Part-1
Ek din jab savere savere, surmai si andher ki chaadhar haatake,
ek parbat ke takiye se, suraj ne sar jo uthaya to dekha,
Dil ki wadiyo mein chahat ka mausam hai aur yaado ki dali per
anginat beete lamho ki kaliya mehekne lagi hai....
Ankahee, ansuni aarzoo... Aadhi soyi hui, aadhi jaagi hui,
aankhein maltein hui dekhti hai...
Leher dar leher, mauj der mauj beheti hui zindagi
jaise har ek pal nayi aur phir bhi wahi...
Haa wahi zindagi.....
jiske daaman mein koi mohabbat bhi hai koi hasrat bhi hai...
Paas aana bhi hai, dur jaana bhi hai
Aur yeh ehsaas hai...
Waqt jherne sa beheta hua, jaa raha hai yeh kehta hua
Dil ki wadiyo mein chahat ka mausam hai aur yaado ki dali per
anginat beete lamho ki kaliya mehekne lagi hai....
aur isi khubsoorat se sheher mein Kashmir ke paas base ek chote gaon mein wo rehti thi..Do bahot hi pyari se ladkiya jo apne ma baba ki jaan the. Kaynaat aur Arzoo.
Kaynaat, jo hamesha apne khwaabo ki duniya mien mast thi, jise yakeen tha ki ek din wo insaan aayega jo use iss duniya mein sabse jyada pyaar karega, jise khuda ne uska masiha chuna hoga… Kaynaat bahot hi azaad khayaalo ki ladki thi…
Usne bas kuch hi din pehle apni padhayi puri ki thi, jab ki Arzoo bas isi saal mein apni padhayi puri karne wali thi. Arzoo ke zindagi mein apne maa baba aur Kaynaat baaji ke baad kuch bahot important tha to wo tha music. Wo singer banna chahti thi, jo ki uss waqt thoda mushkil tha, per uske baba ne har tarah se uska saath diya. Kaynaat bhi yehi chahti thi ki Arzoo ka har sapna pura ho, aur isiliye wo har tarah se use madat karti thi. Kaynaat aur Arzoo ek dusre se itne kareeb the ki kabhi unhe kisi dost ki zaroorat hi nahi padi. Wo apni chotisi pyaari si duniya mein hi behad khush the.
Subha ka waqt tha, aur Kaynaat daudti hui kahi jaa rahi thi…. Usne yellow aur white color ka dress peheni hui thi… Uski pazeb ki chanak se hi ghar mein rounak chaa jaati thi…
Kaynaat: Arzooo……, Arzooo…….
Arzoo: ji baaji bas aa hi rahe hai….. {wo daudte hue bahar aati hai}
Kaynaat: Arzoo tumhe andaza hai ki hum kitne late ho gaye hai. College pohochne mein hume kam se kam ek ghanta lagega
Arzoo: ha baaji, hum bas walkman le rahe the
Kaynaat: uff ho! Pagli, maano wo walkman naa hua koi behad keemti cheez ho
Arzoo: hamare liye to yeh behad keemti hai
Kaynaat: acha acha ab chalo bhi, maa baba bhi chale gaye hai…wo to dukaan per pohoch bhi gaye honge…
Arzoo: ha chaliye….. {she locks the door and they leave}
{Arzoo aur Kaynaat ek chotisi family se the, jo ki Kashmir ke paas ek gaon mein rehte the. Unhe college jaane ke liye ek chotese jungle ke raaste se guzarkar shikare [small boat that is usually used in small towns in Kashmir to travel short distances] ki madat se college jana hota hai…
Arzoo aur Kaynaat college pohoch jaate hai, waha koi singers ke auditions hone wale the, jiske liye Kaynaat bhi Arzoo ke saath gayi thi, just to support her. Arzoo did well, she was selected among the top 12 members. They were extremely happy as this was a really big thing for them. They were now on their way back to home. They got down from the shikara & were about to go ahead, that's the jungle way….
Arzoo: aaj hum bahot khush hai baaji…
Kaynaat: ha Arzoo, ma baba yeh sunkar kitne khush honge…., aakhir kaar tumhe mauka mil gaya.
Arzoo: ha….
Kaynaat: are ab to wo walkman bandh karo.., jab dekho bas yehi sunte rehti ho…
{she removes those earphones}
Arzoo: ab kya kare, aapne tohfa hi aisa diya hai… {laughs}
{shaam ka waqt tha, to uss waqt unke alawa koi aur nahi tha, per apni khushi mein unhe waqt ka andaaza hi nahi hota, phir achanak Kaynaat ko kisi ke kadmo ki ahaar aati hai, maano koi tezi se daud raha ho, wo yaha waha dekhti hai, per koi nahi dikhayi deta..wo thoda aage badhti hai, per koi nahi hota,jab wo peeche palatti hai to Arzoo waha nahi hoti….}
Kaynaat: Arzoo…Arzoo kaha ho tum? Arzoo….
{wo arzoo ko yaha waha dhundti hai per arzoo kahi dikhayi nahi deti…, Kaynaat thoda aage badhti hai to dekhti hai ki Arzoo bilkul ghabrayi si dari hui uske paas daudte hue aa rahi hai…Wo aakar Kaynaat ke gale lagkar rone lagti hai}
Kaynaat: Arzoo…, kya hua? Tum iss tarha se ro kyun rahi ho….
{two dono ek jhaad ke peeche khade the, tabhi Arzoo use jhaad ke usspaar thodi duri per dekhne ha ishaara karti hai….
Waha kuch log khade the. Unmein se ek ne dusre insaan pe pistol se aim kiya hua tha. Kaynaat yeh dekhkar bahot darr jaati hai… Wo un logo se jyada duri per nahi hote hai.., Arzoo ke haath mein wo walkman ab tak hota hai…jiska record ka button on ho jaata hai, per Arzoo ko yeh pata nahi hota. Wo aadmi uss dusre aadmi per goli chalata hai, aur Arzoo yeh dekhkar bahot darr jaati hai, aur cheekti hai… Wo aadmi jiske haatho mein gun thi wo palatta hai, aur Kaynaat aur Arzoo uska chehra dekh lete hai aur wo log un dono ko dekh lete hai… aur unki taraf aa rahe hote hai. Kaynaat uss aadmi ko pehechaan leti hai… aur phir yeh dono waha se bhaag jaate hai aur wo log inka peecha kar rahe hote hai.
Iss waqt yaha Kashmir mein kuch halaat thik nahi the. Riots chal rahe the, aur usi din usi waqt Kashmir mien aur uske aas paas ke jagaho per ek baad ek 4 blasts hote hai, jin mein se ek ilaaka wahi hota hai jaha Kaynaat aur Arzoo rehti thi. Per wo dono iss baat se anjaan the. Har taraf bas tabahi ka manzar tha. Kuch pal ke liye kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki aakhir ho kya raha hai.
Yaha Kaynaat aur Arzoo ke peeche wo log pade the. Daudte daudte wo jungle ke dusri taraf chale jaate hai, aur phir bahar raaste per aate hai…waha unke saamne ek jeep aakar khadi hoti hai… Wo aadmi Kaynaat aur Arzoo ki taraf dekhta hai, aur tabhi Arzoo behosh ho jaati hai… Wo aadmi ab bhi bas unki taraf dekh raha tha, kuch nahi kehta….
Kaynaat: Arzoo…arzoo, aankhein kholo…..
{per arzoo behosh thi, wo aadmi unko dekhta rehta hai… Usne black color ka t-shirt, blue jeans peheni thi. Uski halki si stubble thi, aur forehead per usne red color ka band baan rakha tha}
Person: gaadi mein baitho…. {that's our hero, Rajeev aka Ayaan Khan}
{kaynaat bas uski taraf dekhti, use samajh nahi aata ki wo kya kare, wo palatkar dekhti hai to un logo mein se ek ko unki taraf aata hua dekhti hai… wo kisi tarahse arzoo lekar gaadi mein baith jaati hai…aur ayaan unhe kahi le jaata hai}
~~~**~~~End of part-1~~~**~~~
I hope u liked the first part..
By the way, this is just to let u know that the starting lines of this part are from the film 'Veer Zaraa'. Just added those to give a pure feeling of nature and its beauty…
Waiting eagerly for your comments!!!
Luv,
Ruksaar
37