khwab toh aksar pure nahi hote.

farz_parachute thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#9
Spellbinding indeed.






Agar khwab itna haseen tha to haqiqat kya hoti





:')




Khwabgaah. Oh how I long!

beguiling thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#10

Originally posted by: SurbhikiPankhi


Aksar khwab haqeeqat se zyaada khoobsurat hote hain, aur khwab toh aksar pure nahi hote.



So true my friend! So true! 🥺

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".