Zindegi ke Safar mein-(tera mera sath rahe)Pg 20 - Page 11

Created

Last reply

Replies

150

Views

35.3k

Users

21

Likes

162

Frequent Posters

BhatSonu thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
2 good Sd bhai.u just portrayed Archana and Manav perfectly.but i think it should be Barbadi Mubarak Manav😭
448368 thumbnail
Posted: 15 years ago
Manav cries a lot ....more then Archu......bit irritating....bt Archu's lines were really nice......gd work SD 👍🏼
commentator thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 15 years ago
Really like your new improved Archana! The screen version needs some gumption. Bahut sahi kahaa aapne: roney-dhoney se kaam nahi chalega. Ya is paar ya us paar.
-SD- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: piya007

Manav cries a lot ....more then Archu......bit irritating....bt Archu's lines were really nice......gd work SD👍🏼



Piya I feel Manav wants to cry a lot, but he can't, as he is a man, he has responsibilities and he can't afford to show his weakness before Archu. I just tried to portray the child inside Manav, who doesn't know anything, he just wants Archu.

Aur hamesha ladkiyan hi kyun royengi ? 😆


Thank you all for appreciating the story.
layna thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
i'm very late, but i wanted to thank you for writing such amazing stories.the previous part made me cry and i loved love possible part 2, PR's CVs should definitely take you in their team, in fact they NEED you 😉
agree that Manv cries a lot, but in a way that's good since in the serial only Archu is shown crying.Manav should definitely cry a river
dilwar thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
a brave Archana at last. dis is da kind of Archu Tanyaz d like 2 see.
-SD- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
@Layna and commentator
Thanks for reading my stories for the first time.
Spartacus thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail
Posted: 15 years ago

The one person will be more than happy reading your post SD bhai would be Tanya.

She wants to see Archana really talk like this too Manav, this was a complete different take from what we have been watching.
I seriously sometimes think that PR forum has more awesome creative writer's than BT has ever had it?
Way too go SD bhai, loved your post......👏
Tanyaz thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
Great Sd, I loved it . I most definitely want to see Archana like this . She is so strong and totally in control . I liked it when she said that mere jeete je sagaai tum kar rahe ho and you are the one who is crying...
I swear SD I am just dying to see Archana strong and coming to terms with the tragedy of her life , still trying to move on .
I know tomorrow will be bad , very very bad . But hopefully the coming week I want to see Archana getting a grip on her emotions and trying to find a life after manav ...
-SD- thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Purani Haveli

Manav's friends decided to go for a picnic. Only couples were allowed. They reach a dense forest and plan to stay in a govt. guest house. It was nearly 4 pm and they started roaming here and there. After sometime everyone was surprised not to find ArMan amongst them. Somebody suggested that ArMan might be romancing somewhere and would come back before it is too late. All of them went back to the guest house.

Manav and Archana are somewhere inside the jungle

Manav- ohhh Archana kahan le ja rahi ho mujhe..ab din dhal chuka hai..chalo wapas chalte hain

Archana-are main thak gayi….idhar thodi der baithte hain phir chalte hain

Manav- hamesha yun bhag daud karke khud thak jati ho aur mujhe bhi exhausted kar deti ho…raat mein kuch karne keliye energy hi nahin bachti

Archana- offooo..aap ko roz raat ko wo chahiye kya?

Manav- kis ki baat kar rahi ho ..main to keh raha tha raat ko jake main jaldi so jata hun aur tum se do ghadi baat chit nahin kar sakta aur na ki TV dekh sakta hun

Archana- ( Sharma jati hai) hato ji ..jyada bano mat

Manav- waise tumne kya samjha tha..main kis ki baat kar raha tha

Archana- aap ke intentions kya hai mujhe achhi tarah se pata hai

Manav- are nahin tumne kaha na ki mujhe roz raat ko wo chahiye…kya mean kar rahi thi tum?

Archana- main to wohi keh rahi thi ki roz raat ko jab tak do ghadi baat nahin karte TV nahin dekhte aap ko chain nahin milta

Manav-nahin tumhara matlab yeh nahin tha madam

Archana- ab preshan (pareshan) mat karo mujhe

Manav- to chalen ab wapas

(When they try to go back, they realize midway that they have forgotten the route to the guest house)

Manav- tumhe yaad hai hum kis raste se aaye the?

Archana- rasta yaad rakhna pati ka kaam hota hai

Manav- aur patni ka kaam sirf rasta bhulana hota hai kya…

Archana- aise keh rahe ho jaise maine rasta bhula diya aap ke dimaag se

Manav- aur kya….kabhi left kabhi right mera haath pakad ke le ja rahi thi…

Archana- achha meri kya galati thi..wo gaana bhi aisa baj raha tha us samay "idhar chala main udhar chala" to main bhi idhar udhar jane lagi..aur sadkein bhi to tedhi medi thi

Manav- kya explanation hai yaar?? Gaane ke hisaab se kaam karoge kya? Tumhe to main kabhi sea beach leke nahin jaunga. Agar wahan "chal dariya mein doob jayen" wala gaana baj jaye tum to mujhe leke samandar mein ghus jaogi

Archana-kitna daant rahe ho mujhe? Jao main aap se baat nahin karti

Manav- lo..ab madam ke nakhre bhi shuru ho gaye..are yahan se wapas jane ka rasta dhoondo..fir guest house pahunchke nakhre karna

Archana- aaj mujhe pata chala aap ke pyar mein kitni gehraai hai..thoda rasta kya bhul gaye..mujhe dante ja rahe ho ( rone lagti hai)

Manav- aye..kya kar rahi ho? abhi rone ka waqt nahi hai..chalo yahan se andhera honewala hai…

Archana- nahin mujhe chhod jao yahin…sher mujhe kha jayen to aap ko tasalli milegi

Manav- kaisi baat kar rahi ho Archana..aaj kal sher bache hi kahan junglon mein..ab chalo mere sath

( haath pakad ke le chalta hai. But they are completely at sea and it is getting darker)

Manav- ab kya karein..phone mein network signal bhi nahin hai

Archana- to phone ko switch off kar do

Manav- ab majak karne ka time hai kya?

Archana- offffffo phir se chillane lage…main hi badkismat hun..aise daant rahe ho jaise aap ki barbaadi ki jad main hi hun

Manav- kam se kam rasta khojne mein madad nahin kar sakti to khamosh raho

Archana- achha ab aap ko mere bolne se bhi problem hai…hey bhagwan yeh sunne se pehle main mar kyun nahin gayi..( fir se rone lagi)

Manav- achha sorry baba

Archana- sorry bolne ki zaroorat nahin. Sorry bolna bhi nahin aata

Manav- achha tumhara matlab hai ki ab sorry bolne ka pura wo complete tarika jo tumne develop kiya tha wo follow karun is sunsan jungle mein .. tumhe gale lagake 10-15 rapid kiss karke?

Archana- koi zaroorat nahin..meri mati mari gayi jo main aap se yeh expect karti hun

Manav- ab tumhari baaten sunne keliye mere paas waqt nahin hai…kahan se jayen bhagwan hamari madad karo..kuch pata nahin chal raha

Archana- aap ko rasta kyun pata chalega..bas apni biwi ko preshan kaise karte hain wo pata hai

Manav- ab chup bhi karogi tum..tumhe thodi tension nahin kaise wapas jana hai

Archana- ( chup ho jati hai)

( door ek light dikhti hai)

Manav-Archana tumhe wo door ek roshni dikh rahi hai

Archana- (silent)

Manav- kya hua bolti kyun nahin?

Archana- ( silent)

Manav- ab kya ho gaya chup kyun ho?

Archana- aap ne kaha tha chup rehne ko

Manav- ab chuppi todne keliye bol raha hun. Wo jo door ek batti jalti hui mujhe nazar aa rahi hai udhar chalte hain. Tumhe nazar aa rahi hai na?

Archana- haan par is ghane jungle mein yeh light kaise?

Manav-koi aur guest house ho sakta hai

Archana- to chalo udhar

( dono dheere dheere chalte hain light ki taraf)

Archana- main aapka haath pakad loon..mujhe bahut darr lag raha hai

Manav- ( khud dara hua hai) haan pakad lo…

Archana- (haath pakad ke chalti hai) I love you

Manav- I love you too

Archana- kitna pyar karte ho aaj batana padega

Manav- yeh kahin mehfoos jagah pahunchke baat nahin kar sakte

( Achanak Archana ke pairon ko chhu ke upar se ek saap (snake)nikal jata hai)

Archana- mere pairo se kuch touch hua

Manav- (mobile ki light se dekhta hai) Archana yeh to saap tha..tumhe kata to nahin

Archana- hye re main mar gayi…

Manav- are tumhe kata kya saap ne?

Archana- pata nahin..par kat liya hoga to

Manav- tumhe dard hua kya?

Archana- pata nahin..par dard hoga to

(manav Archana ke pairon mein dekhta hai saap katne ki koi nisani nahin)

Archana- main aur nahin chal sakti mujhe bahon mein utha ke le chalo…pata nahin saap ne kahan kata hoga

Manav- (baahon mein utha leta hai aur chalta hai) archana tum kaafi bhari ho gayi ho

Archana- achha ji apni biwi ka bojh nahin utha sakte to shaadi kyun ki?

Manav- wohi to ek galati ki maine zindegi mein

Archana- aap bahut bure ho..jao main aapse baat nahin karti

Manav- ohhh abhi jhagda mat karo..ab hum us light ke kaafi kareeb pahunch gaye hain

Archana- maine kab jhagada kiya aap se

Manav-maaf kar do baba..jhagda maine kiya ..bas khush

( Manav Archu ko uthake chal raha hai aur kaafi thak bhi gaya)

Archana- manav aapko nahin lagta abhi ek gaana baj jayega..hum dono itne romantic hoke chal rahe hain

Manav- ji nahin main chal raha hun aur tumhara bojh utha raha hun

(Ekta Ji yeh baat sun leti hain. Heroine ko gaana chahiye. She orders the concerned dept to play a song)

Song plays- yun hi kat jayega safar sath chalne se manzil aayegi nazar sath chalne se

Archana- wah kya gaana hai

Manav- galat gana hai…yahan bajna chahiye tha "saari duniya ka bojh hum uthate hain"

Archana- saari duniya…mere alawa kis kis ladki ko uthate ho aise? Aaj sach saamne mein aaya

Manav- are nahin jaan mera matlab wo nahin tha

Archana- aap ka matlab ab saaf ho gaya hai..ab mujhe pata chala roz raat ko ghar lautne ke time itna thake thake sa kyun dikhte ho

Manav- ohh ab jhagda mat karo..yeh dekho aage ek badi si building dikh rahi hai

Archana- baton mein behkane ki koshish mat karo..bolo garage ka bahana karke kiske sath romance karte ho

Manav- ( archana ko zameen pe khadi kar deta hai) yeh dekho makaan hai ..chalo dekhte hain udhar koi hai kya

Archana- ( chiila uthti hai) iske andar jaoge? yeh koi bhutiya mahal lagta hai

Manav- ab chup bhi karo

( dono darwaje ke paas pahunchte hain. Wake hi koi purani haveli hi hai. Darwaja dekh ke pata chalta hai kam se 300 saal purana design hai)

To be contd…

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".