Krishna- Sudama meeting - 1st part
Sees pagaa na jhagaa tan pe Prabhu
Jaane ko aaye baso kehin graamaa
Dhoti phati si lati dupati aur paanv uphaanah (?) nahi sama
Dwaar khado dwij durbal ek, rahyo chakiso Basudhaa aviraamaa
Dwaar khado dwij durbal ek, rahyo chakiso Basudhaa aviraamaa
Puchhat Deendayaal ko dhaam bataawat apno naam Sudama
Puchhat Deendayaal ko naam bataawat apno naam Sudama
Naam Sudama ka sunte hi tyaj aasan dhaaye dwaar ki oraa
Mukut kahin to kahin pat uljhaa, milne ko vyaakul dheer na thoraa
Aisi utaavali hai gati me jaise baavali vaayu ka matt jhakoraa
Mitra se bhent ko mitra chale jyun dhaavat chaand ore chakoraa
Kautuhal bhare yeh drishya sab dekh rahen
Sudh budh khoke Krishna daude kahan jaate hain
Ud ke chale hain, peechhe mud ke na dekhe leelaa
Dekhnewaale to kuchh samajh na paate hain
Girte hain padte hain, phir uth chalte hain
Dwaarpaalon kabhi daasiyon se takraate hain
Kaun ye mahatvapoorna aa gayaa hai dwar pe ki
Agawaani karne ko aise akulaate hain
Agawaani karne ko aise akulaate hain
Deeno ke bandhu karuna ke sindhu
Lekar naino me jal bindu
Saare naaton se badhke ek neh ka naataa nibhaane chale hain
Bhraman karen jo phoolon ke rath pe
Chal kar wo pathareele path pe
Nange paon jo aayaa usko nange paon bulaane chale hain
Darshan ki abhilaashaa khoke, jagat hasaai se vyakul hoke
Aas ke tukde Sudama sanjoke,
Ashru me jeevan doobaane chale hain
Prem parikshaa ki ghadi aayi
Mitra ke naam ki ho na hasaai
Mitra paraayan Krishna Kanhaai
Rooothaa mitra manaane chale hain
Rooothaa mitra manaane chale hain
Krishna-Sudama meeting- 2nd part
Varshon ke bichhde do meet aaj sanmukh hain,
Naino me darshano ki yaachana pavitra hai
Milne ki lalak bhi hai, milne me jhijhak bhi hai
Baalpan ke saathityon ki dashaa kuchh vichitra hai
Dono ke naino me aansuon ke moti hain
Motion me baalpan ki mitrataa ka chitra hai
Chhota bada oonch neech, raja rank koi nahi
Prem ki dharaa pe mitra keval ek mitra hai
Prem ki dharaa pe mitra keval ek mitra hai
Bhaav bhari is bhent ko dekh raha sansaar
Dekhanewale kar rahe Krishna ki jay jaykaar
Prem jagat me saar
Krishna ke sang Sudama ko lekar rath mehelon ki ore chala hai
Mitra ko paake Sudama soche kin janmo ka punya phalaa hai
Bhaav vibhor Kanhaaiya ka mann, nishchal prem ke saanche dhalaa hai
Jis rath me do mitra viraajen, wo rath har teerath se bhalaa hai
Krishna ke sang Sudama ko lekar rath mahalo ke ore chala hai
Pahonch gaya rath mehelon ke dwaare karte pravesh Sudama lajaaven
Daas aur daasiyaan Krishna-Sudama pe sneh suvaasit suman lutaaven
Aagrah poorvak Krishna sakha ko antahpur me le kar jaaven
Raaniyaan bhavya karen abhinandan aarati vandan kar harshaaven
Raaniyaan bhavya karen abhinandan aarati vandan kar harshaaven
Stuti of 'Shri Krishna-Rukmini and Balram' as 'Shri Ram-Sita Mata and Lakshman' by Hanumaanji
Tum devan ke dev ho, mai daasan ka daas
Darshan paakar aapka bujhe yugon ki pyaas
Darshan Ram roop me dinhe paiya laagu he Hari
Darshan yugal roop me dinhe paiya laagu he Hari
Sang Jaanki Lakshman aaye kirpa kari
Sang Jaanki Lakshman aaye kirpa kari
Darshan Ram Lakhan Siya dinhe paiya laagu he Hari
Darshan Ram Lakhan Siya dinhe paiya laagu he Hari
Ram Lashman Jaanki
Jai bolo Hanumaan ki
Bhagwan tumhre bhakt na maahi mai sur nar muni me ko nahi (?)
Bhagwan saare devan maahi bhaktparaayan tumsa nahi
Siddh kar tumne diya hamri preet kari (?)
Siddh kar diya tumne bhakt ki bhakti khari(?)
Darshan Ram roop me dinhe paiya laagu he Hari
Darshan yugal roop me dinhe paiya laagu he Hari
Ram roop me Shyam samaaye Lakshman ban Baldaau aaye
Shyam roop me Ram samaaye Baldaau Lakshman ban aaye
Lashmi roop Rukmini Sita maiya hamri
Lashmi roop Rukmini Sita maiya hamri
Darshan Ram Lakhan Siya dinhe paiya laagu he Hari
Darshan Ram Lakhan Siya dinhe paiya laagu he Hari
(Ram Lashman Jaanki
Jai bolo Hanumaan ki) 8