Saahir....Sujal&Kashish.....Last Part...11/29 - Page 20

Created

Last reply

Replies

320

Views

95.4k

Users

29

Likes

157

Frequent Posters

heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
kashish it was really an awesome and nice part...............👏.⭐️................bt really feeling bad for sujal............😭.that kashish scolded him and didn't believe on him😭.............bt really swayam got watever he planted..........bad man he was.......now enjoy in prison😡,,,,,,,,,,,,,,ow hope he remains there forever.............😆................n really hoping that these 7 days..........bring a beautiful change in sk's life😳............plz continue soon
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear main aagayi apne comments lekar..hope you like my comments.. sorry for the delay..😊 well first of all after reading the two parts mera mann keh raha hai kii i kill swayam..uski tho main... mann karr raha hai kii usse itna maaroon.. bhaga - bhaga kar maaroon usse jab thak kii uski zindagi uska saath na chod dethi.. he is so disgusting... mere saamne aagaya na swayam tho samjho kii woh gaya..uski itni himmat.. usne kashish ko harm karne kii koshish kii.. mujhe sachchi swayam pe bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat bohat zyada , bohat zyada to the power of infinite ghussa aa raha hai.. especially after reading kii usne kashish ke saath pehle kya kiya... kitna ghatiya insaan hai woh.. jee karr raha hai kii main us swayam apne chappal se maroon.. lekin agar main usse apne chappal se maroongi tho woh mere chappal kii touheen hogi.. i completely hate him... jis tarah ka bartaav , jis tarah ka sulook usne kashish ke saath kiya hai , uske liye he deserves the worst punishment in the whole world...🤢 ab kashish bechari had to go through all this torture by swayam.. i'am feeling so bad for her.. par thank God kripa uske pass hii thi.. warna na jaane kashish kii kya haalat ho jaathi.. then the hospital scene where kripa slaps sujal.. i think sujal deserved that slap.. kyunke he din't listen to kashish and he pushed kashish forcibly to swayam.. ab jab kripa sujal ko saari sachchayi batathi hai... my heart went out to kashish.. bechari kashish ko itna sab kuch sehna pada... then kashish ka thode hosh mein aake kehna kii woh mujhe chodega nahii.. he will kill her..this shows kii kashish kitni darri aur sehmi hui hai..😭 and atlast sujal ko sach ka patah chal gaya hai.. aur kahiin dil ke khone mein sujal is guilty of whatever has happened.. well sujal ke liye main yeh keh sakthi hoon kii it is better later than never..dher aaye durust aaye.... i loved it jab sujal ne swayam ke ghar jaakar swayam kii baand bajayi.. sujal ne swayam ko taare dikhaye... jis tarah swayam kehtha hai kii he knows kii sujal aur kashish ek doosre se pyaar karthe hai , lekin now he has created a distance between the two of them..i felt like swayam ka mooh thod doon main... ussi ke wajah se sujal, kashish ek doosre se aur durr hogaye hai.. sujal , kashish ke tootthe hue rishthe ko is swayam ne aur bhii bigaad diya...God. lekin i'am happy with the way sujal ne swayam kii dulayi kii.. sujal ne kashish ko support kiya.. kya baattt hai..sujal tho ek dum se chah gaya.. loved him completely in this scene.. and swayam ko sujal ne police station mein chod diya..aur swayam atlast apne sahii jagah pohanch gaya.. gooddddddd.......👏 the next scene between sujal & kashish... is scene mein i really felt bad for sujal.. sujal ko ab jab apne ghalthi ka ehsaas hogaya hai.. kashish usse durr jaana chahthi hai... bechara... lekin i'am sure sujal understands kii kashish ko waqt dene kii zaroorat hai... and i'am glad kii sujal understands this... aur yeh kya sujal saari raat hospital ke bahar khada tha... this shows kii sujal sach mein pachtha raha hai... this shows kii he really does care for kashish... waise dekha jaye tho kashish bhii apni jagah sahii hai..sujal ne usse itna dard diya hai.. that now she is not able to trust sujal again.. aur sujal, kashish ke beech sab theek hone ke liye bas ab ek hii tareeka hai aur woh yeh hai kii sujal kashish ko manane kii har koshish kare... and he wins her trust again...i'am happy kii kashishh ne sujal ko ek mouka diya..and i'am damn sure sujal is ek hafte mein kashish ka dil , uska trust wapas jeetega....very well written dear...👍🏼 the last scene was nice..where anjali teases him about kashish...and then sujal's scene in the room where he tells himself kii ek hafte baad kashish us kamre mein hogi.. that too with all her will.. i really liked his confidence.. way to go sujal..keep it up.... aise hii apna hosla banaye rakhoge tho tum zaroor jeetoge....👏ab coming to my guess on the next parts... i think in the coming up parts sujal har woh koshish karega kashish ko manane kii.. woh zameen-aasmaan ek kar dega.. he will not leave any stone unturned in winning kashish's trust back... aur shayad kashish will see the effort sujal is taking aur aakhir mein kashish ka dil bhi pighal jayega.. and kashish sujal ke saath uske ghar aajayegi... and is baar sujal,kashish apne rishthe kii shuruwaat dosti par karenge.... this is my guess.. so dear is my guess right..😉 please do post the next part soon..me waiting for the next part damn eagerly....😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part-23

Day-1

dekhte hai aaj pehle din ki shuruaat kaise hoti hai..........Sujal pura din office me busy rehta hai aur Kashish pura din apne kamre me beth ke apne aap ko kosti rehti hai...........

Kashish (to herself); Papa..........maine aisa kaunsa gunah kiya hai ki her bar yeh sab kuch mere saath hi hota hai.........maine to aaj tak kisi ke bare me bura nahi socha............papa aaj main bahot akeli ho gayi hoon.........aap kaha hai .........muje aapki zaroorat hai.....pata hai papa....jise hum apna samajte hai wahi kyun dhoka dete hai............yeh bhi nahi sochte ki mera dil tut chuka hai use aur kitni bar log todenge.........aaj main bilkul tanha hoon.........lekin aapke jane ke bad tanhai me bhi kisi ne saath diya hai to mere aanshu ne............woh aaj bhi mere saath hai aur kal bhi rahenge......................

Jab Kashish ki aankh bandh hoti hai aur uski aankhoin se aanshu girne hi wale hote hai ki kisi ke haath pe girte hai..............us insaan ke ehsaas se Kashish apni aankhein kholti hai to Sujal ke hatheli pe Kashish ke aanshu hote hai............

Kashish: Sujal tum yahaan............

Sujal: Kashish..........tum muje jo bhi saza dena chahti woh muje manzur hai lekin yeh saza mujse nahi sahi jayegi...............yeh aanshu tumse jyada muje taklif dete hai.......kyunki muje maloom hai ki iski waje sirf main hoon...........ple Kashish ab sab kuch bhool jao main tumhe aise nahi dekh sakta...........

Kashish: Sujal bhula use jata hai jise yaad na rakhna ho...........lekin yeh hadse to mere zindagi me nasur banke muje puri zindagi chubte rahenge.............is liye iske bhulne ki baat mat karo.........aur tumhe yaha nahi aana chahiye tha...........kyunki ab hamara rishta is kagar tak aa gaya hai ki ab kabhi nahi jud sakta................

Sujal: janta hoon lekin tumne muje ek aakhri moka diya hai jise main her haal me nahi jane dunga............muje pura yakeen hai ki aaj se saat din bad tum mere saath apni marzi se hamare ghar aaogi...........

Kashish: tumhe galatfemi hai..........aaj se saat din bad me yeh seher chod ke Shimla ja rahi hoon..............

Sujal; Shimla jane ki naubat nahi aayegi...............aur agar phir bhi tum jana chahti ho to main khud tumhe Shimla chodne aaunga aur main vaada karta hoon ki uske bad mud ke tumhari zindagi me kabhi nahi dekhunga..........lekin tumhari zindagi ke yeh saat din sirf mere hai..............

Kashish: thik hai ........muje manjur hai.........

Sujal: to aaj ke bad is bare me na main aur tum koi bhi baat karega.............aaj se nayi zindagi ki shuruat...........kuch din pehle tumne mujse dosti ki baat ki thi aaj main kuch kehna chahta hoon..........mujse dosti karogi.........

Kashish: woh.......woh main........

Sujal; bahot hi aasan sawal hai..........haa ya naa..........bolo meri dost banogi...........abhi keh deta hoon........agar naa kaha to muje zindagi bhar afsos rahega aur agar tumne haa kaha to tumhe zindagi bahr afsos rahega..........

Kashish: kya.......

Sujal hasne lagta hai........

Sujal: kuch nahi..........................ab bolo haa ya naa.........

Kashish: haa......

Sujal: haa kaha hai to dost ki baat manni padegi...........neeche Bhabhi tumhara khane pe intzaar kar rahe hai unhone muje kaha ki tumne shubaah se kuch nahi khaya................

Kashish: tumne to kal raat se kuch nahi khaya.............

Sujal: nahi to maine to subaah ka nasta bhi kiya aur phir dopahar ka lunch bhi...........

Kashish: jooth mat bolo............kuch dair pehle Bhabhi ka phone aaya tha.............usne muje bataya............kyun nahi khaya kuch subaah se..........

Sujal: tumne bhi to kuch nahi khaya.........

Kashish: tumne is liye nahi khaya ki maine nahi khaya ki tumhe bhukh nahi thi...........

Sujal: pata nahi.......lekin tum abhi chalo varna Bhabhi muje dategi......ab chalo.........

*****************************************************************************

Sujal aur Kashish neeche jake table pe bethte hai.................

Kripa:are aa gaye tum dono.........betho main khana parosti hoon...............

Kripa teeno ki plate karti hai..............lekin sab chupke se khate hai...........

Sujal: bhabhi khana bahot hi achcha bana hai.............

Kripa: janti hoon...............lekin khana to Kashish bhi bahot achcha banati hai...........

Sujal: haa kuch jyada hi........jyada mirchiwale parathe............jyada chiniwali chai....................lagta hai yeh iski bachpan ki aadat hai sab kuch jyada dalne ki.............

kripa aur Sujal Kashish ki aur dekh ke hasne lagte hai.............Kashish bhi hasne lagti hai jab Ria aati hai.............

Kripa: Ria.........kaha reh gayi thi......kab se aawaz de rahi hoon.........pata nahi yeh ladki kab sunegi..........

Sujal: kya baat hai Bhabhi kyun bechari Ria ko dat rahe ho..........

Kripa: puch mat aaj kal bahot shaitani karne lagi hai.................pata hai kal Washing Machine me kapdo ke saath rang dal diya..........pure kapde bigad gaye................

Kashish: ab bache shararat nahi karenge to kya bade karenge............

Sujal: kya pata koi bada tumhare jaisa ho to............

Kashish: kya matlab hai tumhara...........

Sujal: kuch bhi nahi....................

ab Kripa Ria ko khana khila rahi hoti hai.............

Ria: mama aap ko pata hai na ki muje yeh wali dal bilkul pasand nahi to aapne kyun banayi...........

Kripa: kyunki mung ki dal tumhari bua ki sabse favorite hai.........

Ria: sach bua........

Kashish: haa.......tumhari mama itni achchi banati hai ki kya kahoon............

Sujal: muje nahi pata tha ki tumhe aisi dal pasand hai waise aur kya kya achcha lagta hai..............

Kashish: sab kuch.........

Sujal: bhabhi aap hi bata dijiye.........ise kya kya pasand hai.............

Kripa: Kashish ko khane me aloo ke parathe.........mung ki dal...........aloo matar ki sabzi...........aur sabse jyada kheer..............aur jab use bahot gussa aa raha ho to use chocolate de dena gussa do minute me thanda ho jayega.............aur kashish ko baris bahot pasand hai...........aur kashish ko phool bahot pasand hai khas karke white lily.............kashish ko red color bahot pasand hai...........aur bahot kuch........

Sujal: bahot hi khas aur alag kisam ki pasand hai..........

Kripa; haa tabhi to tumhe pasand kiya...........

Kashish aur Sujal ek dusre ki aur dekhne lagte hai........

Ria: mama yeh dono kaha kho gaye............dekhiye khana bhi nahi kha rahe..............

Sujal aur Kashish wapas hosh me aake sabse nazre churakar khana khane lagte hai aur aise hi Sujal wapas ghar chala jata hai...............Sujal apne kamre me aake dekhta hai to her jagah se Kashish ki aahat sunai de rahi hoti hai..........Sujal aise hi apne khayaloin me pillow leke sofe pe sone chala jata hai.....................

*****************************************************************************

Day-2

aaj ke din ki shuruaat bhi aise hi kuch hoti hai...........Sujal pura din office me busy rehta hai aur sham ko Kashish se milne uske ghar aata hai jaha pe Kashish bahar barish me akeli zule pe ceth ke apne hi khayaloin me kahi khoyi huyi hoti hai............jab Sujal aake uske kandhe pe haath rakhta hai.............

Kashish: Sujal tum........

Sujal: tum yaha bahar baris me kya kar rahi ho..........bheeg gayi to bimar pad jaogi...........chalo andar............

Kashish: baris............yeh baris kab shuru huyi...........muje to pata hi nahi chala..................

Sujal: agar aise hi bethi rahi to aisa hi hoga.........aur Bhabhi bhi aise kaise tumhe yaha chod ke ja sakte hai........

Kashish: Bhabhi ghar pe nahi...........isi liye ghar me akele darr lag raha tha to bahar chali aayi..........

Sujal: ab tumhari waje se main bhi pura bhig gaya.........chalo andar............

Sujal aur Kashish andar jane lagte hai jab kichad ki waje se Kashish ka pair fisal jata hai ,.........kashish zor se apni aankhein bandh kar leti hai........lekin Sujal ne use pehle hi pakad liya hota hai............

Sujal: Kashish aankhein kholo tum bilkul thik ho.............

Jab Kashish dheere se apni aankhein kholti hai aur bina kuch kahe andar jane lagti hai..............jab woh piche mudti hai...........

Kashish: thank you........

yeh kehke woh wapas andar chali jati hai aur Sujal sirf use dekhta hi rehta hai aur phir woh bhi Kashish ke piche jane lagta hai...................ab dono Kashish ke kamre me hote hai........

Kashish: yeh lo towel...........tum apne bal poch do warna shardi lag jayegi..........tab tak main apne kapde badal ke aati hoon...........

Kashish kapde badalne washroom chali jati hai jab Sujal aise yahan wahaan dekhne lagta hai jaha pe Kashish ki writing table pe Kashish ki diari padi huyi hoti hai.........Sujal use khol ke dekhta hai to yeh Kashish ki peotry ki diary hoti hai..............Sujal pehle pane ko padhne lagta hai...........

Jab Raat Ke Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halke Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagti Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehti Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal Ke Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai

Koi Mere Dil Mein Rehta Hai

Sujal abhi bhi pad raha hota hai jab Kashish bahar aake apni diary Sujal ke haath se le leti hai.........

Kashish: tumhe mujse puche bina meri diary nahi padhni chahiye thi..................

Sujal: sorry muje nahi pata tha ki tumhe itna bura lagega..........lekin jo bhi likha hai bahot achcha likha hai.................

Kashish: tumne aur kuch to nahi padha na...........

Sujal: kyun mere bare me kuch bura likha hai...........

Kashish: main kaun hoti hoon apni diary me tumhare bare me bura likhnewali...........ab tum betho main coffee banake aati hoon..........

Kashish jane se pehle apni diary apni almari me sambhal ke rakh ke chali jati hai............kuch waqt bad woh coffee leke aati hai............

Kashish: coffee..........

Sujal: jyada chini to nahi dali.........

Kashish: nahi.........aur phir bhi yakeen na aaye to chak ke dekh lo...........

Sujal drinks first sip..........

Sujal: bahot hi achchi hai jaise muje pasand hai...............

Kashish: itne dino saath rehne ke bad itna to pata chal gaya ...........khair yeh sab chodo ghar pe sab kaise hai.............

Sujal: sab thik hai..........Dadi tumhe bahot yaad karti hai............aur aajkal Anjalibhabhi Ved ke saath thoda busy hai kyunki Ved ki exams chal rahi hai..................Mama aaj Kavyabhaiyaa ke saath naye project ki meeting me gaye the.............lekin sab tumhe bahot yaad karte hai..........

Kashish: aur tumhe koi kaam nahi jo tum yaha pe mujse milne aa jate ho...........

Sujal: is kaam ke liye main sab kaam chod sakta hoon kyunki yeh mere liye sabse zaroori kaam hai...........haa kaam se yaad aaya muje kuch paper pe zaroori sign chahiye tumhari...........main abhi leke aata hoon...........

Sujal car me se apni file leke aata hai..........

Sujal: tumhe yaha pe sign karna hai.........

Kashish: yeh kya hai.........

Sujal: woh jo maine Swayam ke saath jo deal ki thi use cancel karne ke liye muje bank ki loan ab akele chukani hogi............jo nuksan hua hai uske liye hamari company se paise jayenge..............

Kashish:: yeh nuksan meri waje se hua tumhe..............i am sorry........

Sujal: nahi kashish.........tumhe sorry kehne ki koi zaroorat nahi..........agar maine tumhari baat man li hoti to aaj yeh din nahi dekhna padta............muje mere hi kiye ki saza mili hai............aur yeh to achcha hua ab pata chal gaya warna aur bhi nuksan hota.....................is liye kabhi bhi apne aap ko jimedar mat samajna...........kyunki iska jimedar main hoon....................ab yeh baat yahi khatam karte hai..........yaha pe sign kar do............

Kashish sign karne lagti hai..........

Sujal: ek bar padh lo......

Kashish: padh ke apne dosti ki beizzati nahi karna chahti aur jo bhi hai woh tumhara hai is liye padhu ya na padhu kya farak padta hai..................

Kashish sign kar deti hai..........

Sujal: ab main chalta hoon...........apna khayal rakhna.................bye.......

Kashish: bye...........sambhal ke jana..........bahar baris hai.............

Sujal: ok......bye........

Kashish: bye...........

Sujal aaj bhi wapas chala jata hai..........................

*****************************************************************************

Day-3

Aaj bhi aisa hi hota hai office ke bad Sujal Kashish se milne aa raha hota hai jab Kashish ghar se bahar nikal rahi hoti hai........

Sujal: kahi ja rahi ho.......

Kashish: haa woh aaj Bhabhi mandir nahi ja sakti is liye main ja rahi hoon.............

Sujal; chalo main tumhe le chalta hoon..........

Kashish: uski koi zaroorat nahi main chali jaungi aur tum bhi office se thak gaye honge..............tum andar jao bhabhi hai.........

Sujal: maine kaha na main chal raha hoon aur isi bahane tumse do char baatein ho jayegi.............

kashish: thik hai chalo........

Sujal aur Kashish mandir ke liye niklate hai lekin pure raste me koi baat nahi hoti................ab aise hi dono mandir pahunch jate hai...........

Kashish: andar nahi chaloge........

Sujal: nahi main yahi thik hoon......tum hoke aao..........

Kashish: yaha tak aaye ho to ek bar andar chal ke darshan bhi kar lo............

Sujal: main in sab baatoin me nahi manta............

Kashish: thik hai bhagwan ke liye nahi.....mere liye.............

Sujal; ok.........

Sujal aur Kashish mandir ki andar aate hai.............Kashish haath jod ke prarthna karne lagti hai aur Sujal aise hi uske pass khada hota hai...............

Kashish: aise nahi khade rehte..........

Kashish Sujal ke dono haath leke use haath jodne pe mazbur karti hai..........

Kashish: ab aankhein bandh karo aur jo bhi sachche dil se mangoge woh zaroor mil jayega.............

Sujal jaisa Kashish kehti hai waisa karta hai.........

Sujal: bhagwanjee muje kaise baat karte hai yeh bhi nahi pata..........lekin abhi abhi Kashish ne kaha ki jo bhi main sachche dil se manguga woh muje mil jayega............aaj main sirf yahi mangta hoon ki Kashish muje maff karde aur hamesha hamesha ke liye meri zindagi me wapas aa jaye..................aap meri baat ko pura karenge na...............kyunki muje aur kuch nahi aata aapko manane ke liye...........lekin aap hamare beech ki baat mat bhulna............thik hai............thanks.........

Kashish: hey bhagwan..........aaj bhi muje apne liye kuch nahi chahiye.............sirf mere parivar ki raksha karna................aur aaj kuch aur mangti hoon...........aaj yeh to ehsaas hone laga ki Sujal badal gaya hai lekin abhi bhi vishwas nahi ho raha .........mere chale jane ke bad bhi use aisa hi rakhna uske parivar ke liye...........kyunki Sujal ke gahrwalo Sujal se bahot pyaar karte hai..............aur ho sake to mere is faisle me mera saath dena..............

Kashish jab aankh kholti hai to Sujal sirf use hi dekh raha hota hai............kashish Sujal ko prasad deti hai aur woh dono bahar aa jate hai..............

Sujal: tumne bhagwan se kya manga............

Kashish: bhagwan se hum jo bhi mangte hai woh kisi ko batate nahi kyunki phir hamari khawaish sach nahi hoti............ab chale........

Sujal aur Kashish jane lagte hai jab koi piche se Kashish ko aawaz deta hai.........

*****************************************************************************

Voice; Kashishhhhhhhhh...........

Kashish mud ke dekhti hai..............

Kashish: Nandini tum............

Nandini: kitne saal ke baad mil rahi ho...........kaisi ho..........

Kashish: bilkul thik aur tu........

Nandini: main waisi ki waisi.............lekin yeh.......

Kashish: Nandini........yeh Sujal hai mere pati...........aur Sujal yeh hai Nandini..........hum yaha school me saath the phir me london chali gayi ..........aaj pure char saal baad hum mil rahe hai............

Sujal: aapse milke achcha laga..........

Nandini: muje bhi............are yeh Megha kaha chali gayi............megha.........

jab do saal ki bachi nandini ke pass aati hai.........

Nandini: Kashish.........yeh hai megha........meri beti..................

kashish: tumhari beti...........muje to yakeen hi nahi ho raha................tumhari shaadi bhi ho gayi aur ek beti bhi..............

Nandini: haa waqt gujarte thode hi dair lagti hai.............waise shaadi to teri bhi ho gayi hai........koi khuskabhri.........

Kashish: nahi abhi hamari shaadi ko che mahine bhi nahi huye...........

Nandini: nayi nayi shaadi haa........................achcha hai jee le apni zindagi.........

Kashish: tu bhi na wahi teri mazak karne ki purani aadat..........kya main Megha ko apni god me le sakti hoon............

NandinI; isme puchne ki kya baat hai.........

Kashish Megha ko apni god me leti hai..........

Kashish: hello.........beta..........aapka naam kya hai.........

Megha: Megha Kapoor.......

Kashish: kitna cute naam hai tumhara.........achcha apna muh kholo...........dikhao kitne dant hai tumhare...............

Kashish aise hi Megha ke saath khelne lagti hai........

Nandini: Kashish ko bache bahot pasand hai...........pehle pure waqt Ria ke saath khela karti thi...........pata nahi khud ke honge to aap pe dhyan degi ki nahi............

Sujal aur Nandini dono hasne lagte hai...........

Nandini: achcha Kashish...........ab hum nikalte hai Karan ke aane ka waqt bhi ho gaya hai...........

Kashish: ab yaha wapas aayi ho to muje milne aate rehna.............

NandinI; haa abhi to muje Kripabhabhi ke pass bhi aana hai................achcha ab main chalti hoon.........bahot jald milenge......bye........

Kashish: bye...........

Sujal: kitni pyari bachchi hai na.........

Kashish: haa...........bilkul Nandini ki tarah khubsurat hai...........

Sujal: waise tumhari jab bhi beti hogi to woh bhi tumhari tarah bahot khubsurat hogi.............

Kashish: sujal ghar chale..............

Kashish aise hi sharmake aage chali jati hai aur Sujal uske piche piche.............

cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
all parts were awesome yar..............................thank god sujal ko swayam ki asliyat ka pata chal gaya....................................sujal kitna mar tha hai uss ko is se pata chalta hai woh kitna pyaar kartha hai kashish se..................................plz dono jaldi confess karlo....................aur saat din mein kia hoga ............................eagerly waiting 4 that......................kashish kis tarah sharma thi hai......................plz con't soon
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Amazing part
finally there are friends im glad kashish gave sujal a chance .the scene in which kashish is talking to her dad was really good i actually could understand how she felt but then the way sujal holded her tears proved that she isnt alone anymore and that he will always be there for her.
Kashish defiantly has very different likes but wen kripa said that kashish also chose sujal she meant to say he is the best choice 4 kashish.
The barish scene was really good cant wait 4 more scenes like that .
When kashish met nandani and megha that scene was the best because of the way kashis was behaving with megha was really sweet kashish will defiantly be a great mother hope sujals wish comes true and kashish forgives him and also doesnt leave him.
👏
Edited by Iqbal Neha1 - 16 years ago
swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Fantastic part...........Very happy tht Kashish gave him a chance............ Really luved the way Sujal is taking care of her............Itz amazing............
"Sujal: waise tumhari jab bhi beti hogi to woh bhi tumhari tarah bahot khubsurat hogi............." this was the best part of it all............
Gr8 job Kashish............Plzz do continue soon...........
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear that was a damn well written part..sachchi mujhe yeh part behad zyada pasand aaya..it was seriously very interesting.. and i was seriously so damn anxious to know kii sujal, kashih kareeb aane ke liye..kashish ka trust wapas paane ke liye kya karega... waise i loved sujal in the part..he is a complete sweet heart.. kitna pyaara hai woh... he is doing each and everything possible to make kashish believe that he has changed.. is baar sujal chahtha hai kii kashish uske pass with all her heart aaye..issi wajah se sujal yeh saari koshiyein karr raha hai.. i was very damn happy and very pleased to see the efforts which are being put in by sujal.. agar kashish kii jagah koi aur hothi na tho i'am sure sujal would never have looked back at that person.. lekin yahaan baat alag hai.. yahaan dil ka maamla hai..sujal kashish ke nakhre , uske bhaav is liye utta raha hai kyunke sujal , kashish ko apna dil de baita hai... i'am very glad that sujal realizes his mistakes aur ab woh apni us ghalthi ko sudaarna chahtha hai... very well done sujal... kashish sujal kii baat maan gayi and sujal, kashish ke beech joh deal bana that was really very good.. unke rishthe kii shuruwaat dosti se hui yeh tho achchi baat hai... i liked the way sujal aur kripa milkar kashish ko chida rahe the... hasa rahe the... mere hisaab se i think i know what sujal and kripa are upto.. sujal aur kripa are trying to get kashish out of her shell.. they want kashish to be herself again , without any darr.. aur issi wajah se they are trying to divert kashish's mind... the rain scene between sujal,kashish was nice.. aur rain scene ke baad sujal ka kashish kii diary padna.. well is baat pe main sujal se kehna chahoogi sujal doosron kii personal diary padna is bad manners... hehe... lekin on second thoughts sujal tum diary padh sakthe ho aakhir woh tumhare biwi kii hii tho personal diary hai.. aur miya-biwi mein kya personal, kya confidential.. sab kuch chaltha hai...hahaha... jaise kashish pulled the diary away from sujal's hand , asking him kii usne agge tho kuch nahii pada tha.. hmm..this sentence of kashish shows kii shayad us diary mein she has written her true feelings for sujal.. woh feeling which she never expresses.. woh feeling joh kashish ne apne dil mein chupaye rakhe hai...sujal is so damn cute,sweet and adorable.. woh roz aa raha hai kashish se milne... awwww... howwww niceeee.....the Mandir scene was too damn raapchik.. absolutely fantastic dear.... joh dua sujal ne maangi.. joh dua kashish ne maangi.. yahaan ek sujal hai joh kii kashish ka saath , kashish kii khushi chahtha hai... aur yahaan ek kashish hai joh sabse zyada sujal kii parwaah karthi hai.. aur is wajah se sujal se durr rehna chahthi hai... i hope kii dono ko jald hii yeh ehsaas ho jaye kii un dono kii khushiyaan lies together....and they come back together hamesha ke liye... kashish ka bachon ke prati lagaav dekhkar , it shows kashish will make such a good mother... the last scene jahaan sujal talks about the kid and kashish ka sharmana.... main marrr jawaa... howwwwwwwwwww damnnnnnnnnnnnnnnnnn sweetttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttt-tweetttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttttt..
☺️ now coming to my guess on the next part... i think kii dekhthe hii dekhthe saath din ka waqt guzar jayega..sujal har woh koshish karega jisse kashish maan jaye.. lekin though kashish has feelings for sujal , kashish nahii maanthi..kyunke shayad kashish ko lage kii sujal uske bagair khush rahega... then sujal , kashish ko Shimla chod ne jayega.... aur wahaan jab dono alag ho rahe ho kashish se aur saha na jaye and she expresses to sujal her love for him.. her true feelings.... so kashish dear this is my guess for the next part.. tho kya mera yeh guess sahii hai... mujhe zaroor batana.. i really want to know.....😉dear do continue soon..i'am waiting for the next part very damn eagerly... just can't wait to know kii agge kya hoga..😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 16 years ago
hey super cute part.........loving this dosti between sujal and kashish !!

Sujal's prayer was too cute !! hehe!!
Devotion. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 16 years ago
gr8 part kashish.....👏.hmmmm.........so kashish is gonna hav a girl as beautiful as her.........so sujal has started praising her....that's cool.....😎..i realli liked the way the story has progressed n d way sk relation has continued..hope all get well soon n both of them r together soon...wonderful part kashish...👏..i realli liked it...plz continue soon
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Part--24

Day-4

aaj bhi Sujal office se Kashish ko milne ghar aata hai...........jab woh ghar ke andar aata hai to Ria ko dekhta hai...........

Sujal: Hi Ria..............kaisi ho......

Ria: achchi.........lekin Kashishbua thik nahi.........

Sujal: kyun..........

Ria: woh jab se aaye hai tab se rote hi hai.........pata nahi use kya hua hai...........

Sujal: tumhare uncle se ek galti ho gayi hai..............aur iski waje se tumhari Bua ko bahot bura laga hai.........

Ria: galti huyi hai to mafi mang lijiye...........waise meri bua dil ki bahot achchi hai aapko foran maff kar degi...........

Sujal: haa beta........tumhari bua dil ki bahot achchi hai.........yeh baat maine hi dair se jani...........pata nahi woh phir kab razi hogi..........

Ria: mere pass ek idea hai..........aap yahi rukiye main abhi aati hoon.........

Ria thodi dair me aati hai........

Ria; yeh lijiye........yeh Kashishbua ki favorite chocolates hai.........ise woh aapko zaroor maff kar denge............

Sujal: thank you Ria.......waise tumhari bua hai kaha..........

Ria: woh to dopahar se upper chat pe hai..........main jab bhi upper unse milne jati hoon woh roti hi rehti hai...........aap use thik kar denge na...........

Sujal: haa .............main aapki bua ko phir se hasti khelti bana dunga..........

Ria: promise........

Sujal: promise...........

Ria: aap bahot achche hai...........

Sujal: nahi beta.............main achcha nahi...........main bahot bura hoon............

Ria: kisne kaha aisa...........aap bahot hi sweet ho.........ab yaha kya kar rahe hai jaiye na Bua ke pass...........

Sujal: ok baba..............

Sujal Ria ko kiss karke upper chat pe chala jata hai...............

**********************************************************************************

Sujal jab chat pe aata hai to Kashish kahi dikhai nahi deti...........Sujal idhar udhar pareshan hoke Kashish ko dhundhne lagta hai..........jab kahi se kashish ki rone ki aahat Sujal ko sunai deti hai...........Sujal us jagah jake dekhta hai to Kashish ek khone me beth ke ro rahi hoti hai.......

Sujal: Kashish...............

Kashish jaldi se apne aanshu ponch deti hai.........

Kashish: Sujal tum is tarah yaha............

Sujal: yahi sawaal to muje karna chahiye............tum yaha aise kyun bethi ho.........

Kashish: pata nahi................

Sujal jake Kashish ke pass bethta hai..........

Sujal: Ria ne bataya ki tum dopahar se yaha pe ho..........kyun Kashish khud ko kis baat ki saza de rahi ho...........

Kashish: main kaha apne aap ko saza de rahi hoon.........saza to woh upperwala muje de raha hai.........pata hai Sujal.........jab bhi main tanha rehna chahti hoon tab main akshar is jagah aati hoon.........yaha pe bahot si yaadein jud gayi hai...........yaha pe main khul ke ro sakti hoon.........papa ke chale jane ke bad main aksar yaha pe aaya karti hoon.............lekin.......

Kashish waha se jane lagti hai jab Sujal uska haath pakad ke use rokne ko kehta hai..........

Kashish: Sujal mera haath chodo.....muje dard ho raha hai..........

Sujal jaldi me Kashsih ka haath chod deta hai.............

Sujal: batao............kya hua hai.........

Kashish: kuch bhi nahi...........chalo neeche bhabhi hamara intzaar kar rahe hoge..........

Sujal: pehle betho..........aur batao kya hua.........

Kashish wapas Sujal ke pass beth jati hai...........

Kashish apni sleeve upper karke Sujal ko apni kalai dikhati hai jaha pe kuch zakham hote hai...............

Sujal: kashish yeh sab ..........

Kashish: kuch nahi.......us din apne aapko bachate bachate.........choodiyaan tut ke uske kanch lag gaye hai..............lekin kuch dino me thik ho jayegi yeh chaut..........

Sujal: bahot dard ho raha hai..............

Kashish: nahi........dard muje yaha nahi balke yaha mere dil me hota hai........aur is dard ki koi dawa nahi............

Sujal: I am Sorry Kashish..........ple ho sake to muje maff kar do............agar muje pata hota to main kabhi tumhare saath aisa nahi hone deta...........

Kashish: janti hoon...........galti kahi na kahi meri hai muje tumhe sachchai bata deni chahiye thi.........agar maine tumhe sach bata diya hota to aaj yeh sab kuch mere saath na hota.........lekin Sujal mere saath jo hua use main bhulna chahti hoon..........lekin yeh jo mera dard hai woh muje kabhi bhulne nahi dega...........

Sujal: Kashish..........main apni galti ko sudharna chahta hoon..........kya hum puri zindagi ek saath nahi reh sakte ............hum khushiyaan........dard sab bat lenge ek dusre ke saath............kya tum wapas nahi aa sakti meri zindagi me..........

Kashish: Sujal......abhi mere dil ne tumhe puri tarah se nahi samja hai........aur abhi teen din baki hai.........main abhi koi faisla nahi le sakti...............muje sochne ka waqt chahiye.............

Sujal: tumhe sochne ka waqt chahiye thik hai.........main tumhe sochne ke liye puri zindagi ka waqt deta hoon.........itna to tumhare liye kafi hoga..........

Kashish: neeche chale..........

Kashish baat ko badal ke neeche chali jati hai............Sujal bhi thodi dair me wapas apne ghar chala jata hai...........

**********************************************************************************

Day-5

aaj bhi Sujal aise hi office se sidhe Kashish ko milne aata hai..........Kashish apne kamre me hoti hai jab Sujal waha pe aata hai aur dekhta hai to Kashish apni diary me kuch likh rahi hoti hai.............

Sujal: kaisi ho.......

Kashish: thik hoon............tumhara din kaisa raha...........

Sujal; bahot busy............aaj kal bahot kaam rehta hai...........

Kashish: kaam to aakhir kaam hota hai.........tum betho main tumhare liye coffee leke aati hoon...........tum thake huye lagte ho..........

Sujal: nahi uski zaroorat nahi........tum betho...........meri thakan tumhe dekhke hi kahi gayab ho gayi...........lekin tum kya likh rahi thi..........

Kashish; kuch nahi aise hi..........

Sujal: meri burai likh rahi thi jo muje batana nahi chahti.............

Kashish: tumhe kisne kaha ki main tumhare bare me bura likh rahi hoon............kuch achcha bhi to ho sakta hai........

Sujal: agar achcha likh rahi thi tab to woh mere bare me ho hi nahi sakta..............

Kashish: tum aise kyun keh rahe ho.............tum jante ho.....tum bahar se jitna shakht dikhte ho utne dil se nahi.............Sujal tum bahot achche ho.........

Sujal:agar itna hi achcha hoon to phir muje chod ke kyun ja rahi ho...........

Kashish: Sujal..........jane ka faisla maine bahot pehle hi le liya tha...........lekin khushi is baat ki hai ki maine atith me tumhare jaisa ek dost banaya..........jo dil ka bahot hi achcha hai..........

Sujal: maine apni achchai dikhane me bahot dair kar di...........

Kashish: meri ek baat manoge.............mere jane ke bad kisi achchi si ladki se tum shaadi kar lena.........jo khushi main tumhe nahi de payi tum aisi ladki se shaadi karna jo tumhe woh sari khushiyaan de sake........

Sujal: tum bhul rahi ho main shaadishuda hoon...........

Kashish: lekin main bahot jaldi tumhe divorce de rahi hoon.......

Sujal: tum muje divorce de rahi ho............lekin main tumhe kabhi divorce nahi dunga.........

Kashish: tum aisa kyun kar rahe ho..........tum jante ho ki ab hum kabhi saath nahi reh sakte to phir kyun tum mujse chutkara pana nahi chahte...........aur tum to hamesha se yahi chahte the.........

Sujal: chahta tha lekin ab nahi........main tumhe divorce deke itni aasani se kaise apni zindagi se jane de sakta hoon...........agar tum muje divorce deke chali gayi to muje pachtava rahega ki maine apni galti se picha chuda diya ........aur is pachtave ke saath main nahi jee paunga...........is liye tum jaha bh jana chahti ho ja sakti ho.............tum mujse juda rehna chahti ho reh sakti ho lekin mujse tum hamesha ke liye rishta nahi tod sakti.................

Kashish: kyun tum aisa kar rahe ho........apne aap ko kyun taklif de rahe ho..........

Sujal: jo taklif maine tumhe di hai uske samne to yeh kuch bhi nahi...........meri saza yahi hai ki main zindagi bhar tumhara intzaar karunga........lekin main saal me ek bar tumse milne zaroor aaunga..........yeh dekhne ki tum khush ho ya nahi.........kyunki mere liye her pal tumhari khushi sabse jyada mayne rakhti hai...........

Kashish: Sujal yeh sab karke tumhe sirf taklif milegi..........

Sujal: achcha hai.............hum rishtey me kuch nahi to dard hi bat lenge..........

Kashish: tum meri muskeli ko aur badha rahe ho...........

Sujal: aaj tak yahi to kiya hai aur shayad aage bhi yahi karta rahunga...............maine apni sari zindagi tumhare saath bitane ka faisla kar liya hai............baki ka faisla tumhare haath me hai...........haa main tumse yeh yakeen dila sakta hoon ki mere saath mera haath thamogi to kabhi main tumhari ankhoin me aanshu aur dil me dard ko chune nahi dunga...........tumhari zindagi me sirf khushiyaan hi khushiyaan hogi..........tumhare jawab ka muje intzaar rahega.............

yeh kehke Sujal waha se chala jata hai.........Kashish khadi hoke apne dressing table ke pass jake drawer me se apna mangalsutra leke use apne haath me leke samne apni aur sujal ki tasvir ko dekhke kuch sochne lagti hai................

**********************************************************************************

Day-6

Kashish ghadi me dekhti hai...........

Kashish (to herself): ek ghanta ho gaya...........yeh Sujal ko to abhi aa jana chahiye.......kahi woh kisi kaam me to nahi fas gaya...........nahi agar aisa hota to woh ek bar muje phone karke zaroor batata.............kahi woh kisi musibat me..........nahi muje aisa sochna bhi nahi chahiye............kya karoon kuch samaj me nahi aa raha.......bhabhi se puchti hoon agar use kuch pata ho to..........

Kashish neeche aati hai to Kripa hall me bethi huyi hoti hai.........

Kripa: kya baat hai pareshan lag rahi ho...........

Kashish: bhabhi............ek ghante se Sujal ka intzaar kar rahi hoon lekin abhi tak woh aaya bhi nahi aur phone bhi usne nahi kiya..................kahi woh kisi musibat me na ho..........

Kripa: to tu use phone karke puch le..........

Kashish: lekin main.........

Kripa: Kashish..........tumhara yun Sujal ke liye pareshan hona bata raha hai ki tumhe uski kitni parwaah hai............aur parwaah hum unki karte hai jinhe hum pyaar karte hai...........man lo Kashish meri baat Sujal hi tumhara asli pyaar hai............jitna tum usse dur jaogi kismat tumhe aur bhi kareeb layegi..............ab yeh sab sochna bad me pehle Sujal ko phone karke dekho ki woh hai kaha.........

Kashish: jee bhabhi........

Kashish Sujal ke cell pe phone karti hai lekin woh uthata nahi...........

Kashish: bhabhi woh apna phone nahi utha raha....................muje bahot fikar ho rahi hai uski............pata nahi kaha hoga..............

Kripa: ek bar ghar pe phone kar le............shayad aah pehle ghar chala gaya ho............

Kashish: aap thik kar rahi hai............

Tringgggg................Tringgggggg............

Maid: hello.......Garewal House.........

Kashish: Hello..........maria.........main Kashish bol rahi hoon.......Sujalsir hai ghar pe.........

Maid: mam........woh sab hospital gaye hai..........

Kashish: hospital...........lekin hua kya..........sab thik to hai..........

Maid: woh Dadijee ko dil ka dora pada hai isi liye aadhe ghante pehle sab unhe leke hospital gaye hai.............

Kashish: kaunsi hospital gaye hai kuch bata ke gaye hai...........

Maid: Kavyasir St.Martin ke bare me bata rahe the...............

Kashish: thik hai...........

Kripa: kya hua sab thik to hai............

Kashish: nahi Bhabhi............Dadi ko heartattack aaya hai aur hume foran St. Martin hospital jana hoga............

Kripa: ha jaldi chalo hamare pass waqt bahot kam hai............

Kashish aur Kripa jaldi me nikal jate hai................

**********************************************************************************

Yaha Dadi ke kamre ke bahar Prerna, Sujal, Kavya aur Anjali pareshan hoke bethe huye hote hai.............jab Doctor bahar aata hai.................

Prerna: Doctor............maa kaisi hai.......

Doctor: I am sorry Mrs. Garewal............lekin unke pass waqt bahot kam hai............woh aakhri waqt apne parivar ke saath rehna chahte hai..........unhone aap sab ko andar bulaya hai...........

sab log andar aate hai..............Dadi ki ek taraf Prerna aur dusri aur Sujal bethta hai................Prerna ke pass Anjali aur anjali ke pass Kavya khada hota hai..............sab log ke aankhoin se aanshu rukne ka naam hi nahi lete............

Dadi: Prerna.........yeh kya...........tu hi rone lagi to tere bacho ko kaun sambhalega...........

Prerna: yeh maa kya baat huyi..........main aapse bahot naraz hoon........pehle Anurag aur ab aap.............main to bahot akeli pad jaungi...........aap muje aise chod ke nahi ja sakti..........

Dadi: upper tere buvji aur Anurag mera intzaar kar rahe hai.........aur tu akeli kaha hai tere yeh bache tere saath hai.................

Kavya: lekin dadi is tarah aap hum sab ko..............

Dadi: are bhai jana to sabhi ko hai..........lekin aaj se Garewal khandan ki jimedari tuje sop ke ja rahi hoon......bada hai na sab ka khyal rakhna............

Kavya: jee dadi...........

Dadi: aur Anjali.........ved ko jyada datna mat..........aur use marna to bilkul mat...........dil ka bahot achcha hai.............aur mere jane ke bad prerna ka khayal rakhna.............

Anjali: nahi dadi.........main kisi ka khayal nahi rakhungi..........aapko rakhna hoga .........mera khayal kaun rakhega...........

Dadi: tera pati hai woh tera khayal karega.............aur tera yeh pagal dever hai..........

Sujal: Dadi.........muje aapse baat nahi karni.............bahot naraz hoon me.........

Dadi: oye Chote............tu aise rote huye bilkul achcha nahi lagta..............aur yeh Kashish kaha hai.............kahi dikhai nahi deti.........

Sujal: Dadi woh.........

Jab Sujal ke khandhe pe koi haath rakhta hai............Sujal apni palke upper karke dekhta hai to Kashish hoti hai................

Kashish: main yahi hoon..........hum sab yaha hai lekin aap hume hi chod ke ja rahi hai............

Dadi: main ja rahi hoon lekin tujse kuch mang ke ja rahi hoon..........vaada kar main jo mungugi woh muje degi na..........

Kashish: haa Dadi main aapse vaada karti hoon jaisa aap kahenge waisa hi main karungi..............

Dadi: mera sujal dil ka bahot hi achcha hai.......woh kabhi tujse kuch kahega nahi lekin tujse bahot pyaar karta hai......her waqt uske pass rehna.........use khub pyaar dena..........aur haa mere jane ke bad tumhe hi use sambhalna hai..........to dogi na tum Sujal ka saath zindagi bhar ke liye.......mere Sujal ka saath kabhi mat chodna..............

Kashish Sujal ki aur dekhti hai aur phir Dadi ka haath apne haath me leti hai..........

Kashish: haa dadi...........main aapse vaada karti hoon ki main zindagi ke her kadam pe Sujal ke sath rahungi..............sujal ko khush rakhne ki puri koshish karungi.........aur aap yahi chahti hai na ki main Sujal ko sambhalu .......thik hai main Sujal ka pura khayal rakhungi............

Dadi: yeh hai meri achchiwali bahu.........aur chote tu bhi vaada kar ki......Kashish ko hamesha khush rakhega..........usse tu apna pyaar dega..........kar vaada.........

Sujal: main vaada karta hoon ki Kashish ko woh pyaar aur khushi dunga jispe uska hakk banta hai.........lekin ple dadi muje chod ke mat jaiye.................

Dadi: are main to khush hoke ja rahi hoon ki mere bache khush hai...........muje ab koi sikayat nahi.................sukun ki zindagi ji li maine.................ab tere dada ke pass muje jana hai.................woh muje bula rahe hai...........tere papa mera intzaar kar rahe hai............bahot intzaar karaya maine...............ab muje jana hai.............................jana haiiiiiii............

aur yeh kehte hi Dadi apni saans chod deti hai...........Prerna wahi Dadi ke pass rone lagti hai.........kripa aake use sambhalti hai........Anjali Kavya ke sine se lagke rone lagti hai..............Sujal abhi bhi aise hi Dadi ka haath pakde betha hua tha........aur kashish uske piche khadi hoti hai.......jab Kashish uske kandhe pe apna haath rakhti hai..........

Kashish: Sujal..........

Sujal piche mud ke aise hi Kashish ko pakad ke rone lagta hai.....................kashish ko kuch samaj me nahi aa raha tha lekin Kashish bhi Sujal ko apne kareeb aur karke uske bal sehlate huye ro rahi thi.................

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".