~* HUMRAAH *~ Part-9 pg-15 - Page 3

Created

Last reply

Replies

102

Views

17.6k

Users

30

Frequent Posters

HhAaNnAa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
#21
wow dear gr8 part l,oved it tooo tooo gooood yhope kaynaaat inlogon ko galat nah samje shayad yeh log koi acche kaaam keh liye jaa rahe ho aur kaynaat samjeh keh inlogon ki hi sazzish thii blastki...continue sooon cna't wait more... 👏
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#22
no more comments??? 😕
shd i continue or no???
rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#23
tht was a grt update ruku.. sorriee for the late comments, was not well...
but pls do continue i really like this story.. Its really different n very interesting..
ImPrEsSiVe_Grl thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
#24
hey rukhsar dear ...amazing concept 👏 👏 ..loved it 😊 ..cont soon cant wait.. 😊
naazbrar thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
#25
nice part rukhsar......no dear dont leave this ff unfinished....cont soon......
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#26
sorriee dii was a bit busy... Will continue asap.
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#27
ruksar kaha ho pls pls cont soon
Rajeev_gr8 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#28

Gr8 parts👏👏👏

cont soon😊

ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#29
heyi frnds, im xtremly soriie.. i had started wid my semesters so cudnt update. I'll update in a day or two..
ruksaar_khan thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#30

Part-3

Recap-

Ayaan Kaynaat aur Arzoo ko apne ghar le aata hai… Kaynaat unhe kuch batane ki halat mien nahi hoti…

Ayaan aur Rehan kuch dhamake ki baat kar rahe the, tabhi kaynaat unhe sun leti hai…….

Story further…………

Ayaan: to mera andaaza sahi tha…, ab to bas uss ek aadmi ki talaash hai…

Rehan: wo bhi bahot jald pura ho jayegi… unhone to bas kuch patakhe bajaye hai, asli dhamaka to hum karenge…

{ayaan just looks at rehan and smiles….

Peeche khadi kaynaat unki saari baatien sun leti hai..aur daudte hue Arzoo ke paas jaati hai… Kaafi raat ho chuki thi… }

Kaynaat: {to herself} iska matlab yeh log bhi unhi jaise hai….. ab hum kya kare? Arzoo bhi hosh mein nahi hai…aur iss hum kaise jaye…. {looks at arzoo} nahi.. per…. {she sits besides arzoo…and sleeps there only}

Next morning……..

Ayaan uthte hi neeche wale kamre mein aata hai, aur dekhta hai ki Arzoo aur Kaynaat dono hi waha nahi the… wo har taraf unhe dhunta hai per wo kahi nahi hote hai…

Ayaan: {to himself} itne savere wo jaa kaha sakte hai?

{dusri taraf saare sheher mein blasts ke baad haalaat kaafi kharab the…per inn sab baato se anjaan Kaynaat aur aur arzoo kisi tarah se ghar pohochna chahte the. Wo jaise kisi tarha se shikare tak pohoch jaate hai per wahi log unhe dekhte hai aur ek baar phir unka peecha karte hai… Arzoo ki tabiyat to waise bhi kharaab hoti hai, wo mushkil se chal paati hai… Kaynaat behad ghabraa jaati hai, wo kisi tarah se use lekar wahi chup jaati hai…aur jab palatti hai to Rehan ko peeche khada paati hai..}

Kaynaat: tum?

{ek taraf rehan khada tha aur dusri taraf se wo log inki taraf aa rahe the}

Rehan: chalo yaha se…

Kaynaat: nahi…

Rehan:maine kaha chalo… {he just pulls them both and takes them back to his house.. Ayaan was busy in his work.., he was talking to some one, just than he sees Rehan bringing them both…so disconnects the call}

Kaynaat: kyun laye ho aap hume yaha? Chahte kya ho?

Rehan: what?

Kaynaat: hum achi tarha se jaante hai ki aap bhi unhi logo mein se ho… fark itna hai ki unhone jo kiya khule aam kiya aur aap mukhote pehenkar yeh sab kar rahe ho… Kya milega tumhe masumo ki jaan lekar… dekho aap log kya karte hai kya nahi inn sabse hume koi matlab nahi hai.., khuda ke waste hume jaane dijiye…}

{Ayaan couldn't take it anymore now}

Ayaan: jaanti hi kya ho tum hamare bare mein? Tumhe jana hai na shouk se jao.., bas itna jaan lo ki yaha se nikalne ke baad shayad hi tum dono zinda bachoge. Aur jaha tumhara ghar tha na, ab waha sivaye mitti ke dher ke kuch bhi nahi bacha hai…

Kaynaat: kya? Yeh tum kya keh rahe ho? {she catches his collar} kya keh rahe ho? Ma baba….

Rehan: ayaan sahi keh raha hai… waha blast hua hai aur sabse jyada usi ilaake mein tabahi hui hai…shayad tumhare ma baba bhi……

Arzoo: nahi…. nahi.., baba…maaa….. {she burst out crying, while Kaynaat was in a state of shock}

Ayaan: tumhe jaana hai to beshak jao, hum naa to tumhe rokenge aur naa hi tumhari madat karenge…

{saying this he goes out of the room, while Rehan stood there… didn't knew what do to. Later he too just walked out… Arzoo was shattered, she goes and hugs Kaynaat and both of them cry bitterly… Their life came to a still… at was like their own death.., they didn't knew what to do, where to go… Somehow Kaynaat controlled herself and Arzoo too… Rehan steps in and sits besides them}

Rehan: kya tumhare yaha koi aur rishtedaar hai, jaha tum jaa sakte ho?

{arzoo just looks at him, without saying anything}

Rehan: iss waqt to hum waha nahi jaa sakte… wo log ab bhi tumhara peecha kar rahe hai.

Arzoo: per ab hum kya kare? Hamari to duniya khatm ho gayi..

Rehan: main samajh sakta hu tum per kya beet rahi hai.. iss waqt…. bas sabr karo.. aur phir yeh zaroori to nahi ki tumhare ma baba uss hadse mein…. Mera matlab. ho sakta hai ki uss waqt wo waha maujood naa ho jis waqt wo blast hua tha…

Arzoo: kuch samajh nahi aa raha.., pehle to wo khoon…aur ab

Kaynaat: Arzoo… chup raho

Rehan: kaisa khoon?

Kaynaat: kuch nahi, inhe kuch bhi batane ka koi fayda nahi hai Arzoo, yeh bhi to unhi mein se ek hai…

{rehan use bina kuch kahe waha se chala jaata hai}

Arzoo: per baaji, mujhe nahi lagta yeh waise hai.., inhone to hamari kitni madat ki hai… Anjaan hote hue bhi hamari madat kar rahe aur aap inhi per shaq kar rahi hai

Kaynaat: bharosa bhi to nahi kar sakte na… Wo log bhi anjaan hai jo hamare peeche pade hai…

Arzoo: per baaji, hum uss insaan ko to jaante hai jisne goli chaliye thi…

Kaynaat: isliye to hum kisi per bharosa nahi kar sakte Arzoo… ab khone ke liye kuch bacha hi nahi hai…, hum yaha se kahi dur chale jayenge…iss hadse se hamara koi waasta nahi hai….

{in dono ki baatein Rehan sun leta hai… wo Ayaan ke paas ata hai, jo uper chat pe hota hai}

Rehan: Ayaan, shayad yeh hamari madat kar sakti hai…

Ayaan: kya matlab?

Rehan: inhone kisi ka khoon hota dekha hai.., pata nahi kyun per mujhe aisa lag raha hai ki kahi na kahi yeh hamari madat kar sakti hai

Ayaan: per filhaal hume inhe kisi mehfooz jagah per rakhna hoga. Wo log jo bhi hai inhe chodenge nahi.

Rehan: per hum iss waqt in haalato mein yaha se kai aur jaa bhi nahi sakte…

Ayaan: kuch din inhe yehi rakhte hai, waise bhi filhaal wo kuch batane ki halat mein nahi hai, shayad baad mein kuch batla de phir hum kuch kar sake…

Rehan: ha… acha mujhe kuch der jana hoga..per tum zara sambhalkar rehna

Ayaan: hmm…

{rehan leaves, ayaan than steps inside.. Arzoo and Kaynaat were sitting there.., he just goes there and cleans everything… there were some papers, some sketches and some other gadgets like things kept on the table…. After watching him packing all those things Kaynaat was sure that Ayaan & Rehan were no less than those people…

After about 20 minutes, Ayaan makes some coffee for them..and keeps it on the table..}

Ayaan: bhale hi humara aapse koi waasta naa ho per hum jo bhi kar rahe wo bas insaaniyat ke naate kar rahe..phir bhi aapko humpe yakeen nahi hai to aap yaha se jaa sakte hai…

{he was about to go upstairs just than Arzoo stops him}

Arzoo: mujhe hai aap pe yakeen…

{ayaan stops}

Kaynaat: Arzoo yeh tum…

Arzoo: ha baaji, apno per yakeen karke dekh liye hai, aur uska anjaam aapke saamne hai… ab inper bhi yakeen karke dekhte hai.. Waise bhi aap hi ne kaha na, khone ko ab hamare paas bacha hi kya hai?

{ayaan stands there for a minute and than goes upstairs}

Arzoo: hamare paas iske alawa aur koi raasta bhi nahi hai baaji… Jab tak inke saath hai hum mehfooz hai..

Kaynaat: per hum Sabiha baaji se baat kar sakte hai

Arzoo: kaha aur kaise baat karenge aap? Iss ghar se nikalte hi wo log hume zinda nahi chodenge..

Kaynaat: tum in logo pe itna bharosa kaise kar sakti ho? Aakhir yeh bhi to unhi mein se ek hai..they too are no less than those terrorists…

Arzoo: baaji aap yeh kaise keh sakte hai, agar yeh in logo mein se hote to kabka hume maar chuke hote hai.. u baar baar hume unse bachate nahi…. Baba hamesha kehte the na.. maarne wale se bachane wala bada hota hai.. Ho sakta hai khuda na inhe hi hamari madat ke liye bheja ho… Jaanti hu iss waqt kisiper bharosa karna thik nahi hai, per hum iske alawa kuch aur kar bhi nahi sakte… please baaji… phir yeh bhi to ho sakta hai ki agar ma baba sahi salamat hai to yehi unhe dhund ne mein hamari madat kar sakte hai…

Kayanat: hmm.., shayad tum thik keh rahi hu… {she sits there for sometime, thinking something.., gets up ,goes upstairs where Ayaan was standing facing the other way…}

Kaynaat: wo...hum..,

{ayaan turns towards her.., looks at her with those intense eyes}

Kaynaat: aapne hamare liye kitna kuch kiye aur hum hi ne….

Ayaan: koi baat nahi…, {smiles sarcastically} ab to adat si hai…

Kaynaat: ji?

Ayaan: khair, tumhare koi aur rishtedaar hai jise tum ittelah karna chahti ho…

Kaynaat: hai to per filhaal wo Kashmir mein nahi hai…aur pata nahi kab lautenge

Ayaan: thik hai…

{aur phir wo neeche chali jaati hai…Ayaan bas use dekhta hai..aur phir uske chehre per halki si muskurahat aati hai…

Kuch der baad jab wo neeche aata hai to dekhta hai ki Kaynaat kahi khoyi hui si khadi hai, aur Arzoo so chuki hai..}

Ayaan: kya hua?

Kaynaat: em… nahi, kuch nahi…, bas apni age ki zindagi ke bare mein soch rahe the… Arzoo ke sapne ke bare mein soch rahe the…

Ayaan: kaisa sapna?

Kaynaat: wo singer banna chahti hai. Kal uske college mein auditions the, aur wo usmein select bhi ho chuki thi, aaj final auditions the… per ab…

Ayaan: koi baat nahi, zindagi mien aise to bahot mauke milenge…

Kaynaat: aapse ek baat puche?

Ayaan: hmm

Kaynaat: aap kaun hai? Aap to hume jante tak nahi phir bhi….aap ne

Ayaan: {smiles} hamara to kaam hi wahi hai..khair, apne bare mein kuch batao…

Kaynaat: kya bataye… zindagi ki shuruwat hi kar rahe the ki zindagi khatm ho gayi…

Ayaan: zindagi se u mayus na ho…, kya pata kis mod per tumhe koi humraahi mil jaye…

Kaynaat: ab kisi bhi cheez ki umeed hi nahi rahi....

Ayaan: acha yeh batao ki wo log kaun the jo tumhara peecha kar rahe the?

Kaynaat: khooni the….

Ayaan: kya matlab?

Kaynaat: uss din hum dono college se ghar aa rahe the… Arzoo auditions mein select hui thi aur hum bahot khush the…, waqt ka andaaza hi nahi tha…, ghar laut hi rahe the ki raaste mein Arzoo ne kuch logo ko dekha aur ghabrayi hui se aayi, aur jab dekha to waha kuch log khade… aur unmein se ek ne uss dusre insaan per goli chaliyi… shayad Arzoo ne uss goli chalane wale ko dekh liya tha…, unlogo ne hume waha dekh liya aur isiliye wo hamare peeche pade hai

Ayaan: {to himself} ho na ho yeh wahi insaan hai jiski hume talaash hai…

Kaynaat: kya hua?

Ayaan: kuch nahi..,tum baitho main bas aata hu…

{Ayaan ko lagta hai ki wo insaan jise Arzoo ne dekha tha shayad wahi hai jiski talaash unhe hai… wo kisi ko phone kar hi raha tha ki wo dekhta hai ki Rehan badi tezi se daudta hua aa raha hai…}

……..End of part -3……..

Comments Awaited

Luv,

ruksaar

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".