Big Boss 19: Daily Discussion Thread - Aug 27, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 27 Aug 2025 EDT
YRKKH SM updates, BTS and Spoilers Thread #126
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 Aug 2025 EDT
Alia Bhatt Slams Media For Sharing Video Of Her House
Param Sundari review and box office
BHAROSA THODNA 28.8
Trump imposes 50% tariff on India for buying Russian oil??!
Anupamaa 27 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Flops put Hrithik Roshan’s stardom under question mark?
Who impressed you more in the movie Saiyaara?
Anupamaa 28 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
10 years of Phantom
Part-21
Ab agli sham ko Kashish aur Dadi akele ghar hote hai.............Prerna aur Anjali Ved ko leke Doctor ke pass gaye hote hai kyunki Ved ko dentist ke pass le jana hota hai........Kashish aur Dadi milke baatein kar rahe hote hai..............
Kashish: Dadi......ple....bataiyena.........aap aur Dada .......mera matlab aapki shaadi kaise huyi...........
Dadi: hamari shaadi koi aisi waisi shaadi nahi thi.........pata hai aazadi ke bad woh hamari pehli love marrige thi.........
Kashish: love marrige.......aap to kafi aage nikli.........
Dadi: tuje pata hai yeh hamare khandan ki parampara hai..........Anurag bhi Prerna ko apni college se pyaar karta tha aur usne bhi parmpara nibhayi...........Kavya ne bhi apne pyaar Anjali se shaadi ki..........aur jab Kavya ki shaadi huyi thi tab Anurag us shaadi ke khilaf tha kyunki Anjali hamare barabar ke khandan ki nahi thi lekin hamara kavya bhi koi kam hai bhag ke shaadi karne ki dhamki deke chala gaya.......aur phir maine aur Prerna ne milko Anurag ko samjya tab huyi thi yeh shaadi...........lekin mera yeh nikamma pota Sujal...........sari parmpara ek hi bar me tod di.........kehta hai pyaar fijul ki baatein hoti hai.........muje to kabhi kabhi shak hota hai ki yeh wake hi mera pota hai...........
Kashish: dadi aap bhi na.........
Dadi: janti hoon......apne pati ki burai nahi sunna chahti........lekin ab muje lagta hai ki woh tumse pyaar karne laga hai...........
Kashish: aur aapko aisa kyun lag raha hai.............
Dadi: kal subaah tuje na dekh kar kitna pareshan ho raha tha..........
Kashish: Sujal mere liye.........
Dadi: haa........use gobi ke parathe chahiye the na.............
Kashish: Dadi.......aap na bahot mazak karti hai.........
Kashish aur dadi zor se hasne lagte hai jab Swayam waha pe aata hai................
Dadi: are Swayam.........tum ..........aaona.......Kashish se milne aaye honge........
Swayam: milne nahi lejane aaya hoon.........
Kashish: le jane..........
Swayam: woh kya hai na aapke Patidev Sujal ne muje yaha pe bheja hai ki main aapko Royal Rasturant leke jau.........woh waha pe tumhari Dinner Date pe intzaar kar raha hai......
Kashish: Dinner Date..........Sujal.........
Dadi: Kashish........muje to yakeen hi nahi ho raha ki Sujal........are soch kya rahi hai jana....kahi phir se uski neeyat badal jaye........
Kashish: nahi Dadi.....main nahi jaungi........khud lene kyun nahi aaya........main nahi kisi ke saath jati............
Kashish Swayam ki aur gusse me dekhti hai............
Swayam: bhool gayi..........London me aisi hi hoti thi Dinner date........ab main yaha pe to Limo nahi dhundh saka is liye khud lene aa gaya.........ab chalo bhi........
Dadi: Kashish......jao.........dair ho rahi hai.......jaldi karo....
Kashish: main bas panch minutes me taiyaar hoke aati hoon..............
Swayam: jaldi aana..............
*************************************************************************************
Kashish apne kamre me jake Kripa ko phone lagati hai..................
Kashish: hello.......Bhabhi.......
Kripa: haa kya baat hai.........
Kashish: bhabhi aap kaha hai........woh Swayam ghar pe aaya hai.........
Kripa: kya........lekin kyun..........
Kashish: woh Sujal ne use bheja hai muje lene ke liye..........woh Sujal ne muje Royal Rasturant bulaya hai...........lekin Bhabhi muje akele Swayam ke saath jane se bahot darr lagta hai aur is waqt ghar pe Anjalibhabhi bhi nahi.........aur dadi muje zabardasti bhej rahi hai.............
Kripa: tu pareshan mat ho.........main abhi panch minute me tumhare ghar hi pahonchne wali thi.........woh kal ke function ke bad Old Age House ki sari file mere pass reh gayi thi to dene aa rahi thi............lekin ab tu ghabra mat............tu jaise hi Swayam ke saath niklegi main tere picha karungi .......is dauran kuch galat hua to main hongi tumhare saath............mera sirf panch minute intazar karna............
Kashish: thik hai Bhabhi.........lekin aap mere saath rehna muje darr lag raha hai..........
Kripa: ab jaldi se taiyaar ho jao.........thik hai.......bye.........
Kashish: bye.........
Dus minute ke bad Kashish taiyaar hoke neeche aati hai...........
Dadi: bahot pyaari lag rahi ho........bhagwan kare tumhari aur Sujal ki jodi ko kisi ki nazar na lage............ab jao aur khub enjoy karo.........
Kashish: lekin mama............
Dadi: teri mama aur bhabhi ko main bol dungi.........ab tu ja......warna kahi Sujal hi tumhe yaha na lene aaye.............
Kashish: thik hai dadi............Bye.........
Dadi: bye beta.............
*************************************************************************************
Kashish Swayam ke saath Sujal ke pass jane nikalti hai...........jaise hi woh log nikalte hai Kripa unka picha karti hai...............
Kashish: Swayam...........hum kaha ja rahe hai.........
Swayam: tumhare pyare patidev Sujal ke pass..........
Kashish: main tumhe bahot achche se janti hoon.............sidhi tarah se bata do ki hum kaha ja rahe hai...........
Swayam: jo kaam London me pura nahi ho saka use to abhi pura karna hoga.........kyun Kashish...........
Kashish: is bar tum mera kuch nahi bigad sakte................
Swayam: us din tum kuch nahi kar payi thi aur aaj bhi tum waisi ki waisi ho...........tumse kuch nahi hoga...........tum to apne Pati ko apni aur nahi kar sakti woh mera kya bigad legi...........aur tum to itna darr rahi ho ki hamari sachchai tum to apne pati aur apne gharwalo se karne me darti ho................
Kashish:main apne pati aur apne gharwalo ko sambhal sakti hoon.......tumhe hamare mamlo me aane ki koi zaroorat nahi..............
Swayam: zarorat hai kyunki tumhare pati to chahta hai ki main tum dono ke beech aau...........
Kashish: kuch galatfemi ki waje se tum jaisa shaitan hamare rishtey ko nahi tod sakta..........Sujal jaisa bhi hai tumse to achcha hi hai.........aur muje mere Pati se koi sikayat nahi...........
Swayam: lagta hai bahot pyaar karti ho Sujal se.........
Kashish: agar ek patni apne pati se pyaar nahi karegi to kisse karegi.........
Swayam: lekin aaj ke bad main tumhara woh hasr karunga ki tumhara Sujal kya tum khud apne aap se nafrat karogi...............
Swayam ek purani building ke pass gadi ko rokta hai..........
Swayam: bahar niklo.......
Kashish: nahi........aur yeh tum muje kaha le aaye.........main abhi Sujal ko phone lagati hoon...........
Kashsih phone karne jati hai jab Swayam phone leke use dur fek deta hai........
Kashish: Swayammmmmmmmm..........
Swayam Kashsih ka haath pakad ke use zabardasti andar leke jata hai...........
Kashish: swayam kya kar rahe ho..........chodo muje...........chodo............maine kaha chodo...........
Lekin abhi bhi Swayam use andar leke jata hai..............dusri aur Kripa traficc me fas jati hai...............
*************************************************************************************
Swayam andar Kashish ko khich ke zameen pe fekta hai........
Kashish: swayam mere pass mat aana............mujse durr raho.........
Swayam: kyun darr lagta hai........tumhe mujse darr lagta hai.........tum to mujse pyaar karti ho to phir.......
Kashish: nahi main tumse pyaar nahi karti...........mera pyaar usi din mar gaya tha jis din tumne mujpe shak kiya..........aur muje is baat ka koi afsoos nahi.....kyunki tum insaan nahi shaitan ho..........
Swayam aake zor se Kashish ko ek thapad marta hai..........
Kashish: tumne muje mara...........tumhari himmat kaisi huyi mujpe haath uthane ki.........
Kashish swayam ko marne jati hai jab Swayam uske dono haath ko pakad leta hai.......
Kashish: chodo muje warna main chikh chikh ke sabko yaha pe bulaungi..........bachao................koi hai...........ple muje bachao............
Swayam: chikho.........aur zor se chikho.......yaha pe tumhari aawaz sunne ke liye dur dur tak koi nahi hai..........is liye jitna dil kar raha hai chikho..................
Swayam kashish ko dhakka marke Kashish ko deewar ke sahare khadi karta hai aur kashish ka rasta rok deta hai apne dono haath se usne Kashish ko pakad rakha hai.....Kashish bahot hi koshish karti hai apne aap ko chudaneki....Kashish ki ek sleeve fat jati hai........Swayam was coming closer and closer............jab kashish apna ek haath chudati hai aur Swayam ko dhakka marke darwaze ki aur bhagne jati hai.........Kashish bhagne wali hoti hai ki phir se swayam aake Kashish ko piche pakad leta hai.........Kashish Swayam ko apne haath se mar rahi hai..........Kashish Swayam ke haath ko katti hai jise Swayam use chod deta hai lekin Kashish ki saree ka pallu pakad leta hai.......Swayam jab khich ne jata hai tab kashish ke saree fat jati hai aur Kashish building ki bahar chali jati hai.........Kashish daud ne lagti hai aur Swayam uske piche.........Kashish bhagti hui bar bar piche dekhti ja rahi hai jab use Ashtma ka attack aata hai aur woh wahi gir jati hai..........jab Swayam uske pass aata hai........
Kashish: meri dawa........Swayam.....mera ashthma pump............muje chahiye.........ple ...........Swayam main tumhare aage haath jodti hoon......
Swayam jake gadi me se Kashish ka handbag me se PUmp nikal ke aata hai.........
Swayam: kahi tum iski to baat nahi kar rahi.........
Kashish: haa...........ple do muje............do..........Swayam............
Swayam: main tumhe doon...........kya mazak kar rahi ho..........are itna haath aaya moka main kaise chod sakta hoon..............Goodbye Mrs. Kashish Sujal Garewal..............
Swayam zor zor se haske Kashish ki ashtma pump apne saath leke chala jata hai........
Kashish: Swayammmmmmmmmm..........koi meri madad karo...........ple help................helppppppppp...............
Kuch hi dair me Kashish behosh hoke waha pe gir jati hai............kareeban aadhe ghante baad Kripa waha pe aati hai aur Kashish ko behosh dekhti hai.................Kripa jaldi se Kashish ko leke Sanjeevani Hospital jati hai..................
*************************************************************************************
Kripa Kashish ko hospital me admit karti hai aur phir Sujal ko phone karti hai...........
Kripa: Sujal............
Sujal: haa ...........kripa bhabhi aap.........kuch kaam tha.......
Kripa: abhi ke abhi Sanjeevani Hospital pahoncho.........
Sujal: sab thik to hai........kya hua.........
Kripa:main tumhe kuch keh nahi sakti lekin abhi ke abhi tum yaha pe aa jao........
Sujal: thik hai main abhi aata hoon...............
thodi dair bad Sujal hospital me aata hai aur dekhta hai ki Kripa ek kamre ke bahar pareshan ho rahi hoti hai..........
Sujal: bhabhi.........kya hua sab thik to hai............
Kripa kuch bhi kahe bina zor se Sujal ko thapad marti hai...........Sujal sirf gusse me Kripa ko dekhta rehta hai..........
kripa: main janti hoon ki tum Kashish ko pasand nahi karte..........lekin yeh kaunsa tarika hai .........tumhe woh apni zindagi me nahi chahiye thi to tum use wapas hamare ghar bhej sakte the lekin is tarah maut ke muh me to tum use nahi dhakelte...........
Sujal: yeh aap kya keh rahi hai meri kuch samaj me nahi aa raha...........
Kripa: chalo mere saath..........dekho Kashish ko..........aaj sirf tumahri waje se woh aaj is haalat me hai............
Kashish was lying on the bed with all the IV and oxygen Mask........she was looking so pale and weak...........and the tears from her eyes are running down..........yeh dekh ke Sujal hairan ho hata hai aaj pehli bar uski aankhein bhi num ho gayi thi.............
Kripa: Sujal............usne tumse kaha tha na ki Swayam ko uske kareeb mat aane dena...............lekin aaj tumne jan bujke Kashish ko Swayam ke saath bhej diya........aur iska natija kya hua..........Sujal...........abhi Kashish aaj apni zindagi aur maut ke beech lad rahi hai.................aur yeh sab ki waje hai Swayam.........
Sujal: lekin Swayam kashish se pyaar karta hai........woh yeh sab kaise..........
Kripa: tumhe Kashish ki zindagi ka sabse bada raaz nahi pata..........yaad karo woh din Sujal jis din tumhari waje se Kashish ko apni college chodni padi...............yaad karo kyun uske baad kabhi bhi Kashish ne tumse milne ki koshish nahi ki..............
Sujal: kyunki woh mujse gussa thi............
Kripa: nahi Sujal woh tumse gussa nahi thi......balke woh to Hospital me coma me thi...................
Sujal: kya kaha aapne.................
Kripa: aaj main tumhe batati hoon ki us din kya hua tha............jisse Kashish aur Swayam ka rishta tut gaya..............
*************************************************************************************
FLASHBACK
us din college se nikal dene ke bad Kashish Swayam ke ghar aati hai..............
Kashish: woh Sujal Garewal apne aap ko samajta kya hai..........aaj uski waje se muje college se nikal diya gaya.........
Swayam: pichle teen saal se Sujal Sujal Sujal...........uske alawa tum kisi aur ke bare me nahi soch sakti...........
Kashish: usne mere saath itni badtmizi ki aur tum keh rahe ho ki main use bhul jau............
Swayam: muje to lagta hai ki kahi tum use pyaar to nahi karne lagi..........her waqt tum mujse jyada Sujal ke saath ladne me waqt bitati ho.........main kaha hoon yeh tumhe pata nahi lekin Sujal ka pata hota hai.........
Kashish: tum mujpe shak kar rahe ho..........
Swayam: shak nahi muje yakeen hai ki tum muje dhoka de rahi ho...........kyunki tum jaisi giri huyi ladki hi aisa kar sakti hai........
Kashish: muje to apne aap pe gussa aa raha hai ki maine tum jaise choti sochwale insaan se pyaar kiya............tum kisi ke pyaar ke layak hi nahi ho.........tumse achcha shayad woh Sujal hi hoga jo tumhari tarah gandi soch to nahi hai.........
Swayam: dekha ab to tum he mujse jyada Sujal achcha lagne laga...........
Kashsih: tum achchi tarah se jante ho ki main Sujal se sirf nafrat karti hoon.......lekin aaj ke bad hamara yeh rishta bhi khatam ho gaya.........main kal hi wapas apne ghar India ja rahi hoon.........i hate u swayam.............i hate u...........
Kashish waha se jane lagti hai.............jab Swayam uska haath pakadta hai.........
Kashish: haath chodo.......maine kaha mera haath chodo.........
Swayam: agar tum meri nahi ho sakti to main tumhe kisi ki bhi nahi hone dunga..........
Swayam Kashish ke saath baktmizi karne lagta hai............Kashish apne aap ko bachane ki puri koshish karti hai.......thodi aur dair bad apne aap ko bachate bachate kashish ko asthma ka attack aata hai..........Kashish bar bar koshish karti hai apni dawa tak pahunchne ki lekin Swayam use nahi jane deta..........isi daur me Kashish behosh hoke gir jati hai aur darr ke mare Swayam aise hi kashish ko Kashish ki hostel ke bahar raat ko chod deta hai.........Kashish puri raat aise hi thand me behosh apni dawai ki bina rahi.............Subaah sab unhe leke hospital jate hai..............
Flashback
*************************************************************************************
Kripa: tabhi muje aur Angad ko London ki hospital se phone aata hai ki hume foran bulaya gaya hai..........hum Mama ko bina bataye London pahunch gaye..............waha jake pata chala ki woh coma me hai..........hum log waha pe pure 23 din ke liye hospital me the jab kashish ko hosh aata hai............itna sab kuch hone ke bad main aur Angad Kashish ko leke India wapas aa gaye..........phir Kashish ko humne Old Age House me busy kar diya..........bahot muskil se humne pehli wali kashish ko wapas laya tha lekin aaj tumhari waje se ek bar phir se kho diya humne...........aaj tumne sabkuch tabah kar diya.................aaj tumhari waje se phir se Kashish wapas apne usi bhayanak kal me chali gayi..........Sujal Kashish koi aur nahi tumhari patni hai woh..............woh tumhari jimedari hai..........lekin muje lagta hai ki tum apni jimedariyon ko thik se nibha nahi paye.............aaj pata chala ki itne bade businessman bhi kitna kamzor hai.............shaadi ke waqt tumne kuch kasme li thi ki tum hamesha kashsih ka khayal rakhonge,use khush rakhoge, use koi takllif nahi hone donge........lekin tum to ek bhi kasam nahi nibha paye...........agar tumhe kashish se durr hona tha to hume bata diya hota hum hamari Kashsih ko wapas le jate...........hum hamari Kashsih se bahot pyaar karte hai............Sujal yeh to main nahi janti ki Kashish tumse pyaar karti hai ki nahi lekin tumpe sabse jyada vishwas karne lagi thi.........lekin tumne ek pal me woh vishwas ki dor hi tod di.........kisi ka vishwas pana bahot muskil hai lekin use tutne ke liye sirf ek pal ka waqt chahiye.........aur aaj tumne woh kar dikhaya..........muje bahot bura lag raha hai ki tum dono ka rishta aaj is daur pe khada hai..........lekin uske jimedar tum khud ho Sujal........pucho apne aap se aaj jo tumne kiya kya woh sahi hai..........aaj Kashish andar is tarha hai kya uski waje sirf tum nahi..........pucho apne dil se.........main to tumhe maff kar dungi lekin asli maffi tumse sirf Kashish degi...........kyunki tum uske gunegar ho.........muje tumse yeh umeed nahi thi..........sujal aaj tumne muje jootha sabit kar diya..........
Nurse: Doctor...............Doctorrrrrrrrrrrrrrrrr........................
Nurse, Doctor, Kripa, aur Sujal sabhi log Kashsih ke kamre me aate hai...........Kashish behoshi ki halat me kuch bol rahi hoti hai....................
Kashish: woh muje nahi chodega............woh muje mar dalega............koi nahi hai meri madad karne...............woh muje mar dega...........
Doctor: relax Kashish..........kuch nahi hua........tum bilkul thik ho..............
Doctor Kashish ko neend ka injection deta hai aur woh wapas so jati hai...........
Kripa: Doctor Kashsih thik to hai..........
Doctor: jee woh bilkul thik hai..............lekin use bahot bada dimagi sadma laga hai jise thik hone me kuch din lag sakte hai............aap inhe subaah apne saath gahr le ja sakte hai.......
Kripa: thank you Doctor.....................
Doctor aur nurse waha se chale jate hai...............
Kripa: Sujal........mere ghar pe Angad aur Mama ek hafte ke liye business tour pe gaye hai is liye ghar pe sirf me akeli hoon is liye Kashish ka mere saath chalna achcha hoga..........kyunki agar tum Kashish ko apne saath le gaye to ghar pe sabhi ko shak hoga.........
Sujal; thik hai...........main abhi aaya.......
Kripa: kaha ja rahe ho......
Sujal: kuch zaroori kaam hai..........
Sujal yeh kehke waha se chala jata hai..............
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
324