Part 22
Abhi: Arjun sun....[but Arjun chup chap ghar se bahar chala jata hai...Abhi bangs his fist on wall out of frustration] damn!
Alya: Abhi relax kya kar rahe ho
Abhi: to kya karu... This guy hai lost it completely...khud apni zindagi apne hatho se barbad karne pe tula hai....
Tabhi he gets a call on his cell and rushes to the living room and switches on the tv Alya not able to understand what's happening follows him there...
Tv: Abhi hum miss Naina bishwas ke ghar pe haI kaha kuch hi der me wo khud yaha aake media se bat karenge...[right then Naina was seen coming to the room with Aatish and real] aur abhi miss Naina bishwas humare beech a chuki hai...so miss Naina bishwas kya ye sach hai ki pickle ek sal se Ap mister Arjun Garawal ke sath uske ghar pe thi?[Naina nods]kya ye bhi sachs hai ki Apko kidnap kiya tha jiske bad apki yaddasht chala gai thi[Naina nods]to dekha apne is shehar ke itne reputed insan ki asliyat...wo insan jo ek kamyab business man hai jo usse bhi kamyab wakil hai us insan ke liye ek larki ki zindagi sirf ek zid hai aise wo kisi bhi halat me puri karna chahta hai
[the reporter continues wid her report interviewing Aatish rea and mr bishwas....while Abhi switches off the tv ]
Abhi: dekha tumse ab bas yahi hota baki tha they are using the press to create sympathy for themselves takin case ka aisa unke ha me ho...cheee ye log itna neeche bhi girl sakte hai? Aur wo Arjun iski wajah se apni zindagi tabah karne pe tula hai...
Alya:meri to samajh me nai aa raha ki Naina in sab ke liye man kaise gai...
Abhi: Naina to choro mujhe tajjub is bat ka hai ki mr.bishwas kaise man gaye...conscious name ki koi cheez hai bhi ya nahi unme...sabkuch jane ke bad bhi unhone ye sabse hone diya?
Tabhi Alya ke mom dad waha ate hai
Alya: mamma papa aplog yaha....
Dad: ha beta ye tv me kya bata rahe hai..news sunte hi....
[Alya tells him the whole story right from Naina leaving the house to Arjun getting courts summon ] itna sabkuch ho gaya aur tumne ek bar hume inform karna bhi jaruri nahi samjha?
Aradhita: Arjun kaha hai?
Abhi: pata nahi
Aradhita: pata nahi matlab ?tumlog dost ho uske sath rehte ho uske...tumhe nai pata hoga to kise pata hoga?
Abhi: wo bina bole ghar se nikal gaya
Aradhita: aur tumse use jane diya....tumhe pata hai na wo abhi kitna pareshan hoga...aise kaise jane diya...pata nahi kaha hoga...
Just then Arjun enters IN.....
Arjun: mai thik hu masi
he touches their feet...dr praksh gives him a hopeless nod to which he smiles cutely...
Aradhita: kaha chala gaya tha tu..
Arjun: kuch jarur kam tha...Abhi [giving him n envelope] this is for you
Abhi : [Abhi envelope khola hai hai thn Arjun ko dekhta hai....]ye kya mazak hai Tera dimag to kharab nai ho gaya hai?
[Arjun stands there with no expression on his face while others stares at both of them in turns]
Alya: kya hua Abhi?
Abhi: kya hua look at these[he throws the tickets on the table] ye humare liye tohfa laya hai...paris ki tickets...
Alya looks at Arjun...
Arjun: main nahi chahta Khushi yaha rehke ye sabkuch dekhe isiliye behtar hoga ke tumlog wapas chale jao waise bhi hume yaha aye kafi din ho gaye hai...mujhe pata nahi abhi aur itna want lagega... Khushi ka school khulne wala hai...firm me kafi kam pending pare honge..[to Alya ] aur phir tumhara research bhi suffer kar raha hai...so sabke liye yahi acha hoga....
Abhi:kiske liye kya acha hai iski fikar tu Usko khud karne de to hi acha hoga...tu bas apni fikar kar kisi aur ki fikar karne ki tujhe koi jarurat nahi hai....aur ye to teri adat hai na dusro ke liye unke zindagi ke faisle leneki to use badal....yaha khara harm ek insane apna chala bura samajhte ki puri kabiliyat rakhta hai...agar koi hai jise apne bhale sure ki samajh nahi hai to wo tu khud hai...ek bat ka khol ke sunle main yaha Kab tak rehta hu aur yaha se Kab jata hu ye marzi meri hogi teri nahi....ha agar tujhe mere yaha rehne se koi problem hai to main yaha se chala jaunga...
saying this he goes to his room leaving everybody shocked by his behaviour...after him Arjun too goes to his room...
anubhav : pata nahi ye sab kya ho raha hai....dono ko achanak ho kya gaya hai...aur Abhi ka itni choti si bt pe aise react karna
Alya: wo sahi tha papa...Arjun apni zid me khud ko barbad karne pe tula hai...aj subah usne case pe defence lene se bhi inkar kar diya
Aradhita: mai usse bat karti hu
she goes to his room where he was sitting on the couch his eyes were closed..she sits next to him and keeps her hand on his head...he looks at her
Aradhita: wo sahi hai Arjun
Arjun: janta hu
Aradhita: fikar karte hai teri
Arjun: janta hu
Aradhita: tu man kyu nahi jata
Arjun: Naina toot jayegi masi...
Aradhita: aur tu?
Arjun: mera kya hai masi...apni zindagi bahut pehle hi khol chuka hu...ab kuch khone ke lie bacha hi kaha hai...lekin agar sach samne aya to sab bikhar jayega...Insan ka sabse bara bharosa uska pariwar hota hai aur jab wo bharosa tootta hai to insan toot jata hai...us dard ko achi tarah se janta hu main...isiliye nahi chahta ki koi aur us dard se gujre...agar mere chup rehne se kisi ki zindagi me sukun rehta hai to masi kya main galat hu?
Aradhita: lekin Arjun tu is tarah apni zindagi barbad kyou karna chahta hai...pk bar ye to soch tujhe kuch ho gaya to hum sab jo tujhese jure huye hai unka kya hoga..hum sab ko chor bhi de tune socha hai Khushi ka kya hoga..
Arjun: Khushi ki chinta mujhe nahi hai uska pura pariwar uske sath hai..mujhe pata hai main rahu ya na rahu uski parwarish me kabhi koi kami nahi hogi....waise bhi main kaunsa humesha ke liye kahin ja raha hu...Ap dekhna masi jabtak main aunga tabtak wo mujhe bhul bhi chuki hogi...bacchi hai na....
Tabhi waha Khushi ati hai wo pure need me hoti hai...Usko dekh ke lag raha tha jaise abhi abhi uthi ho...
Khushi: papa....
Arjun jaldi se uske pas jata hai and uske samne aise ghutno pe baith jata hai...
Arjun: ap kaise uth gai?
Khushi:papa humne dekha ap ja rahe ho...ap nahi jaoge na?
Arjun:[shakes his head] main kahin nai jaunga...
Khushi[uske gale lag jati hai n rone lagti hai] promise?
Arjun: pukka promise....[Usko god me lena hai] chalo ab ap rona band karo...ap to papa ki brave girl ho na...[Khushi nods while hugging him] ha to brave girl kabhi rote hai?
Khushi: papa ap mujhe chor ke kabhi mat jana...nai to main brave bilkul nai rahungi aur bahut roungi...
Arjun: nai beta papa Apko chorke kahin nahi jayenge abhi ap so jao....
Khushi wahi Uski god me so jati hai...usne Arjun ko bahut jor se pakra hota hai as if Usko dar hai uske dur ho janeka.....
Aise hi do din bit jate hai'aj Arjun ki hearing hai'Sab ke lakh koshisho ke bad bhi Arjun lawyer ke liye nahi manta hai'sare akhbaro aur news channels ke liye ye ek hot news bani hui that country's leading industrialist and renowned lawyer Arjun Garawal was to be presented for trial in which he has nobody to defend him'.every news channel was present in the court to cover the proceedings.
Naina aur uski family pehle se hi waha maujood hoti hai 'jabi Arjun, Alya Abhi MR and MRs Prakash ate hai'ek pal ke liye Naina aur Arjun ki nazrein ek dusre se takrati hai aur wo sab kuch bhul k eek dusre me kho jate hai...waqt halat har cheez se bekhabar dono ek dusre ko hi dekhte rehte hai...Naina ka dil aj bhi Arjun me wahi bharosa wahi sath wahi pyar mehsus kar raha tha jo ek waqt pe uske jine ki wajah bani thi...uska dil usse keh raha tha ki sab chorke ek bar phir se wo usi duniya me wapas chali jaye jaha Arjun uske sath tha...udhar Arjun ne itne dino bad Naina ko dekha tha...uske dil me bas ek hi khwaish thi...ki wo Naina ko hi dekhta rahe pata nahi ye waqt wapas Kab aye...aye bhi ya nahi...uske liye Uski zindagi uske samne khari thi...aise dono wahi khare rehte hai jabi rea Naina ko bulati hai...Which breaks their concentration...judge court me aa chuke hote hai..it wad now time to start the proceedings....
persecution lawyer presents his submission in court while court gives him permission to present his case
lawyer: my lord this is an open and shut case...Mr. Arjun Garawal who is a leading industrialist and owner of biggest Indian based law firm in UK had not only kidnapped one of his employee Miss Naina Bishwas but have kept her as his captive for past one year and had tried to pressurize her and influence her in every possible way'so I plea justice for my client from this honorable court....
Judge: who is counsel for defendant?
Abhi: with your kind permission I Abhinav Pandey counsel on behalf of the defendant would like to present my submissions to the honorable court
judge: permission granted....
Arjun stares at him....while Abhi submits his documents in the court.....
Arjun: your honor with your kind permission I would like to speak to my counsel for a minute...
Judge: Mr. Arjun Garawal...i guess you are aware that you are interrupting the proceedings of this court
Arjun: I am well aware of that my lord and being a lawyer myself I know that every minute of this court is valuable...and I respect it...but my lord I need to discuss some thing really imp with my counsel....
Judge: permission granted but this should not be repeated...the court is adjourned for 5 mins
Arjun: much obiliged...
Arjun Abhi ko leke cabin me jata hai..Alya n her parents follow them
Abhi: ye kya bewakufi hai....tujhe pata hai abhi jo tune kiya usse judge pe Tera impression kya par sakta tha....
Arjun: who gave you authority to advocate my case....
Abhi : nobody
Arjun: phir jo under hua wo kya tha..tujhe pata hai iska nateeja kya ho sakta hai..
Dr.Prakash: lekin bat kya hai...
Arjun: isne mere duplicate signature karke court me pprs submit kiye hai...
Alya: what?
Arjun: iska dimag puri tarah se kharab ho chk hai...agar is bat ki bhanak bhi pari na kisi ko to iska licence do min me cancel ho jayega...
Abhi: in sab baton ka ab koi matlab nahi hai Pprs court me ja chuke hai ab ye tujhe pe hai ki tu apni did pe Ara rehta hai...to ja jake court me bata de ki maine forged docs court me jama kiye hai...nahi to main to tujhe bacha ke le jaunga aur Tera ye self sacrifice ka plan aj hi khatam ho jayega
ye bolke Abhi waha se chala jata hai..Arjun wahi sar pe hath rakhe khara hota hai,...uske bas me ab kuch nahi tha....he had to surrender...wo bahar jata hai...Abhi wahi khara hota hai
Arjun: thik hai tu jaisa chahta hai waise hi hoga..lekin meri bhi ek shart hai...[Abhi looks at him]
Abhi: lekin
Arjun: its upto u Abhi warna main abhi bhi court me jake ye bol sakta hu ki I don't trust I as my lawyer...
Abhi nods...
Courts resumes tab apni apni jagah baithe hote hai...
judge: proceed....
Abhi: you honor prosecution lawyer had presented one side of the story before this court...
Aise hi court ki proceedings chalti rehti hai...kabhi Naina ka case strong lagta hai to kabhi Arjun ka...ek ek karke sare witnesses aake apna bayan deke jate hai...Arjun ke favour me jyada witness nahi hote..lekin Naina ke jyada tar witnesses Abhi ke cross questioning me weak parte ja rahe the....in sabse anjan Arjun pata nahi kaha khoya hua tha...aise to wo har bat sun samajh raha tha lekin farak use shayad hi kisi bat ka par raha tha...usko dekh ke aisa lag raha tha ki wo bas ye sab khatam hone ka intezar kar raha hai..aur Usko kuch farak nahi parta ki age kya hoga..aise ho ek hafta beet jata hai is ek hafte me..almost sare saboot sare gawah court me laye ja chuke the ab kuch bacha tha to wo tha Naina ka statement Arjun pehle hi apne statement ke liye man kar chuka tha...so ab bas Naina bachi thi..aj case ka akhri din tha...
court ne 15 min ka break liya tha...the next witness to be presented was Naina...
Aatish: didi Apko tab yad hai na ki court me kya bolna hai?
Naina gives him a blank look
Flash:
Lawyer: dekhiye Naina ji Apko court me bas itna bolna hai...ki is ek sal me mr.Arjun ka batao apki taraf kafi rude aur inhuman tha...unhone Apko har tarah se pressurize karne ki kosish ki...apko apne ghar me jabardasti kaid karke raha aur apne gharwalo se bhi milne nahi diya...
Naina: lekin ye sab jhoot hai...usne mere sath kuch bhi aisa nahi kiya...aur mujhe to kuch yad bhi nahi tha...
Lawyer: apke amnesia ki bat hum court me nahi bata sakte ye case ko aur uljha degi... Medical tests and baki ki legal formalities me bahut waqt lag jayega
Naina: lekin main ye kaise...ye sab jhuth hai...
Aatish: didi agar case jitna hai to tumhe ye karna hi hoga..
Naina: nai Aatish mai ye nahi kar sakti...mujhe ye sab nahi bola jayega...
Mr.bishwas: tumhe ye karna parega....is ghar ki ijjat ko bachane ke liye tumhe ye sab bolna parega...
Naina: magar papa main
present-
lawyer: dekhiye Naina ji...ab sabkuch ap pe depend karta hai..meri taraf se jitna ho sake utna maine kar diya...ab sirf Apka ek bayan aur ye case aj hi humare favour me hoga...Naina ji ap sun rahi hai na...are u ready?
Naina nods...
udhar Abhi is trying to convince Arjun...
Abhi: Arjun dekh abhi bhi der nahi hui hai...tu man kyou nahi jata...
Alya: tumko dikhai nahi deta ki ye log kitna gir chuke hai? Tum phir bhi kyou inhe bachana chahte ho? Kyou apni zindagi inke liye barbad karna chahte ho...Arjun plzzz apni ye zid chor do...apne liye na sahi humare liye[Arjun kuch react nahi karta hai] mom dad aplog samjhayiye na isko...
Tabhi court resumption ki announcement hoti hai...Alya give a defeated look while every body goes in....Naina ye sab dur se dekh rahi hoti hai....court proceedings starts again Naina is call in the witness box....
Lawyer: miss Naina bishwas...your relation with the convict?
Naina: I was his employee
lawyer: any thing else than that?
Naina: hum dono bahut ache dost the....
Arjun chauk ke Naina ki taraf dekha hai...he never expected Naina to say this in the court...baki ke log bhi Naina ke is statement se hairani me the...
lawyer: miss Naina ap plz mere sawal ka soch samajh ke jawbab dijiye....
Naina: sach kehne ke liye sochne ki Jarurat nahi hoti...
Lawyer: acha thik hai mera agla sawal...kya ye sach hai ki pichle ek sal se ap Mr. Arjun Garawal ke sath unke ghar par re rahi thi?
Naina: ji han...
lawyer: kya ap court ko batayengi ki apki taraf unka batao kaisa tha?
Naina: waisa hi jaisa ek dost ka dusre dost ki taraf hota hai...ya kahin to usse kahin jyada...us ek sal me unhone mera jis tarah se khayal raha shayad mere apne bhi na rakh pate...main to apna pichla sab bhul chuki thi...jo Arjun ne mujhe batya wahi mere liye sach tha..magar is bat ka faida usne kabhi nahi uthaya...mere liye unhone dosti se barhkar farz nibhaya hai,...
Lawyer: magar maine to suna hai ki mr Garawal apke pyar me pagal ho chuke the...inhone Apse pyar ka ijhar bhi kiya aur jab apne inkar kar diya to inhone apko pane ke liye ye sab kiya....
Naina: apne galat suna hai...
Naina ke statement se pure court me hulchal hone lagti hai...kisi ko samajh nai a raha hota hai ki achanak ye kya ho gaya...Naina ko witness box se wapas bheja jata hai..
lawyer: your honor that's all on my side..prosecution rests....
Judge: defence may proceed...
[Tabi Naina ka lawyer ja ke judge se kuch bat karta hai..] are you sure?
Lawyer: certainly your honor
Judge: permission granted...the prosecution has decided to withdraw its case....prosecution agrees that it had filed this case under family pressure so keeping in mind the position of the appellant the court grants permission to withdraw the case and direct him not to repeat the same act in future as it may cause harassment to some innocent person as well as contempt of court....the case is dismissed....
Edited by varallika - 16 years ago
41