Fan-Fictions 21st-27th August 2005 - Page 10

Created

Last reply

Replies

222

Views

34.7k

Users

36

Frequent Posters

Fallen-Angel thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 5
Posted: 20 years ago
#91
awesome updates.. 👏 👏 plz cont soon
sangi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 20 years ago
#92
rameena... tooo good... intni daar liya....par it was worth it......aur agli baar kashish aur sujal ko plz milwana....warna woh dono shimla ke premi banjaegey jo kabhie mil na paaye....

aur farah u tooo were tooo good.... waisey is rishi a bad character????...

booth of ya post the nxt part ASAP...
Edited by sangi - 20 years ago
natz thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#93
Rameena... you scared me... 😭 😆 😆
Farah your story was good, as always... but short... write more please...

waise, both of are great! 👏 👏 👏
Mrs.Fr.. thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#94
kiran and rameena love ur stoory janussssssss 😉
genious420 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 20 years ago
#95

Mere Dharkano ko Qarar do

Muzaffar and zafar are bro live in "AHMAD VILLA" zafar,s family live in upper portion while muzaffar with his family live in gound floor

Mr. muzaffar is retired bank officer his wife iz halima shez a house wife they have 4 children

Tania who is married and happy with his husband sheraz

Tahmoor doing mba and also doing a part time job

Salman is a medical student and loves to tease mahrukh

Sehar

Mr zafar is no more his wife rakhshanda is a house wife she has only one daughter mahrukh who iz jaan of whole family jis ke wajah se us ka bachpan to guzar giya lekin bachpana abhi tak us main baqi hai

Remember one thing tehmoor (Rajeev) mahrukh (aamna) are cousins and as they r muslim in this story so in islam cousin marriage r allowed second thing mahrukh call tahmoor as tahmoor bahi (ab izzat bhi to dene hoti hai na after all tahmoor mahrukh se 5 saal bara hai )

muzaffar and his wife haleema

tania and her husand sheraz

tahmoor

salman

sehar

zafar

rakhshanda

mahrukh

Episode 1

A voice of a girl coming from the upper portion of a ahmad villa

Girl: "mujhe nahi yeh khana jab dekho sabziyan aur yeh karele" us ne bur ise shakal bana kar palte peeche sarka de rakhshanda ne mur kar ghusse se apni bete ke taraf dekha

Girl: "ami main aap ko keh rahe hoon mujhe karele nahi khane jab dekho karele 'karele na paken to bhindiyan'bhindiyon ki jaan choro to teende 'teende bhi na hoon to tooriyan hamare ghar sawai haryali ke kuch sabzi hi nahi I think there is some compition between vegetables in our house"

Rakhshanda: "nahi khana to mat kaho (us ne ghusse se kaha)

Girl: plzzz ami kuch aur de den sachi main buhat sakht bhook lag rahe hai"

Rukhshanda: "mahrukh es se pehle ke main tumhari petai kar doon yahan se chali jao "

Mahrukh per patakhte huwe kitchen se bahir nikal gai seeriyon se uttar kar jese hi us ne lounge main kadam rakha us ka sab se pehle samna salman se huwa

Salman: hai!! Lagta hai hamari sherni aaj bhi bhooki neeche aa gai

Mahrukh ne ghusse se salman ko dekha aur kitchen main chali ai jahan teende pake the handiya ka dakhan uttha kar who jee bhar kar badmaza huwe

Sehar: (us ko pareshaan dekhte huwe kehte hai ) kya huwa mahrukh?

Mahrukh: itni zoor ki bhook lagi hai opper karele se jaan churwa kar ai hoon to neeche yeh teende (us ke aankhon main mote mote aanson teerne lage)

Sehar: (fridge ki taraf barhte huwe) to es main rone wale kya baat hai aamlet bana kar khalao

Mahrukh: nahi mujhe nahi khana (anson aankhon se nikal kar gallon par phel jate hain aur who kitchen se niklate hai to us ne apne peeche salman ki awaz sune )

Salman: ae sherni kabhi apne kitchen se bhi kuch kha pee liya kro

(salman ki baat ne jalti par tael ka kaam kiya aur who aur shiddat se rone lagi)

aanson ki wajah se samne ka manzar dhundla geya tha jis ke wajah se side se ate tahmoor ko nahi dekh sake aur teeze se nikalne ke koshish main us se takra jati hai

tahmoor: are mahi kiya huwa (tahmoor always call mahrukh as mahi )

es se pehle ke who age nikalte tahmoor ne us ka haath pakar liya

tahmoor: tum ro kyun rahi ho?

Mahrukh: kuch nahi (us se ghusse se tahmoor ka haath jhatka)

Tahmoor is very surprised at her behaviour he looks at saher and salman who r standing behind and there is a smile on their face tahmoor ask saher wat hapeened to mahi

Salman: bahi! Masla kya ho sakta hai ? opper karela who bhi karwa neeche teende who bhi gol (salman ne maza le kar sare baat sunae to tahmoor bhi smile kiye bina nahi rah saka us ke sabziyon ke chir se sab hi waqif the)

Tahmoor: itne se baat itne qeemte aanson waste kar diye abhi kuch aur bana lete hain

Mahrukh: (aanson poonchte huwe) fridge main kuch bhi nahi hai

Just then halima enters

Halima: (mahrukh ki taraf ishara karte huwe) are ese kiya huwa

Salman: kiya ho sakta hai mumma! Muhtarma ko phir ghar se khana nahi mila

Halima: salman! Fazool mat bola karo mere bete ko nahi pasand to hum kuch aur bana lete hain

Mahrukh: buhat der lage gi mujhe buhat bhook lagi hai

Us ki baat par charo muskara diye

Tahmoor: ok then wait for 15 min main abi ata hun

Yeh keh kar kar tahmoor bahir nikal giya jab ke who salman ko chirate huwe hans de

Next scene

lounge main dhakil hote rakhshanda ne besakhta apna matha peet liya aur bare bebasi se apni ladli ko dekha jo samne rakhe shami kabab aur chicken tikka ke saath insaaf karne main masroof thi aur use riftaar se us ki zabaan bhi chal rahi the tahmoor bare ghor se us ke batein sun raha tha jab ke sehar ne dono fingers apne kano main thons rakhe the aur salman jamaiyan le kar use chirane ki koshish kar raha tha magar woh deedt bani poore zooroshor se tahmoor ko apne karname suna rahi the achanak mahrukh ki nazar apni maa par pari jo khoonkhar nazroon se use ghoor rahe thin

us ke achanak khamoosh ho jane par tahmoor ne mur kar dekha

tahmoor: are chachi jaan wahan kyun khari hain ander aye na

mahrukh: tahmoor bahi ab mujhe dant pare ge (us ne tahmoor ke kareeb ja kar ahista se kaha)

tahmoor: kuch nahi hota

rakhshanda: (plates ki taraf ishara karte huwe) tahmoor yah sab tum le kar aye ho

tahmoor: chachi jaan es main ghusse karne wali koi baat nahi ese bhook lage thi aur sabziyan ese pasand nahi (pyaar se samjhate huwe)

rakhshanda: beta yeh koi achi baat to nahi har rooz gosht to nahi pak sakta sabziyan aur daal bh ikhane chahiyen tum es ki adaten (habits) kharab kar rahe ho

tahmoor: jane de chachi jaan abhi choti se to hai (tahmoor ne hasbeadat us ke side le)

rakhshanda: beta adaten aise hi to bigarte hain sehar bhi to hia sirf ek saal bari hai lekin itni samajhdar hai main es ke itne nakhre bardasht nahi kar sakte ( mahrukh ko ghusse se ghoorte huwe)

salman: bilkul thiek keh rahe hain aap chachi agar itne nakhre kare ge to koi es se shadi bhi nahi kare ga

mahrukh: na kare koi shadi aap fikar na karen aap ke pass nahi aaon gen

salman:aur mera bhi damagh kharab nahi jot um se shadii karon ga 😛

mahrukh: main wese bhi bandaron ko pasand nahi karte😛

salman: dekh rahe hai aap chachi jaan ( tahmoor ki wajah se salman ne bebase se rakhshanda ki taraf dekha)

rakhshanda: dekh rahe hoon din ba din kad ke saath saath zaban bh ilambi hote jaa rahe hai 😡

tahmoor: chachi jaan aap ghussa na karen main hoon papa hain salman ami sehar itne sare log us ke apne hain who kyun na nakhra kare 😊

tahmoor ne muskara kar unhe saath laga liya she kisses tahmoor on his fore head

to be continue

if u don't like this story then plz tell me

do comment

sorry 4 spell mistakes

do comment plzzzzzzzzzz

Edited by genious420 - 20 years ago
natz thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#96
Amna please continue, 'Pyaar tu hona hi thaa'
kahish-rox thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#97
ok...so i hope u liked the last part...so here is the next part of the story Thoda sa pyar hua hai...hope u like it

ok so we left it where the date of the marriage is fixed..te marriage is taking place the next week...the next day
Kashish apnay kamray main sakoon ki neend so rahi htoi hai jab uss ka alarm bajta hai...woh alarm band karti hai aur frustration main pillow apnay ir per rakh leti hai...phir koi uss ka darwaza knock kerta hai...woh neend main uthati hai aur darwaza kholti hai
aur uss key samney Gunn kharray hoti hain
Kashish (yawning): arey yaar...itni subah subah...kia kaam hai??
Gunn: di...subbah??main college key liye late ho rahi hoon...ap ney office nahi jana...Sujal bhaiya ka do baar call a chuka hai
Kashish: main udhar do minute late ho jaon to Sujal ko tension ho jati hai..aj to koi khaas kaam bhi nahi hai
Gunn: keh rahey tahy keh kissi Virani industries key ssath bhut hi zidaa important meeting hai!!
Kashsih: oh my GOD!! main kaisey bhool gayi...yaar Sujal mujhey maar dalley ga...main do minute main tayar hui
Gunn: impossible!!
Kash: kia??
Gunn: ap do minute ,main nahi tayar ho skati
Kash:tu ja ker garri main beth main abhi ayi
woh darwaza band karti hai...Gunn neechey jati hai
Prerna: Gunn...tu ney Kashish ko uthaya??
Gunn: jee mumma
Prerna: yeh larki na..acha hua jaga dia...aj humain shopping mkarnay ana hai
Gunn: lekin unhain to kisi meeting per jana hai
Prerna: dekhti hoon kaisey jati hai!
Gunn ja ker garri main beth jati hai...she wiats for 25 minutes lekin Kashish nahi ati...andar dekhety hain kia ho raha hai
Kashish stairs sey nechey uttar rahi hai..looking dazzling in a red saarri (for a change) and very high heels...makeup and jewelley
Prerna: arey wah..aj sarri kaisey pehan li??
Kash: mumma aj bhut hi ziada important meeting ahi...isi liye
she has files n her hand...Prerna takes away the files
Prerna: aj tu kahiin nahi ja rahi!
Kash: MUMMA!!
Prerna: haan ji...aj tujhey Sujal key saath shopping per jana hai
Kash: mumma plz jannay di jiye...agar aj na gayi to bhut barri problem ho jaye gi...plz...i promise main 2 ghanton key ander shopping mall amin ap ko millon gi...ok??(takes away the files) main chalti hoon...bye!!
Prerna: aerey nashta to akr ley!!
Kash: office main kar loon gi
she runs out of the house and reaches the car and sits inside, panting
Gunn: arey...aj to barri aci lag rahi hain
Kash: thanks
Woh drive karti hai, Gunn ko college drop karti hai aur phir rush karti hai RnG...woh jaissey hi apnay cabin ka darwaza kholti hai, aik peon ata hai aur kehta hai keh Sujal sir ussay bulla rahay hain
Kashish Sujal key office main jati hai aru uss ka cabin ka darwaza kholti hai...ahista sey andar jati hai Sujal ka face darwazay ki taraf hai aur woh kisi sey phone per ghussay main baat kar raha hota...
Kashish(thinking): arey baap ray...main to gayi...Sujal aj bhut ghussay main hai
Sujal phone band karta hai aur deewar ki taraf hi dkehta rehta hai in frustration...Kashish ussey peechey sey ja ker hug ker leti hai, Sujal aik damm murr ker dekgta hai
Sujal(angry): agayi tum??amin to police ko phone karnay wala tha keh Miss Kashish Raheja kho gayi hain gumshuda hain pata lagaiye...itni diar kahan thi??
Kash: woh main...
Sujal: sonnay aur tayar honay sey fursat milley madam ko tab na!!
Kash: sorry!!(making a cute face)
Sujal (calms down): its ok!!
Kash: acha Sujal...woh Viranis key saath meeting ki preparations key barray main..
Sujal: issi liye to tumhara wait kar raha tha/...woh ffile layi??
Kash: yeh rahi..aur haan woh product...
they get busy in their work....
Kash: Sujal meeting kitnay bajjay hai?
Sujal: yaar...abhi main...
just then he gets a call from teh Viranis taht tehy had a death in the family and tehy can't come...meeting would be tommorow
Sujal switches off the phone
Kash: kia hua??
Sujal: they can't attend the meeting tommorow...chalo acha hau preparations key liye ziada waqt mill gaya
(till now the two hours have pased and its been 3 and a half hours)
They again get busy in their meetings
Kash(on the phone): Mr.Mehta..please woh quotations i file cabin main ley ker ayen
after 5 minutes the cabin door opens
Kashish and Sujal are veryu busy...Kashish is looking down in the files..doesn't look up to see who is it, assumig it is Mr.Mehta
Kash: arey Mr.Mehta...woh file dijiye (doesn't look up)suddenly koi uss key haath main haath deta hai...woh aik damm ooper dekhti hai aurguess who is tehr...yes the poor Prerna and Veena who had waited lonng time in teh office..couldn't contact cuz Veena had left her cellphone at home and Prerna's waas not working
Kash: arey mumma...aiye na...ap log yahan??
Sujal: arey mumma, ap log yahan kaisey??
Prerna: haan jab tum log nahi aye to humain hi ana parra
Sujal: kahan??
Kash: oh my God! so sorry mumma main bilkul bhool gayi aj humain shopping per jana tha
Sujal: oh..aam itna tah keh...
Veena: chup...terey bahanay na...bass ab koi kaam shaam nahi...tum log jao shopping
Kash: mumma humain itna kaam...
Veena: Kashish...kia kaam...beta shadi sey ziada zaroori kuch nahi hai...
Prerna: yes..aur iss liye tum log abhi ja rahey ho shopping karnay
Kash: lekin ap log??
Veena: hum log ghar ja rahey hain...humain jo kaam karna tha kar liya...ab tum log jao...ok chalo
Kash: theek hai...jaissa ap kahain
they leave the office and Prerna and Veena leave to go to their homes
Sujal and Kashish enjoy a lot in the shopping malll....abhi woh log centre sey bahir hi nikaltay hain keh achanak Kashish ko chakar ata hai and she falls ddown...behosh...
Sujal: KASHISHHHH!!!!
woh ussey apni bahhon main uthata hai aur phir ussey jaldi hospitalley ker jata hai
Lady Doctor after checkip...kashish is still behosh
Sujal: Doctor...woh kashish...
Doc: Mr.Sujal...kia yeh apna poori tarah dehan nahi rakhti??
Sujal: jee woh...
Doc: in ki hallat bhut nazuk hai...seh is very weak...woh properly apna khanna nahi leti aur na hi un ki neend poori hai...woh bhut kamzor hain..u r her husband right??
Sujal: jee woh abhi humari shadi honi hai...but i am her fiance..
Doc: to ap ko in ka khaas khyal rakhna hai...in ki tabiyat kabhi bhi kharab ho sakti hai, aur in case after marriage bhi in ki yehi hallat rahi to...
Sujal: to??to kia doctor??
DOc: i am sorry to say lekin agar ap in ka pooru tarah sey khyal nahi rakhain gay to shadi key baad jab yeh pregnant hongi to pregnancy main kafi complications a sakti hain..so i am warning u beforehand..in ka khaas khyal rakhain..teen waqt ka mukamal khanna aur kuch dinnon key liye bed-rest
Sujal: doctor yeh koi barri bemari...
Doc: oh no no...shadi ki tension main aksar aissa ho jata hai...lekin in ka case zara serious hai...u hae to take good care of her...yeh in ki mediine prescription hai...ap lay lijiye
Sujal: jee doctor

Kashish abhi bhi behosh hai...aur un donon key darmain uss key hosh main anney key baad kia hota hai yeh jannay key liye parhatay rahiye...i hope u liek it though there is no romantic scene...feeling sleepy..aur haan agar koi medical problem hain iss main to i am sorry i ahve no idea abt bio....sorry and hope u liek it....PLZ PLZPLZ GIVE UR COMMENTS! love kiran
theone_fan thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#98

Kahish_rox Really you people rock.I love your stories.
Rameena where are you.I read your part, plz continue.

Saher.
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 20 years ago
#99
hey genius420.....loved the story......gosh kashish is such a brat......hehehehe......i hope she falls for rajeev rather than that other actor....uff i dont like him 😛 lol
anywayz keep it up. 👏

and kiran lovely part.....bus sujal aur kashish hon to mamla fit hai......unka kahani mein hona hi romantic hai 😉 !! keep it up !!! and plz continue pyaar to hona hi tha too!!!!!! 😃

farah
Samrene thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 20 years ago
aray yaar lush story hai.........its something new.....coz of muslim characters....continue it.....n i like tehmur defending her😉

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".