Hey this is Preet and once again i'm back with a new OS (sorry for not updating my FF and SS, but i'm too lazy to update them, but will do it soon)
In this OS Sanskar has been accused of misbehaving with Ragini and trying to kill her, plus everyone badmouths about Swara calling her najayaiz and all.
Sanskar can't tolerate a single word against Swara and one night he comes home after drinking a lot.
The Maheshwaris are sleeping, while Swara is waiting for him, worried for Sanskar.
Sanskar comes home, after drinking.
He walked slowly with a bottle in his right hand, on his way to his tent, staggering and stumbling. Miraculously, he reached the doorknob and opened the door (of the tent lol), not without risking of falling multiple times.
Swara was sitting on the right side of the bed waiting for him impatiently. Her eyes look worried.
She was tensed, she was only concerned about Sanskar in that moment.
'Kaha hoga Sanskar?' 'Theek hoga?'
Sanskar entered stumbling and hitting the bed; he fell on it and Swara rushed to hold him.
She lend him her shoulder putting her arm around his neck for support, and using her arm to hug him around the torso so he does not fall the other way.
'Sanskar, tum theek ho na?'
She was shocked seeing him in that state.
'Sw.. Swa.. Swara. Of course,mujhe kya hua? Dekh nahi rahi? I'm absolutely fine, fine,haan. Tum?'
'Sanskar tum theek nahi ho. Kya halaat bna li tumne aapni?' said looking at him with teary eyes.
'Sw.. Swara mein ku..kuch kehna chahta hoon'
'Sanskar, abhi nahi. Kal, abhi tum iss halaat mein nahi ho'
'Shh Swara' putting his finger on her lips. 'Aaj mein bolunga aur tum sunogi. Swara i'm sorry,i'm really sorry. Sab kuch meri wajah se ho raha hai. Na mein tumhari zindagi mein aata aur na tumhare saath eesa hota. Acha hota agar uss din Kavita ke saath mein bhi iss duniya se chala jata.
Meri galtiyon ki sazaa tumhe mil rahi hai, jab ki tumne kuch kiya hi nahi. Tum innocent ho Swara, sab kuch mene kiya, lekin koi iss baat ko nahi mann raha hai. Sab ko Ragini par bharosa hai, aur issme bhi meri galti hai.
Mein hi Ragini ko iss rah par le kar aaye aa tha, meri aankhon par badle ki patti bandhi huyi thi, mujhe Kavita ke ilaawa koi nazaar nahi aa raha tha. Mein Lucky aur Bade Papa ko barbaad karna chahta tha, mere dil mein unke khilaaf bohut nafrat bhar chuki thi. Mene yeh kabhi jan ne ki koshish nahi ki, ki uss din mandir mein jab meri aur Kavita ki shaadi hone wali thi, kya hua. Bas mein itna jaanta tha ki mene shaadi ke baare mein ghar mein sirf Lucky ko btaye aa tha.
Meri zindagi ka sabse khushi ka din hone wala tha, mein jiss ladki se pyaar karta tha usse meri shaadi hone wali thi, mein mandir mein pandit ji ko tayarion ke baare mein puchne geya tha aur jab wapis aaye to...' tears start flowing from his eyes. 'Kav.. Kavita mujhe chodke ja chuki thi; ek hi pal mein meri zindagi khatam hogayi, mere sare sapne, khushiyan, sab toot gaye. Jeene ka koi maqsaad hi nahi tha, jisse pyaar karta tha wo humesha humesha ke liye mujhe chod kar ja chuki thi.
Uss waqt mujhe kuch aur nazaar nahi aaye aa, mein city chod kar chala geya, aur kabhi apne maa baap ke saamne nahi aaye aa. Itne saalo mein bas yahin soch raha tha ki kese Lucky aur Bade papa ki zindagi barbaad kar saku, jinn logo ki wajah se Kavita ki zindagi chali gayi unhe mein chen se nahi jeene de sakta tha. Bas nafrat bhar gayi thi mere mann mein.
Mera ek hi maksat tha: Laksh ko aur Bade papa ko mein chen se nahi jeene de sakta tha.
Isiliye mene pagal hone ka natak kiya aur ghar wapis aa geya. Ragini se pta chala ki uski aur Laksh ki engagement hone wali hai, par ussi din mene Laksh ko aur tumhe bahar dekha aur mujhe samajh aa geya ki wo tumse pyaar karta hai.
Mene aur Ragini ne haath milaye aur tum dono ko alag karne ki koshish ki. Tumhe drugs diye, Ragini roz tumhare khane me milati thi. Sab kuch plan kiya hua tha.
Lekin yeh khel zyada aage chala geya, Ragini ka ek hi maksad hoge aa tha, wo bas Laksh ko pana chahti thi, aur kisi bhi had tak ja sakti thi wo.
Jiss din dayan ko mom ne aur Ragini ne paise diye, uss din mujhe lga ki zyada ho raha hai. Tumhara jaan ko khatra tha.
Aur raat ko jab wo tumhe maarne aayi thi, mene chup ke se uska peecha kiya.
Uss din tum se baat kar ke yeh ehsaas hua ki mein kitni badi galti karne ja raha tha; bina sach jaane huye mene jo dekha ussi ko sach man liya, meri pehli galti yeh thi; meri doosri galti ki mene kabhi sach ko jann ne ki koshish nahi ki, ki Kavita ko kissne mara; meri teesri galti ki mene Laksh ko dukh dene ke liye tumhe target kiya yeh jaante huye ki pehle pyaar ko kho dena kitna dard deta hai...
Uss din ehsaas hua ki tum sahi thi aur mein galat. Yaad hai mene kya kaha tha tumhe phone par shaadi ke din? Ki Lucky sach mein bohut lucky hai jo usse tumhare jesi wife mil rahi hai.
Mene Ragini ko samjhane ki koshish ki, ki tum dono ko alag na kare, iss sach ko maanle ki tum dono ek dussre ko pyaar karte ho, par wo nahi samjhi.
Aur mein jaanta hoon, issme meri galti hai: na mein usse apne plan mein shamil karta aur na aaj yeh din dekhne padhte. Swara.. kyun? Kyun tumne mujhe maaf kardi aa? Mein tumhari maafi ke layak nahi, meri wajah se..'
'Sanskar iss baaton ka koi faida nahi, mein aage ja chuki hoon zindagi mein..Aur jahan tak maafi ki baat hai,mujhe lagta hai ki sab ko zindagi mein doosra mauka milna chahiye. Aur tum ne yeh sab kuch isiliye kiya kyun ki tumhe lagta tha ki Kavita ki death ki wajah Laksh aur bade papa hai'
'Swara.. mein ek aur baat kehna chahta hoon... Inn dino mein mujhe.. Ragini ne muj par badtameezi ka ilzaam lagaye aa, koi nahi tha jo meri baat ka vishwas kar sake, sirf tumne saath diyan mera.. Swara mein nahi janta ki kyun huya eesa, mene kabhi nahi socha tha ki zindagi mujhe dobara ek mauka degi, but Swara mein tumse..'
Swara was shocked, 'tum kya?'
'Mein tumse pyaar karne laga hoon Swara, haan i love you'
'Sanskar tum abhi hosh mein nahi ho.. Tum nahi jaante ki tum kya keh rahe ho.. Saun jayo, tumhe rest ki zaroorat hai chalo'
'Nahi Swara aaj nahi, aaj mein sabko btaunga' and stumbling he went outside. Swara followed him trying to stop him.
'I LOVE YOU SWARA; HAAN MEIN TUMSE PYAAR KARTA HOON' he shouted outside waking up the other family members.
'Sanskar..' said Swara trying to hold him.
Laksh, Ragini and everyone else came outside and looked at both of them.
'Yeh kya neya drama hai Sanskar? Tang aa gaye hai hum iss roz roz ke drame se.. Pehle Ragini ke saath..' said Laksh coming forward.
'Lucky! Kuch nahi kiya mene tumhari biwi ke saath. Yeh jhoot bul rahi hai..'
'Acha, wo jhoot bol rahi, sach to sirf tum dono hi bolte ho na?'
'Lucky mein..'
'Mat kaho Lucky mujhe! Jiss din tumhari sachai sab ke saamne aa gayi thi ussi hi din tum mujhe Lucky kene ka haq kho chuke the'
'Eesi galti mat karo Laksh. Tum bhi wahin galti kar rahe ho jo mene kii thi 5 saal pehle. Mene bhi jo dekha uss par yakeen kar ke, bohut badi galti kardi. 5 saal Laksh, 5 saal dur raha apne pariwaar se, apni maa se, behen, bhai.Sab se. Jaante ho 5 saal kitne hote hai? Tumhe lagta hai ki Swara ke uss din tumse shaadi nahi kii,kyun ki wo nahi chahti thi, lekin tum yeh nahi jaante ki uss din kya hua. Kabhi jan ne ki koshish kii, ki kyun Swara uss din shaadi mein nahi pahunch payi? Kya majboori thi uski? Pucha tumne usse ki uske head par chot kese lagi thi? Nahi na?
Aur Ragini ne mujh par ek jhoota ilzaam laga diya. Tumhe uss par bharosa hai lekin apne bhai par nahi?
Itna badal geya hai tu? Kyun samajh nahi pa raha ki kya sahi hai aur kya galat?
Meri chod, Swara par bharosa nahi hai tujhe? Laksh pyaar kabhi kamyab nahi hota jab tak bharosa nahi hota. Ek video se toot geya tumhara bharosa? Ek nakli video se? Laksh tumhara pyaar itna kamzoor tha? Laksh kyun? Ek baar baat kar lete Swara se, puch lete ki kya hua shaadi wale din, lekin tumne to yeh sab zaroori hi nahi samjha.
Itni nafrat kyun hai mere aur Swara ke khilaaf? Aankhen kholo Laksh, isse pehle ki der ho jaye'
'Bas bohut sunn liya mene, mujhe tumhari kisi bhi baat par bharosa nahi hai; jhoote ho tum dono. Mujhe Ragini par pura bharosa hai, samjhe? Tum jese dhokebaaz mene zindagi mein nahi dekhe, jo tumne Ragini ke saath kiya uski sazaa milegi tumhe, zaroor milegi. Chalo Ragini' and takes her hand and goes inside.
'Swara, Sanskar ko andar le jayo. Hum koi tamasha nahi chahte yahan par' said DPM.
It started raining. The wind howled as rain battered the window in the dead of the night; the cracking sound of the thunder was everywhere and from the dark clouds lightning struck here and there, lighting up the sky for a second before vanishing.
Sanskar fall on his knees, shattered.
Swara rushed to him 'Sanskar!'
'Swara toot chuka hoon mein. Kisi ko bhi bharosa nahi hai muj par. Tumhe bhi lagta hai ki mene Ragini ke saath..?'
'Nahi Sanskar mujhe tum par pura bharosa hai, tum kabhi eesa nahi karoge. Sanskar andar chalo, baarish bohut ho rahi hai aur tumne sharab pee huyi hai. Kyun Sanskar? Eesi halat kyun bnayi hai?'
'Sw.. Swara i lo..lov.. love..'
'Sanskar chalo please'
'Tum mera saath dogi Swara?'
She looks in his eyes 'humesha, mein kabhi tootne nahi dungi tumhe'
She lend him her shoulder and put her arm around his neck to support him and took him inside.
'Jaanta hoon Swara, jab tak tum ho, tum kabhi bhi tootne nahi dogi' and rested his head on her shoulder.
Tu Heer meri, tu jism mera
Main Ranjha hoon - libaas tera
Ho yun qareeb tu
Chhu loon main teri rooh
Bin tere main hoon be-nishaan
Samander main,
kinara tu
Jo bikhru main,
sahara tu
Samander main
Kinara tu
Jo bikhru main
Sahara tu
Pehle thi bewajah
Phir aake tu mila
Khwabon ko zinda kar diya
Apne wajood ka hissa bana diya
Qatre ko dariya kar diya
Shirin hai tu, tu meri zubaan
Farhad hoon main, alfaaz tera
Aa yun qareeb tu
Chhu loon main teri rooh
Bin tere main hoon be-nishaan
Samander main,
kinara tu
Jo bikhru main,
sahara tu
Samander main
Kinara tu
Jo bikhru main
Sahara tu
So this is it, i hope you will like it đ