Roop mein, gun mein, gyaan mein, shayad har bhartiya purush par bhaari.
Par, bali chadhti aayi hoon main.
Kabhi seeta ban ke, mujhe apni pavitrata ke dene pade the saboot...
To kabhi Jodha ban ke chadhi hoon sultanato ke liye bali...
Kabhi ahilya ban kar banna pada barso mujhe patthar...
To kabhi gandhari ban karni padi aankhein apni band...
Kabhi mandodari ban rehna pada mujhe maun...
To kabhi drauapadi ban sehna pada dushasan ka apmaan...
Hazaaron saalo pehle bhi main naari nahi vastu thi...
Aaj bhi, main aurat nahi cheez hoon...
Tab bhi dharamadhikari Yudhisthir ne lagadiya tha mujhe daav par...
Aur aaj bhi Asad ne apne Bhai ko de diya hain mujhe tohfe mein...
Main padh likh gai hoon, chaand chho chuki hoon, pehrave mein bhi farak aagaya hai...
Fir bhi afsos hai ki Hazaaron saalo pehle bhi main naari nahi vastu thi...
Aaj bhi, main aurat nahi cheez hoon...
20