
Hello YHCians !!!
Sasrikaal !!! Vanakam !!!
Let's Share Today's Dialogue of the Day
Page
of
1
Hello YHCians !!!
Sasrikaal !!! Vanakam !!!
Let's Share Today's Dialogue of the Day
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 26th Oct 2025 - WKV
PICHLE JANM KA PUNYA 26.10
Actor Satish Shah Passes Away
PHATHAKHEE 27.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 26, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27 Oct 2025 EDT
Clip of Deepika justifying infidelity and cheating is going viral
Pakistan Puts Salman Khan On Watch List
5000 Episodes..
Alia's agenda behind friendship with Katrina
The Girlfriend - Rashmika - trailer out now.
Male r*pe yuckkkk ??????
Kyunki forums beats yrkkh forum
Finally watching the Bill Gates epi. Live updates: pics attached
Why does Govinda not take on Dad/older brother roles?
24 years of Asoka
Rudraksh to Rahul -
Kyu kiya tune aisa?
Kyu kiya tune aisa?
Kyu kiya tune aisa?
Teri himmat kaise hui
kisliye kiya tune ye
mujhse badi company banane ke liye
mujhse jyada naam, paisa banane ke liye
Toh dekh isse
Ye teri wife Neeraja jab comma mein thi na tab kaam aaya woh sab?
woh naam, woh paisa bachaya kya isse
khushi mili tujhe
jeene ke liye kuch bacha tha tere paas
Rahul - Nahi
Rudra -
Ab ehsaas hua ke naam, paisa kuch matter nahi karta
jab tumhara pyaar tumhare saath na ho
jo tune mere saath kiya na uski saza mili tujhe
aur Neeraja tujhse dur ho gayi
Lekin tune mujhe itni badi saza kyu di
meri Preesha ko mujhse cheen liya
Meri life, Meri family
Meri duniya, meri khushiyaan
Sab cheen liya tune😭💔
Rudra to goons -
Patni hai meri❤️
*Preesha's outburst:
1)Rudra - Tumhein pata hai Rahul ne sab sach bata diya. Ab toh
Preesha - Ab kya?
Tumhein mujhpar vishwas ho gaya
Thank you
Finally Rahul ne apni galti maan li
usne tumhein woh saccha video dikha diya
tumhein itne saare saboot mil gaye
aur tumhein mujhpar vishwas ho gaya
Finally
Thank you
Abhi tak tumne mujhe hurt kiya hai
Lekin tumhari iss harkat ne mujhe chot pahuchayi hai
Khud ki nazron mein gir gayi hoon main
Aisa lag raha hai ki kyu saha tumhare liye itna
Kyu itne ilzaam lagne diye khud par
woh bhi aise ek insaan ke liye jisko mujhpar zara sa bhi vishwas nahi hai
khud ko itna chota kyu kar diya
sharam aa rahi hai mujhe khud par
Please mujhe akela chod do
Please jaane do
2)Sorry
Bass!
Ho gaya
khatam kar doon sab
bhool jaoon jo tumne mere saath kiya
bhool jaoon kyu ki tumne mujhe unn goondon se bachaya
zyada farak nahi hai tum mein aur unn goondon mein
kam zaleel nahi kiya hai tumne mujhe
Yaad hai na mujhe kya kya bola
ek baar nahi baar baar
badchalan
ek mard se mann nahi bharta mera
Yuvraj aur Rahul dono mere yaar
aur kitna kuch
Toh phir ab ye patni patni bolkar naatak kyu kar rahe ho
kabhi patni maana mujhe
kabhi patni ki tarah vishwas kiya mujhpar
nahi kiya
maine tumhein kitna bola
main wahi cheez bol rahi thi na jo Rahul bol raha tha
gidgidati rahi, haath jodti rahi, roti rahi ki main jhooth nahi bol rahi hoon
woh video jhootha hai
Rahul jhootha hai
tumne vishwas kiya mujhpar?
3)Puri duniya se ladh gayi tumhare liye
Tumhara parivar mera parivar sab kuch chod diya
taaki main tumhare saath khadi rahoon
aur badle mein mujhe kya mila
Gaaliyan
jhoothe, galat ilzaam
kiss haq se tum khud ka mera pati bolte ho
kitna bura bhala bola tumne mujhe
4)Kabhi maine tumpar ilzaam lagaya
Kitni baar tumhein uss Keerthi ke room mein dekha, usse hug karte hue, usse tumhari shirt pehne hue, uske samne mujhe zallel karte hue
Kabhi maine kaha ki tumhara ek aurat se mann nahi bharta
Tum badchalan ho ya woh Keerthi tumhari yaar hai
Nahi
Kyu ki main tum nahi hoon
5)Rishta jooda uss se pehle bharosa joda
nibhaya bhi
poori duniya tumpar Keerthi ke murder ka ilzaam laga rahi thi
lekin maine vishwas nahi choda
Saare saboot khilaaf the tumhare lekin maine vishwas nahi choda
Tum khilaaf the mere lekin maine vishwas nahi choda
Tum batao
maine tumse kabhi poocha
kabhi poocha ki tumne Keerthi ko maara
ya tum uske saath chat par gaye?
Gaye toh kyu gaye
kabhi poocha maine
Nahi
6) Kyun ki maine tumhein apna maana
apna hissa maana
mera parivaar maana
Agar main apne parivaar ka saath nahi deti toh kaun deta?
Agar main apne parivaar par vishwas nahi karungi toh kaun karega
7)Lekin tumne mujhpar vishwas kiya?
Mera saath diya?
nahi diya
Chod diya mujhe
itna torture kiya
phir ab sorry kyu bol rahe ho
ab mujhe apni patni kyu bol rahe ho
kyu aaye yaha
kyu bachaya mujhe
kyu bol rahe ho ki main tumhari baat manoon
kyu manoon tumhein sahi
Bolo Rudraksh
Kyu kar rahe ho ye sab?
Originally posted by: Bacillusbadius
*Preesha's outburst:
1)Rudra - Tumhein pata hai Rahul ne sab sach bata diya. Ab toh
Preesha - Ab kya?
Tumhein mujhpar vishwas ho gaya
Thank you
Finally Rahul ne apni galti maan li
usne tumhein woh saccha video dikha diya
tumhein itne saare saboot mil gaye
aur tumhein mujhpar vishwas ho gaya
Finally
Thank you
Abhi tak tumne mujhe hurt kiya hai
Lekin tumhari iss harkat ne mujhe chot pahuchayi hai
Khud ki nazron mein gir gayi hoon main
Aisa lag raha hai ki kyu saha tumhare liye itna
Kyu itne ilzaam lagne diye khud par
woh bhi aise ek insaan ke liye jisko mujhpar zara sa bhi vishwas nahi hai
khud ko itna chota kyu kar diya
sharam aa rahi hai mujhe khud par
Please mujhe akela chod do
Please jaane do
2)Sorry
Bass!
Ho gaya
khatam kar doon sab
bhool jaoon jo tumne mere saath kiya
bhool jaoon kyu ki tumne mujhe unn goondon se bachaya
zyada farak nahi hai tum mein aur unn goondon mein
kam zaleel nahi kiya hai tumne mujhe
Yaad hai na mujhe kya kya bola
ek baar nahi baar baar
badchalan
ek mard se mann nahi bharta mera
Yuvraj aur Rahul dono mere yaar
aur kitna kuch
Toh phir ab ye patni patni bolkar naatak kyu kar rahe ho
kabhi patni maana mujhe
kabhi patni ki tarah vishwas kiya mujhpar
nahi kiya
maine tumhein kitna bola
main wahi cheez bol rahi thi na jo Rahul bol raha tha
gidgidati rahi, haath jodti rahi, roti rahi ki main jhooth nahi bol rahi hoon
woh video jhootha hai
Rahul jhootha hai
tumne vishwas kiya mujhpar?
3)Puri duniya se ladh gayi tumhare liye
Tumhara parivar mera parivar sab kuch chod diya
taaki main tumhare saath khadi rahoon
aur badle mein mujhe kya mila
Gaaliyan
jhoothe, galat ilzaam
kiss haq se tum khud ka mera pati bolte ho
kitna bura bhala bola tumne mujhe
4)Kabhi maine tumpar ilzaam lagaya
Kitni baar tumhein uss Keerthi ke room mein dekha, usse hug karte hue, usse tumhari shirt pehne hue, uske samne mujhe zallel karte hue
Kabhi maine kaha ki tumhara ek aurat se mann nahi bharta
Tum badchalan ho ya woh Keerthi tumhari yaar hai
Nahi
Kyu ki main tum nahi hoon
5)Rishta jooda uss se pehle bharosa joda
nibhaya bhi
poori duniya tumpar Keerthi ke murder ka ilzaam laga rahi thi
lekin maine vishwas nahi choda
Saare saboot khilaaf the tumhare lekin maine vishwas nahi choda
Tum khilaaf the mere lekin maine vishwas nahi choda
Tum batao
maine tumse kabhi poocha
kabhi poocha ki tumne Keerthi ko maara
ya tum uske saath chat par gaye?
Gaye toh kyu gaye
kabhi poocha maine
Nahi
6) Kyun ki maine tumhein apna maana
apna hissa maana
mera parivaar maana
Agar main apne parivaar ka saath nahi deti toh kaun deta?
Agar main apne parivaar par vishwas nahi karungi toh kaun karega
7)Lekin tumne mujhpar vishwas kiya?
Mera saath diya?
nahi diya
Chod diya mujhe
itna torture kiya
phir ab sorry kyu bol rahe ho
ab mujhe apni patni kyu bol rahe ho
kyu aaye yaha
kyu bachaya mujhe
kyu bol rahe ho ki main tumhari baat manoon
kyu manoon tumhein sahi
Bolo Rudraksh
Kyu kar rahe ho ye sab?
Thanchuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu
will churafy this
Rudra -
Nahi Preesha
Preesha, itne waqt se toh akela hi choda tha na tumhein
ab ye galti dubara nahi karunga
*Rudraksh's apology:
I know maine tumhein bahut hurt kiya hai Preesha
bahut hurt kiya hai
Uske liye I am really sorry!
*Rudra's love confession:
Kyun ki I love you Preesha
I love you
I love you
Main bahut pyaar karta hoon tumse
I love you Preesha
Rudra -
isi liye kar raha hoon ye sab
aur ab tak jo bhi kiya isi liye kiya kyun ki main tumse bahut pyaar karta hoon
pagal hoon main tumhare liye
Deewana ho chuka hoon
aur kuch nahi chahiye mujhe
sirf tum
tum ho toh main hoon
tum ho toh zindagi hai
aur aaj se nahi bahut pehle se
bass ab tak bol nahi paaya tha main tumhein
nahi bardaasht hota mujhse ki tumhare koyi kareeb aaye
Na woh Rahul, Na woh Yuvraj
nahi bardaasht hota mujhse tumhein koi haath lagaye, haath lagana toh dur
agar koi tumhein dekhta bhi hai na toh aag lag jaati hai mere andar
kyun ki tum sirf meri ho Preesha
sirf meri
kisi aur ko haq nahi hai tumhein choone ka
Ye mera gussa, ye meri nafrat ye mera pyaar hai Preesha
mera pyaar hai
Aur apne dil ki yahi feelings main kab se batane ki koshish kar raha tha tumhein, lekin himmat hi nahi ho rahi thi
kabhi Saaransh beech mein aa jaata tha
kabhi koi bula leta tha
aur kabhi main khud nahi bol paaya tum se
Woh ghar pe party wali raat maine drink kar liya tha
Bunty ne mujhe woh drink isi liye pilaya tha taaki main tumhein apni dil ki feelings bata sakoon
par maine nahi batayi aur nashe ki haalath mein maine tumhein papa ki saari history bata di
aur woh award function wali raat
tab maine decide kiya tha ki award milne ke baad main sab kuch bata dunga lekin phir uss function mein woh video leak ho gaya aur sab kuch kharab ho gaya
aur woh din yaad hai tumhein
jab tum mujhe Rahul ke ghar le jaane wali thi
uss din ghar ke bahar aate hi main tumhein sab kuch batane wala tha, apni saari feelings batane wala tha
lekin phir Saaransh aa gaya
aur usne bola ki
apni first date yahi manaoge kya
yaad hai na tumhein?