Sumit mandap me jaata hai aur Kumkum ab shadi ki main rasm ke liye taiyaar hone ke liye apne room me jaati hai, Kumkum ki bhabhi usse taiyaar karti hai. Mr.& Mrs.Sharma (Kumkum ke parents) pooja me baithne ke liye jaate hai, kyonki Kumkum aur Sumit ki shadi ab tak nahi hui aur jab tak shadi nahi ho jaati tab tak pooja me pati-patni ki jodi ko poooja me baithna padta hai aur vahin ladki ka kanyadan karte hai. Paditji Sumit ke joote nikalne ke liye kehte hai kyonki pooja me joote (Sumit ne pehni hui mojdi ko yahaan me joota kahoongi) nahi pehne jaate. Isliye Rahul niche jook ke Sumit ke pair me se joote nikalta hai aur Sumit mandap me pravesh karta hai. Mandap bahot hi acche se sajaaya gaya hota hai. Mandap me do rajwadi kursiya(Raja-Rani ki jaisi kursiyaa) aamne-saamne hoti hai, woh mandap square ke jaisa hota hai aur uske harek kone me saat-saat matkiyaan ekdoosre ke upar rakkhi hui hota hai aur woh phoolo ki mala se sajaai gai hoti hai, Mandap ke upar lighting ke liye joomar lagaya jaata hai, poora mandap gulab ke rangbirange phoolo se sajaaya gaya hota hai, mandap me zameen par do hearts hote hai, jisme Kumkum aur Sumit ka naam likha gaya hota hai. Dulhe-Dulhan ki kursiyaan ke alawa jo do side bachti hai usme ek taraf do vidvaan pandit baithe hote hai aur uske samne do gadde ki bethak banaai jaati hai, jis par Kumkum ke mata-pita ko bithayaa jaata hai.Is mandap koMairoo kaha jaata hai. Sumit kursi par bethta hai, uske baajoo me bayin side kursi rakhvai jaati hai jis par anwar yaani ke Rahul bethta hai taki Sumit ko mandap me jo zaroorat pade woh use lake de sake, Sumit ki daini or Roshni bethti hai jo apna loon utarnrka kaam shuru kar deti hai.
[Ab mandapki baate baad me karte hai kyonki ab hum jaayenge Kumkum ke kamre me jahaan woh apne dulhe ke liye saj rahi hai aur vaise bhi pooja me continuty chahiye hogi isliye chaliye mere sath Kumkum ke paas jaane ke liye]
Kumkum ke kamre me Kumkum taiyaar hone jaati hai, Kumkum ki bhabhi aur Jiya Kumkum ko taiyaar karte hai.
Jiyaa:(Kumkum ki baaki saheliyon ko) Tum sab ab niche jaakar dulhe ke joote churane ke baare me socho kyonki joote ki kimat to hume vasool ni hi hai.
Kumkum ki saheliyaan niche jaati hai aur woh sab dulhe ki tarif karti hai ki dulha kitna accha lag raha tha.
Kumkum apni orange colour ki sari change karke apna shadi ka joda pehnti hai,jo maroon colour ka Sumit ki sherwani aur paghdi se match karta hai. Yeh joda dulhan ko uske mamaji hi dete hai aur isse panetar kehte hai. Dulhan uspe apne sajan ke paas se chhab me aayi chhonri odhti hai.
Priya: Kumkum...............
Kumkum: Ji bhabhi, aapne kuch kaha?
Priya: Ji haan............
Kumkum: Kya? mera dhyan nahi tah.
Priya: Are, waah abhi se dhyan dulhe ki or hai, kyon?
Kumkum kaya bhabhi aap bhi.
Jiya: Kyon nhai hoga bhabhi, hamare jiju aap itne khoobsurat jo lag rahe the.
Kumkum sharma jaati hai.
Priya: Isme to koi shak nahi aur vaise bhi Sumit to varmala ke time pe bhi bas Kumkum ko aise dekhta raha ki jaane kai dino se usse dekha kyon naa ho.
Kumkum: Bhabhi, please. muje taiyaar hone me help ki jiyena varna vahaan se boolava aajayega aur me aisi hi taiyaar hoti reh jaaoongi.
Jiya:Didi, chinta mat kijiye. Sumit jiju aap ke alawa kisise shadi nahi karenge aur vaise bhi usse pasand hi kaun karega?(Priya ke samne aankh marke Kumkum ki tang khinchti hai.) Kyon Priya bhabhi kya khayal hai?
Kumkum: Tu ab bas kar, aur tere kehne ka matlab kya hai?
Priya: Kumkum isse jaane do sirf tumhari tang khinch rahi hai aur Priya tum ab ye mazaak band karo aur Kumkum ko taiyaar karne me muje help karo.
Kumkum ko Priya aur Jiya taiyaar karne me joot jaate hai. Priya Kumkum ke shadi ke jode ka paloo thik karti hai, Jiya Kumkum ke baal savaarti hai, Kumkum us din aadhe baal bandh deti hai aur aadhe khoole chhodti hai. Usne maroon colour ke diamonds aur golden colour ki jewellary pehni hoti hai. Mathe par bich me tika aur dono taraf bandishe bandhi hoti hai, kano me lambe joomke aur kanser hoti hai jo balo me lagai hoti hai. Naak me nath hoti hai, uske gale me teen haar ek doosre ke baad pehne hote hai, uski kamar pe ek chain jaisi chiz jisse kandora kaha jaat hai woh pehnti hai, uske hatho me upar baajoband aur kalaai me choodiyaan aur kangan pehne hote hai, uski oongaliyo me angoothiyaan hoti hai aur paaon me payal pehne huve hote hai. Itna sajne savrne ke baad Priya Kumkum ke mathe par bich me ek badi si bindi lagati hai aur baki dono taraf ek white aur ek maroon colour ki bahot sari bindiya karti hai jise peer kaha jaata hai. Iske baad Sumit ke yahaan se chhab me aayi choonari jo Kumkum ko choonari ki rasm me Veenaji aur dadima odhate hai woh choonari sir par odhai jaati hai. Is tarah Kumkum ekdum taiyaar ho jaati hai. Kumkum ko taiyaar hone par,
Jiya: Didi, apni nazar utha kar ekbaar aaine me apne aap ko dekho to sahi.................................
Kumkum apni nazar uthakar aaine me apne aap ko dekhkar sharma jaati hai.
Priya:Haaye, shringaar ka kya jaadoo chada hai tum par, kisiki nazar naa lage, chalo ek kala tika laga deti hoon.
Priya Kumkum ke kaan ke pichhe kala tika lagati hai.
Jiya:Bhabhi.........
Priya:Haan.
Jiya: Aaj to Sumit jiju gaye.
Priya: Aaj to do no itne khoobsurat lag rahe ki jaise swarg ke devi devta zameen par utar aaye hai.
Kumkum: Kya bhabhi aur hasti hai.
Wahaan mandap me joote nikalne ke baad pooja shuru hoti hai, Kumkum ki saheliyaa woh joote le jaane ke tarike plan karti hai aur pandit apne mantra padne lagte hai.
Vighneshvaray varday surpriyay, lambodhray saklay jagatjitay.Nagananay shruti yagna vibhushitay, gaurisutay gannath namonamste.
Vidya rambhe, vivahe ch praveshe nirgame tatha, sangrame sankate chaiv, vighnstya na jaayte....................
In mantro ke dvara Sumit aur Kumkum ke mata-pita ke paas ganesh poojan karvate hai.
Uske baad me vivaah ki rasm me jo jo devta zaroori hai unka aawahan karte hai.
Aaditasya namskarm ye kurvanti dine dine janmantara sahstreshu daridryam nop jaayte.
Stuta maya varda vedmata prachodayantam, pavmaani dvijaanaam, aayuhu, pranm, praja pashu kirti dravinam brahmvaryasam mahyam datva vrajat brahmlokam............
Abhayam dehi devesh paapan asmaan nivaaray vayam tvaam sharanam yaamah raksha na sarvagataan...................
Om sham no mitrah, sham varun, sham no bhavatvaryamaa, sham no indro brihspatihi............................
Ye sab mantra bol ke pooja karvaat hai aur Kumkum ko boolaane ke liye kehta hai. Is dauraan Sumit ke gale me se varmala ke dauran pehnai hui mala nikalwata hai aur jaimala ke liye doosri mala deta hai. Phir aamne samne jo Sumit aur Kumkum ke liye kursi hoti hai uske bich me Kumkum ka chehra Sumit ko naa dikhe isliye shol do bich me pakadke khade rehate hai aur mantra padhne lagte hai.
Doosri or shadi me hamesha dulhan ko mandap me uske mama hi lekar aate hai. Kumkum ke kamre me se uske mama usse lekar aate hai, Sumit Kumkum ko aur Kumkum Sumit ko dekh nahi paati hai. Kumkum dheere dheere apni hatho me mala liye mandap ki or jaati hai aur pandit ye mantra padhte hai.
Kuryaat sadaa mangalam..................................
Kshipra vetravati mahasurnadi gaya gandaki poorna poorn jalaihi samudra sahita kurvantuno mangalam,
Kuryaat sadaa mangalam.................................
Janaiyaa(Baraati) savdhan, dholiyo savdhan, Sthandevtabhyo savdhan, Ishtdevtabhyo savdhan, Kuldevtabhyo savdhan, Varraja(Dulha-Sumit) savdhan, Varmaa (Veenaji aur Kumkum ki maa) savdhan, Anwar(Rahul) savdhan, Loonvanti(Roshni) savdhan, Kanya padhravo savdhan..................................................
Is rasm ka arth yeh hota hai ki kanya yani ki dulhan ko mandap me boolane ka waqt aa gaya hai aur dulha dulhan ek doosre ko dekh nahi sakte jab tak sab savdhan naa ho jaaye , yahaan sabko savdhan isliye kefte hai ki shadi ab shuru ho chuki hai ab ek ladki ek ladke ki zindagi bannewli hai to sab log jaag jaiye aur is naye safar ke liye taiyaar ho jaaye jisme apki humsafar baannewali patni, bahoo sabko ek nayi disha dikhayegi isliye uske aaneka waqt ho chuka hai to sab dhyan dijiye. Is mantra padhne ke dauran Kumkum mandap me aa jaati hai, mantra khatm hone ke baad Panditji do no ke bich me se parda hataa dete hai, Kumkum Sumit ke samne khadi hoti hai aur parda hatne ke baad jab Sumit Kumkum ko dekhta hai to woh apne aaspaas kya chal raha hai woh sab bhoolkar bas Kumkum me hi kho jaata hai, sab log dulhan ke rooop ko dekh kar mohit ho jaate hai, Rahul Kumkum ko dekhta hai uss dauran Jiya Sumit ke joote chura leti hai. Phir pandit jaimala ki rasm nibhate hai jisme Kumkum Sumit ko aur Sumit Kumkum ko mala pehnata hai. Baad me pooja shuru ki jaati hai.
Panditji Kumkum ke mata-pita ko Kumkum aur Sumit ke pair ka angootha dhulvata hai, us par doodh ka abhishek karvata hai aur tika lagvata hai. Is rasm ka arth batate huve pandit kehte hai ki shadi ke din sumit aur kumkum ko bhagvaan Vishnu aur devi Laxmiji manaa jaata hai aur isliye unki pooja karvaate hai. Baad me kanyadan ke liye Kumkum ke maa aur papa Sumit kt dahine hath me Kumkum ka dahina hath dete hai, usme nagarvel ka paan aur sopari rakhte hai, uspe doodh ke abhishek karte hai, tika karte hai aur Kumkum ki choonari aur Sumit ke khes (khes matlab Sumit ki sherawani me jo choonari hai woh) ka kona lekar unke hath dhak dete hai, un par chaval ki bochaar karte hai. Usi dauran Kumkum ki maa Sumit ko aur Kumkum ko ek lal rang ki galden jariwali lambo gol dori ko dono ke gale me dalte hai, us dor ki pooja Kumkum ki maa, Priya, Veenaji aur dadima jo char suhagne hoti hai usse karvate hai, baad me Kumkum-Sumit ke bandhe huve hath par ghadi rakhte hai aur hast milap ki rasm nibhate hai.Us dauran pandit apne mantra padhte rehte hai. Sumit-Kumkum sirf ek doosre ko dekhte rehte hai. Yeh rasm khatm hone par do no ki kursiyaan jo aamne samne hoti hai, usse un dono ke hath chhudakar ek sath bajoo-bajoo me kar dete hai. Ab phere ki rasm ke liye agnikund mangvaya jaata hai, Kumkum ke bhai-bhabhi ko boolaya jaata hai.
Kumkum ki choonari aur Sumit ke khes ko bandhne ke iye Priya ko kaha jaata hai, Priya do no ke kone lekar uske bich me sopari aur sava rupiya rakhke ganthbandhan karti hai, jisse chheda-chhedi bandhna kaha jaata hai. Uske baad bhai ko har phere ke waqt apni behen ko paraye ladke ko sopte samay uske har dukho ka ant ho isliye agni me til aur jav dalne ke liye unke hatho me dena padta hai. Panditji Rohit se Kumum aur Sumit ki lagnapatrikaa mangvaate hai, Rohit panditji ko deta hai, panditji Kumkum aur sumit ke hath ek doosre me rakhke uske bich lagnapatrika rakhkar Rohit ko javtal uspar rakhne ke liye bolta hai, Rohit aisa karta hai, mantra bolne ke baad Sumit Kumkum ko woh sab aag me daal ne ke liye kehte hai, woh aisa karte hai aur pehla phera shuru haota hai, har phere ke waqt pandit dono ko ek side sopari rakkhi jaati hai usse paao lagakar aage badhne ke liye kehte hai. Sab log phere ke waqtun dono par phoolo ki bochhar karte hai. Har phere ke samay yahi sab hota hai aur aisa sab chhe phero tak chalta hai.Yahaan har phere par li jaanewali kasme likhihai.
1) Hamesha ek doosre ka sath denge
2)Ek doosre ka khayal apne se pehle rakhhenge
3)Ek doosre par atoot vishvaas rakkhenge
4)Ek doosre ke maan ka khyal rakkhenge
5)Ek doosre ke parivaarwalo ka khayal rakkhenge
6)Ek doosre ke prati rahi sari zimmedariyaa bakhoobi poora karenge
Antim phere me Kumkum Sumit se aage chalti hai, jisme Kumkum ye kasam leti hai jitni bhi moosibate hogi un sabse Sumit se pehle woh samna karegi. Is tarah phere poore hote hai.
Phir panditji Sumit ko Kumkum ki maang me sinddor lagaane ke liye aur mangalsutra pehnane ke liye kehte hai. Sumit vaisa hi karta hai aur shadi ki do rasme baki hoti hai jisme pehle kansaar khilane ke rasm hoti hai. Usme Kumkum ki maa kansaar aata hai (khane ki chiz hai) woh Sumit-Kumkum ko deti hai aur woh dono mantra padhne tak ek-doosre ko khilaate hai. Baad me chhar suhagane Priya, Veenaji, Dadima aur Mrs. Sharma ko panditji boolakar navdampati (Kumkum-Sumit jiski abhi abhi sahdi hui hai) ko aashirwaad dene ke liye bolte hai. Usme charo aurate Sumit aur Kumkum ko tika karte hai, un par chaval ki bochhar karte hai, unka mooh mitha katvaate hai, aur thode chaval apne hatho me lekar Kumkum ke kaan me kuch kehkar Kumkum ke hath me woh chaval de dete hai.
Priya: Tumhara aur Sumit ka sath hamesah bana rahe
Veenaji: Sada suhagan raho.
Kumkum ki maa: Tum dono hamesha khush raho.
Dadima: Doodho nav pooto phalo.
Phir Kumkum ko panditji un chavalo ko Sumit par dalne ko kehte hai, Kumkum aisa hi karti hai.Phir woh dono ko ekdoosre ke pati-patni ghoshit kiya jaata hai.
To be continued.........................................
Abhi thodi rasme or hai but next time...................
Please, give your reviews
Edited by janu_kumkumjuhi - 18 years ago