Originally posted by: varallika
yar update karne ka kya logi?
filhaal exams goin on di, wil update after im done wid exams 😳
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 28 July 2025 EDT
CID Episode 64 - 27th July
WELCOME 🏠 MAIRA27.7
MAIRA IS SAD 😞28.7
YRKKH to take a generation leap!!!
Geetanjali vs Abhinav
Maa esi nahi hoti…
BALH Naya Season EDT Week #7: July 28-Aug 1
Mohabbatein: one of the best scenes
Has Kajol forgotten how to act?
Who is Best for gen 5
Did she really say that?
Anupamaa 27 - 28 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Anyone else born in the 80's?
Aneet Padda Next Movie With Fatima Sana Shaikh
Half Girlfriend: anyone watched it?
In the ruins....I found you ❤️-A Prashiv ss
24 years of Yaadein
If you had the power of vanishing one nepo kid?
Gen 5 Storyline
Originally posted by: varallika
yar update karne ka kya logi?
filhaal exams goin on di, wil update after im done wid exams 😳
Originally posted by: le_me_star
awesome part ruksaar 👏 😉 😊 😉 👏!!! so those people followed rehan till there cabin (house) 😭!!! rehan locked arzoo n kaynaat in the room 4 their safety 😊! ...... rehan n ayaan were shooting those people, after a while they leave n rehan takes ayaan downstair where the girls were as his left arm was bleeding badly 😭 😭 😭.....kaynaat worried seen ayaan like that 😕 😊 😭!!! they have dinner n the guys deceide that they will take kaynaat n arzoo 2 shimla as that the most safe place from them 2 be right now 😊, ayaan family lives there 😉!!! rehan aur ayaan kya ek dusre kya kitna jayal rakte hai 😊...they like brother's 😊!!! they all went to sleep, as they will have 2 leave early morning 😊! kaynaat wasn'table to sleep 😕, she goes upstairs n found ayaan looking outside 😕 😊 😕! they talk for a while abt what's happening n ayaan's life a bit (not openly 😊) .....must say that kaynaat got 2 knew ayaan a bit more by the look in his eyes, pain, etc 😊...she asked him if he loved "that girl" a lot.....ayaan ans. confused me a little 😆!!! kaynaat changed his wound n then left...ayaan give her thanx wt a smile....wow 😉!!!.......the convo btw ayaan n rehan was really interesting 😉...so the girl who's face was or is similar 2 kaynaat is "sanya"...the girl ayaan love, right 😊??? i think rehan is absolutely right 😊...ayaan doesn't want 2 admit that he has start liking kaynaat 😊, he should think seriouly abt rehan words 😉!!!...what happened in the past??? is kaynaat begin attracted 2ward ayaan??? what will happen btw ayaan n kaynaat???...i want to know more n more abt ayaan n rehan 😊 😉 😊!!!....continue soon plzzzzzzzzz.....can't wait to read the next part !!!!!!!!!
thanks for all these comments..!! wil update after my exams..
Originally posted by: jyothi_cool
hey awsome part cont soon
thank u so much dear..!! 😳
Originally posted by: Kashish_88
hope u feel better soon, plz update soon ..its a very interesting fic....cant wiat for u to get better 😆
im fine dear.. n extremely soriee to keep ya waiting..
im just updating it..😳
Part-5
Recap-
Kuch log Rehan ka peecha karte uss ghar tak pohoch jaate hai aur fire karne lagte hai…. Iss beech Ayaan zakhmi hota hai.. Ayaan faisla karta hai ki wo Kaynaat aur Arzoo ko waha se kai aur bhej dega… Rehan Ayaan ko iss baat ka ehsaas karvata hai ki kahi na kahi wo Kaynaat ko pasand karne laga hai…..
Story further……..
Next Morning….
Ayaan saari raat so nahi paata…, jis ehsaas se wo aaj tak dur bhaag raha tha aaj wo Kaynaat ke roop mein uske saamne tha.., wo chahkar bhi naa to usse ikraar kar pata tha aur naa hi inkaar kar pata tha… Uske dil aur dimag ke beech maano koi jung chal rahi ho, per sabhi baato ki bhulakar wo bas Kaynaat aur Arzoo ko sahi salaamat Shimla pohochana chahta tha…
Aur isiliye savera hote hi wo log nikalte hai… Sabse pehle wo Railway station jaate hai per wahi bahar Arzoo un logo mein se kuch logo ko dekh leti hai..
Arzoo: yeh to wahi hai log hai
Kaynaat: ab hum kaise jayenge?
Ayaan: ghabrayo mat, in log ki nazar har waqt hum per hai.. mujhe lagta hai hume by road hi jana hoga
Kaynaat: by road? Wo to bahot lamba safar hoga…
{tabhi un gundo mein se ek inki jeep ki taraf dekhta hai jaise hi wo unke paas badhta hai Ayaan fouran waha se nikal padta hai… }
Arzoo: mujhe nahi lagta ab hum yaha se kabhi nikal payenge
Ayaan: mere rehte aisa nahi hoga…. Mujhper bharosa rakho…
{kaynaat uski taraf dekhti hai…, aaj uski aankho mein darr nahi per ek yakeen tha, isiliye wo Ayaan ko dekhkar muskurati hai aur uski iss yakeen ko dekhkar Ayaan ki himaat aur bhi badh jaati hai….
Kashmir se shimla pohochne ka safar kaafi lamba tha.., savere se raat ho jaati hai.. per Ayaan kahi rukta nahi… wo raat bhar drive karta hai….
Yaha dusri taraf Rehan Ayaan ke liye thoda pareshan tha… tabhi use Malik Uncle ka khyaal aata hai aur wo unhe contact karne ki koshish karta tha…, per use pata chalta hai ki wo ab tak wapas laute nahi hai… Wo phir apne kaam mein busy hota hai… saare papers aur baaki cheeze sahi rakhta hai tabhi uska dhyaan waha neeche rakhe uss walkman pe padta hai…}
Rehan: are yeh yaha? Shayad yeh Arzoo ya Kaynaat mein se kisi ka hoga…
{he opens it.., there was a cassette in there.., he plays it…
pehle to koi song bajta hai per jaise hi wo use bandh karne wala hota hai use kuch logo ki awaaz sunayi deti hai… Ek aadmi kisika naam leta hai jise sunker Rehan ek dum hairaan reh jaata hai …. Uske baad use goli chalani ki awaaz sunayi deti hai aur phir Arzoo ki cheekh sunayi deti hai…aur wo bandh ho jaati hai}
Rehan: {to himself} iska matlab…. Wo…. Wo insaan…
Wahi hai jiski hume talaash hai, aur Arzoo ne usi ko dekha hai…Aur isiliye wo log in dono ko maarna chahte hai… Mujhe yeh baat kisi bhi tarah se Ayaan ko batani padegi… per abhi to….
{Kaafi raat ho jaati hai, ab tak kaafi lamba safar tai karna tha inhe…, kam se kam 2-3 din unhe lagte Shimla pohochne mein..}
Kaynaat: hume lagta hai ki hume kahi rukna chahiye…
Arzoo: ha, aap savere se drive kar rahe hai, kuch der to aaram kar lijiye
{ayaan just looks at them but says nothing…. Both remained quiet…}
Ayaan: agar yaha ruk gaye to pohochne mein aur bhi deri hogi
Kaynaat: per kuch der to ruk sakte hai na? Waise bhi aapke haath mien chot hai, aapko takleef hoti hogi
{kuch duri per Ayaan gadi rokta hai.., raaste ke dusri taraf ek tea stall hota hai}
Ayaan: kuch chahiye?
Arzoo: nahi, bas thoda paani ho to….
Ayaan: hmm….
{ayaan waha jaata hai aur Kaynaat bas usi ki taraf dekhti hai}
Arzoo: baaji hume darr lag raha hai… hum Shimla jaa raha hai per karenge kya? Hum inper bhi bojh bankar nahi rehna chahte hai
Kaynaat: ha, per tum to jaanti ho ki halaat aise nahi hai ki hum kuch kar sake, koi chota kaam ya kuch bhi kar sake..
Arzoo: per kya Ayaan hamari madat nahi kar sakte?
Kaynaat: wo pehle hi hamare liye itna kuch kar chuke hai ab aur unse kuch bhi kehna thik nahi hoga..
Arzoo: ha.., phir hum kya karenge? Aise kab tak jiyenge?
Kaynaat: pata nahi Arzoo.., agar ek baar Sabiha baaji se koi contact ho pata to shayad kuch kar paate
Arzoo: per wo to srinagar mien hai na?
Kaynaat: shayad…, unka kaam to tum jaanti ho na.. Khair, allah se duva karo ki kisi tarah se bas unse ek baar baat ho jaye
{just than ayaan comes there with water.. and gives it to Arzoo}
Ayaan: tumhe kuch chahiye?
Kaynaat: nahi… per hum soch rahe the ki kya hum raat mein kahi ruk nahi sakte?
Ayaan: nahi…, in haalato mein kisi per bhi bharosa nahi kiya jaa sakta…
Arzoo: per aap aise kab tak drive karte rahenge…
Ayaan: main thik hu…
Kaynaat: per….. {she looks straight into his eyes}
Ayaan: thik hai…. Aage dekhte hai, koi jagah mili to rukenge
{kuch 3-4 ghante baad wo ek chotase gaon se guzarte hai waha kuch hi duri per ek guest house jaisa hota hai.. Ayaan gaadi rokta hai aur ander jaata hai… Waha ek purana darwaza hota hai..Ayaan knocks the door.. but there was no response.. then he knocked again but still there was no response… Just than an old man came from some corner
Man: kya baat hai, kise dhund rahe ho?
Ayaan: ji darhesal kaafi raat ho gayi hai, aur hume kaafi dur jana hai to kya kuch der ke liye hume yaha rukne ki jagah mil sakti hai
Man: oh yeh baat hai… tabhi sochu ki yaha darwaza kyun khatkhata rahe ho… Koi baat nahi..tum aaj raat yaha ruk sakte ho.. main abhi ye darwaza kholta hu..
Ayaan: mere saath kuch aur log bhi hai
Man: ha thik hai, waise bhi yaha koi nahi rehta hai… le aao unhe bhi…
{Ayaan kaynaat aur arzoo se ander aane ko kehta hai…
wo teeno bhi ander jaate hai.. Wo ghar kaafi purana hota hai.., kuch samaan yaha waha bikhra pada hota hai..}
Man: raat guzarne ke liye thik rahega.. bas yaha bijili aksar chali jaati hai…
Ayaan: shukriya
Man: are koi baat nahi.. tumlog so jao, main chalta hu.. Kisi cheez ki zaroorat pade to bata dena, mein yehi peeche wale ghar mein rehta hu
Ayaan: ji thik hai…
{wo aadmi chala jaata hai… neeche kuch mattress hote hai,ko kuch saaf hote hai.. Kaynaat aur Arzoo wahi baithte hai…. Aur thik saamne ek aur mattress hoti hai, Rayan waha jakar baithta hai…}
Ayaan: tum dono bhi aaram karlo, subha hote hi hum yaha se nikalenge
Arzoo: hmm….
Ayaan: kya hua?
Arzoo: Kuch nahi… {smiles} aap humse jyada thake honge
Ayaan: ek bar tum dono ko Shimla pohocha du, phir shayad sukoon ki saans le paunga..
{kaynaat bas ayaan ki taraf dekhti hai, per kuch kehti nahi aur ayaan bhi use dekhta hai.. un dono ke beech ek ajib kashish thi…wo chahkar bhi ek dusre se nazrein naa to hataa paa rahe the aur naa hi mila paa rahe the. Shayad isliye ki ab tak unhone iss bat ko manaa nahi tha ki wo dono ek dusre ko pasand karte hai... Aur phir din bhar ki thakaan ke baad wo teeno bhi wahi so jaate hai}
……..End of Part-5………
Comments awaited!!!
Luv,
Ruksaar
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
36