d updt was beautiful n awesome........
also not good dat u finished at dis juncture....
waitin to read more ..updt soon
🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
Star Parivaar Ki Favourite Saas
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Downfall is Real! No one even cares for SPA pics this year
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 21, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Saiyaaara spoof
Let's Discuss Abhir
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Thread for Round 1 Nerdtastically Navratri
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
ENTRY INTO RESORT 22.9
King leaked pictures - Shah Rukh, Abhishek and Suhana
Nine Nights of Devotion - Shubh Navratri
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 22nd Sept 2025.
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Anupama bags some Star Pariwaar Awards
FIRST OF ALL THANX A LOT LIPI FOR YOUR COMMENTS, I AM REALLY GLAD, AND IT'S OK DEAR, U HAVE TAKEN OUT TIME TO COMMENT, AND YES I KNOW THE REASON DEAR.......THANX AGAIN THAT U LIKED THE UD, I KNOW THAT, BUT PLZZZ DO WAIT FOR THE NEXT PART, AND I WILL TRY TO UD ASAP..........AND TAKE CARE DEAR..........Originally posted by: fanatic 21
absolutely sorry for late comment u know d reason rit.....
d updt was beautiful n awesome........
also not good dat u finished at dis juncture....
waitin to read more ..updt soon
haan bas thoda sa wait aur karlo main jald hi ud karungi.........Originally posted by: sumaiya wahid
Yes, Pls jaldi se continue karo. Itne crucial point par chhor diya hai k ab intezaar nahi hota. PLSSSSSSSSSSSSSSSSSS try to UD SOOOOOOOON. Main already do baar puri ff padh chuki hu......hehe.
Originally posted by: Shaina_b
Too good!!!!!Awesome!!!!!! THANX A LOT.........
Kiran is mesmerized by the beauty of the place while Nihal is being romantic!!!!!!π π π π π π π π YA RIGHT, AB KASHMIR HAI HI ITNA KHUBSOORATKI KYA KAHEIN, AUR AISI JAGAH MEIN ROMANTIC MOOD HONA NATURALLY BANTA HI HAI...........
Adi beech mein aakar unhe tease karne laga!!!!!!π π π π π π π π π π IT'S OUR TYPICAL ADI U SEE...........
Pooja abhi bhi papad pe atki huyi hai!!!!! SAHI KAHA WOH APNI KAHANI PAPAD SE HI SHURU KARTI HAI, AUR PAPAD PAR HI KHATAM BHI KARTI HAI..........
Rahil is being all romantic and saying he would not let her do anything at all!!!!!π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ HAAN JORU KA GHULAAM...........
Magar Adi yahan bhi beech mein aa gaya and his comment was so funny!!!!!!π π π π π π π π π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ ADI IS REALLY NAUGHTY.......
Niharika is scared and even Sagar admitted and that he is also a little scared!!!!! AB DARR TOH LAGEGA HI NA, IT'S FIRST TIME U SEE...........
Adi is now trying to scare Niharika by talking about ghosts!!!!!!π π π π π π π π π π π π π π π HAAN HE IS REALLY NAUGHTY VERY NAUGHTY INDEED.......
I loved his dialogue ke kyunki woh roohein ladko ki hai toh obviously ladkiyon ko hi khinchenge na warna dostana nahi ban jayega!!!!!π π π π π π π π π π π π π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ π€£ YES IT WAS INDEED VERY FUNNY AND QUITE HILARIOUS TOO...........
Magar Niharika bhi usse pakad leti hai aur kya jawab deti hai!!!!!!π π π π π π π π HAAN SUPER INTELLIGENT WOMAN U SEE.........
Niharika ab gusse mein chali jaati hai and Sagar is taunting Adi by singing a song!!!!!!π π π π π π π π π π HAAN YEH AB KA KIDO BHI KAM NAHIN HAI........
Aditya samajh gaya ke ab usse Niharika ko manana padega!!!!!!π π π π ABSOLUTELY RIGHT..........
Pooja commented that climbing this mountain is definately suicide and wanted to go back but Rahil tried to coax her to climb it!!!!!!π π π π π π π π YA POOJA IS RIGHT IN HER SIDE, BUT RAHIL NE BHI USE CHADNE KE LIYE MANA HI LIYA...........
Kiran and Nihal are saying romantic things even while trying to climb!!!!!!π π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ SUCH A ROMANTIC COUPLE NA, KAHIN BHI ROMANCE KARNA NAHIN BHULTE HAIN, KAHIN BHI..........
Sagar said that there was a pain in his right foot and convinced Adi and Niharika to go on without him!!!!!π π π π π π π πI am sure he was pretending so that Adi and Niharika could spend sometime together alone!!!!!π π π π YA MAY BE, MAY BE NOT...........
Here Pooja and Rahil are getting romantic even while climbing!!!!!!π π π π ABSOLUTELY ANOTHER ROMANTIC COUPLE IS ON THE ROW..........
Nihal joked with Kiran and she gets angry but when Nihal stops her from falling they are again back to their romance!!!!π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ YA LADNA JHAGADNA, PHIR MOHABBAT SHURU KARNA..........HEHEHE...........
Niharika is not talking much to Adi while climbing!!!!!!π π π π HUMAARI NIHA GUSSA HAI NA..........
When he said about it she reminded him that they should concentrate more on climbing as unka dhyaan zara sa bhi chuka toh dono seedhe jaake khai mein girenge!!!!!!π π π π π π π π AUR NAHIN TOH KYA........
Adi kehta hai ke jab tak Niharika uske saath hai Niharika ko kuch nahi ho sakta!!!!!π π π π π π π πKya vishwaas hai!!!!π π π π π π π π π HONA BHI CHAHIYE.........KISI BHI RISHTEY KI NEEV HAI............
Adi started saying ke kal jab Niharika ka usse baat karne ka mann ho toh woh hi naa ho kyunki kya pata kal ho na ho!!!!!π π π π π AUR NAHIN TOH KYA........
Finally Adi ne Niharika ko propose kiya and Niharika ne bhi usse apna haath diya!!!!!!π π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ HAAN......FINALLY........
That scene was just great and the way he proposed aise sirf wahi kar sakta hai!!!!!π π π π π π π π π π ABSOLUTELY RIGHT DEAR.........
Niharika kehne hi jaa rahi thi when Adi stopped her and told her I love you!!!!!!π π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ βΊοΈ HAAN........SO ROMANTIC............
Itne acche moment par hi yeh barf ka gola girna tha jab finally Adi ne finally Niharika ko propose kiya this is not fair!!!!π π π π π π ABSOLUTELY NOT FAIR...........
Adi was talking about life and death a while ago aur yeh ho gaya!!!!! HAAN........
I hope nothing has happened to Adi and he is alright!!!!π π π πAfter all woh Niharika ko aise chhod kar nahi jaa sakta!!!!π π π π LET'S HOPE FOR THE BEST DEAR.........AND FOR THIS U WILL HAVE TO WAIT AND WATCH FOR THE NEXT PART........
KAL TAK UD HO JAAYEGI DEAR...............UPDATE kaha haiiiiiii ???????? plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
UPDATE ?π
PART 23.
Adityaβ¦β¦β¦adityaβ¦β¦.adi dekhta hai ki niharika uska haath abhi bhi thaame hue khadi hui haiβ¦β¦..aur use upar ki taraf chadne ke liye keh rahi haiβ¦β¦β¦β¦.
ADI-{chaunk kar}-haanβ¦β¦β¦β¦
NIHA-kya haan main kabse tumhe upar aane ke liye keh rahin hoon, aur tum ho ki kuch sun hi nahin rahe ho, aakhir tumhaara dhyaan kahan par hai haan?
ADI-nahin woh actually mainβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-kya main haan, pehle tum upar aa jao, baaki ki baatein phir karnaβ¦β¦..
Aur phir aditya niharika ka haath thaam kar rassi ki madad se upar ki taraf chad jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦..
NIHA-{aditya ko daante hue}-ab batao mujhe ki aakhir tum kiske khayaalon mein khoye hue the haan, ki tumhe meri awaaz tak sunai nahin de rahi thiβ¦β¦β¦.kabse main tumhe bulaye hi jaa rahi thi magar tum toh pata nahin ki kaunsi si duniya mein gum theβ¦β¦β¦β¦
ADI-woh mainβ¦β¦β¦β¦
NIHA-bas bahut ho chuka, agar tumhe kuch ho jaata tohβ¦β¦β¦β¦
Aditya chaunkar niharika ki taraf dekhta haiβ¦β¦β¦..aur phir kehta haiβ¦β¦β¦β¦.
ADI-toh?
NIHA-{gusse se}-toh, toh ka kya matlab haan, tumse toh baat karna hi bekaar haiβ¦β¦β¦aur itna kehkar niharika wahan se chali jaati haiβ¦β¦β¦β¦.
Aditya niharika ko jaate hue dekhta rehta hai, aur phir kuch der tak wahin khada hua niche khaayi ki taraf dekhta haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-{in his mind}-yeh kaisa khwaab tha? Aakhir iska matlab kya tha? Ek taraf milne ki khushi thi, toh doosri taraf judai aur woh bhi aisiβ¦β¦β¦..mujhe toh kuch bhi samajh mein nahin aa raha hai? kahin mere pyaar ka anjaam aisa toh nahin hoga naβ¦β¦β¦β¦
Aur yahi sab sochte-sochte aditya bhi niharika ke piche ho leta haiβ¦β¦β¦β¦..
After few hoursβ¦β¦..
Sab log trekking ka mazaa uthaane ke baad niche tents mein waapas aa chuke hain, magar is beech aditya ne kisi se ek bhi baat nahin ki hai, woh toh bas apne hi khayaalon mein khoya hua hai, jo ki use pareshaan kar rahin hain, kiran-nihal, rahil-pooja, aur aditya-niharika sagar ke tent mein jaakar uska haalchaal poochte hain, aur phir uske baad sablog hotel ki taraf jaane ke liye ravana ho jaate hain..kuch hi der mein sab log hotel mein pahunchjaate hain, aur sablog apne-apne rooms mein araam karne ke liye chale jaate hainβ¦β¦β¦β¦..
Raat ke takreeban 12:00 baje aditya apne room se bahar aata hai, aur woh hotel ki baalkani mein tahal raha hai, pareshaan sa uske dimaag mein baar-baar bas subah waala incident hi ghooma jaa raha hai, aur woh apne inhi khayaalon mein khoya hua rehta hai, ki tabhie uske kandhe par koi apna haath rakhta hai, woh chaunkar piche ki taraf turn karta hai, toh niharika ko apne saamne khada hua paata hai, woh ek pal ke liye niharika ki taraf dekhta hai phir apni nazrein jhukha leta haiβ¦β¦β¦β¦β¦..
NIHA-aditya tum yahan par kya kar rahe ho? Aur woh bhi itni raat koβ¦β¦β¦..
ADI-yeh sawaal toh main bhi tumse kar sakta hoon, ki tum yahan par itni raat ko kya kar rahi ho?
NIHA-main toh paani lene ke liye aayi thi, aur haan yeh mere sawaal ka jawaab nahin huaβ¦β¦..
ADI-oh, toh phir kahan hai?
NIHA-kya?
ADI-paaniβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-woh toh main jaa rahin hoon na leneβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-ok toh jaoβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-kya baat hai adi, jabse humlog trekking se waapas aayein hain, main dekh rahin hoon ki tum kuch pareshaan se ho, tum chaho toh mujhe bata sakte ho, shayad main tumhaari kuch madad kar sakunβ¦β¦β¦β¦..
ADI-nahin aisi koi baat nahin haiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-baat toh hai adi, magar woh alag baat hai ki tum mujhe batana nahin chahte, shayad tum mujhe is layak hi nahin samajhte ki apne dil ki baat keh sakoβ¦β¦β¦
ADI-yeh tum kaisi baat kar rahi ho niharika, tum toh meri sabse achchi dost ho, aur main tumse apne dil ki baat nahin kahunga toh phir kisse kahungaβ¦β¦.
NIHA-toh phir kaho na ki kya baat hai, kya pareshaani hai?
ADI-{ek pal ke liye kuch sochta hai phir kehta hai}-kya main tumse ek sawaal pooch sakta hoonβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-phir sawaal, thik hai poochoβ¦β¦β¦β¦.
ADI-{looking intensely in niharika's eyes}-agar kabhie mujhe kuch ho jaaye, toh kya tumhe farak padega?
NIHA-{chaunkar }-kya? yeh kaisa sawaal hai aditya?aur tumhe kya hone waal hai haanβ¦β¦β¦β¦.
ADI-batayo na niharikaβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-{gusse se}-mere paas tumhaare in bey sir-pair ke sawaalon ka jawaab nahin hainβ¦β¦β¦β¦..
ADI-iska matlab ki agar main kabhie tumse bahut door bhi chala jaoon toh tumhe koi farak nahin padega hai na kyunβ¦β¦β¦β¦.?
NIHA-{irritate hokar gusse se}-haan, bilkul sahi kaha tumne, mujhe ratti bhar bhi farak nahin padne waala haiβ¦β¦β¦β¦.
ADI-mujhe pata thaβ¦β¦β¦β¦
NIHA-{with same attitude}-tumhe toh sab pata hi rehta hai na, toh phir poochte hi kyun ho?
Niharika ki baat sunkar aditya bina kuch kahe hi wahan se chup-chap apne room mein chala jaata hai, aur niharika chup-chap wahin par khadi rehkar aditya ko jaate hue dekhti rehti hai, aur apne mann mein sochti haiβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-{very emotionally with tears in her eyes}-haan mujhe farak nahin padta, bhala mujhe kyun farak padega, tumhaare door jaane seβ¦β¦β¦β¦β¦.
Aur niharika apne aansoonyon ko ponchte hue apne room mein waapas chali jaati haiβ¦β¦β¦β¦β¦..
Cut to aditya,jo ki apne room mein bed ke upar leta hua hai, aur niharika ki baare mein hi soche jaa raha hai, ki tabhie achanak se aditya ka mobile ring hota hai, aur adi chaunkar uthta hai, woh apna mobile uthaakar dekhta hai, toh usmein use takreeban 15 missed calls milte hain, jab woh us shaqs ka naam dekhta hai jisne use call kiya tha, toh uske chehre par ek khubsoorat si smile chaa jaati hai, woh us number mein call back karta hai, magar use koi response nahin milta hai, woh dobara redial karta hai, magar is baar bhi same response hi milta hai, tabhie woh apna message box check karta hai, toh use ek message milta hai, jismein likha hua rehta hai "I AM BACK", jise dekhkar aditya behad khush ho jaata hai, aur uski aankhon se khushi ke aansoon chalak uthte hainβ¦β¦β¦β¦..
ADI-{in his mind}-thank God ur back, bahut akela mehsoos kar raha tha main, par ab tumhaare aane se lagta hai ki sabkuch thik ho jaayegaβ¦β¦β¦β¦.
Aditya yahi sab soch hi raha hota hai, ki tabhie uske door par knock hota hai, aur woh jaise hi darwaaza kholta hai, toh sagar aur nihal ko apne saamne paata hai, woh dono bhi behad khush nazar aa rahein hote hain, teeno ek doosre ko kuch der tak dekhte hain, phir ek saath milkar kehte hain, "HE IS BACK", aur phir teeno ek doosre ko hug karte hainβ¦β¦β¦β¦β¦
Cut to niharika, jo ki apne room mein bed par leti hui hai, aur aditya ke baare mein soch rahi hai, aur uske baare mein sochte-sochte use kuch hi der mein neend aa jaati hai, ki tabhie uske mobile par ek message aata haiβ¦β¦β¦β¦β¦.
Next morningβ¦β¦β¦..in niharika's room, niharika washroom se refresh hokar nikalti hai, aur apna mobile check karti hai, aur use raat waala message milta hai, jismein likha hua rehta hai, " CALL ME IT'S URGENT", yeh message padhkar niharika fauran us shaqs ko call karti hai, toh use yeh khabar milti hai, uski behen anu ko hosh aa gaya hai, aur woh ab koma se bahar nikal chuki hai, yeh khabar sunkar toh jaise niharika ki khushi ka tikhaana hi nahin rehta hai, aur who khushi se pagal ho jaati hai, aur uski palkein khushi ke aansooyon se nam ho jaati hainβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIHA-{in her mind}-main bata nahin sakti ki aaj main kitni khush hoon, mere pair toh zameen par pad hi nahin rahein hain, agar mere pankh hote na, toh shayad aaj main ud hi jaati haiβ¦β¦β¦β¦..ki tabhie niharika ke door par knock hota hai, aur woh jaise hi darwaaza kholti hai, toh saamne pooja ko khada hua paati hai, aur woh khushi ke maare pooja ko gale laga leti haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦..
POO-{surprised}-kya baat hai niha, aaj toh teri khushi chupaaye nahin chup rahi hai, hmmmmmβ¦β¦β¦..let me guess, toh kahin tu isliye toh khush nahin hai, kyunki aaj hum Mumbai waapas laut rahein hain, haanβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-khushi toh hogi hi, aakhir kise apne ghar waapas jaane ki khushi nahin hoti hai haanβ¦β¦β¦β¦..
POO-haan hoti hai bilkul hoti hai, magar yeh khushi jo tere chehre par mujhe nazar aa rahi hai, woh toh mujhe kuch aur hi ishaara kar rahi hai, yeh sirf ghar waapas lautne ki khushi hi nahin hai, balki baat toh kuch aur hi hai, batana ki kya baat hai? maine tujhe itna khush toh pehle kabhie nahin dekha haiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-haan baat toh kuch aur hi haiβ¦β¦β¦β¦β¦
POO-kya baat hai bata na?
NIHA-tujhe pata hai, anu ko hosh aa gaya hai, she is out of comaβ¦β¦β¦β¦β¦
POO-{pleased and surprised with happiness}-kya baat kar rahi hai? tu sach keh rahi hai, humaari anu waapas aa gayiβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIHA-{apni khushi zaahir karte hue}-haan pooja haan, yeh sach haiβ¦β¦β¦β¦..
POO-yeh toh sach mein bahut khushi ki baat hai, bas ab tu jaldi se apna samaan pack karle, humein kuch hi der mein nikalna bhi hai, phir tu, main aur anu milkar dhamaal karenge haan, ek dum pehle ki tarahβ¦β¦β¦β¦
NIHA-{with excitement}-haan ab toh bas dhamaal hi dhamaal hoga, meri anu waapas jo aa gayi haiβ¦β¦β¦β¦..
POO-{happiness filled with tears}-haan, aur aaj meri niharika bhi mujhe waapas mil gayi hai, jise main kabse dhoond rahi thiβ¦β¦β¦β¦β¦.
Aur pooja ki yeh baat sunkar niharika use gale se laga leti haiβ¦β¦β¦β¦β¦.
Next scene, sab log hotel se check out karne ke liye tyayaar ho chuke hain, aur apna-apna samaan lekar hotel ke main hall mein baithkar bus ke aane ka intezaar kar rahein hainβ¦β¦β¦in the hotel corridor aditya aur niharika apna-apna samaan lekar apne rooms se nikal kar bahar aate hain, aur dono hi behad khush bhi nazar aa rahein hain, ki tabhie achanak se dono ki nazrein ek doosre se takraati hain, aur dono hi ek doosre ko dekhkar apni-apni nazrein chura lete hain, aur opposite directions mein turn hokar chalein jaatein hain, kuch hi der mein dono hotel ki dono taraf bani hui, do alag-alag sidiyon se niche utarte hain, aur phir se ek doosre ke aamne-saamne aakar rukte hain, dobara unki nazrein milti hain, lekin is baar dono ek doosre se nazrein churaate nahin hain, balki ek doosre ki taraf ek tak dekhte hi rehte hain, undono ki nazron mein ek ajeeb si khamoshi si chaayi hui hai, magar unke lab ek doosre se kuch kehna chahte hainβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI&NIHA-{ek saath}-who mainβ¦β¦β¦β¦β¦.
Magar isse pehle ki dono aage kuch aur keh paate ki tabhie achanak se sagar aur pooja wahan par pahunch jaate hain, aur dono chup ho jaate hain, sagar aur pooja aditya aur niharika ko apne saath le jaate hain, kyunki unki bus aa chuki hoti haiβ¦β¦β¦β¦..
Next scene, sab log bus mein chad chuke hain, except aditya-sagar aur nihal keβ¦β¦β¦β¦..
KIR-are tum teeno bahar kyun khade ho? Andar bhi aa jao, waapas lautne ka iraada hai ya nahin? Ya phir Kashmir itna bhaa gaya hai, ki yahin rehne ka iraada kar liya haiβ¦β¦β¦β¦.
NIH-kashmir toh bahut hi zyaada bhaa gaya hai, magar philhaal yahan par rehne ka humaara aisa koi khaas iraada nahin haiβ¦β¦β¦..
KIR-toh phir khade kyun ho? Chalo naβ¦β¦β¦β¦
SAG-well hum chalne waalon mein se nahin hainβ¦β¦β¦β¦β¦.
POO-toh phir kya udne ka iraada hai haanβ¦β¦β¦β¦
Pooja ki baat sunkar sab hasne lag jaate hainβ¦β¦β¦β¦.
SAG-exactly, tumne bilkul sahi kaha, hum chal kar nahin balki ud kar hi Mumbai pahunchengeβ¦β¦β¦β¦β¦
POO-kya? Hum samjhe nahinβ¦β¦β¦β¦
NIH-bhai hum teen shehzaade toh aasmaan ki sair karte hue Mumbai pahunchenge, bahut mann kar raha hai, kaafi time bhi ho gaya aasmaan ki sair kiye hue, toh hum teeno ne socha ki aaj hum apni is khwaahish ko bhi poora kar hi lete hain, kyun dostonβ¦β¦β¦β¦β¦
Sablog hairaani se nihal ki taraf dekhte hainβ¦β¦β¦..aur isse pehle ki koi aur sawaal kar paata, aditya kehta haiβ¦β¦β¦β¦.
ADI-well baat yeh hai ki hum teeno, flight se Mumbai lautengeβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-{chaunkar}-magar kyun?
POO-mujhe pata hai kyun?
Sab pooja ki taraf dekhkar poochte hainβ¦β¦β¦.."KYUN"?
POO-kyunki ab inhe humaare saath bus mein baithne mein sharam aa rahi hogi aur kya? Isiliye toh flight mein baithkar shaan se aana chahte hain yeh teeno shehzaadeinβ¦β¦β¦β¦β¦.ab toh humaare saath chalne mein takleef ho rahi hai, isiliye toh ud kar aane ka iraada haiβ¦β¦β¦kyun main sahi keh rahin hoon naβ¦β¦β¦β¦
ADI-nahin galat, kyunki hum log Mumbai nahin balki flight se delhi ke liye nikal rahein hainβ¦β¦β¦β¦β¦..
KIR-{enthusiastically}-delhi? Magar tum log delhi kyun jaa rahe ho
NIH- kyunki humaara wahan par koi badi hi besabri se intezaar kar raha haiβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-kaun?
SAG-hai koiβ¦β¦β¦β¦β¦..
KIR-aisa kaun hai? jisse milne ke liye tumlog betaab hue jaa rahe ho, aur jiski wajah se tum log humein bhi bhulne ko tyayaar ho haan, batao mujhe ki kaun hai woh ?
NIH-hum nahin bataayengeβ¦β¦β¦
KIR-{angrily}-kya?
NIH-haan, balki hum toh tumhe usse bakaayada milwaayengeβ¦β¦β¦β¦..
KIR-kab?
NIH-jab hum use Mumbai lekar pahunchenge tab, lekin uske liye pehle humein use pickup karne ke liye delhi jaana padega, toh kya ab humein jaane ki ijaazat hai?
KIR-haan ijaazat hai, magar ek shart par kit um sabse pehle mujhse milwaayoge useβ¦β¦β¦β¦.
NIH-shart manzoorβ¦β¦β¦β¦..
Tabhie bus ka driver sabko baith jaane ke liye kehta hai, taaki bus time par ravana ho sake. Sab log aditya, sagar aur nihal ko alvida kehte hain, magar niharika kuch bhi nahin keh paati hai aditya se, aur na hi adi niharika se, woh dono toh bas ek doosre ko ishaaron se hi vida karte hain, aur phir kuch hi der mein bus Mumbai ke liye ravana ho jaati haiβ¦β¦β¦aditya bus ko jaate hue dekhta rehta hai, tabhie sagar kehta haiβ¦β¦β¦β¦.
SAG-chalein ab humaari bhi flight ka time ho gaya haiβ¦β¦β¦..
ADI-haan chaloβ¦β¦β¦β¦
NIH-haan jaldi chalo humaara koi wahan par besabri se intezaar kar raha haiβ¦β¦β¦β¦
Aur phir teeno bhi delhi ke liye ravana ho jaate hainβ¦β¦β¦β¦.
Next scene, in the bus, niharika jahan par aditya se door hone ki wajah se ek ajeeb se udasi, aur khaalipan mehsoos kar rahi hai, toh doosri taraf apni behen anu ke thik ho jaane ki khushi aur usse milne ki betaabi bhi uske chehre par saaf-saaf nazar aa rahi haiβ¦β¦β¦β¦..
Cut to aditya, in the flight, jo ki apne dil ke dard ko apne chehre ki muskuraahat se dhaakne ki koshish toh kar raha hai, magar uska dard uske chehre par saaf-saaf nazar aa raha hai, niharika ke liye uska pyaar, uski palkon mein khaare paani ke roop mein chalak raha hai, magar woh bhi apne dard ko chupaane ki koshish kar raha hai, taaki woh khushi-khushi us shaqs se mil sake, jo ki uske dil ke behad kareeb hi nahin, balki uski zindagi, aur uski shaqshiyat ka ek aham hissa bhi hai, kyunki aditya jaanta hai ki, woh sabse apne dil ki baat chupa sakta hai, magar usse nahin, kyunki sirf wahi hai jo aditya ko aditya se bhi zyaada jaanta aur samjhta hai, aur itna ki woh aditya ke dil ka haal uski nazron se hi saaf-saaf samajh jaayegaβ¦β¦β¦β¦.
After few hoursβ¦β¦β¦β¦β¦.
SAG-"AB", "AB"β¦β¦β¦β¦β¦
ADI-haanβ¦β¦β¦β¦β¦..
SAG-aap kin khayaalon mein khoye hue hain? Main aapko kabse awaaz laga raha hoon, magar pata nahin ki aapka dhyaan kahan par haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-main yahin par hoon, magar tum mujhe awaaz kyun laga rahe ho?
SAG-kyun laga raha hoon matlabβ¦."AB", humaari flight ho chuki hai chaliyeβ¦β¦β¦β¦.
ADI-kya? Hum delhi airport par land kar chuke hain, magar mujhe toh pata hi nahin chalaβ¦β¦β¦β¦.
SAG-kaise chalega, aapka dhyaan toh yahan par hai hi nahinβ¦β¦β¦β¦..
ADI-nahin woh mainβ¦β¦β¦β¦..
Tabhie nihal bhi wahan par aa jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
NIH-ab chalein ya phir isi flight mein basne ka iraada kar liya hai, tum dono neβ¦β¦β¦β¦β¦
SAG-haan chaliye, and don't worry humaara aisa koi bhi iraada nahin haiβ¦β¦β¦β¦
Aur phir teeno kuch der baad delhi airport par pahunchte hainβ¦β¦β¦β¦β¦
SAG-finally hum delhi pahunch hi gayeβ¦β¦β¦β¦
NIH-haanβ¦β¦β¦β¦β¦..
ADI-lekin woh kahan par hai, jiska humein intezaar haiβ¦β¦β¦β¦β¦
Aur teeno ki nazrein use dhoondne mein lag jaati hainβ¦β¦β¦β¦..
ADI-hmmmβ¦β¦..well kido tum wahan par dekho, aur nihal tum udhar jao, aur main is taraf dekhta hoon okβ¦β¦β¦β¦..
NIH&SAG-{together}-"NAHIIIIIIN"β¦β¦β¦β¦.
Adi chaunkar dono ki taraf dekhta haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-kya? Magar kyun?
SAG-kyun? Jaise aap nahin jaanteβ¦β¦β¦β¦..
NIH-kyun ka kya matlab? Tu yahin par baithkar wait kar hum use lekar abhi aate hainβ¦β¦β¦β¦.
SAG-haan warna bahut confusion ho jaayegiβ¦β¦β¦..
NIH-exactlyβ¦β¦β¦β¦.
ADI-are aise-kaise confusion ho jaayegi?
SAG-nahin-nahin aap yahin par rukiye, hum unhe lekar aate hainβ¦β¦β¦β¦
NIH-haan, tumhaare liye toh nahin magar humaare liye bahut problem ho jaayegi, isiliye tum yahin par baithkar araam se intezaar karo, hum yun gaye, aur yun aayeβ¦β¦β¦β¦β¦
SAG-haanβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-ok as u wish, magar zara jaldi aanaβ¦β¦β¦β¦.
NIH-well woh toh uske milne par depend karta hai na, ab hum jaayeinβ¦β¦β¦β¦.
ADI-haan jaoβ¦β¦β¦β¦..
Aur phir sagar aur nihal dono milkar us shaqs ko dhoondne ke liye jaate hainβ¦..aur aditya wahin par ruk kar intezaar karne lagta hai, kuch der tak toh woh wahin par baitha hua rehta hai, magar jab kaafi time beet gaya hota hai, toh adi se aur wait nahin ho paata hai, woh uthkar idhar-udhar dekhne lagta hai, ki tabhie use airport ke bahar ek ladki khadi hui nazar aati hai, woh piche mudkar khadi hui rehti hai, usne peele rang ka suit pehna hua rehta hai, aur uske kale-lambe baal hawa mein lehra rahein hote hain, adi uska chehra nahin dekh paata hai, woh bahut koshish karta hai, magar uske baal uske chehre ko cover kar rahe hote hain, aditya uski taraf dheere-dheere bhadne lagta hai, ki tabhie woh ladki uski taraf turn karti hai, aur hawa ek halka sa jhonka uski zulfon uske chehre se hata deta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
ADI-{pleased with surprise}-"NIHARIKA"β¦β¦β¦β¦β¦..
Aur aditya ka toh jaise khushi ka thikaana hi nahin rehta hai, woh dheere-dheere uski taraf bhadne lagta hai, aur niharika bhi aditya ko hanste hue bade hi pyaar bhari nazron se dekhi jaa rahi hai, aur woh aditya ko apne paas aate hue dekhti rehti hai, magar aditya jaise hi uske paas pahunchne hi waala hota hai, ki niharika usse door jaane lagti hai, yeh dekhkar aditya uske piche-piche jaane lagta hai use rokne ke liyeβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-niharika, ruko niharika tum kahan jaa rahi ho?
Aur aditya niharika ko awaaz lagate hue rokne ki koshish karte hue uske piche-piche sadak tak pahunch jaata hai, road par bahut traffic rehta hai, magar aditya betahaasha niharika ke piche-piche road par daudta rehta hai, use na traffic ka koi dhyaan rehta hai, aur na hi khud ka, tabhie achanak se ek badi si car aditya ki taraf full speed mein aane lagti hai, magar aditya ka dhyaan us taraf nahin jaata hai, woh toh bas niharika ko hi pukaare jaa raha hota hai, ki achanak se niharika uski nazron ke saamne se gayab ho jaati hai, aur woh shocked ho jaata hai, doosri taraf se woh car aditya se takraane hi waali hoti hai, ki tabhie koi aakar achanak se aditya ka haath pakadkar use apni taraf khinchta hai, aur dono ek saath roll karte hue road ke side par jaakar girte hain, aditya chaunkar uski taraf dekhta hai, aur uske muh se yeh naam nikalta haiβ¦β¦β¦β¦.
"RAJVEER"-(played by Rajeev khandelwal)β¦β¦β¦β¦β¦.
END OF PART 23.PLZZZ DO COMMENTβ¦β¦β¦β¦β¦..
Too good!!!!!Awesome!!!!!
Adi toh sapna dekh raha tha and thank God for that!!!!!π π π π π π π π
Niharika told him to come up first and then talk!!!!π π π πShukar hai ismein toh akal hai!!!!! π π π π
Niharika is asking him ke woh kiske khayalon mein khoya huya tha ke usse Niharika ki awaz bhi nahi sunayi de rahi thi!!!!π³ π³ π³ π³
Adi kuch bol nahi paa raha hai!!!!π π π πBatao na Adi ke tumne sapne mein pyaar ka izhaar karke marne ka plan bhi bana liya tha!!!!π π π π π π π π π π π π π π π π
Niharika kehti hai agar usse kuch ho jaata toh and Adi is shocked!!!!!π² π² π² π² π²
Niharika gusse mein chali jaati hai yeh keh kar ke Adi se toh baat karna hi bekaar hai!!!!!π‘ π‘ π‘ π‘ π‘
Adi is wondering about the meaning of his dream and thinking ke kahi uske pyaar ka anjaam aisa toh nahi hoga naa!!!!!π π π π π
Nahi nahi Adi ke pyaar ka anjaam aisa kabhi nahi ho sakta!!!!!π π π π π
At midnight Adi meets Niharika while strolling in the hotel balcony!!!!!!π π π π
Niharika has noticed ke Adi pareshaan hai jabse trekking se wapas aaya hai and wants him to tell her about it!!!!! π π π π
Adi assured Niharika that she is his best friend when Niharika said ke shayad Adi usse ish layak nahi samajhta ki apne dil ki baat keh sake!!!!!
Adi asked Niharika ke agar usse kabhi kuch ho gaya toh kya Niharika ko fark padega??π π π π
Adi aise sawal poochta hai jiska jawab Niharika de nahi paati!!!!!
Niharika gets angry and said Adi is right ke usse ratti bhar bhi fark nahi padega!!!!!π‘ π‘ π‘ π‘ π‘ π‘ π‘ π‘
Adi said usse pata tha!!!! On God why does he not understand what she wants to say but is not saying!!!!!
Niharika is now crying and saying ke usse kyun fark padega!!!!!π π π π π π π
Niharika jaanti hai ke Adi uski zindagi se judta jaa raha hai par woh usse khone ke darr se kuch bol nahi paa rahi!!!!!π π π π π
Adi ne Niharika se aise answer ki umeed nahi ki thi isiliye woh toot gaya!!!!!
Yeh messages aur call kiske hai??π π π πAdi toh isse dekhkar bahut khush ho gaya!!!!!π π π π π
He was feeling lonely aur ab iske aane se usse lagta hai ke sab kuch theek ho jayega!!!!π π π π ππΌ ππΌ ππΌ ππΌ
Sagar and Nihal are also very happy abut it and all three hug each other!!!!!π π π π π€ π€ π€ π€
Niharika khushi se pagal ho gayi hai yeh sunke ke uski behen Anu coma se bahar aa chuki hai!!!!!π π π π π
Pooja samajh jaati hai ke yeh sirf ghar wapas jaane ki khushi nahi hai balki baat kuch aur hai!!!!!π π π π π π π π
Niharika tells her and Pooja is surprised and pleased by it and said ke woh teeno milkar dhamaal karenge pehle ki tarah!!!!π π π π π₯³ π₯³ π₯³ π₯³
When Adi and Niharika came face to face they turned and walked away in opposite directions!!!!!π π π π π
Both again come face to face and keep staring into each other's eyes and want to say something but are interrupted by Sagar and Pooja!!!!!π π π π π π π π
They are all going back to Mumbai!!!!π π π πPata nahi phir kab ek saath honge!!!!!π π π π
Adi, Nihal and Sagar refused to go on the bus with the girls!!!!!π π π π π π π π
Pooja hit the nail on the head when she said toh phir kya udne ka iraada hai as they were indeed going to take a flight back!!!! π π π π π π π π π π
The boys are going to Delhi as someone is waiting for them there!!!!!!π π π π π π π π
Nihal refused to say his name and promised ke usse unsab ko milwayega jab usse Mumbai leke aayega!!!!!π π π π
Adi aur Niharika ek dusre se kuch nahi keh paate aur dono ek dusre ko ishaaron se vida karte hai!!!!π π π π π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³ π³
Niharika Aditya se door hone ki wajah se udaas hai but on the other hand she is happy ke Anu theek ho gayi hai!!!!!π π π π
Adi apne dil kar dard apni muskuraahat ke peeche chupane ki koshish kar raha hai!!!!!π π π π πPoor him!!!!!
Nihal and Sagar reject Adi's search plan saying ke Adi wahan baithe aur woh usse lekar aayega!!!!!π π π π
Sagar said warna Adi ke liye nahi magar unke liye bahut confusion ho jayega!!!!!π π π π π π π π π π π π π π π
Ish Adi ko toh har jagah Niharika hi dikhayi deti hai!!!!!! Yeh Adi bilkul pagal ho gaya hai!!!!!
Thank God!!!!π π π πRajveer ne usse bacha liya warna usne toh upar jaane ki poori taiyaari kar li thi!!!!!π π π π π π π‘ π‘ π‘ π‘ π‘
Yeh Rajveer kahan se aaya??π² π² π² π²Is he Adi's twin??π π π π
Maybe Rajveer will be able to understand Adi's problem and help him!!!!!!π π π π ππΌ ππΌ ππΌ ππΌ
Waise agar Rajveer aaya hai toh uske liye Naina ko laana hi padega!!!!π π π πNiharika ke kumbh ke mele mein bichdi huyi behen Naina!!!!!π π π π π π π π π π π
It will be great to see Adi and Rajveer together and I hope Adi confesses his love to Niharika soon!!!!!π π π π
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
193