At Manali Head Quarters.
Morning time
Nidhi is making breakfast in the kitchen.Ashutosh came behind and saw Nidhi in saree and she overed herself in approan.
Ashutosh hugged her from back.
Nidhi:Good Morning aap uth gaye?waise muze aapse yeh sawal puchhana hi nahi chahiye.You are 5 am person.
Ashutosh:Are doll,woh sab chhodiye.Aaj fir se subah subah aap kitchen me.Maine kitni baar kahaa hai ki maid aayegi woh kar legi.Aapko hospital jana hai.Subah se sham tak hospital me raheti hai.Emergencies,operations kitna kuch attend karti hai.thak jati hai.
Nidhi:Lekin majar sahab,aapki jo woh do angel betiya hai jinhe maid ka khana pasand nahi uska kya?
Ashutosh:Are haa waise Nishu aur Nia kahaa hai?
Nidhi:Aur kahaa hogi dono?Ek apne guitar,Harmonium,tabla aur kuchh na man kiya toh basuri baja legi.
Tabhi upar se Guitar pe dhun ki aawaz aai.
Nidhi niche se hi chillayi," O tansen,ab fir se shuru mat ho jana.School ke liye der ho rahi hai.Aur apna saaman na jara dhang se rakheke aana.Bechari maid tumhare room me jake gayab na ho jaye in sabme.
Ashutosh:Are are,Kyon daantti ho Nishu ko?kitni pyaari dhun bajati hai woh.Suno toh sahi.
Nidhi:Woh toh sahi hai.Lekin abhi muze uski nahi apne dean ki dhun sunai deti hai.Chaliye aap Nishu aur Nia ko bulake table pe baithiye main breakfast lagati hoo.
Ashutosh:Lekin humari Nia kahaa hai?Meri sabse beautiful aur elegant angel.
Nidhi: Garden me.Apne dosto se baat kar rahi hogi.Ek patte ka naam Ria,dusre patte ka naam piya fir teesreka Guddi.
Ashutosh:Ha use ped,patte aur pattose bahut pyaar hai.
Nidhi:Sirf pyaar hi nahi hai woh unse apne dosto ki tarah bate karti hai.Aur pani bhi is tarah se pilati hai jaise koi jaandaar aur uski sabse pyaar cheej ho woh.
Tabhi badalo ne garajna shuru kiya.
Nidhi:Suniye,aap jara Hiraman kaka se kehkar sare gamle ghar ke andar peeche wale outhouse me rakhawa denge?
Ashutohs:Kyon bhai?
Nidhi:Aapko pata nahi?aapki woh elegant angel sare gamle uthakar room me le aayegi.Keheti hai jyada barish hone se chhote paudhe ukhad jate hai.
Ashutosh:Hey bhagwan Sachi?
Nidhi:Aur nahi toh kya?Itna pyaar toh use kisise nahi hai jitna apne plants se hai.
Ashutosh went to garden where Nia was watering the plants and talking with them.
Nia: pata hai Riya,masi keheti hai har paudhe me jaan hoti hai.Aur uski dekhbhal karni chahiye.Tum sab toh mere dost ho na?tumhe bhuk lagti hai pyaas bhi lagti hai na?
Aur woh us plant ke patte saaf karne me lag gai.
Ashutosh came from back and hugged Nia.
Nia:Are papa aap?sorry maine aapko dekha nahi.Kya hua?
She was talking so maturely with him that he forgots for some while that she is his daughter.
Ashutosh:Nia,tum sirf 7 saal ki ho.Itni badi badi baten tum kaise karti ho?kaun sikhata hai tumhe yeh sab?
Nia:papa,garden ke gardening ke bareme muze Mallika mausi ne bataya tha.
Ashutosh: achha woh sab chhodo.Andar chalo mumma tumhe breakfast ke liye bula rahi hi.Tumhare school ka time ho raha hai na?
Nia:jee papa.Aap andar chaliye.Bus main haath dhoke aapko join karti hoo.
Ashutosh came to dining table.
Ashutosh:Doll,Nia kitni samazdaar hai na?
Nidhi:Kabhi kabhi uski bate muze Mallika di ki yaad dilati hai.Kitni gaheri soch hai uski.Lekin humari dono betiya twins hote hue bilkul alag hai ek dusrese.Nishu ke kamare me jao toh lagta hai jaise uske room me Psunami aa gai hai.Sare musical instruments bikhare pade rahete hai.Lekin padhane me bahut tej hai woh.Aur humari main hai na Leela,use toh Nia ke kamareme hi jate dar lagta hai.Jab Nia ghar par ho toh.Use kachara ya gandaki pasand nahi aati.Woh toh apna kamara khud hi saaf rakhti hai aur maid se bhi karwati hai.Bechari maid
Ashutosh and Nidhi started laughing.
Nidhi:is vacation me bhaiya aur bhabhi aa rahe hai na?Pratham aur Pranesh ke saath?
Ashutosh:Kyon tumhari baat nahi hui bhai aur bhabhi se?
Nidhi:Ha hui toh hai.Lekin aapko jyada pata hota hai jiju ka.Yaad hai na jab hum Bhaiya aur bhabhi ke HM ke baad return hue the Lucknow me toh woh kaise ro pade the tumhe dekhkar?
Ashutosh:Ha toh hum dono bhaiyo ka pyaar hai yeh.
Nidhi:ha woh toh hai.Humare bache Nishu aur Nia toh har raat Di aur jiju se baat karte hai.DB,Baba aur dusre baba bhi hote hai wahaa.Lekin in sabse baat karke bhi in dono ko chain nahi aata.Woh dono baad me akele me Bhai aur di se baate karte hai ghanto tak.Pata nahi kya ghusar pusar chalti hai charo ki
Ashutosh:meri bachiyo ko bolti hoo.Tum toh Pratham aur Pranesh se chhup chhup ke bate karti ho uska kya?
Nidhi pouted ,"aapko kaise pata"?
Ashutosh : [Nidhi ka haath hatho me lekar] Tum jaan ho meri.Tumhari dhadkane bhi tej ho jaye toh muze sunai deta hai.Doll.
Tabhi Nia aur Nishu aa gai dining table pe.Unhone Ashutohs ke muh se doll sun liya.
Nia and Nishu :[chillake] Doll,not bad papa.
And Nia gave hug to Nidhi and Nishu to Ashutosh
Same day in the evening after dinner.
Ashutosh and his two angels in the garden area.
Ashutosh was reading a book and Nishu take that book forcefully from Ashutosh.
Nishu: Too bad pappa.Hum aapse baat kar rahe hai aur aap book padh rahe ho.This time is
Ashutosh and Nia ek saath,"Family time"
Aur Nishu toh nachane lagi.
Nia came to Ashutosh,"Pappa,aapne rules banaye the na?
Pahla ki sham ko sab ek saath dinner karenge.
Raat ko aap humare saath dinner ke baad time spend karenge
Fir aap hume raat ko home work karayenge.
Aur har raat ko sab milke mausi aur mausa ji ko[aur tabhi use kuchh yaad aaaya aur usne apne kaan pakade] sorry chacha aur chachi se aur Pratham aur Pranesh bhai se baat karenge.
Aur sunday ko hum tino Lunch banayenge,Mummy ko aaram denge sunday ko na?
Nishu continued,"Kal sunday hai papa.Jaldi se net par yeh receipee dekhke select kijiye na papa kal kya banayenge?
Ashutosh:usme book kya dekhana?kal hum banayenge HCKMM.Yeh toh tumhari mummy ki aur meri fav dish hai.Aur saath me
Nia and Nishu,"Pine-apple ka achar.Hurrey!
Suddenly Nidhi came from kitchen to garden area.
She saw her angels are dancing and shouting.
Nidhi:Kya hua?
Ashutosh:kuchh nahi woh kal sunday hai to humara turn hai kahna bananeka.Toh wohi decide kar rahe the.
Nia:Mumma,Next week hum ja rahe hai na Lucknow?Diwali hai na?
Nidhi : Ha beta booking to saree ho chuki.Bus thodi shopping kar lete hai.
Ashutosh : Ha Nidhi,sabke liye gifts kharid lena.
Nishu:Mumma aap toh Lucknow ki Rajkumari lagti hai wahaa jane par.Sab log kitna pyaar dete hai na aapko?Dadu,nanu,chachu aur chachi.
Nidhi:Achha sirf Muze?aapko mahi?tabhi toh ghar pahochte hi Mausi ke kamare me shift ho jate ho.Sona bhi mausi ke saath.Yahaa tak apna suitcase bhi toh nahi lekar jate wahaa.Mausi sab lakar rakhti hai isiliye na?
Ashutosh:time out time out.Bus sab log chup ho jao abhi.Kya yaar?main bhi toh hu yahaa aur Nia bhi.Hume toh koi pyaar hi karta.
Nidhi hugged Ashutosh:Ooh! main hu na aapko pyaar karne ke liye.
Nia and Nishu:Hum bhi hai na papa.We love you so much.
A Months later.
In Manali Head Quarter
After packing that Ashni had their morning flight.
Nishu and Nia were sleeping soundly.
Ashutohs and Nidhi were in Balcony.Ashutosh holding Nidhi in his muscular arms.He kissed her forehead first and then her pretty eyes.
Nidhi:Aaj humpe bada pyaar aa raha hai.
Ashutoh:Doll,aapse pyaar toh waise bhi main bahut karta hoo and you know that.Lekin main yahi soch raha tha ki time kitni jaldi beet jata hai na?Kahaa hum ek train me mile the aur thode hi dino me hume ek dusre se kitna pyaar ho gaya.Fir humari woh pyaari journey.Sabka saath.
Nidhi:Jee bilkul.Hum humesha saath rahe hai na sukh me dukh me.Mallika di ka miscarriage ho gaya tab woh kitni disturb hui thi.Armaan jiju aur baba ne kitna sambhala tha na unhe?Lekin fir ek hi saal me unhe bhi twins bete hue.aur jab sabko pata chala ki main twins ko janam dene wali hoo.Sab ne toh muze bed ka mehmaan bana diya.DB aur Shyama anty toh mere bed ke aaspas sote the aur main pani bhi pine uthu toh uth jate the.Aur di toh muze apne hatho se khana khilati thi.Armaan jiju bhi.Aur baba toh baar baar puchhte the.Jab main labour room me thi toh in sabne pura hospital sur pe utha liya tha.
Ashutosh:Aur maine jab betiyo ki khabar suni toh DB aur shyama anty aur Anji ko itna tight hug kiya tha ki DB ki sase rukte reh gai thi.
Nidhi laughed at him and tighten her arms towards Ashutosh.
Nidhi:Aap ne kamare me aate hi pahela sawal puchha,Nidhi kaisee hai?woh theek hai na?
Aur muze dekhkar aapki aankhose aasoo nikal gaye the.
Ashutosh:ha doll,woh pal ajeeb tha.Khushi thi,excitement tha.Aur tumse itna pyaar hai ki tumhe khone se dar lagta hai.
Nidhi:muze bhi.Aur fir humara orphan house aur ghar dono ek saath banake taiyaar ho gaya.Baba ne kitna achha naam diya na."Ashna orphan home"
Humne apne ghar me pahela kadam rakha apni bachiyo ke saath.Armaan jiju ne ghar ko kitna sajaya tha na?
Ashutosh:ha doll.Kitne pyaare palchhin aur yade hai yeh jo hume mili hai.
Nidhi and Ashutosh hugged each other tightly"Hum kabhi juda nahi honge.Maut kare toh kare warna kabhi nahi"
Nidhi and Ashutosh: Bus duao me yaad rakhana.