herez my story
Mere Dharkano ko Qarar do
Episode 2
Esha ki namaz se farikh ho kar jab rakhshanda mahrukh ke kamre main dakhil huwen to mahrukh hamesha ki tarah bari laparwahi se bister par ari tirchi so rahi the unho ne age barh kar use seedha kar ke pillow us ke sar ke neeche rakha abhi woh kamre se nikal hi rahe then ke un ke nazar samne dewar par lage apni aur zafar ki shadi ki pic par pari
15 saal guzar jane ke baad bhi jab bhi who es pick o dekhte un ki aankhen nam ho jaten tasweer k odekhte dekhte un ke damagh ne mazi ka safar shuru kar diya
FLASHBACK
Un ka es duniya main sawai apne mamu ke aur koi nahi tha after great effort she only able to qualify till F.A who din raat kam main masroof rehte thin aur apni mami ke tane sunte rehte thin es ke alawa un ke pass aur koi chara bhi nahi din ese tarah guzar rahe the
Pata nahi khuda ko un ki kon se ada pasand ai thi ke zafar ka rishta un ke liye aya who apne are bahi aur bhabhi ke saath rehte the zafar se shadii ke baad bhi unhe apne khush kismati par yaqeen nahi ata tha zafar ke ghar wale un ka itna khiyal rakhte ke kabhi kabhi woh maghroor se ho jaten
Phir ek saal baad en ki duniya main mahrukh ne a kar mazeed rang barh diye jis waqt mahrukh paida (born) huwe muzaffar bahi ke 4 bache the sab se bare Tania 6 saal ki tahmoor 5 salman 3 aur sehar 1 saal ki thi who itni pyaari thi ke sab use besakhta pyaar karte who buhat kam un ke pass rehte thi ziada tar who Tania tahmoor ke pass hoti waqt apni rafter se guzar raha tha jab achanak ek baar phir un ki duniya andher ho gai
Mahrukh do saal ki thi when zafar got an accident and died aise main muzaffa bahi aur bhabhi main sahi maino main un ka saath diya har guzarte pal ke saath un logon ke liye un ke dil mian izzat aur ehtram ke jazbat barhte gai ghar main jab bhi koi cheez ati sab se pehle mahrukh ko milte phir koi aur le sakta tha muzaffar bahi ki to es main jaan thi us ke mun se nikalne wali har baat ko poora karna who apna farz samajhte the un ke beja lad ne use kafi hat tak munpath aur ziddi bana diya tha jab bh iwoh us par sakhti karten yaan use samjhaten woh seedha apne bare papa (muzaffra) aur mumma (haleema) ke pass pouhanch jate aur agar who na milte to tahmoor ke pass
FLASHBACK ENDS
Watchman ki awaz par unho ne ghari ki taraf dekha jahan ek baj raha tha unh one apni nam aankhon ko saaf kiya aur lite off karde
Next scene
Now its morning and time is 10:00 clock
Mahrukh (neeche se ate muzaffar sahib ki awaaz par us ka bread ki taraf barhta haath ruk giya tha us ne chor nazron se apni maa ko dekha jo onion kat rahe the aur chupke se kursi khiska kar uthi
Rakhshanda: mahrukh
Mahrukh: ami bare papa bula rahe hain
Rakhshanda: mujhe to awaaz nahi ai
Tabhi ek dafa phir mr. muzaffar ki awaaz ati hai
Mahrukh: suna (yeh kehte saat hi us ne neeche ki taraf door laga di aur seedha dinning room main pohanchi )
Muzaffar: kab se tumhara intezaar kar raha tha
Mahrukh seedha ja kar un ke gale lagte hai and he kisses on her forehead
Haleema: agar aap baap beti ke laad khatam ho gain h oto naashta kar len
Muzaffar: kyun mere sher abhi nashta to nah ikiya? Tumhare intezar main main abhi tak bhooka behta hoon
She nods her head in no
Haleema: ek to aap log 10 baje so kar uthte hain jis waqt duniya dopahar ke khane ki fikar main hote hai main aap ka nashta bana rahe hoti hoon (chai cup main daal kar un ke age rakhte hain)
Muzaffar: bahi kiya karen begum hum huwe farikh log aur farikh logon ko aur kaam hi kiya hota hai (ab mahrukh ki taraf murte hain) kyun bahi bete tumhara result ka baa raha hai
Mahrukh: pata nahi bare papa kal sidra (her friend) ka phone aya tha woh bata rahi thi es month ke end tak aye ga ab dekhen
Muzaffar: chalo dekhte hain
Haleema: suniya ab aap farikh hain plz zara yeh phone ka bil jama karwa den
Muzaffar: bahi mujh main himat nahi hai itni lambi line main khare hone ki tahmoor ko de dten woh ki karwa deta
Haleema: tahmoor university geya hai phir job par jaye ga raat ko thaka huwa aye ga ab woh kab jama karwae ga
Muzaffar: aur salman kahan hai
Haleema: who bhi college giya huwa hai (she goes to kitchen)
Muzaffar: acha baba jata hoon mahrukh tum carem set karo wapis aa kar hum khelte hain
Mahrukh: ok bare papa done agar aap har gai mera burger paka
Muzaffar: ok beta lekin agar main jeet giya to aap mujhe apne hathon se coffee bana kar pilao ge
Mahrukh: done
Muzaffar bahir chale jate hain aur mahrukh aur haleema upper aa jate hain mahrukh apne kamre main carem lene hale jate hai and haleema rukhshanda ke pass beth jate hain
Rukhshanda: ho giya nashta
Haleema smiles
Haleema: kyun bahi aaj kuch nahi pakaya
Rukhshanda: yeh larki nashta khana aksar neeche hi kar lete hai ab apne akele ke liye kiya ehtamam karon wese bhi raat ka sara salan wese hi para huwa hai
Haleema: es liye kehte hoon tum bhi neeche aa jaya karo
Rukhshana : (smile)bhabhi pehle hi karne ko kiya hota hai ab handiya bhi na pakaon to kiya karon aur mahrukh to jab se farikh huwe hai bekar ho gai hai sara din tv yaan khel main to heraan hoti hoon bahi jaan sara din es ke saath lage rehte hain thakte nahi
Haleema: (kheka lagate huwe) farikh jo hain jab se unho ne bank se retirement li hai bache ban gae hain
Just then mahrukh enter aur woh neeche jane lagte hai
Rukhshanda: tum kahan chale
Mahrukh: main neeche jaa rahi hoon ami bare papa aa gae hoon ge main un ke saath carem khelne jaa rahe hoon aaj mere un ke saath burger ke shart lage hai
Woh neeche chale jate hai aur peeche rukhshanda aur haleema hans parte hain us ke bachpane par
Episode end
To be continue
Do comment guys
Sorry 4 spelling mistakes and other things