Thanks for the likes n comments! Over to..
Part 17
Khushi: Arnavji, aap theek toh hain?
Arnav nods while coughing.
Khushi(rubs his back): Gaadi me paani ki botal hai kya?
Arnav points out and Khushi takes out his sipper from there n gives it to him.
Arnav clears his throat.
Khushi: Theek hain na aap?
Arnav: Ya Khushi,I'm fine. Maine jab..
Khushi (interrupts): Bas! Ab humein kuch nahi sunna!Aur ab aapko hum kuch kehne bhi nahi denge! Bahut taqleef de chuke aap khud ko aur humein, ab bas kijiye!
Arnav: Khushi,baat abhi khatm nahi hui hai,mujhe kehne do.
Khushi: Bilkul nahi! na hui ho baat khatm, humein usse koi farq nahi padta! (cups his face) Hum aapko aur taqleef me nahi dekh sakte Arnavji! Aap jitna un baaton ko yaad karenge,utna zyaada dukh hoga aapko. Sab bhool jaiyye! Bas,yeh yaad rakhiye ki humne aapko maaf kar diya aur aapne humein maaf kar diya!
Arnav: Khushi ,dukh toh mujhe hamesha hoga ki maine tumhare saath woh sab kiya. I will regret it till the end of my life! Mujhe nahi lagta ki main kabhi bhi apneaap ko maaf kar paunga us k liye!
Khushi: Aisa mat kahiye. Humari maafi se zyada zaroori yeh hai ki aap apneaap ko maaf kar den. Aapko pata hai Arnavji? Jab hum 14-15 saal k the,tab humare babuji k paas ek neele rang ki sunny hua karti thi. Humein use chalane ka bada shauk tha! Par kyunki hum lad-khadate the,amma humein use lekar ghar se bahut door nahi jane deti thi. Ek baar naniamma ki tabiyat kaafi kharab ho gayi aur amma unhe dekhne Illahabad gayi thi. Itvar ka din tha,jiji..
Arnav (interrupts): Kaunsa.. din tha?
Khushi: Sunday tha. Dopeher ka waqt tha.Babuji kisi grahak ko mithai dene k liye gaye huye the. Jiji ko aur humein kitaabein lene bazaar jana tha. Humein pata tha ki babuji k lautne tak dukaan band ho jayegi. Toh humne socha humein hi jana hoga bazaar! Par hum ghar khulla chhodh kar kaise jaate? Toh humne jiji se kaha,ki tum ghar par ruko, hum jaldi se sunny par jaakar kitaabein le aate hain!Nateeja? Humara accident ho gaya.
Arnav(concerned): Bahut chot lagi thi kya?
Khushi: Daya haath toot gaya, ghutne boori tarah se chill gaye, thuddi pe taanke aaye aur yahan- wahan kharoch lagi so alag! Tab humare ghar me phone bhi nahi tha. Ek bhale insaan ne aur unki patni ne humein ghar tak chhod diya.
Arnav sees tears in her eyes.
Arnav: Kya hua Khushi?
Khushi: Humare accident ki khabar jab amma ko pata lagi,woh agli bus se ghar k liye ravana ho gayi. (swallows) Unke ghar pahuchne se pehle hi khabar aa gayi ki humari naniamma chal basi.
Arnav puts an arm around Khushi and gently pats her head.
Khushi leans her head on his shoulder and sniffs.
Khushi: Humein apneaap par bahut sharm aayi! Humari galti ki wajah se amma naniamma k saath unke aakhri waqt me nahi reh payi. Humare ilaaj par jo babuji k paise kharch huye so alag! Hum yeh soch-soch kar roye jaa rahe the ki hum amma ka samna kaise karenge? Chahe jitni bhi maafi maang le, naniamma wapis toh nahi aati na humare maafi maangne se?
Khushi looks at Arnav.
Khushi: Phir humein babuji ne samjhaya ki jo hua woh humne jaan- bhooj kar nahi kiya. Humara koi irada nahi tha khud ko chot pahuchane ka ya amma ko wapis bulane ka, aur yeh baat amma jaanti hain! Aur isiliye amma humse naraaz nahi hongi aur babuji ne kaha humein bhi khud se naraaz nahi hona chahiye! Aur humne gir kar jo chot khayi hai,woh chot humein kabhi yeh sabak nahi bhoolne degi ki humein bina amma babuji ki ijazat liye koi kaam nahi karna hai. (holds his hand) Hum aaj aapse yeh hi kahenge Arnavji. Aapne jo kiya woh kuch jaan k nahi kiya! aapne jaan-bhooj kar humein chot nahi pahuchai. Aur ab jab aapko ehsaas ho gaya hai ki aapse anjaane me galti ho gayi, tab aapko uska pachhtava hai aur aap yeh tai kar chuke hain ki aap dobara aisa nahi karenge,hai na?
Arnav nods.
Khushi: Is se badhkar aur kya baat ho sakti hai? Khud hi sochiye!
Arnav: Par Khushi, maine office me tum par jo torture kiya aur ghar par bhi, sagai ki taiyyari tumse jaan bhooj kar karvai, taaki tumhe dukh ho,uska kya?
Khushi: Jab bhi aapne humein kadvi baatein sunai ya kuch aisa kiya jisse humein dukh ho,tab-tab aapko bhi dukh hua na?
Arnav doesnt say anything.
Khushi: Humein achchhe se pata hai. Humein taqleef me dekh kar aapko humse dugni taqleef hoti hai! Aapne.. galti ki, toh aapne saza bhi bhugti, aapko khud ko bhi taqleef hui,toh baat khatm! Aur kuch?
Arnav nods.
Khushi: Ab kya hai?
Arnav opens his arms and Khushi gives him a tight hug.
Khushi: Itni lambi kahani sunayi, uska kuch asar bhi hua ya..?
Arnav(gives a small smile): Hua!
Khushi: Lagta nahi hai poori tarah se hua..
Arnav: Hua Khushi, I got ur point!
Khushi: Kya?
Arnav: Jo maine galtiyan ki hain uski saza mujhe mil chuki hain aur ab meri duty yeh hai ki main un galtiyon ko na dohraun, aur jo maine lesson seekha hai use yaad rakhu aur.. (sighs) apneaap ko maaf kar doon!
Khushi(pats his back): Shabbaash! Chaliye,ab hum ghar chalte hain!
Arnav: ruko! Abhi tumne mujhe saza kahan di hai?Saza toh do mujhe!
Khushi: Hum aapko koi saza nahi dena chahte,aap bas ghar chaliye!
Arnav: Nahi! Main tab tak nahi jaunga jab tak tum mujhe punish nahi karogi.Aur jab tak mujhe nahi bataogi ki neighbours k wahan kya hua aur..
Khushi: Aur?
Arnav: Aur baad me, pehle saza sunao!
Khushi: Hmm... theek hai! Aap.. (thinks) ha! Aap di aur naniji se maafi maang lijiye!
Arnav: What!? Kyun?
Khushi: Ek tarah se dekha jaay toh... unhe aapne dukh pahuchaya hai na? Toh unse maafi maang lijiye!
Arnav: Done! Aur?
Khushi: Aur kya? Bas,humse jo waade kiye unhe nibhaiyye!
Arnav: Khushi, yeh saza nahi hui! Saza.. ka matlab pata hai na tumhe?
Khushi: Ji haan! Par kya aapko yeh pata hai ki jab hum aapko saza denge toh woh humare liye bhi saza ban jayegi? Aisa nahi hai ki sirf aap humse pyaar karte hain aur sirf aap humein taqleef me nahi dekh sakte! Hum bhi aapse bahut pyaar karte hain aur aapko saza dene k baare me soch bhi nahi sakte! Humse yeh mat karvaiyye!
Arnav: awww!!U r a sweetheart, u know that?
Khushi blushes.
Arnav: Ok,ab point number 2. Sach-sach batao, neighbours k yahan kya hua?
Khushi: Lambi kahani hai, ghar chaliye, kal subha batayenge! Abhi neend aa rahi hai..
Arnav(in a no-nonsense tone): Khushi,batao!
Khushi makes a face.
_______________________________________________________________
Precap: Khushi: Ab toh bata dijiye,k aapke "aur" ka kya matlab tha?
Arnav: Sex!
Khushi (stumped): Ji!?
Arnav: U heard me,Khushi.
Khushi: Hey Devi Maiyya! Yahan.. (gulps)gaadi me?!
Arnav(inches his face closer to hers): Haan.. yahan (gets even closer) gaadi me!
Kindly ignore typos n mistakes. Translation in the post below.
Edited by Smita.M - 12 years ago
10