ok so the next day begins!
its now 7.30am , kashish and charu are ready for college. they take the blessings from tulsi and as alwayz tulsi gives no response to kashish!!!
AT THE COLLEGE:
charu goes to the class while kashish is going to the staffroom when she turns the corner and hears some guys.
boy #1: yar rishi, college shuru ho gaya par kuch maza nahi aya, koi ragging shagging ki jaye in juniors keh saath
rishi: nahi yaar, is saal ka plan kuch aur hai!
boy #2: kya plan hai?
rishi: is bar kisi student ko nahi balke teacher ko bakra banaye gein!!!! (he was wearing goggles and slowly brings then down with his finger)
boy#3: par kisko. kon se professor ko?
rishi: wohi, jisne kal rishi garewal ko challenge kiya tha..........Mssss Sinhaa!
boy #1: pagal ho gaya hai, woh bari tez cheez maloom hoti hai
Rishi: (while touching that boys face) kyun daar gaya, agar woh tez cheez hai to hum bhi kaam nahi. kal ke challenge ka jawaab to mein donga!!! aur woh bhi yaad rakhe gi! lets go guys!
kashish yeh sab sunleti hai, thoda sa dar jati hai magar phir.....usko woh baatein yaad ati hai jo usne sujal ko kahin thi...she builds her confidence and says to herself: tum mujhe kya yaad dilaoge...aaj to mein tumhari class lungi!
picks up her stuff from staffroom and heads towards the class
the class has started, everyone in the class is seated and kashish has marked their attendence. after 15 minutes......rishi arrives with his gang!
as he was entering kashish sees him and now the fight begins:
kashish: class shuru huwe 15 minute guzar chuke hain, role mark ho chuka hai, ab tashreef lane ki koi zaroorat nahi, aap ja sakte hain............magar haan kal se time par ana. (yeh keh kar she turns towards her students)
rishi: oh really! you'll stop me? waise meri ghari mein to abhi theek 8.30 huwe hain! kyun guys?//
his freinds agreed with him!
kashish ab kya kehti, ek student ko parne se mana to nahi kar sakti thi. so she let him come inside
likin itni jaldhi har woh bhi nahi manne wali thi, so she thought of a plan!!!
kashish: ok, so before i begin i want you guys to intrduce yourself to me..........so who should be first................ok yes you.........rishi.
rishi: main? (surprisingly)
kashish: jee aap. plz come in front and introduce yourself!
rishi: they all know ne....i'm RISHI GAREWAL.
kashish: kya mein ne aapse kaha keh aap in sab introduction dein. i said keh intruduce yourself to me! to plz bahir ayen......stand here..........pointing beside her and tell me about yourself.
one of rishi's friend spoke up: madam jee, yeh college hai school nahi!
kashish: acah student jee, to aap bhi student hain is school keh malik nahi.
the guys got embarrassed.
kashish: agar college mein parne ka shauk hai to behave like adults, class mein time peh ayen aur dosron ki respect karein. atleast college students ko itna to ana hi chahiye.
the guys were feeling insulted (khair insult hi to kar rahi thi kashish)
kashish: and now.......rishi introduce yourself.
rishi: (uske andar aag to lag hi gayi thi magar woh confuse tha keh ek larki usse is tarah se insult kar rahi hai) mmmm......mein.......i........i'm...............
kashish: oh ho lagta hai aap daar gaye!
the students started to giggle!
rishi: Wrong, na rishi ne daar na sikha hai aur na hi harna!
kashish: oh really. to meri class attend kar lia karein.....ap darna aur harna dono sikh jayienge.
rishi was totally messed up. somehow he wasnt able to compete in words with kashish, so in anger he pushed the table and kicked the chair and left in a huff!
rishi pointing at kashish: tumhe to mein dekh longa
kashish: agar roz class mein ajao to mein zarror dekhongi!!!!!
as rishi left the students started to laugh!
kashish: stop it plz. mein ne yahan koi mazak nahi kiya tha. magar aapke samne yeh sab karne ka maksad rishi ki insult nahi magar apko yeh sikhana tha keh dar dar keh jeena is wrong. agar aapke aas paas kuch ghalat ho raha hai to face it....dont run away...............aur yeh rishi jaise larke kisi ka kuch nahi bighar saktein..........yeh sirf bolna jante hain, so next time i want you all to face the situations.......understand!
sab ne kaha jee but charu stood up and started to clap. everyone looked at her and the bell rang (yani class time over, oh ho aaj to kuch par haya hi nahi)
college day finishes.................................
KASHISH"S HOME
charu apne kamre mein thi , tulsi kitchen mein aur kashish kuch files check kar rahi thi. dinner was ready, kashish table par ati hai!
kashish: are charu kahan hai?
tulsi: apne kamre mein (bura mun bana kar)
kashish: acha mein usse bula keh lati hon
tulsi: koi zaroorat nahi hai
kashish: magar kyun mama! khana thanda ho jayega
tulsi: kashish plz. stop it. itna interfere mat kiya karo meri aur meri beti ki zindagi mein! (scolding her)
kashish: meri beti? kya matlab mama, kya mein nahi hon aapki beti!
tulsi: tum se to baat karna hi fazool hai.
kashish: (thoda chirte huwe) aap karti hi kab hain mujhse baat. bachpan se le kar aaj tak apne khud ko mujhse dur rakha. hamesha se dekhti ayi hon keh meri wajah se aap aur papa larte rahe! mujhse baat nahi karti aap, meri baat sunti nahi aap............aur ab charu ko bhi mujhse dur kar rahi hai. woh meri choti behen hai.............kyun ma kyun.......kya ghalti hai meri........
tulsi: kiski galti hai yeh mein nahi janti....bus itna janti hon keh tum humse dur raho to behtar hai (she said this and left the table)
kashish: (holding her hand).....kyun dur rahon............koi wajah to hogi? aap mujhe zindagi bhar ki saza de rahi hain, magar saza dene se pehle meri ghalti kya hai yeh to baateyein ma, mera kasur kya hai ma.........kuch to bolo ma plz...............ma? (she was almost begging)
tulsi: (apna haath churate huwe) nahi hon mein teri ma! (furiously aur phir rona shuru ho gayi) nahi hon mein teri ma................nahi hon, tu meri beti nahi hai!
tana tana taana (kashish in skock)
tulsi: jana chahti hai apna kasur, tumhara wajood hi tumhara kasur hai, tumhara guzra huwa kal tumhara kasure hai..........tumhari shakal mein mujhe us aurat ki shakal nazar ati hai..............tumhare papa ki bewafai nazar ati hai.........................
kashish was in tears.........: mama aap jhoot bol rahi hain!
tulsi: yeh hi sach hai. tum ....haan tum meri zindagi ka ek aisa sach ho jisse mein cha keh bhi mita nahi sakti! meri nafrat tumhe dekh keh aur bharti hai . tum ek dhooka ho.......chali jao yahan se...........chordo mujse akela............jaoo! (pushed her towards the main door, aur khud apne kamre mein chali gayi!)
charu was still sleeping and didnt hear a word!
kashish toot chuki thi, ankhon se ansoo to bhe hi rahe the magar dil bhi ro raha tha.
kashish to herself: nahi aisa nahi ho sakta...mama mujhse jhoot bol rahi hain....mein..unki..........beti......nahi nahi (yeh sochte sochte woh ghar se bahir nikal gayi, on the main road now)
rishi and the gang were coming out of a near by pub......
rishi's friend : are woh dekh rishi........mssss Sinha!
rishi: really! lets go guys....aj maza chaka hi dein,,,,yeh bhi kya yaad karegi!
............................................................ ..
.. ............................................................ ..
............tulsi ki awaaz kashish keh kano mein gunj rahi thi. "tumhari shakal mein us aurat ki shakal nazar ati hai!!!!" " tum ek dhooka ho" " tum ek aisa sach ho jisse mein cha keh bhi nahi mitaa sakti" .......................keh achanak............................
SUJAL....
sujal was coming back home from office,,,still thinking about kashish, nazrein kahin thi aur dehaan kahin aur keh achanak woh gari rokta hai...bahut rush laga huwa tha sarak par, traffic block thi.
sujal to a man passing by:kya huwa hai, itna rush kyun hai
the man: koi accident huwa hai sahib
sujal: accident?
sujal gari se utarta hai dekhne keh liye, aur accident site peh pohanchta hai.
sujal: kisi ne ambulance ko bulaya?
another man: haan phone to kiya hai , ati hogi
sujal thoda aur age jata hai and finally age tak pohanch jata hai, aur dekhta hai keh khoon mein lipti ek larki pari hui hai..................................................
sujal goes close to her and he is terribly shocked at what he sees
sujal: KAAASSHHIIIIIIIIIISHH!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
well...zara aaj kuch zadia emotional ho gayi kahani......koi baat nahi kabhie kabhie udaas bhi ho jana chahiye......kyun? ab kashish.....bach payegi ya nahi?kya iske peeche rishi ka haath hai? what will sujal do? milte hain break keh baad!
farah