PART 22
Kuch hi der mein sab log trekking ki jagah par pahunch jaate hain, aur apna-apna samaan lekar gaadi se niche utarte hainβ¦β¦..
KIR-{mesmerized by the beauty of the place}-wow! What a beautiful placeβ¦β¦β¦..
NIHAL-{romantically}-haan, magar tumse kamβ¦β¦.
Aditya nihal aur kiran ke beech mein aate hue, kehta haiβ¦β¦
ADI-{in a teasing style}-haan yeh baat toh tumne bilkul sahi kahi, balki main toh yeh kehta hoon ki kiran ki khubsoorti ke aage toh yeh kuch bhi nahin haiβ¦β¦β¦..
Aditya ki yeh baat sunkar nihal uski taraf ghoorkar dekhta haiβ¦β¦
ADI-{muskuraate hue}-tum yahi kehna chahte ho na ki main kabab mein haddi hoon, {suddenly a change in expression}-main bas yahi kehne aaya tha ki, sab kuch yahin par kar daaloge, ki aage ke liye bhi kuch chodogeβ¦
Aur itna kehkar aditya wahan se chala jaata hai, aur woh dono hasne lagte hainβ¦β¦β¦.
Cut to pooja and rahilβ¦β¦β¦
POO-dekho main bata de rahin hoon, main papad nahin banaungiβ¦β¦β¦β¦
Pooja ki yeh baat sunkar rahil chaunk kar uski taraf dekhkar kehta haiβ¦β¦β¦
RAHIL-kya? Tum ab tak us papad se hi chipki hui hoβ¦..are yaar maine toh sirf mazaak kar raha tha,main bhala tumse kaise kaam kara sakta hoon, agar zaroorat padi toh main khud baawarchi ban jaunga, tumhe toh main paon bhi zameen par nahin rakhne doonga, apni palkon par bitha kar rakhunga tumheβ¦β¦β¦β¦
POO-{smile karte hue}-sachchiβ¦β¦β¦
RAHIL-{softly}-muchchiβ¦β¦β¦
"bas dhyaan rakhna ki kahin palkein tutkar niche na gir jaayein, aur haan philhaal tumhe palkon ki nahin, in rassiyon ki zaroorat padegi, aur haan ek baat aur pair toh zameen par rakhne hi padenge"
Yeh baat sunkar pooja aur rahil piche ki taraf turn karte hain, aur dekhte hain ki aditya unke piche rassi lekar khada hua hai, adi undono ke paas aakar unhe rassiyaan thama deta hai, aur wahan se chala jaata haiβ¦β¦β¦..pooja aur rahil aditya ko dekhte rehte hainβ¦β¦β¦β¦
Cut to sagar and niharika.
SAG-kya hua niharika? Aaj tum bahut chup-chap ho, kahin tumhe darr toh nahin lag raha haiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-nahin lag raha hai ka kya matlab?
SAG-iska matlab ki tumhe darr lag raha haiβ¦β¦β¦.
NIHA-haanβ¦β¦β¦β¦..
SAG-waise sach kahun toh thoda-thoda darr toh mujhe bhi lag raha haiβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-kyun?
SAG-kyun ka kya matlab? Ab aisi-aisi baatein sunne ko milengi toh darr toh lagega hiβ¦β¦β¦
NIHA-{ghabraate hue}-kaisi-kaisi baatein?
"Kuch khaas nahin bas bhatakti hui roohon ki baateinβ¦β¦aur kya?"
Niharika apne side mein aditya ko dekhti haiβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-{ghabraakar niche dekhte hue}-bhatakti hui rooheinβ¦β¦..
Aur aditya sagar ko dekhkar aankh maarte hue halke se muskuraata haiβ¦β¦β¦..phir jaise hi niharika aditya ki taraf dekhti haiβ¦β¦..
ADI-{expression change}-haaaaaaanβ¦β¦β¦β¦.balki maine toh yahan tak bhi suna hai kiβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-kiiiiiiiiiiβ¦β¦β¦β¦?
ADI-ki yahi ki, jab bhi koi ladki us pahadi par chadai karti hai, wahi roohein use apni taraf khinchne lagti hainβ¦β¦β¦..
NIHA-khinchne lagti hai matlab!
ADI-are yaar, khinchne lagte hain matlab ki haathon se unke pair niche ki taraf khinchne lagte hain, aur kyaβ¦β¦β¦.
NIHA-par niche ki taraf hi kyun?
ADI-are yaar niche nahin khinchengi toh banda upar kaise pahunchegaβ¦β¦β¦β¦aur upar ka matlab seedha swarg ya phir narak bhi ho sakta hai, well yeh toh bande ke karmon ke upar depend karta haiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-lekin yeh roohein ladkiyon ko hi kyun khinchti hain?
ADI-are yaar kyunki woh roohein ladkon ki hain, toh obviously woh ladkiyon ko hi khinchengi naβ¦β¦..warna dostana nahin ban jaayegaβ¦β¦β¦.
Niharika kuch der tak aditya ki baaton par gaur karti hai, phir usse kehti haiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-magar tumhe nahin lagta hai ki yeh partiality haiβ¦β¦β¦
ADI-partiality?
NIHA-aur nahin toh kya, insaano ki duniyaan mein kya kam bhed-bhav hai, ladke-ladkiyon ke beech mein, jo ab roohon ki duniyaan mein bhi shuru ho gayi {after a pause}- toh is baare mein tumhaari kya rai hai?
ADI-ahhhhmmmβ¦β¦β¦tumne pakad liya naβ¦β¦.
NIHA-haaaanβ¦β¦β¦β¦
ADI-main toh bas tumhaara darr door karne ki koshish kar raha thaβ¦β¦β¦..
NIHA-{gusse se}-tum mera darr bhaga rahe the, ya phir use bhada rahe theβ¦β¦..
Aur itna kehkar niharika wahan se cahli jaati haiβ¦β¦..
ADI-are niha suno toh, ruko tohβ¦β¦β¦β¦
SAG-hahahahahahaβ¦β¦β¦β¦."kya se kya ho gaya"β¦β¦β¦.
Aur yahi kehte-kehte sagar bhi wahan se chala jaata haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-yeh niha bhi na zara sa mazaak bhi nahin seh sakti, ab ise manana padega, chal aditya beta kaam par lag jaaβ¦β¦β¦
Aur itna sochkar aditya bhi niha ke piche ho leta haiβ¦β¦β¦..
Cut to the mountain, for trekking.
Jahan par sab log pahadi par chadne ki tyayaari kar rahein hainβ¦β¦β¦β¦.
RAHIL-common girls, get ready for the adventureβ¦β¦β¦β¦..
POO-adventure ya phir suicideβ¦β¦β¦.
RAHIL-suicide!
POO-aur nahin toh kya, ab koi normal insaan toh yeh kaam nahin kar sakta, toh koi pagal hi hoga jo is pahadi par chadega, aur is par chadne ka matlab hi hai suicide karnaβ¦β¦..
RAHIL-thik hai suicide hi sahi, lekin tum yeh kyun nahin sochti ki un aakhiri palon mein bhi main-main tumhaare saath rahungaβ¦
POO-main toh chahti hi hoon ki tum humesha mere saath hi raho, isiliye keh rahin hoon waapas chaltein hain, kyunki main tumhaare saath zinda rehna chahti hoonβ¦β¦
ADI-kaun jiyegaa kaun maregaa iska faisla upar waala karega, tab tak hum chadai shuru karte hainβ¦..
Aur itna kehkar aditya pooja aur rahil ko pahadi par chadai shuru karne ko kehta haiβ¦β¦β¦β¦.
Cut to nihal and kiran, jo ki pahadi par chadne ki tyayaari kar rahein hainβ¦.
KIR-samhal keβ¦.
NIHAL-tum meri nahin apni fikar karoβ¦.
KIR-kyun tum kisliye ho?
ADI-aur agar tum nahin ho, toh phir main hoon naβ¦β¦..toh tum dono tyayaar ho chadai shuru karne ke liyeβ¦β¦β¦β¦.
NIH-KIR-{ek saath}-haanβ¦β¦β¦β¦.
ADI-all the bestβ¦β¦β¦β¦β¦..
NIH-to u tooβ¦β¦β¦β¦β¦
KIR-apna khayaal rakhna adi, aur haan samhal kar upar chadnaβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-ya sureβ¦β¦β¦β¦..
Cut to sagar and niharika, aur woh dono bhi chadai karne ki tyayaari mein jute hue hainβ¦β¦β¦β¦..tabhie aditya wahan par aata haiβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-toh tum dono tyayaar ho gaye, shuru karein chadai?
SAG-"AB", I am really sorry magar main upar nahin chad paungaβ¦β¦β¦β¦..
ADI-kyun kya hua kido? Any problem?
SAG-haanβ¦β¦β¦.. pata nahin magar mere daayein pair mein halka-halka sa dard ho raha haiβ¦β¦β¦β¦β¦.
ADI-agar zyaada takleef ho toh mujhe batao, hum log abhi waapas hotel chaltein hainβ¦β¦β¦β¦..aur main doctorβ¦β¦β¦β¦..
SAG-nahin "AB", plzzz aap mere liye sabka trekking trip cancel mat kijiye, main yahan niche tent mein araam kar loonga toh, thik ho jaunga, plzzz both of u enjoy ur selvesβ¦β¦β¦β¦.
NIH-lekin sagar hum tumhe aise akela chodkar thode hi na jaa sakte hain, kam se kam tum doctor ko tohβ¦β¦β¦β¦.
SAG-nahin niharika plzzz tum apna trip enjoy karo, aur meri fikar mat karo, I will be fine, just trust meβ¦β¦β¦β¦β¦.
ADI-what fine kido, tumhe kya lagta hai ki yeh enjoyment tumse bhadkar hain, haanβ¦β¦β¦β¦β¦.
NIH-aditya bilkul sahi keh raha haiβ¦β¦β¦β¦..
SAG-oh God! Ab aap dono ko main kaise samjhaayun, plzzz meri baat maaniye aur aap dono chadai shuru kijiye, maine kaha na ki main thik ho jaunga, aur haan mujhe doctor ki koi zaroorat nahin hai philhaal, aur jab hogi toh aapse hi kahunga naβ¦β¦β¦β¦β¦.
ADI-NIHA-{together}-are u sureβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
SAG-100% sureβ¦β¦β¦β¦β¦and now plzzz both of u go, and enjoy yourselves, and plzzz don't worry about me, I will be fineβ¦β¦β¦β¦β¦
Cut to pooja and rahilβ¦β¦β¦β¦.
POO-agar main niche giri na RS, tohβ¦β¦β¦β¦.
RS-phir RS, kitni baar kaha hai tumse mujhe rahil keh kar bulaya karoβ¦β¦β¦β¦β¦..
POO-meri jaan ki bajaaye tumhe apne naam ki padi haiβ¦β¦β¦β¦..
RS-jaan ki padi hai, tabhie toh dil se laga kar rakha hai tumheβ¦β¦β¦β¦β¦
POO-aur agar mujhe kuch ho gaya tohβ¦β¦β¦β¦.?
RS-phir main kisliye hoon, meri jaan se pehle {referring to pooja}, meri jaan jaayegi {referring to himself}β¦β¦β¦β¦..
POO-{kisses lightly on rahil's lips}-humaariβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
Cut to kiran and nihalβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
NIH-{jokingly}-tum kitni bhaari ho gayi ho kiran, mujhe toh darr lag raha hai ki kahin yeh rassi hi na tut jaaye, phir toh tumhaare saath-saath main bhiβ¦β¦β¦β¦β¦.
KIR-{gusse se}-kya? Kya kaha tumne ki main moti ho gayi hoon, aur tumse samhaale nahin samhaltiβ¦β¦β¦β¦..
NIH-ab maine aisa thode hi na kaha thaβ¦β¦β¦β¦β¦β¦..
KIR-magar tumhaara matlab toh wahi tha naβ¦β¦β¦β¦..
NIH-kiran tum bhi na kis baat ka kya matlab nikaal leti hoβ¦β¦β¦β¦..
KIR-agar main tumhe itni buri lagti hoon tohβ¦β¦β¦β¦.
NIH-tohβ¦β¦β¦β¦are baba main toh bas halka sa mazaak kar raha thaβ¦β¦β¦.aur tum toh sach mein naraaz ho gayiβ¦β¦β¦β¦..
KIR-aisa mazaak bhi koi karta hai bhalaβ¦β¦β¦β¦
NIH-ok baba I am sorry, ab dobara aisi koi baat nahin karungaβ¦β¦β¦..aur mazaak toh kabhie nahinβ¦β¦β¦β¦β¦.i promiseβ¦β¦β¦..
KIR-pakka promiseβ¦β¦β¦β¦β¦
NIH-haan baba pakka promiseβ¦β¦β¦β¦..
Tabhie kiran ka haath nihal ke haathon se phisalne lagta haiβ¦β¦β¦β¦.lekin nihal fauran apni pakad ko mazboot banaate hue kiran ka haath kas kar pakad leta haiβ¦β¦β¦.
KIR-{relieved}-mujhe toh laga tha kiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIH-ki main tumhaara haath chod doongaβ¦β¦β¦
KIR-nahinβ¦β¦β¦β¦..
NIH-phirβ¦β¦β¦β¦.?
KIR-{apni nazrein jhukaate hue}-kuch nahinβ¦β¦β¦β¦β¦β¦
NIH-yeh haath chodne ke liye thode hi na thaama hai, ab toh yeh saath saat janmon tak nahin chootegaβ¦β¦β¦β¦..
KIR-{expressing belief}-mujhe pata haiβ¦β¦β¦β¦.
Cut to aditya and niharika.
ADI-ab tak naraaz ho mujhseβ¦β¦β¦β¦
NIHA-nahin tohβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-agar naraaz nahin ho toh phir mujhse baat kyun nahin kar rahi hoβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-kar toh rahin hoonβ¦β¦β¦β¦
ADI-tum is haan toh aur nahin toh ko baat karna kehti hoβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-mujhe lagta hai ki humein baat karne ke bajaaye upar ki taraf chahdai karne par zyaada dhyaan dena chahiyeβ¦β¦β¦β¦..
ADI-bilkul dena chahiye magar hum chadte-chadte bhi toh baat kar sakte hainβ¦β¦β¦..
NIHA-magar mujhe nahin lagtaβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-kyun?
NIHA-kyunki jab zindagi hi nahin bachegi toh baat kya khaak hogiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-ab is baat ke beech mein zindagi aur maut kahan se aa gayiβ¦β¦β¦..
NIHA-tumhe nahin lagta ki agar humaara dhyaan zara sa bhi chukka toh humdono seedha niche khaayi mein jaakar girengeβ¦β¦β¦.
ADI-nahinβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-achcha aur who kyun?
ADI-kyunki tum jo mere saath hoβ¦β¦β¦β¦.
Niharika chaunkar aditya ki taraf dekhti haiβ¦β¦β¦β¦
ADI-{smile karte hue}-aur phir jab tak main tumhaare saath hoon, tumhe kuch bhi nahin ho saktaβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-oh really itna over confidence bhi achchi baat nahin haiβ¦β¦β¦..
ADI-yeh over confidence nahin hai mera vishwaas hai, aur kehte hain na ki vishwaas mein itni taakat hoti hai ki who pahaad ko bhi hila sakti haiβ¦β¦β¦..
NIHA-who toh waqt hi bataayegaβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-haan yeh bhi sahi hai, chalo is bahaane hi sahi magar tum mujhse baat toh karne lagiβ¦β¦β¦β¦..warna main tohβ¦β¦β¦β¦.
NIHA- toh?
ADI-mar hi jaataβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-ab yeh mat kehna ki main agar tumse baat nahin karungi toh tum apni jaan de dogeβ¦β¦β¦β¦..
ADI-nahin yeh toh tum keh rahi ho, haan magar main tumse yeh zaroor kahunga ki mujhse apne dil ki saari baatein karlo, kya pata kal ho na hoβ¦β¦β¦..
NIHA-adi plzzz ab yeh filmi dialogue jhaadna bandh karo, waise bhi mera abhi baat karne ka zara bhi mood nahin haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-thik hai jaisi tumhaari marzi, magar kahin aisa na ho ki kal jab tumhaara mujhse baat karne ka mann ho toh main hi na hoonβ¦β¦β¦β¦..tab kya karogi?
NIHA-kyun tum kahan jaa rahe ho?
ADI-main tumhe chodkar kahan jaa sakta hoon, magar zindagi ka koi bharosa bhi toh nahinβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-yeh tumhe aaj ho kya gaya hai, itni ajeeb baatein kyun kar rahe ho?
ADI-baat toh tum nahin kar rahi ho, main toh bas itna hi keh raha hoon ki kahin aisa na ho ki kal ko tum mujhe dekhne tak ke liye bhi tarsoβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-bhala main kyun tarsane lagi tumhe dekhne ke liye, main kaun sa mari jaa rahin hoon tumse baat karne ke liyeβ¦β¦β¦
ADI-who bhi hai, jaan toh meri jaayegi, lekin ek baat bata doon, ki main marne ke baad bhi tumhaara peecha nahin chodungaβ¦β¦β¦β¦.
NIHA-{gusse se}-thik hai jaisi tumhaari marziβ¦β¦β¦β¦β¦aur haan mujhe koi farak nahin padta hai tumhaare jeene ya marne seβ¦β¦β¦β¦
ADI-dekhte hain, yeh bhi waqt hi bataayega ki kisko kitna farak padta haiβ¦β¦β¦β¦..
Aur baaton hi baaton mein aditya aur niharika mountain ke peak tak pahunch jaate hainβ¦β¦β¦β¦.
ADI-pata hi nahin chala ki kab dekhte-dekhte humaari manzil aa gayiβ¦β¦β¦β¦β¦
NIHA-{relieved}-haan aur woh bhi sahi-salamatβ¦β¦β¦β¦..
Pehle niharika peak par chadti hai, phir aditya ki taraf mudkar use apna haath thaamne ko kehti haiβ¦β¦β¦β¦.
ADI-soch lo ek baar haath thaam liya toh phir zindagi bhar kya saath janmon tak bhi nahin chodungaβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-adi pehle tum upar aa jaayo phir hum sochenge is baare meinβ¦β¦β¦β¦..
ADI-nahin pehle vaada karo ki saat janmon tak saath nibhaayogiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-adi yeh kya bachpana hai, plzzz pehle tum upar aa jaayoβ¦β¦β¦β¦
ADI-nahin aaj toh faisala hokar rahega ya toh is paar ya phir us paarβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-{tensed and a little bit shocked too}-adi plzzzβ¦β¦β¦β¦
ADI-niha tumhaari ek haan aur naa meri zindagi ka rukh badal degiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-adi tum yehβ¦β¦β¦β¦
ADI-niha ab meri zindagi aur maut ka faisla sirf tumhaare haathon mein haiβ¦β¦β¦.tumhaari haan meri zindagi aur naa meri mautβ¦β¦β¦β¦.ab faisla tumhaara haiβ¦β¦β¦..
Tabhie achanak se ek baraf ke tukde ki khisakne ki wajah se adi ladkhadane lagta haiβ¦β¦β¦β¦..
NIHA-{at once}-haan-haan-haanβ¦β¦β¦β¦
ADI-{khushi se pagal hote hue}-yipeeeeeeeeeβ¦β¦β¦β¦.{showing his victory]-yesβ¦β¦β¦β¦
NIHA-{halke se smile karte hue}-ab toh upar aa jaayoβ¦β¦β¦β¦.
Aur phir niha aditya ko apna haath deti hai, aur aditya bhi peak par chad jaata haiβ¦β¦β¦β¦.aur niharika chain ki saans leti haiβ¦β¦β¦β¦..
ADI-{holding niharika's shoulders}-mujhe pata tha ki tum haan hi kahogiβ¦β¦β¦β¦
NIHA-achcha itna vishwaas tha tumhe mujhparβ¦β¦β¦β¦.
ADI-khud se bhi zyaadaβ¦β¦β¦β¦
NIHA-adi main tumseβ¦β¦β¦β¦.
Aditya niharika ke labon par apna haath rakhte hue kehta haiβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
ADI-{holding his breath}-I love uβ¦β¦β¦β¦..
Niharika aditya ki taraf chaunkar dekhne lagti hai, aur aditya bhi niharika ko hi dekhe jaa raha haiβ¦β¦β¦..
NIHA-aditya?
ADI-niharika mainβ¦β¦β¦β¦.main tumseβ¦β¦β¦β¦β¦.?
Magar isse pehle ki aditya apni baat poori kar paata, ki uski nazar niharika ke piche ki taraf jaati hai jahan par ek baraf ka gola tezi se niharika ki taraf aa raha hota hai, aditya ka shocking expression dekhkar niharika bhi piche ki taraf turn karti hai, toh uske hosh bhi ud jaate hain, aditya aur niharika ek doosre ka haath pakad kar opposite direction mein bhaagne ki koshish karte hain ki achanak se dono niche gir jaate hain, kyunki unki pairon ki rassiyaan aapas mein ulajh gayi hoti hain, dono fauran rassiyon ko kholne mein jut jaate hain,aur doosri taraf baraf ka gola bhi apni poori raftaar se unki taraf aa raha hota hai, aur jaise hi rassiyaan khulti hain, aditya niharika ko opposite direction mein dhakka de deta hai, aur khud us baraf ke gole se takraakar niche khaayi mein gir jaata haiβ¦β¦β¦β¦β¦
ADI-!!!!!!!!!!"NIHARIKA"!!!!!!!!!!
NIHA-{shouting out powerfully and forcefully}-!!!!!!!!!!!"ADITYA"!!!!!!!!!!!!!
AUR CHAARON TARAF ADITYA KA NAAM GUNJ UTHTA HAIβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦.
AUR SAB KUCH EK DUM SHAANT HO JAATA HAIβ¦β¦β¦β¦β¦β¦β¦
END OF PART 22.PLZZZ DO COMMENTβ¦β¦β¦β¦β¦
193