do naam ek jaan (a fan- fic) - Page 6

Created

Last reply

Replies

86

Views

10.2k

Users

24

Frequent Posters

sara_naveed00 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 19 years ago
#51
OOOO HII FARAH!! IM SARA!! I LIVE IN PAK!! IN LHR!! NICE MEETING YA!! UR STORY IS JUS EXCELLENT!!! GR88..SUPERB!!! PLZZZZZZ WRITE MORE!!! 😛
sangi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#52
plz continue.... reading ur story.. i am grinning like crazy.....
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#53
ok,,,,so for your grinzzz.............next part. lol

sujal sits in his car and drives to kashish's place, thodi der lagti hai as he is finding her address.

KASHISH HOUSE:
ding dong!!! (the door bell)
kashish:(standing up from the sofa she was sitting on) mein dekhti hon!
charu: di aap bheto . i 'll see
tulsi was still in her room. charu ja ke darwaza kholti hai.........
charu: are.........sujal bhaiya aap?
sujal: charu!! (he looks surprisingly at charu) yeh .....tumhara ghar hai?
charu: bhaiya.....aap bhi na, aap mujhse milne ayen hain to yeh mera hi ghar hoga na.
sujal: haan.....nahi likin mein tum se milne nahi..........
charu: mujhse nahi? to phir kisse?
sujal: woh....kashish......hai?
charu: haan hain na, likin aap bahir kyun khare hain, andar to ayiye.
charu brings sujal inside.
Charu: di, aapse milne sujal bhaiya ayen hain.
kashsih was sitting on the sofa while her back was facing the door.
kashish to herself: sujal bhaiya? (are kashish sayiyan ko bhaiyan kyun keh diya. lol)
she turns around to see sujal there. woh pehle sujal ko dekhti hai aur phir charu ko!
kashish: charu, tum janti ho isse?
charu: haan di, ofcourse bahut achi tarah se.
kashish: kiase? (suspiciously)
charu: di woh last year jab college mein funds ki kami hui thi aur humara dance show cancel hone wala tha, tab sujal bhaiya ne hi to humari madat ki thi! aapko yaad nahi?
kashish: (kuch yaad karne ki koshish mein). haan.....koi tha to sahi....likin.......woh aap to....... (still couldnt remember properly)
charu: gosh di. inhone silently paise donate kiya the, woh to mein show kar rahi thi isliye mein ne inke saath mulaqat ki thi, he is a great gentleman aur mere liye to bare bhai ki tarah hain!...mein ne apko bataya to tha, aapko yaad nahi?
kashsih was still confused...
sujal: charu, tumhari di ko to bhoolne ki bimari hai.....inhe kuch yaad kaise reh sakta hai
kashish: excuse! mujhe.......i think mujhe thoda thoda yaad hai. likin that doesnt matter. aap yahan jis kaam keh liye ayen hain woh de kar aap ja sakta hain.
sujal: (dissapointingly apne peeche se kashish ka purse nikalta hai aur uski taraf age karta hai) yeh li jiye.
kashish holds the purse. her fingers touch sujal's fingers aur phir............thoda sa pyraa huwa hai .thoda hai baqi...............
kashish purse le ti hai, starts checking...
sujal: charu , kya mein shakal se chor dekhta hon?
charu: nahi to. kyun?
sujal: to phir apki yeh di purse aise kyun check kar rahi hain jaise mein ne is mein se kuch churaya hoga.
kashish sujal ki taraf dekhti hai
kashish: waise aapka kya bharosa....
sujal aur kashish dekhte hain ek bar phir se!
sujal to charu: aaj kal bhalayi ka zamana hi nahi raha. khair, ab mein chalta hoon. take care
charu: are. aise kaise bhaiya, mein apko kuch khaye piye bina nahi jane dungi
kashish: kya zaroorat hai charu! shayad yeh kisi jaldhi mein honge.
sujal: (kashish ki yeh baat sunke woh bhi zid peh utar aya) nahi waise aisa bhi koi important kaam nahi hai, mein coffee pee ke chala jaonga (he passed a wining smile to kashish)
charu: yeh hui na baat. di plz, aap coffee bana do. aapke haathon ki coffee ki taste hi aur hoti hai
kashsih: mein? tum ne roka hai isse, to khatir dari bhi karo! and starts to leave.
sujal: mannerism............aaj kal ki larkiyon mein dhund ne se hi milte hain (woh kashish ki taraf point marta hai)
kashish: what do you mean?
charu: (beech mein larayi ko bharne se rokne ke liye kehti hai) di plz na, dekho sujal bhaiya kitne armaan se yahan ruke hain, ek coffee ka hi to sawaal hai! plz (charu kuch kahe to kashish use na nahi kar sakti thi isliye purse ko sofe peh rakh ke kitchen ki taraf gayi)
sujal: uff.......kafi ziddi hain
charu: nahi, bus ghar ka sara bujh wohi uthati hain isliye kabhie kabhie chirchari ho jati hain
sujal: (while seating himself on the sofa) kabhie kabhie....hummmmmm!

charu and sujal were chatting when kashish arrived with the coffee.
kashish: sugar?
sujal: aap mujhse puch rahi hain?
kashish: kyun, yahan koi aur bhi aya hai coffee peene (tauntingly)
sujal lays back on the sofa and says: panch chamche
charu: PANCH?"
kashish also looks at him in shock!
sujal: haan, waise to mein normlly do spoons leta hon, magar tumhari di ka ghusa dekh kar lagta hai keh aaj meethe ki zaida zaroorat paregi! (hummmm flirting.....kyun sujal??????/)
charu: (cracked up) bhaiya aap bhi na. waise itni sarooo nahi hai meri di!
kashish: charu!
charu: oops, sorry!
kashish, do spoons sugar dalti hai aur coffee sujal ko dene ke liye uske paas ati hai, tray le kar thoda sa jhukti hai aur sujal thoda age hota hai. sujal haath age barhata hai magar nazar kashish ki jhuki hui nazron par hoti hai.
sujal to himself: itni masoom ankhen aur un mein itna ghusa!!!! kashish keh baal sujal ke haathon ko chu rahe the. woh bechari khare khare thak rahi thi, magar sujal sahib ko uski khoobsurti dekhne se fursat hi nahi mil rahi thi........

kashish: coffee uthna pasand kareinge? (ghuse mein)
sujal: ummm....haan, yeh wali?
kashish: jee!
sujal coffee uthata hai and comes back to his senses!
sujal coffee peene ke bajaye, abhi bhi kashish ki adaon mein khoya hota hai
charu: kyun bhaiya, kaisi lagi coffee?
sujal: ( takes a sip , its hot and he burns his lips) garam hai (while looking at kashish)
kashish usse dekhti hai (with questioning eyes)
sujal looks at kashish aur foran kehta hai while lifting the coffe cup
sujal: coffeeee......gaaram hai!
kashish yeh sunkar upar chali jati hai.....................

sujal finishes his coffee and tells charu that he is leaving.

Kashish in her room thinks to herself: hunh, garam hai.........yeh bhi koi tareef karne ka tareeka hota hai.............agar achi ya tasty keh deta to kya jata. (acah to yeh ghusa sujal ki tareef na karne ka tha.....hmmmmmmmmm, lagta hai kashish ke dil ka haal uski zabaan se juda hai)
woh dekhti hai apni wondow se keh sujal is leaving. she goes by the window and stands behind the curtain to see a glimpse of sujal! magar sujal to seedah gari mein bhet jata hai...............while kashish still awaits for his one glance behind the curtains.....................

kyun itni betaabi hai kashish ko.........kya usse bhi kuch kuch ho gaya hai. hahahahah! kya is bar sujal aur kashish ki nazrein takrayeingi..............welll.............let me think.....while you enjoy it!
take care
sangi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#54
awesum.... i was lafghing like mad.... itz tooo good....
pinkstarrs_9 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#55

too good plz continue thoda jayada liko plzzzzz 👏👏

pink

aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#56
think think fast think
think fast
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#57
ok ok. so i am thinking faster now....................

..........kashish was standing by the window for sujal to look at her once, but sujal sat in his car and was about to drive when.........uske maan se awaaz ayi.
sujal's maan: ek bar nazar utha keh dekh lo, shayad woh tumhara hi intezar kar rahi ho?
sujal ne yeh sochte huwe apni nazrein upar uthayi aur kashish ke ghar ki taraf dekha, front peh hi kashish ki khirki thi!!!! and yes she was still standing there.
Sujal ne uski taraf dekha and gave a full smile...........song time:
aaj yeh kya huwa hai, dil nahi mera bus mein,
isliye sochti hon tor do sari rasmein,
umer bhar keh liye tu...aa mera saath dede
tera ho jaonga mein, haathon mein haath dede
haathon mein haath sahi...
hoooooooooooooooo
tu mere saath sahi
phir bhi teri haan hai baqiii!!!!!!!
thoda sa pyaar huwa hai.....thoda hai baqi (courtsey film main ne dil tujhko diya!)
kashish apna sar sharam se jhuka ti hai aur foran curtain keh peech chup jati hai. likin humare majnu itni jaldhi se peecha shurne wale nahi the, Sujal kept sitting in the car to see if she comes out or not! aur jee haan, kashish ek baar phir se samne ayi likin is baar apni windows bandh karke curtains age kheech diye...............

Sujal: hmmm.....lagta hai humari rahein milne wali hain! aaj to sirf tumne apne kamre ki khirki bandh ki hai, magar apne dil ke darwaze kaise bandh kar paogi!!!!!!!! and he left for home

aaj sujal to khush tha hi likin kashish keh maan mein bhi khushi ka toofan aya huwa tha, magar woh khud ko mana nahi pa rahi thi. kamre mein leti hui thi aur kabhie side lamp on karti to kabhie off!
charu at that time was passing by so she came inside kashish's room
charu: di. koi prblem hai?
kashish: nahi to, kyun?
charu: phir kyun is bechare lamp ko saza de rahi ho?
kashish: um......woh....mein kuch soch rahi thi
charu sits on kashish bed and says: acah mujhe bhi batao
kashish: tumhare janne ki baat nahi hai
charu: kyun? kyun nahi
kashsih: bus kaha na nahi
charu: hmm. waise sujal bhaiya aapke bare mein sahi keh rahe the.
kashish(excitedly) kya keh raha tha?
charu: kyun bataon?
kashish: bata na plz, dekh mein ter bari behen hon
charu: keh rahe the keh aap bahut ziddi ho
kashish yeh sun kar laid back on the bed.......: :aur kuch nahi kaha?
charu: kaha tha, magar aap ko kya, aapko to woh pasand hi nahi. waise di, you were very rude to him. koi mehmano ke saath aisa karta hai kya. mana woh rishi jaise larke keh bhai hain magar he is very different!

kashish charu ki baatein sun to rahi magar apne gale ki chain ghumate huwa gum sujal ki un nazron mein hi thi jin mein abhi abhi woh .............atak gayi thi(lol, couldnt find a suitable word)
charu: di....(shaking kashish) app sun rahi ho na!
kashish: haan sun rahi hon........acha ab tu ja, mujhe neend arahi hai
charu: theek hai. take care! wasie aapko sujal bhaiya kaise lage?
kashish: pata nahi.....kuch khaas nahi
charu: (teasingly) to phir itni inquiry kyun kar rahi thi?
kashish: tu jati hai keh mein............(she raised a pillow to hit her)
charu: acha baba ja rahi hon. (she was now almost outside the door, likin apni shararti harkaton se baaz na ate huwe waapis kashsih ki taraf palat keh boli....
charu: di, ab sujal bhaiya ko khawaabon mein zaida pareshan mat karna..............waise sujal bhaiya se sujal jiju kehne ki adaat dal lun???? (charu ko kashish ke pyaar ka andaza ho gaya tha, as she left she winked at kashish)
kashish: charu ki bachi.............(and threw the pillow towards her lightly but charu ran away)
phir woh takeeye mein mun dabaa kar so gayi!!!!!!! (shayad sujal ke khuwaab dekhne ki bahut jaldhi thi!!!!!!!!!)


GAREWAL HOUSE

sujal waapis a chuka tha aur apne kamre mein tha. just then rishi came inside.
sujal: kuch chahiye?
rishi: haan
sujal: what?
rishi: sach....sach suna chahta hon
sujal: kaisa sach?
rishi: wohi jo aap sab se chupana chahte hain.........magar baat kya hai na Big b, keh yeh larkiyon keh mamle mein mera zehaan apse thoda tez chalta hai............so come on tell me fast..........kon hai woh?
sujal: kya baqwaas kar raha hai. kon si larki?
rishi: uffff...........tooo bad! wohi jise shaam ko phone kiya,jisse milne aap gaye, aur abhi jiske khayalon mein aap khoye huwe hain!
sujal idhar udhar dekhta hai. he knew keh rishi ki nazar aur akal bahut tez chalti hai aur woh cha kar bhi apne dil ka haal apne chote bhai se nahi chupa sakta....................
sujal: haan........ek hai........magar pata nahi woh mujhse.....
rishi:thats the spirit bro! ap ko koi larki inkaar kar hi nahi sakti...usse to
sujal: rishi, woh koi aam larki nahi hai, bahut alag hai......pehli nazar mein uski sadgi, uska ghusa, uska baat baat peh ghabrana...........she diiiifferent!
rishi: big b, yeh larkiyan upar se different hoti hain......likin andar se sab ek jaisi.......
sujal: (looked at him with a "you dont know her look")
rishi: khair agar aap keh rahein hain to mein maan leta hon.likin big b, uske dil ka haal janna hai na to meri ek expert advise le lo.
sujal: (magazine flip karte huwe) ab tu baghir apni expert advise diye baghir to jaye ga nahi......isliye jaldhi batao aur phir yahan se jao!
rishi: ok bata hon. well....zaida mushkil nahi hai, bus aapko us larki....jo bhi hai..........usse thoda bhao dena hoga.
sujal: (closed the magazine) bhao? matlab?
rishi: matlab ignore her, uske samne reh kar usse ignore karo.........phir dekhna woh khud apne pyaar ka izhaar kar bhete gi! i can bet on that
sujal: rishi.......... ho gaya. mein ne tumhe kaha na woh alaag kisam ki larki hai..........aur mein aisa kuch nahi karunga..........mujhe aitbaar hai apne pyaar peh..............ek din uski dharkane is dil mein dharkein gi, mujhe zaroorat nahi is tarah ki koi har kat karne ki!!!!!!
rishi: ooooooooo, chill bro! mein ne socha keh shayad.........khair aapki marzi...........waise humari hone wali bhabie se kab mil wayein ge?
sujal: (now facing rishi and smiles )very ...........ve...rrr...yy soon!

rishi hugs sujal and leaves.
sujal to himself: agar meri nazrein tumhara ghus pigla sakti hain, agar mera dil tumhari dharkano ki raftar barha sakta hai to mera yeh pyaar bhi tumhe ek din mera bana de ga!!!!!!! ye sujal garewal ka waada raha!


gosh i am tired!!!!!!!!!!! ok i'll try to speed up the story too, sorry agar zara slow lag rahi ho,,,,akhir pyaar to ahista ahista hi hota hai na!!!!!! well, coming up....kashish and tulsi's encounter.............rishi , kashish and college and ofcourse..........humare majnu aur laila ki mulaqat...........ek aur mulaqat
until then.........take care

Farah
pinkstarrs_9 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#58

👏plz continue

pink

Fallen-Angel thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 5
Posted: 19 years ago
#59
👏 Awesome Farah...plz continue soon
sara_naveed00 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 19 years ago
#60
OHH GREAT!!PLZZZ FARAH..WRITE MORE!!!
IM WAITING....!!!! 😛 😳 😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".