Thank you everyone who replies me. Thanks a lot. Agar aap ka sath bana rahe to muje bahot accha lagega. Ab baari aayi hai baraat ki kyonki Hiriye sehra bandh ke me to aaya re, hai yaa, doli baraat bhi sath me main to layaa re...............................................
[ Yahaan ek baat hai ki baraat ko originally jaan kaha jata hai, strange naa! par yeh bilkul sahi hai. Yeh jo shadi hai usme bahot si vidhi hai jiska koi na koi matlab hota hi aur har matlab ko samjakar hi me is shadi ko aage badhhaoongi. Ab yahaan aage jo main likhnewali hoon usme kai chiz hogi jo jaan me hoti hai aur haan ye shadi ki sab rasme muje bakhoobi aati hai aur shadi me bole jaanewale harek mantra muje aate hai kyonki main ek Hindu brahmin parivaar se hoon aur mere chacha hi shadiyaan karvaate hai, jisse maine ye sab jaaana hai]
Ab Sumit ki baraat ka waqt ho gaya tha, Sumit apne room me taiyaar ho gaya tha, Veena, Kul, Dadaji, dadima, Rahul aur Roshni sab uske kamre me usse lene jaate hai. Sumit ko dekhkar sab khush ho jaate hai aur Sumit apne bado ka aashirvaad leta hai.
[Ek baat or ki yahaan hamesha dulhe ki maa, chachi, dadi ya phir bhabhi jo dulhe ke sath pooja me hoti hai usse Varmaa kehte hai. Yeh isliye kyonki dulhe ko hindu paramparaa ke anusaar Var kaha jaata hai, aur uske sath pooja me baithnewali jo usse badi hoti hai usse maa ka darja diya jata hai isliye usse varmaa kehte hai. Aur varmaa ke sath uska pati bhi pooja me hona zaroori hai kyonki koi bhi pooja pati-patni ke jode ke bina adhoori hai.Sumit ki shadi me Veenaji varmaa thi. Varmaa hi shuru se leke ant tak ki sab bado ki zimmedariyaan nibhati hai. Dulhan ki taraf kanyadan karnewale ki patni varmaa kehlati hai. Kumkum ka kanyada uske mata-pita karnewale the isliye uski varmaa uski maa hi thi.
Magar usse pehle sabse eham baat ye ki shadi ke function me sabse pehle jis din function shuru honewala hota hai us din subah dulhe aur dulhan ke ghar pe ganeshji ki pooja hoti hai jisse shadi me koi moosibat naa aaye kyonki ganeshji vighnharta hai, uske baajoo me ek lakdi pe ped ke patte lapetkar uss par red colour ka dhaga bandha jaata hai, uss dhage ko nada-chhadi kehte hai, aur woh jo taiyaar hota hai, jise manekstambh kaha jaata hai aur usse ganeshji ke baajoo me gadda karke usme adha zameen me aur adha bahar rahe is tarah ropa jaata hai. Jis rasm ko Mandap muhurt kehte hai. Uske baad shadi ka invitation card vahaan ganeshji ke paas pooja karke usse le liya jaat hai aur woh pooja karke rakkha gaya card dulhanwale dulhe ke ghar lekar jaate hai. Dulhe ke ghar jo varma hoti hai woh iss card ki vapis pooja karke dulhan ke wahaan se aanewale logo ko deti hai, baad me dulhanwalo me jo bada hota hai woh is card ko dulhe ko dete hai, phir kanku ya kumkum(red colour ka pooja ka powder, kumkum ko hi kanku bhi kaha jaata hai) ko dulhe pe lagata hai, tika karta hai aur mooh mitha karvaata hai.Dulhe ke wahaan se bhi dulhan ke yahaan aise invitation card dene sab aate hai aur yahi rasm nibhayi jaati hai. Is rasm ke baad gruh shanti ki pooja hoti hai aur usi dauran dulhan aur dulhe ko ek motiwala colourful dhaga bandha jaata hai jisse mindhhol kehte hai, uss par baad me shadi ke din tak rumal bandh diya jaata hai. Iska matlab yeh hai ki usse dulhe-dulhan par kisika bhi boora saya na pade. aur woh bandhne ke baad dulha-dulhan bahar nahi jaa sakte. Is poori rasm ko lagan likhna kehte hai, jo sabse pehli rasm hoti hai aur yeh sab rasme yahaan ho chuki hai. Invitation card jo ekdoosre ko pooja karke dete hai usse jab baraat niklti hai uske baad jab dulha mandap me jaat hai to dono parivaarwale un shadi ke cards ko ek sath ek swastik bane huye white kapde me rakhke nada-chhadi se bandh dete hai aur pooja hoti hai aur usse lagnpatrikaa kehte hai, jisse phere ke samay use me liyaa jaata hai.]
Uske baad varmaa yani ke Veenaji apne paallu me pani se bhara huva kalash lekar uske sar ke upar se ghoomati hai aur uske baad usme jo paani hai usse Sumit ke pairo ke aage dalti hai aur Sumit uspe se chal jaata hai.
Sumit: dadimaa, is rasm ka kya matlab hai?
Dadima: Iska matlab ye hai ki tumhare samne ab shadi ke bich ka jo waqt hai usme agar koi rukavat aayi to tum usse thukrakar usse kuchal doge aur sirf shadi ke mandap me hi Kumkum ke paas jaaoge.
Dadaji: haan, mere bachche ye jo bhi rasme nibhayi jaa rahi hai woh sab ab tumhe sirf Kumkum ki nazdik hi le jaayegi.
Kul: Aur haan ye kabhi mat bhoolna ki aaj tum jis rishte me bandhnewale ho usme hazaaro taklife kyon naa aaye usse tumhe isi tarah kuchalnaa hoga aur har mod par Kumkum ka sath dena hai.
Veenaji:Sumit, jaanta hai, ek ladki jo apna sab kuch chhodkar sirf tere liye, tere apno ke liye aur teri khushiyon ke liye tere jivan me aa rahi hai, jo uska sansaar tere sath banaanewali hai aur teri prerna bannewali hai. Jisse kal ka kuch nahi pata magar manme ek vishvaas ka diya jalaakar usse apne zindagi ka ujaala bana leti hai, jis ujale se woh tumhari duniya roshan hi roshn kardegi, aur usse sari zindagi tumhe sambhlna hoga.
Sumit:Maa, main wada karta hoon ki apki aur Kumkum ki ummido par zaroor khara utarne ki koshish karoonga.
Roshni: Ab apki baate khatm hui ho to hum chale?
Veenaji:Haan, ab bas me Sumit ko tika lagadoon aur mooh mitha karva doon.
Dadji:Rajeshwari, tum Sumit ko dahi shakkar khilado.
Dadima: Haan, aur Roshni ab loon utarna chaloo karde aur Kumkum jab mandap me aaye to uski bhi utarna mat bhoolna.
Roshni: Ji, dadima.
Kul: Rahul, tum Sumit ka naak zaroor sambhalna.
Rahul: Ji, uncle.
Dadima Sumit ko dahishakaar khilati hai, Veena Sumit ko tika lagake mooh mitha karvati hai aur uske hath me motise boona huva nariyel deti hai jisse shreephal kehte hai.Bahar sab baraati khade khade dulhe ka intezaar karte hai aur tabhi sab bahar aate hai aur dulha sabse last bahar nikalta hai, Sumit ko aisa taiyaar huva dekhkar sab log uski tarif karte hai ki woh bahot achchha dikh raha hai.Jaan yani ki baraat me sabse pehle orchestrawale hote hai jo band bajaana shuru kar dete hai, uske pichhe dance karnewale ka group, phir baraati aur last me dulhe ka ghoda hota hai. Sumit aur gharwale bahar aa kar ghode ki or jaate hai, wahaan Veenaji do no hato me chaval bhar ke Sumit ke kandhe par apni konio ko touch karvake do no muththiya kholke chaval ko uadati hai. Phir Rahul apna hath aage karta hai aur uspe paao rakhke Sumit ghode par chad jaat hai, Kul Roshni ko Sumit ke aage bitha deta hai, ghodewala aage chalta hai aur Rahul pichhe pichhe Sumit ke sir par decorative chhata lekar chalta hai. Veena, Kul, Dadaji, dadiam aur baraati sab bahot nachte hai aur Kumkum ke yahaan baraat aane ki rah dekh jaati hai. Baraat ke dauran Kumkum ke kamre me bhi Kumkum ki varmaa pani ke kalash ki jo rasm Sumit ke yahaan hui thi vaisi vahaan Kumkum ke sath ki jaati hai.
Aakhir me baraat Kumkum ki shadi jahaan honewali hoti hai uske darvaaze par aa jaati hai. Kumkum ke gharwale sab baraat ka swagat karte hai, par swagat ki asli rasm dulhan ka bhai nibhata hai. Yahaan Kumkum ka bhai Rohit Sumit ke ghode ke paas jaakar pehle zameen par jook jaata hai, Sumit Rohit ki pith par paao rakhke ghode se utar jaat hai, Rahul Roshni ko utarata hai, Rohit Sumit ke paao mojdi me se nikalkar paani se uske paao dhota hai aur paao ko pochhke mojdi vapis pehnata hai. Phir Rohit Sumit ko pine ka pani deta hai, pani pilane ke baad pani se bhare kalash me ped ke patte doobokar un patto ko bahar nikalkar pani ki boonde udata hai, Sumit ko tik karta hai aur mithai khilata hai aur ant me shreephal ki jagah Sumit ko ek kalgi deta hai. Kalgi means phoolo ka guchchha, jisme K aur S likha hota hai. Baad baraati ek doosre ke samne khade rehkar ek doosre ke hath pakadkar hava me upar uthate hai aur bich me jo jagah hoti hai usme se Sumit goozarkar Kumkum ki maa ke paas jaata hai, Kumkum ki maa Sumit ko tika karti hai, uska mooh mitha karvaati hai, uski aarti utarti hai, baad me white colour ke dhage ko Sumit ke paao se lekar sir tak char baar lapetti hai aur uske char tookde karke chaaro dishame uda deti hai, uske baad chaar lakdiyaa, chaar mithai Sumit ke sir pese gol gol phirakar charo dishame uda deti hai. Baad me do mitti ke diye ko ekdoosre ke sath rakhke usse nada-chhadi se bandhke jo kodiya banta hai usse Sumit ke dayen paao ke aage rakhti hai, Kalash ko Sumit ke sir par se phirakar usme jo pani hota hai usse Sumit ke pairo ke aage aur kodiye par dalti hai, baad me Sumit uss kodiye pe apna daina pair rakhke tod deta hai, is rasm ko ponkhnaa bolte hai. Uske baad Kumkum ko mala pehnaneke liye andar se boolaya jaata hai, jo varmala ki rasm hota hai, usi bich do no samdhan aur samdhi ek doosre ko haar pehnate hai aur gale milte hai, baad me Kumkum ko uski saheliya aur ristedaar lekar darvaaze par aate hai, Kumkum ke hath me varmala hoti hai, uski nazre zooki hui hoti hai. Sumit sirf usse dekhta rehta hai aur Kumkum us taq pahonch jaati hai. Pehle Kumkum jab mala pehnaneke liye aage aati hai to Sumit ke friends usse utha lete hai, yeh dekhke Rohit aur Kumkum ke ristedaar me se unke bhai bhi Kumkum ko utha lete hai, to Sumit pichhe jookta hai aur Kumkum mala pehana nahi paati phir Kumkum apni nazre Sumit ki or karti hai, Sumit ki aankhe bhi usse dekhti hai aur tab Sumit ka sir jook jaata hai aur Kumkum Sumit ko varmala pehnati hai, Sumit Kumkum ko mala pehnata hai, sab taali bajaane lagte hai. Kumkum wahaan se chali jaati hai aur Sumit ki saliyaan Sumit chalta hai usse pehle uski raaho me gulab ki pankhdiyaa bichha deta hai aur Sumit shadi ke mandap me pahonch jaata hai.
To be continued.........................................
Abhi aage Kumkum ka taiyaar hona aur main shadi baaki hai, to dekhte rahiyegaa.......TU MILE DIL KHILE........