So wonderful to read all. Here is my emotions 😃
Aaj dil bezubaan hai aur nazare bol rahi hai
Kaajal bina meri aakhen suni hai
Payaal bina meri paier suni hai
Sindoor bina meri maang suni hai
Tumhare bina meri zindagi suni hai
Mujhko pata hai
Mujhko khabar hai
Bas tum bekhabar ho
Meri dahekte dil meh tum ho
Meri bahekte kadam meh tum ho
Meri machalte armaan meh tum ho
Mujhko pata hai
Mujhko khabar hai
Bas tum bekhabar ho
Kahe doh tum yeh unkahi
Yeh raat dooriya hai
Jaha pyaar hai wahi darmiya hai
Khamosh aaj yeh meri zubaa hai
Mera pahela pyaar ka yeh nashaa hai
Saso ki jalti shama mei bujha doon
Khud ko mei aisi saza doon
Tumhare bina mei khud ko mita doon
Itna pyaar karoon tumhe ki zindagi bhoola doon
Yeh dil ki lagi meri kaise karoon mei bayaa
Ki aaj dil bezubaan hai aur nazare bol rahi hai
Kya tumko pata hai
Kya tumko khabar hai
Hum karwate ke laheron meh toot ke bikhar rahe hai
Tumhe gale lagaane ke arzoo meh hum pighal rahe hai
That was brilliant Sharila di!👏