🏏T20 Asia Cup 2025: Match 19 - Final: India vs Pakistan @Dubai🏏
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 28th Sep 2025 - WKV
BOOTH ROAMING 28.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 28, 2025 EDT
CID episode 81 - 27th September
Ranbir Kapoor Birthday Celebration Thread 🎂🎂
PAAV PHISLAA 29.9
🎶🎵Tribute to Lata Mangeshkar on Her 96th Birth Anniversary🎵🎶
Diana praises Deepika Padukoneโs work ethic
Geetanjali to die?
Revisiting 90's nostalgia
SAMAR ki hogi re entry !!
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Sep 2025 EDT
Mihir ka Noina pe ato..oot vishwas
Ahaanโs next with Sanjay Bhansali? 🔥
Maan and Geet- Love Wins Against All Odds..
And Janhvi gives another flop!!
Kajol, Ayan & Rani at their Durga Pandal.
Pari the gamechanger or Noina k hukum ka ekka.
India Won Asia Cup 2025- Trophy Missing! Glory Without the Trophy?
awesome part's ruksaar !!!!!!..........this story is different n really interesting ๐ ๐ ๐ ๐ ๐, all the part's a really wonderfull.........i'm glad that finally kayanat n arzoo trust them ๐, ayaan n rehan are best buddies ๐ ๐ ๐........what's there mission ????....whom is kayanat face similar to??? whom r ayaan n rehaan looking for ????....what will happen to kayanat n arzoo?????........continue soon plzzzzzzzzzz..........there are so many questions stuck in my head ๐ ๐ ๐ !!!!!!!!..........can't wait for the next part!!!!!!!!!!!...........do continue plzzzzzz
Originally posted by: **-**Guriya**-*
gr8 part dear.... ๐
thnx a ton..!! ๐ณ
Originally posted by: ami_princess
great part yaar! i am happy that kayanat & arzoo had trust them.... ๐ ๐ ๐
im glad u liked it.. thank u so much..๐ณ
Originally posted by: le_me_star
awesome part's ruksaar !!!!!!..........this story is different n really interesting ๐ ๐ ๐ ๐ ๐, all the part's a really wonderfull.........i'm glad that finally kayanat n arzoo trust them ๐, ayaan n rehan are best buddies ๐ ๐ ๐........what's there mission ????....whom is kayanat face similar to??? whom r ayaan n rehaan looking for ????....what will happen to kayanat n arzoo?????........continue soon plzzzzzzzzzz..........there are so many questions stuck in my head ๐ ๐ ๐ !!!!!!!!..........can't wait for the next part!!!!!!!!!!!...........do continue plzzzzzz
thanks s lot dear.. im gald u like this story too... well too many questions ha ๐.. ookiee lemme answer sum... kaynaat's face is similiar to whom??? chk rehan's character profile n u'll hv the answer ๐ & for the rest of the questions.. u'll get ur answers soon...๐ณ
wow ruku dear awesome part loved it toooo tooo goooood m happpy both of them now trust rehan and ayaan continue sooon can't wait more...
thank u so much.. im glad u liked it.. ๐ณ
Part-4
Recap-
Kaynaat ko lagta hai ki Ayaan aur Rehan bhi unhi log jaise hai aur isiliye agle din hi wo Arzoo ko lekar waha se chali jaati hai, per raaste wo log phir unka peecha karte haiโฆ Kaynaat Ayaan ko uss khoon ke bare mein sab kuch bata deti haiโฆ.
Story furtherโฆโฆ.
Ayaan ko lagta hai ki wo insaan jise Arzoo ne dekha tha shayad wahi hai jiski talaash unhe haiโฆ wo kisi ko phone kar hi raha tha ki wo dekhta hai ki Rehan badi tezi se daudta hua aa raha haiโฆ Wo neeche hi aata hai ki Rehan daudta hua uske paas aata hai.. aur use uper aane ko kehta haiโฆ Rehan Kaynaat aur Arzoo ke paas jaata haiโฆ
Rehan: jab tak hum na kahe yaha se hilna bhi matโฆ, wo log yaha a chuke haiโฆ.
{achanak goli chalne ki awaaze aane lagti haiโฆ. Rehan wo room lock karta haiโฆKaynaat aur Arzoo behad ghabra jaate hai.. Rehan uperwale kamre mein jaata hai to dekhta hai ki Ayaan unlog per fire kar raha tha aur wo log ghar peโฆ }
Ayaan: Rehan.., main inhe sambhalta hu tum seediyo per raho aur dekho koi uper aane naa payeโฆ
Rehan: haโฆ
{rehan daudte hue seediyo tak jaata hai per waha se ek aadmi uski taraf gun lekar baadhta hai per rehan badi chalaki se use maar girata haiโฆ kuch der tak aise hi firing hoti rehti haiโฆ. Aur phir wo log chale jaate hai, Ayaan ko ek goli left arm per chukar chali jaati hai, jiski wajah se kaafi khoon beh raha hota haiโฆ. Wo wahi neeche baithta
hai.., Rehan jhat se pehle uske paas aata haiโฆ}
Rehan: Ayaannnโฆ, tum thik ho?
Ayaan: hmmโฆ.mainโฆmain thik huโฆwoโฆ tum un dono ko dekh aaoโฆ
Rehan: wo bhi thik hai tum mere saath chalo neeche chaloโฆ
{rehan use neeche kamre mein le jaata hai.. jaise hi wo darwaza kholte hai wo Kaynaat aur Arzoo ko dekhte haiโฆwo dono bahot hi dare hue ghabraaye se wahi baithe hote haiโฆ Ayaan ko dekhke wo aur bhi darr jaate haiโฆ
Rehan Ayaan ko wahi bithata hai aur first aid box le aata haiโฆ Ayaan ko aise dekh Kaynaat ghabra jaati haiโฆ wo use paani deti hai}
Kaynaat: aap thik ho?
Ayaan: hmmโฆ..
{rehan use bandage lagata hai, aur khoon bhi ruk jaata hai}
Kaynaat: yeh sab hamari wajah se hua haiโฆ
Ayaan: nahiโฆ, aisa kuch nahi hai, Yeh to hona hi thaโฆ
Rehan: ha.. per Ayaan ab hamara yaha rukna thik nahi hai.. kam se kam in dono ka katayi nahiโฆ
Ayaan: hmmโฆ ab to bas ek hi jagah hai jaha yeh log mehfooz reh sakte hai
Rehan: thik hai, per filhaal tum thoda araam karloโฆ
{ayaan kuch der wahi baithta haiโฆuse dard ho raha tha per wo kuch dikha nahi raha thaโฆ
Kaynaat unke liye kuch khaane ke liye banati hai aur Arzoo uski madat karti haiโฆ
Raat hoti haiโฆ, aur wo sab saath saath dinner ke liye baithte hai.. Kehne ko to yeh chaaro anjaan the, per phir bhi inmein ek ajib sa ankahaa se rishta ban chuka thaโฆ
Khaana hone ke baad wo aise hi baithe theโฆ yeh soch rahe the ki ab aage unhe kya karna hai}
Ayaan: Rehan, mujhe lagta hai ki inhe Shimla bhejna hi thik hoga..
Rehan: ha, waha Dayijaan inka khyaal rakhenge aur yeh log waha in tak pohoch nahi payenge
Arzoo: shimla?
Ayaan: ha, waha mera ghar hai..aap dono waha bilkul mehfooz honge
Kaynaat: per hum waha jayenge kaise? Yeh log to har waqt hamara peecha kar rahe
Ayaan: main tumhe chod aaungaโฆ
Rehan: per Ayaan aisi halat mein tum kaise jaa paoge?
Ayaan: pehli baar to nahi hua hai na? Inki zimmedari ab hamari hai
Rehan: to thik hai, kal savere hi main inko lekar chala jaungaโฆ aisi haal mein main tumhe khatre mein nahi daal sakta
Ayaan: Khatra {smiles sarcastically} jaan ki parvaah hai bhi kise abโฆ Waise bhi un logo ne mujhe nahi dekha hai, tumhe dekhte hi wo pehechaan jayengeโฆ tum bas kisi tarha Malik Sahab se contact karna, aur main inhe chod kar laut aaungaโฆ
Rehan: tum to meri baat manne se raheโฆ jo chaho karo..
{rehan uthkar uperwale kamre mein chala jaata haiโฆ aur ayaan use dekhkar muskurata hai}
Ayaan: ab aap bhi aaram karle, kal savere hume nikal jayenge
{wo dekhta hai ki unke chehre per ab bhi wahi dar hai}
Ayaan: ghabrana nahiโฆ, hamare hote tum dono ko kuch nahi hoga..
{aur wo bhi utkar chala jata haiโฆ
arzoo aur kaynaat ko unki baat manne ke alawa aur koi raasta bhi nahi thaโฆ wo bas savera hona ka intezar karte the.. Kuch der baad Arzoo wahi so jaati hai, per Kaynaat so nahi paatiโฆWo uthti hai aur uper wale kamre ki taraf jaati hai.. waha dekhti hai ki Rehan so chuka hai aur Ayaan wahi khada thaโฆwo bhi so nahi paa raha thaโฆ Kaynaat uski taraf aati haiโฆ Uski payal ki chanak sunkar Ayaan palatta hai..}
Ayaan: aap? Kuch chahiye tha?
Kaynaat: nahiโฆ bas neend nahi aa rahi thi isiliye yaha aa gaye..
Ayaan: baithoโฆ
{wo uske paas baithti haiโฆ aur dono bas ek dusri ki taraf dekhte haiโฆ per Ayaan apni nazrein hatata hai..}
Kaynaat: aapka zakhm kaisa hai?
Ayaan: beheter hai..
Kaynaat: aapne hamare liye jo bhi kiya hai uske shukriya bhi kehna chota lagta haiโฆ aaj jaha log ek dusre ki khoon ke pyaase hai waha aapne hum ajnabiyo ke liye kitna kuch kiyaโฆaur ek hum the jo aap hi ko galat samjh baitheโฆ..
Ayaan: per ab to ajnabi nahi hai na? Apno ko khone ka dard kya hota hai yeh main achi tarah se jaanta huโฆ maine bhi apni zindagi khoyi haiโฆper phir bhi aaj bhi zinda huโฆ
Kaynaat: hum kuch samjhe nahiโฆ
Ayaan: kuch nahi.., shayad wo bhi hume samajh nahi paayi thi.. kuch samajhne ka mauka hi nahi milaโฆ
Kaynaat: bahot pyaar karte the aap unse?
{ayaan looks at her in amazement}
Kaynaat: aapki aakhein sab kuch bayaan kar rahi haiโฆ
Ayaan: hmmโฆ per ab pyaar lafz pe bhi yakeen nahi raha..
Kaynaat: per pyaar se khubsoorat ehsaas to iss kaynaat mein koi bhi nahi haiโฆ.
Ayaan: lekin sabki taqdeer mein wo nahi aataโฆ
{saying this he turns the other way}
Kaynaat: kabhi apni ateet ki parchayiyo ko hatakar dekhiyegaโฆ ho sakta hai wo khushnuma ehsaas ek baar aapki zindagi mein dastak deโฆ
{ayaan palatkar uski taraf dekhta hai..aur kuch pal ke liye wo ek dusre ki aakho mein kho jaate haiโฆ. Phir Kaynaat dekhti hai ki Ayaan ke haath se khoon beh raha tha per use iss baat ka ehsaas tak nahi thaโฆ wo uske kareeb jaati haiโฆphir uske bandage nikalkar dusri bandage lagati haiโฆ Ayaan ki nazar uske chehre se hatti hi nahiโฆ}
Kaynaat: ab yeh thik haiโฆ. {aur wo jaa hi rahi hoti hai ki ayaan use rokta hai}
Ayaan: shukriyaโฆ {wo muskurakar uski taraf dekhti hai}
~~~**~~~Song in background~~~**~~~
Ek din fursat meinโฆ. Thaame haath hamareโฆ
Le gayi uss dagar peโฆ jaha rehti hai bahareinโฆ
Chal diye hum bhi ghar se hoke kuch befikar se
Dil tha apne bharose hum the dil ke sahaareโฆ
Ek din fursat meinโฆ. Thaame haath hamareโฆ
Le gayi uss dagar peโฆ jaha rehti hai bahareinโฆ
Raah mein mod aaya roshni ho gayi kamโฆ.
Raah mein mod aaya roshni ho gayi kamโฆ.
Kuch dil ghabraayaโฆyeh kaha aa gaye humโฆ
Aage uss modke bhiโฆ.to bahaarein nahi thi
Aage uss modke bhiโฆ.to bahaarein nahi thi
Bhooli kuch khwaishei thi aur khwaab the bas hamareโฆ.
Ek din fursat meinโฆ. Thaame haath hamareโฆ
Le gayi uss dagar peโฆ jaha rehti hai bahareinโฆ
~~~**~~~Song in background~~~**~~~
Wo chali jaati haiโฆ. Ayaan palatta hai to dekhta hai ki Rehan uski taraf dekhkar has raha hai
Ayaan: kya hua? Neend nahi aa rahi ya koi khwaab dekh liya?
Rehan: wahi samajhne ki koshish kar raha hu ki abhi jo maine dekha wo khwaab tha ya haqeeqat hai
Ayaan: Rehaannnโฆ, tum achi tarah jaante ho mujhe aise batein pasand hai
Rehan: per kyun Ayaan? Kya kami hai usmein?
Ayaan: kami usmien nahi haiโฆ per tum achi tarah se jaante ho ki ab inn sab baato ke liye naa to mere paas waqt hai aur naa hi in per ab yakeen raha hai
Rehan: jaanta hai aaj pehli baar aisa ho raha hai ki teri aankhein teri zubaan ka saath nahi de rahiโฆ Dekh pyar karna koi gunaah nahi haiโฆ jo hua use to hum badal nahi sakte, per ab jab teri zindagi ek baar phir pehle jaisi ho sakti hai to tu kyun aage badhne se katra raha hai?
Ayaan: bakwaas mat kar, aisa kuch nahi ho sakta
Rehan: bakwaas nahi main sach keh raha hu.., tum bhi use pasand karne lage hoโฆ kyunki uske chehre mein tum Sanya ko dekhte hoโฆ Kaynaat ki takleef tumse bardasht nahi hotiโฆ apni jaan ki parvaah naa karte tum uske liye
Kuch bhi karne ko tayyar rehte hoโฆ Yeh pyar nahi to kya hai Ayaan?
{ayaan kuch bol nahi paata.. apni kuch ateet ke lamhey uske zehen mein ghumne lagte haiโฆ.
Shayad Rehan sahi thaโฆ..}
โฆโฆโฆโฆend of part 4โฆโฆโฆ
comments awaited!!!
Love,
Ruksaar
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
41