Yes, ab hum jayenge aage kyonki Kumkum-Sumit ko ek jo hona hai, par usse pehle jisne bhi post reply kiya usko Thanks a lot aur jo silent viewers se ek goozarish hai ki chahe hum duniya ki kisi bhi kone me kyon na ho magar ye forums hume jode rakhti hai aur usi ke zariye aap sab mere dost ban gaye hai. Apki baat muje pata nahi magar maine apne dilse apko dost samja hai aur main apke taste ko janna chahti hoon isliye aap se post reply karne ki binti karti hoon, jisse apki pasand napasans aur aap kya mehsoos karte hai ye pataa chale. Aur chaliye Kumkum Sumit ke pyar bhare safar par............................
Raat ka khana ho gaya tha magar Sumit to khana khane nahi aaya, aur khane ke table par Kumkum sab ko serve kar deti hai magar usne wahaan Sumit ko nahi dekha aur isiliye uski nazar Sumit ko talash kar rahi hoti hai, tab uski yeh becheni Veena dekhti hai.
Veena: Are, kya huva Kumkum beta? Itni bechen kyon ho? Or chalo tum bhi hamaare sath khana kha lo.
Kumkum: Nahi mummyji. Muje bhookh nahi hai aur Sumit bhi nahi aaye.
Veena: Accha to yeh baat hai (Kumkum sharma jaati hai). Tu fikr mat kar, maine usse khane ko puchha tha magar usne kaha ki bad me agar man karega to Madhav se khana mangwa lega, aur usse to maine chhat pe jaate huve dekha tha, magar tu to khale.
Kumkum: Nahi, sach me bhookh nahi hai.
Kumkum Veenaji ko aisa kehti hai, magar sach me woh isliye nahi kha rahi thi kyonki Sumit bhookha tha, woh sabko khilati hai magar woh Sumit ke baare me sochti hai aur usse khayal aata hai ki Sumit chhat par uska intezaar kar raha hoga kyonki subah usine ye kaha tha aur sab jab kha lete hai tab woh khana plate me nikaal ke chupke se chhat pe jaati hai.
Wahaan chhat pe Sumit Kumkum ki raah dekh raha hota hai or Kumkum jab chhal par pahonchti hai to woh Sumit ko chand se baat karte dekhti hai.
Sumit: Ae chand tu jaanta hai ki,
Ishq kar deta hai dil ko bekaraar, Bhar deta hai patthro me bhi pyar, Har ek ko nahi milti zindagi ki ye bahaar kyonki pya ka doosra naam hai intezaar...................
aur phir geet gata hai, Phoolo ke rangse, dil ki kalam se tujko likhi roz paake, kaise bataaoon, kis kis tarah se , pal pal muje tu sataati. Tere hi sapne lekar ke soya, teri hi yado me jaaga, tere khyalo me ulza raha, jaise ho mala me dhaga, haan badal bijli chandan pani jaisa apna pyar, lena hoga janam hume kayin kayin baar, haan kitna magir kitna madhur tera mera pyar, lena hoga janam hume
Itna gaate gaate woh pichhe dekhta hai to uske pichhe Kumkum khadi hoti hai aur woh dang reh jaata hai.
Kumkum: Itna madhur, itna magir tera mera pyar lena hoga janam hume kayin kayin baar.
Sumit: Kumkum, tum bhi gaan a gaa rahi ho!
Kumkum: Kyon me gaana nahi gaa sakti?
Sumit: Nahi, aisi koi baat nahi, magar..................
Kumkum: yeh gaana isliye gaya kyonki main aap se maafi mangna chahti thi.
Sumit: Magar kyon?
Kumkum: Woh isliye ki maine apko bahot intezzr karvaaya aur meri wajah se aap bhooke hai, isliye sorry.
Sumit: Kumkum tum bhi naa. Tum kabhi mafi mangne deti ho jo main tumhe mafi mangne doon, tumko aaj last time bol raha hoon, ki tum mujse kabhi mafi nahi mangogi, varna main tumse rooth jaoonga.
Kumkum: Are, woh to muje bahot bhari padega ki mera itna accha dost mujse rooth jaye isliye ab mafi nahi mangoongi. Thik hai. Ab khana kha lijiye.
Sumit: Tum to pehle khao. Tum bhi to bhookhi ho.
Kumkum: Sumit, aap kaise jaante hai.
Sumit: Dil ki baat dilbar ke alaava kaun jaan sakta hai. aur vaise bhi main apni Kumkum ko jaanta nahi kya? Woh khud bhookhi rahegi jab tak uska apna khana nahi kha leta.
Kumkum ki aankhe bahr aati hai aur woh apne hatho se khane ka nivala Sumit ke mooh me deti hai aur baad me Sumit bhi Kumkum ko apne hatho se khilata hai.
Sumit: Haan Kumkum tum kuch baat batanewali thi agar tumne muje aaj aur abhi woh nahi batai to tumhe yahaan se jaane nahi doonga.
Kumkum: Thik hai to suniye, Sapne the, sapno me aap shamil huve. Naa jaane kaise hum apke pyar ke kabil huve.
Karzdar rahenge hum us hasin pal ke jab aap hamaari chhoti si duniya me shamil huve.
Sumit: Kumkum tumhare liye ye sher ka javaab me is tarah se doonga. Zindagi me apki ahemiyat bataa nahi sakte, dil me apki jagah dikha nahi sakte, kuch rishte anmol hote hai duniya me, ye hum sabko samja nahi sakte.
Magar ek baat puchhu.
Kumkum: Haan, apko me kabhi manaa karoongi kya?
Sumit: Tum muje tumse aap kyon boolane lagi ho?
Kumkum: Kyonki aap woh insaan hai jiski me bahot izzat karti hoon aur vaise bhi hamaari shadi hogi to aap mere pati ban jayenge to apko muje isi tarah se pukarna padega.
Sumit: Main jaanta hoon,tumhari har rooh ko mehsoos kar sakta hoon, main tumhare sath jo rishta jodna chahta hoon woh is duniya ka sabse haseen rishta hai, aap to parayo ko kaha jaata hai, tum to meri apni ho aur do din me meri ardhangini ban jaaogi aur isiliye tumhe muje aaap kehne ki koi zaroorat nahi hai, tum muje yahi kehkar pookarogi. Understand.
Kumkum: Thik hai. Tum jaisa thik samjo, ab barabar hai.
Sumit: Haan bilkul barabar hai.
Kumkum: To main chalti hoon.
Sumit: kahaan.
Kumkum: Niche aur kahaan.
Sumit: Nahi, thodi der thehrona.
Kumkum: Nahi, koi dekh lega aur maine apna kaha nibhaya. Main jaa rahi hoon.
Sumit Kumkum ko rokne ki bahot koshish karta hai magar Kumkum chali jaati hai.
Sumit: Chalo kuch nah, do din ke baad to mere sath hi aana padega aur vaise bhi kal to mehandi aur sangit hai to vahaan kahaan jaaogi.
Apne aap par haskar kamre me jaakar so jaata hai.
To be continued..........................................