Kumkumianz introduced : Nik (Nikhnu)
SCENE 3
FLASHBACK..........
Kumkum t-shirt aur jeans mein apne kamre se baahar aayee aur aate hi usne sabse pehle calendar check kiya.........August 1, 2001...........haan yahi date thi jise usne kai dino se mark karke rakha tha.........aakhir vo din aa hi gaya.
Subah se hi Kumkum baht excited thi, aur ho bhi kyun na, khush hone ki vajah bhi to kai thi uske paas............pehli - aaj college mein uska 1st day hai, doosri - uski best friend Nidhi ko bhi usi college mein amission mil gaya hai jahan vo jaane waali hai aur teesri - use apna personal mobile mila hai jo uski badi behen Ekta ne use entrance exam top karne par lekar diya hai.
Vo itni khush thi ki subah se ek baar bhi vo Ekta di ya Anku par nahi chillayi.............tab bhi nahi jab ekta di ne TV dekhte dekhte uski coffee mein cheeni ki jagah namak daal diya aur tab bhi nahi jab unhone use Anku ke kapde pehenne ko de diye aur tab bhi nahi jab Anku usse bina poochhe uske naye waale earrings try karne lagi. Uski khushi uske chehre par saaf dikhayi de rahi thi, aisa lag raha tha mano aaj kuch galat nahi hoga, sab kuch sirf achha hi hoga.
Kumkum college pahunchkar besabri se Nidhi ka wait karne lagi; aadha ghanta beet jaane par bhi jab vo nahi aayee, toh Kumkum ne usse phone karke poochha, tab use pata chala ki Nidhi toh pichhle ek gante se college mein hai, vo bhi parkinglot mein.
Raasta dhoondte hue Kumkum jaise hi parking lot mein pahunchi to use Nidhi ko dhoondne ki koi khaas zaroorat nahi thi, uski aawaaz hi kaafi thi, jo parking lot ke beechon-beech bane hue logon ke ek bade se jhund ke beech mein se aa rahi thi.
Kumkum ne vahan jaakar dekha to pata chala ki vahan toh solid jhagda chal raha tha, Nidhi aur ek ladke Nik ke beech, jise Kumkum pehle se jaanti thi. Darasal chalte chalte Nidhi aur Nik ki takkar ho gayi thi, jisse Nidhi ka saara saamaan zameen par bikhar gaya tha, aur takkar ki vajah thi Nidhi ka make-up aur Nik ka cell-phone. Nik apne cell-phone par baat karte hue aa raha tha aur Nidhi apne aap ko ek car ki window mein dekh kar apne baal sawaar rahi thi; par kyunki Nidhi ek ladki thi, isliye logon ka support use hi mila. Vahan khade sabhi students ne kaha ki galti Nik ki thi kyunki baal sawaarna to ek ladki ka janm siddh adhikaar hai, isliye vo kuch galat nahi kar rahi thi; par Nik kahan maanne waala tha, usne saamaan uthaana to door, sorry kehne se bhi saaf mana kar diya.
Kumkum Nidhi ko samjhaane lagi ki aaj college ke pehle hi din itni chhoti si baat par kisi se ladaai karna theek nahi hai, itne mein Nik bol pada ki, "Is nakchadi, ghamandi ladki ko samjhaane ka koi faayda nahi hia." Kumkum kuch bhi sun sakti thi, par apni best friend ki buraai, kabhi nahi. Fir kya tha, dono saheliyon ne milkar us ladke par dhaava bol diya. Vo use kaafi bhala bura kehne lagi, uska sab ke saamne mazaak udaane lagi, baat haathapai tak pahunchne hi waali thi ki ek aawaaz aayee, "Excuse Me..........."
Chalo evry1............ab jaldi se post ur comments π³ π³ but as i said earlier 4th part ke liye thoda zyaada wait karna padega π³