- Mythological Songs/Dialogues Gallery - - Page 12

Created

Last reply

Replies

206

Views

156.6k

Users

26

Likes

669

Frequent Posters

RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 14 years ago
Hey Deeps, thank you SO much for all the songs, dear!🤗 This really helps a lot for making sigs, will def be inspired to make more DBSK sigs now.😉 Thanks also for the ASR songs, I just love all the lyrics Ravindra Jain ji wrote for the Ayodhya Kand scenes.😍When you get the chance, could you also post the lyrics for the song that comes right before Dashrath dies, when he sees Ram coming towards him and feels happy that he's gotten one last glimpse of him? It's the same tune as the title song, and I just love it sooo much, the meaning is so sweet and sad at the same time.😍😭
Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

|| Anand Sagar's Ramayan ||

here's the lyrics of the song when Sitaji serves Ramji !
she washes his feet and then uses her hair to wipe the water 😳
Kaisa Kathin Van marg hai..
Kaisi sukomal deh hai ..
Yeh soch kar Siya nayan se chhalke jo antar neh hai ..
Pad pad bhraman ki kranti se...
Kumbhla gaye jo pad kamal..
Abhishek unka kar rahi ..
Sita liye Sarita ka jal..
Kamneeye Keshon se unhe..
Saadar sa-prem angochh kar..
rasphurutit pad pankaj Priya ne..
uni kiye dhoo ponchh kar..
kitna hi durgam panth ho..
uddeshya sanmukh hai bade..
karke tanik vishram Lakshman,Ram,Siya poonhi chal pade..
karke tanik vishram Lakshman,Ram,Siya poonhi chal pade..
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 13 years ago
^^ Yaaay, thanks for posting that, it's one of my favorite scenes in ASR!😍
Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

|| Anand Sagar's Ramayan ||

okk ji ... on heavy demand ..here am starting with the wedding songs .. 😆 i have left blank space at a place or two where am not getting that word correctly... 😉
The Barat enters the wedding hall... ::
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Tum atithi vishesh humare...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
kis aasan par tumko bithaaye..
palke bichhaye..ki hridaye bichhaye..
palke bichhaye..ki hridaye bichhaye..
kya tumhari seva mein laaye...
tumhe dekh ke hi mann haare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Humko Ram dulha ke kaaran...
Dashrath ji ke ho rahe darshan..
Dashrath ji ke ho rahe darshan..
Sang hai Lakhan, Bharat ,Ripushudhan
ho __________ prano se pyare...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Shatt janamo ke punye phale hai...
tab yeh milan ke deep jale hai...
tab yeh milan ke deep jale hai...
hum toh gagan ko chhoone chale ..
aji udd kar sang tumhare ..
madhur abhivaadan tumhara...
madhur madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur madhur abhivaadan tumhara...
______________________________
When Janak ji gives the 4-faced deepak to Ramji.. :
Chow-mukh deepak Ram ko..
arpit kar Mithilesh...
Chahu dishi mangal ki kare...
shubh kaamna vishesh..
pad pankaj par akshat da re..
Janak ka neh Ram svikaare..
____________________________
Barat proceeds towards the seats :
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
Bela panigrehan ki ..
sukhdaayi hai..
Bela panigrehan ki ..
sukhdaayi hai..
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
____________________________
The grooms head towards the Lagan Madap :
Rakho maan humaro ji...
Lagan mandap mein padharo ji...
Jun pad pankaj Lakshmi sevit...
Un pe kare hum tandul arpit..
Baitho Kunwar ji paon pakhaare..
Paon pakhaar ke janm sudhare..
Pujniye var charo ji ...
Sab ko mangal humaro ji..
Dpka1415 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago

|| Anand Sagar's Ramayan ||

4 brides coming to the wedding hall ::
Dharmsheel Gunvati Puneeta...
Jyoti lutati aa rahi Sita..
Tribhuvan ke swami se milan ko..
chali Tribhuvan Swamini..
Hai sang teeno bhagniya..
Siya panth ki anugaamini..
Kamneeye komal charan pankaj
lag rahe kitne bhale...
le charan choombam khil uthe hai ..
pushp pushpon ke tale..
le charan choombam khil uthe hai ..
pushp pushpon ke tale..
_____________________
Jaimala :
Dono ke paryaye hai dono...
Poorva likhit adhyaaye hai dono ...
Nistrej kare do..
kaanti koti Rati-Kaam ki..
Nistrej kare do..
kaanti koti Rati-Kaam ki..
Sur nar muni mohini...
Jodi Sita Ram ki ...
_____________________
Kanyadaan, Saptpadi & Sindoor Daan :
Gao ri mili mangal gao ri...
Gao ri mili mangal gao ri...
Manhar jodi neerakh ke jeevan
Manhar jodi neerakh ke jeevan
suphal banao ri...
Gao ri mili mangal gao ri...
Gao ri mili mangal gao ri...
___________________
Sagar jiyun Hari ko di Lakshmi
saunpi Himalaya ne Shiv ko Gauri..
waisi hi reet Janak nibhaye..
Kanyadaan se punya kamaye..
Kanya ratan svikaro ji..
Kul mithilesh ka taaro ji...
Kanya ratan svikaro ji..
Kul mithilesh ka taaro ji...
________________________
mantras..(not quoting as i dont get them correctly)
________________________
teeno loko mein anand ki lehar aayi hai..
Jodi manhar sabke mann bhaai hai...
Siya Ram reeti anusaar pheeran laage
Hare Hare ... pheeran laage...bhawariya..
Dekho ik sang jode chaar...pheeran laage
Hare Hare ... pheeran laage...bhawariya
Siya Ram reeti anusaar ..
_________________
Kul guru kar rahe mantra-uchchaaran...
Lakshmi sang chale Narayan...
Avadh ke deepak Mithila ki baati..
ban ne chale hai..Jeevan Saathi...
Raj Kunwariyan sundar sundar...
Anupam Raj Kumar...
pheeran laage...
Hare Hare ... pheeran laage...bhawariya..
Siya Ram reeti anusaar ...
_______________
Maane Janak ki hum badh bhaagi...
Ram si nidhi paayi bin maangi...
Dashrath ji phoole na samave..
Swajan snehi param sukh paave...
teeno lok byah yeh dekhe..
drishti pasaar pasaar..
pheeran laage...
Hare Hare ... pheeran laage...bhawariya..
Siya Ram reeti anusaar ...
________________________
Saptpadi akshay sukh dayi...
ab parinaye ne purnta paayi...
sindoor daan kio Narayan...
maang ki maang bhayi hai pooran...
Gao ri mili mangal gao ri...
________________________
|| JAI SHREE SITA RAM ||
...Mina... thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
hiii friends !! here r some songs from AS ramayan, some of my favorites !!😃
pushp vatika!
[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=GTbe8eqj-CE&feature=related[/YOUTUBE]
chahudisi dhoondhe ram ko vaidehi ki drishti
kaha ram ojhal hue .. kar kautuhal srishti, dhoondhe siya ki drishti
latao ki ot se prakat hue ram aise
prakat ho chandr jaise megho ko hataake
sita ko nihaare ram, ram ko nihaare sita
naina hue tript nayan nidhi paake
naino ki dagar se hriday ke nagar siya
raakhe ram palak kapaat giraake
lakshmi narayan avaakh yahi soch rahe
bichhde the kaha aur mile kaha aake!
ankita2804 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
AWEEESSOOOMMMEEE GALLERYYY...
Perfecttt for me ... I reallyy need this... 😆
ankita2804 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
** Anand Sagar's RAMAYAN **

Ram-Siya Swayamvar... D song is played while Sita is going to put garland on Ram n her companions sing d song. The song tells how Sita's steps r stopping by shame, as she couldn't believe dat her dream has come true... d tym has come for which she has waited sooo long...!!!



|| Rajiv nayan ko, swatah chayan ko,

Jaymala pahnao, jaymala pahnao

Sammukh hai Raghuvar, durlabh avsar

Yah avsar na gawao, jaymala pahnao

Rajiv Nayan ko...

Kyun lajja mandit charno se,

Badh jaane ka saahas na uthe,

Shiv-Dhanush Raam ne utha liya,

Sakhi Pushp-maalya tumse na uthe,

Sakhi Pushp-maalya tumse na uthe

Jay ka pratik jay maal daal kar,

Vijay Raam par pao, vijay Raam par pao

Rajiv nayan ko...


Nayano ke nikat nayan nidhi hai,

Nayano ko yah vishwas to ho,

Iss dirgh pratikshit madhu-kshan ko

Kinchit mujhko aabhaas to ho,

Sajni mujhko aabhaas to ho

Duvidha sankoch mein padkar Sitey,

Ab na vilamb lagao, ab na vilamb lagao

Rajiv nayan ko...

Jaymaala mein nij hriday goonth,

Siya rang-manch ki or chali,

Lakshmi chali Vishnu ke varan hetu,

Jyun Chandra ki or chakor chali,

Jyun Chandra ki or chakor chali

Maalyarpan ki shubh lagan aa gayi,

Mangal-geet sunao, mangal-geet sunao

Yah shashwat jodi nirakh-narakh kar,

Jeevan safal banao, jeevan safal banao ||


____________________________________________________________

I'll post d translation n d video later... 😊
btw,, if it's posted earlier dan plzz do tell me.. I'll edit this 😊

Edited by ankita2804 - 13 years ago
ankita2804 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 13 years ago
**Anand Sagar's Ramayan**

Hanuman narrating Sita d Ram-Story in Lanka,,, to make her believe dat he is Shri Ram's messenger


|| Naman karo swikaar putra ka hey Maata Maharani,

Naman karo swikaar putra ka Raja Raam ki rani,

Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani,

Naman karo''..

Katha ye punya prasanga hai, Katha ye punya prasanga hai,

Tan man pawan karne wali bhagwat gun ganga hai,

Ram kaushalya ne jaaye, Maat Kaushalya ne jaaye,

Tribhuvan-pati teeno bhrata sang Dashrath ke ghar aaye,

Bhaye paragat kripala, dindayala anand jag chhaye,

Raam, Bharat, Shatrughna, Lakshman

Chaaro kumaro ne Guru Vashishth se alpakaal mein hi sari vidyayein sikh li

Maharaj Janak ki kanya bankar pragati Mahlakshmi Sita,

Aaradhya shambhu ka dhanush tod Sita ko Raghuvar ne jita,

Ban gaye Siya-var Ramchandra, Hui Siya Raam ki parineeta,

Mithila mein aur Ayodhya mein jivan kuchh din sukh se beeta,

Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,

Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,

Ravan ki Lanka mein sunau,tumko Raam-kahani,

Manthara kaikeyi ki daasi, Manthara kaikeyi ki daasi,

Uske kuchakra ne amavas me badli puran-maasi,

Tabhi var Kaikeyi ne maange, Ke do var Dasrath se maange,

Rakhne ko pita ka maan Raam ne Rajmahal tyaage,

Van chale Ram-Siya-Lakhan, Katha sunlo maata aage,

Chitrakut me Bharat-milaap hua,

Maata ki karni par putra pashchataap hua,

Chitrakut se aa gaye Godavari ke teer,

Ram, Lakhan, Siya aa gaye Godavari ke teer,

Maya-mrig ko dekh ke Sita hui adheer,

Raam mrig ke pichhe dhaaye, Swarn-mrig ke pichhe dhaaye,

Mareech ka tha shadyantra dur prabhuvar ko le jaaye,

Maya-mrig ka shadyantra dur Raghuvar ko le jaaye,

Laabh avsar se uthaya hai, Laabh avsar se uthaya hai,

Ravan kar Sita-haran unhe Lanka le laya hai

Chhal-bal se karke haran unhe Lanka le aaya hai

Shat-yojan sagar paar kar,

Sursa, Singhika, Lankini ko maar kar,

Ye Raam-dut

Raam ke paas se tum tak pohoch paya hai,

Shri Raam shighra sena lekar Lanka me aane wale hai,

Ravan ka vadh kar sur-nar-muni ke kasht mitane wale hai,

Ye divas pratiksha ke maata dhiraj se bitane wale hai,

Samman sahit Shri Raam sang tumko le jane wale hai,

Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,

Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,

Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani ||

Edited by ankita2804 - 13 years ago
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 13 years ago
Thanks for the lyrics Mina and Ankita, they are truly a great collection! :D

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".