Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 27
Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
KIARA EXPOSED 11.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
HUM JEET GAYE 12.9
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
Is it just me or…
MAJOR REVAMP TIME FOR STAR PLUS
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
Aabeer Gulaal reviews and box office
Superb SD, in this depressing atmosphere, your stories are my only tonic.
Thanks a lot!!!
Kyaaaaaaaaa?Thanks for the nice comments. @dilwar I don't think I can write such happy-happy stories anymore after the sindoor wala episode. I should switch over to stories dealing with tragedy, agony and anxiety. I had tried such emotional stories before, like Love Possible in this column, but it had a happy ending. But now I will also write stories which will only frustrate the readers.😲 Thank you all.
Hum tum se judaa ho ke
This is a story based on present situation. Manav has put Sindoor on Shravani and Archana is trying to console herself with her tears. Manav wants Archana to lead a life without him. Archana wants to spend these three months at the Deshmukh's to avoid any kind of police complain. They meet at the Siddhi Vinayak temple again just while offering the puja to Bappa. Both are in tears. Manav asks Archana to talk to him for a while. Both sit down somewhere in the temple.
Manav breaks the silence.
Manav- Archana main tumhe aur dukh nahin de sakta
Archana- yeh nahin kahungi ki mujhe koi dukh nahin hai. Par main is keliye aap ko zimmedaar nahin samajhti.
Manav- Shravani ki mang mein sindoor bharna pada mujhe..
Archana- yeh aap ka farz tha apne ghar keliye
Manav- kya tumhare liye mera koi farz nahin banta
Archana- nahin manav..main uske layak nahin rahi (aansoo ke sath) maine aap ko usi din kho diya tha jab maine aap pe bharosha nahin kiya tha..gairon ki baton mein aake maine aap pe aitawaar nahin kiya…aur jab aapne mujhe samjahne ki koshish ki maine aap ki baat ansuni ki…lagta hai mera pyar us samay sachha nahin tha..aur uska natiza aaj mere saamne hai
Manav- apne aap ko dosh mat do Archana….halaat hi kuch aise the ki tum majboor thi aur aaj main majboor hun
Archana- hamen halation ke sath jeena sikh lena chahiye Manav. Aur aap ko apne parivar keliye jo karna pad raha hai aap wo karte rahiye. Shravani achhi ladki hai. Aap uske sath khush rahoge
Manav- in sab ke beech main kya hun, meri khushi kya hai meri zindegi kya hai? kya yeh kuch maine nahin rakhte. Tumhe lagta hai khushi khushi shravani ke sath main jee lunga?
Archana- haan…waqt aadmi ko halaton se samjhauta karke jeena sikha deta hai. 2 saal baad aap mujhe bhul bhi jayenge jaise patjhad ke baad fir se bahar aati hai aur ped fir hare bhare ho jate hain koi yaad tak nahin karta ki kabhi patjhad aaya tha
Manav- tum meri zindegi mein patjhad nahin ho…
Archana- jab se main aap ki zindegi mein aayi, barbadiyon ke siwa aapko mila hi kya hai. Manav patjhad ke baad ab baharein fir se aake aapke darwaje mein dastak de rahi hain. Aapko iska ehsaas nahin hai.
Manav- mujhe bas itna pata hai jitni khushi mujhe tumhare sath mili wo mujhe zindegi mein kisi se nahin mili. Palank ke us paar zameen mein tum is paar main soya karte the. Ek doosre ko dekha karte the. Tumhare chehre ki wo muskaan, jo saaf saaf zahir karti thi ki mujhe pake tum kitni khush ho..man lo jaise tumhe sab kuch mil gaya mujhe pa ke…tumhari aankhon mein jhalakti hui wo khushiyan har pal mujhe yaad aati rahi jab tum mujhe chhod ke chali gayi thi
Archana- main yeh nahin keh rahi ki aap ko un haseen yaadon ke sahare jeena hai. Manav aap ko jeene ka ek naya makshad mil gaya hai. Ab aap ko isi raah mein aage badhna hoga.
Manav- ek aisi raah jo mujhe kabhi bhi pasand nahin? Jis ki koi manzil nahin?
Archana- manzil hai par ab wo aap ko nazar nahin aa rahi
Manav- ( paas aake) meri manzil tum ho Archana. Tumhare bina mujhe ek pal nahin jeena
Archana- nahin manav. Wo sindoor jo kabhi mera haq tha aaj aapne kisi aur ko de diya
Manav- par !! ( in tears)
Archana- court mein jald hi divorce mil jayega aur main aap keliye ajnabee ban jaungi…duniya mein kitne log hain..bahut kam logon ko aap jante hain..aur baki bahut hain jin se aap kabhi mile tak nahin..bas yeh maan ke chalna hum kabhi mile tak nahin the
Manav- yeh mumkin nahin hai.
Archana- koshish karne mein koi harz nahi hai
Manav- koshish kya soch bhi nahin sakta. Koi jism se rooh ko alag kar de aur kahe tu jee le to jism jee payega kya? Raat ko sapno mein tum roz aaya karti ho. hum dono gale milte hai pyar karte hain par subah hote hi tum chali jati ho. kabhi kisi ko neend se jag ke rote hue dekha hai ya suna hai? Mujhe hi pata hai pura pura din kaise jata hai mera tumhari yaadon mein khoye hue. meri baat chhodo tum nahin jee paogi mere bina
Archana- main aage ka nahin soch rahi hun Manav. Bas aaj main jeena sikh rahi hun. Aage ka sochne se darr lagta hai. Zindegi mein bas ek baar kisi ko chaha, kisi ke sath Zindegi bitani chahi aur wo kismat ko manzoor nahin tha .
Manav- main tumhe yaad nahin aaunga??
Archana- yaad to tab aaoge jab aap mere dil se alag hoge. Pata nahin yeh kab ho gaya main aap ko apna sab kuch maan baithi, aap ki pooja karne lagi. Meri har ek saans mein bas aap hi aap bas gaye. zinda hone ka sab se bada saboot hai dhadkan. Us mein bhi aap hi ka naam likha hai manav. Meri zindegi ho aap.
Manav- jab se tumhe dekha hai sach kehta hun tumhare liye pyar ke alawa kuch aaya hi nahin mere mann mein. Har ghadi har lamha bas archana archana….pata nahin yeh dil manta kyun nahin ki ab tum meri zindegi mein nahin…wajeh chahe koi bhi ho yeh sach hai ki tum chali jaogi to main jeete ji mar jaunga. Ho sakta hai main khud ko bhula doon, par tumhari yeh aankhen jin mein mere liye sirf mohabbat hai wo main kabhi nahin bhula paunga. Aankhen kholne se darta hun kahin aanosso na beh jayen aur aankhen band karne ki zurrat kar hi nahin sakta kyun ki band aankhon mein sirf tum hi tum dikhti ho. Mere liye meri zindegi ka safar bas tum se shuru hua aur tumse judaa hote hi khatam ho jayega.
Archana- bas manav ab bas karo. Bhagwaan ko hamara milna manjoor hi nahi hai
Manav- haan…duniya mein kuch bhi ho sakta hai….sab ko sab mil sakta hai..bas manav ko archana hi nahin mil sakti. jaise manav aur archana ek doosre ke sath yeh chhoti si zindegi jee lenge to duniya barbaad ho jayegi?/
Archana- ab kuch mat kaho Manav..main aur ro nahin sakti. Aap se alag hone ki baat soch bhi nahin pa rahi. Agar zinda rahi to bhagwaan se yeh zaroor puchhungi to aapko usne meri zindegi mein bheja hi kyun?
Both cry and embrace each other. They know everything is at an end and they may not even get time to talk to each other after this.
Back ground music plays.
"hum tum se judaa hoke
Mar jayenge ro roke"
First time in my story, I could not finish off with a happy note. Let's see how the story unfolds in PR.
-SD
uffff!!!!!!gr8 emotional one,SD bhai.I think the creators should directly take your story if anywhere they require such a scene.👏i would love to see such a scene in PR.