Part-8
In the Parking Area.
Saurav - yaar yeh nishu kaha reh gayi.
Kirti - pata nahi woh bahar toh aayi thi.
Kabir - chill guys tum log car nikal kar bahar main road par wait karu mai usse dhund Kar lata hu.
Kabir goes outside the parking area looking for Nisha .
Kabir (to himself ) - iss ladki ne kabire ka jeena mushkil Kar diya hai 24 hours non stop dimaag mai ghusi rehti hai , arrey mana thodi khubsoorat hai but kisi aur ke baare mai bhi sochne diya Kar. Abhi pata nahi kaha chali gayi.
He notices Nisha on the other side of the road. He notices that she is giving some food to 2-3 child beggars.
He goes towards her.
Kabir - hello madam ,kya baat hai social service chal rahi hai.
Nisha - dekh tuh apni bakwaas band karega please.
Aur ha baccha party ab tum log niklo and maine Jo school bataya hai kal hi vaha jaakr admission lo roj padho aur vaha par free mai khana bhi milega.
The group of children nod their heads and leave from there thanking Nisha for the food.
Nisha - arrey ha kabir ab bata kya bhaukna hai.
Kabir - mai tumhe kutta dikhta hu Jo bhaukega.
Nisha - nahi nahi kutte toh bichaare bahut pyare hote hai tum toh jungle se bhaage hue chimpanzee lagte ho.
Kabir - Teri bakwas ho gayi ho toh ab ghar chale. Sab humara waha car mai wait Kar rahe hai.
Nisha - oh ha so sorry mai in baccho ke saath itna kho gayi ki mujhe yaad hi nahi raha ki tum sab mera wait Kar rahe hoge. You know what aise innocent baccho ko iss tarah se pareshaan dekhna mujhe bilkul accha nahi lagta.Woh jab meri vajah se khusi se smile karte hai na mujhe lagta hai ki maine koi award winning kaam kiya hai.
Kabir - voh kaam sach much mai award winning hai.
Nisha smiled at Kabir's response.They both found the car waiting for them.
Sauarv - kya yaar itna time laga diya chalo ab andar baitho fatafat nikalte hai.
After they both get seated , Saurav starts driving the car towards their home.
Kirti - vaise Nishu tu kaha reh gayi thi.
Umesh - arrey kirti balike itni si baat bhi nahi samjhi hamari nisha ki samaj seva Kar rahi thi, ab aapko toh Facebook ki seva karne se fursat milti hai nahi so bechari nishu ko akele hi manage karna padta hai , kyon nishu???
Nisha - bilkul sahi kaha Umesh Bhaiya .
And they all burst into laughter.
Kirti - kya Umesh Bhaiya aap bhi.
Kabir saw Nisha laughing and was lost in her smile.
Kabir (to himself) - my god kya smile hai nisha ki jab yeh hasti hai toh aisa lagta hai ki bas duniya ki sabse khubsoorat cheez dekh li ho. Pata nahi kya jadu karti hai yeh mujh par . ek baat toh hai beta kabir is tarah se apni smile se logo ka murder Karne valo ke liye bhi laws hone chahiye yeh bhi toh ek tarike ke criminal hai.
He laughed over his way of remembering his profession even in this kind of thoughts.
Saurav noticed Kabir staring Nisha .
Saurav - kabir kabir!!!
Kabir - ha kya hua...
Saurav - woh toh tu bata kya hua...
Kabir - mujhe kya hua...
Saurav - tu aisi beemari ka shikar hua hai jiska market mai koi treatment available nahi hai.
Kirti - ohh kaunsi beemari , kabir tumne bataya nahi ki tumhari tabiyat theek nahi hai mai kuch Kar deti tumhare liye , tum toh apna dhyan hi nahi rakte.
Nisha (to herself)- tabiyat poochni hai toh itna chipak kyon rahi hai kirti , agar yeh meri Behan nahi hoti toh mai iski band Baja chuki hoti abtak . But 1 minute Nisha tu kyon itna chid rahi hai no...tujhe koi farak nahi padta , kirti Kabir se kitna bhi flirt Kare yeh uski marzi, samjhi.
Saurav - kirti urf tube light ji uss beemari ko loveria kehte hai.
Kabir - yeh ghise pite joke maarna band Kar. Kabir ko love hone ke utne hi chances hai jitne ki India ke football world cup jeetne ke.
Everybody laughed at his joke. Soon they reached their home . Everyone greeted Aman, Jwala,Dolly and Sukku.
Kabir - aur bhai sukku sahab Kaise ho???
Sukku- yaar pucho mat Dolly di ne poori raat kaam karaya jaan nikal di.
Dolly - kya sukku itni badi breaking news thi , itni famous actress ka hun achanak murder.
Aman- aap sab logo ko bhuk lagi hogi mai snacks lagati hu. Aaj kabir ke favourite sandwiches banaye hai.
Nisha - kya Aman bhabhi, aap toh hum sab ko bhool hi gayi.
Dolly - arrey nishu , samjha Kar hamari bhabhi ka ladla Kabir poore 2 saal baad Jo unke paas aaya hai.
She brings the snacks and everyone sits together to have their meal.
Jwala - waise aap logo ka kya chal raha hai case ka kuch pata chala.
Saurav - kya jwala yaad mat dila, band Baja rakhi hai uss case ne , kabir ke Delhi aane ki swagat mai sabse alag chaat Kar case mila hai.
Kirti - woh sab chodo koi mujhe yeh batao, aaj kisine notice kiya ki Viraj Sir baar baar kisi 7 saal purane case ka mention Kar rahe te and he was not comfortable about it.
Umesh - maine akele mai unse is bare mai baat bhi ki but unhone kuch bhi batane se mana Kar diya. But ek baat toh hai kuch bahut hi badi baat hui thi , Viraj bhai ko maine is tarah pareshan aur tense kabhi nahi dekha. Kabir tujhe kuch yaad hai kya ki 7 saal pehle kya hua tha.
Kabir - 7 saal pehle MATLAB mai jab 12th mai tha...tab toh...(a lone tear escaped from Kabir's eyes as he remembered the dreadful event).
Umesh - toh kya kabir, kya hua tha??? Kuch toh batao.
Precap - Famous doctor Mr. Ajay Sinha presents Aman with a award in Delicious restaurant.
Later he is found dead in the parking area.
P.S. The next update might get a bit late as I have another story to update (me , my love and the girl I met at the airport).
Do leave your feedback.
Edited by Sarthak0302 - 9 years ago