do naam ek jaan (a fan- fic) - Page 3

Created

Last reply

Replies

90

Views

31.8k

Users

13

Likes

32

Frequent Posters

rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#21
ok ok. so i am thinking faster now....................

..........kashish was standing by the window for sujal to look at her once, but sujal sat in his car and was about to drive when.........uske maan se awaaz ayi.
sujal's maan: ek bar nazar utha keh dekh lo, shayad woh tumhara hi intezar kar rahi ho?
sujal ne yeh sochte huwe apni nazrein upar uthayi aur kashish ke ghar ki taraf dekha, front peh hi kashish ki khirki thi!!!! and yes she was still standing there.
Sujal ne uski taraf dekha and gave a full smile...........song time:
aaj yeh kya huwa hai, dil nahi mera bus mein,
isliye sochti hon tor do sari rasmein,
umer bhar keh liye tu...aa mera saath dede
tera ho jaonga mein, haathon mein haath dede
haathon mein haath sahi...
hoooooooooooooooo
tu mere saath sahi
phir bhi teri haan hai baqiii!!!!!!!
thoda sa pyaar huwa hai.....thoda hai baqi (courtsey film main ne dil tujhko diya!)
kashish apna sar sharam se jhuka ti hai aur foran curtain keh peech chup jati hai. likin humare majnu itni jaldhi se peecha shurne wale nahi the, Sujal kept sitting in the car to see if she comes out or not! aur jee haan, kashish ek baar phir se samne ayi likin is baar apni windows bandh karke curtains age kheech diye...............

Sujal: hmmm.....lagta hai humari rahein milne wali hain! aaj to sirf tumne apne kamre ki khirki bandh ki hai, magar apne dil ke darwaze kaise bandh kar paogi!!!!!!!! and he left for home

aaj sujal to khush tha hi likin kashish keh maan mein bhi khushi ka toofan aya huwa tha, magar woh khud ko mana nahi pa rahi thi. kamre mein leti hui thi aur kabhie side lamp on karti to kabhie off!
charu at that time was passing by so she came inside kashish's room
charu: di. koi prblem hai?
kashish: nahi to, kyun?
charu: phir kyun is bechare lamp ko saza de rahi ho?
kashish: um......woh....mein kuch soch rahi thi
charu sits on kashish bed and says: acah mujhe bhi batao
kashish: tumhare janne ki baat nahi hai
charu: kyun? kyun nahi
kashsih: bus kaha na nahi
charu: hmm. waise sujal bhaiya aapke bare mein sahi keh rahe the.
kashish(excitedly) kya keh raha tha?
charu: kyun bataon?
kashish: bata na plz, dekh mein ter bari behen hon
charu: keh rahe the keh aap bahut ziddi ho
kashish yeh sun kar laid back on the bed.......: :aur kuch nahi kaha?
charu: kaha tha, magar aap ko kya, aapko to woh pasand hi nahi. waise di, you were very rude to him. koi mehmano ke saath aisa karta hai kya. mana woh rishi jaise larke keh bhai hain magar he is very different!

kashish charu ki baatein sun to rahi magar apne gale ki chain ghumate huwa gum sujal ki un nazron mein hi thi jin mein abhi abhi woh .............atak gayi thi(lol, couldnt find a suitable word)
charu: di....(shaking kashish) app sun rahi ho na!
kashish: haan sun rahi hon........acha ab tu ja, mujhe neend arahi hai
charu: theek hai. take care! wasie aapko sujal bhaiya kaise lage?
kashish: pata nahi.....kuch khaas nahi
charu: (teasingly) to phir itni inquiry kyun kar rahi thi?
kashish: tu jati hai keh mein............(she raised a pillow to hit her)
charu: acha baba ja rahi hon. (she was now almost outside the door, likin apni shararti harkaton se baaz na ate huwe waapis kashsih ki taraf palat keh boli....
charu: di, ab sujal bhaiya ko khawaabon mein zaida pareshan mat karna..............waise sujal bhaiya se sujal jiju kehne ki adaat dal lun???? (charu ko kashish ke pyaar ka andaza ho gaya tha, as she left she winked at kashish)
kashish: charu ki bachi.............(and threw the pillow towards her lightly but charu ran away)
phir woh takeeye mein mun dabaa kar so gayi!!!!!!! (shayad sujal ke khuwaab dekhne ki bahut jaldhi thi!!!!!!!!!)


GAREWAL HOUSE

sujal waapis a chuka tha aur apne kamre mein tha. just then rishi came inside.
sujal: kuch chahiye?
rishi: haan
sujal: what?
rishi: sach....sach suna chahta hon
sujal: kaisa sach?
rishi: wohi jo aap sab se chupana chahte hain.........magar baat kya hai na Big b, keh yeh larkiyon keh mamle mein mera zehaan apse thoda tez chalta hai............so come on tell me fast..........kon hai woh?
sujal: kya baqwaas kar raha hai. kon si larki?
rishi: uffff...........tooo bad! wohi jise shaam ko phone kiya,jisse milne aap gaye, aur abhi jiske khayalon mein aap khoye huwe hain!
sujal idhar udhar dekhta hai. he knew keh rishi ki nazar aur akal bahut tez chalti hai aur woh cha kar bhi apne dil ka haal apne chote bhai se nahi chupa sakta....................
sujal: haan........ek hai........magar pata nahi woh mujhse.....
rishi:thats the spirit bro! ap ko koi larki inkaar kar hi nahi sakti...usse to
sujal: rishi, woh koi aam larki nahi hai, bahut alag hai......pehli nazar mein uski sadgi, uska ghusa, uska baat baat peh ghabrana...........she diiiifferent!
rishi: big b, yeh larkiyan upar se different hoti hain......likin andar se sab ek jaisi.......
sujal: (looked at him with a "you dont know her look")
rishi: khair agar aap keh rahein hain to mein maan leta hon.likin big b, uske dil ka haal janna hai na to meri ek expert advise le lo.
sujal: (magazine flip karte huwe) ab tu baghir apni expert advise diye baghir to jaye ga nahi......isliye jaldhi batao aur phir yahan se jao!
rishi: ok bata hon. well....zaida mushkil nahi hai, bus aapko us larki....jo bhi hai..........usse thoda bhao dena hoga.
sujal: (closed the magazine) bhao? matlab?
rishi: matlab ignore her, uske samne reh kar usse ignore karo.........phir dekhna woh khud apne pyaar ka izhaar kar bhete gi! i can bet on that
sujal: rishi.......... ho gaya. mein ne tumhe kaha na woh alaag kisam ki larki hai..........aur mein aisa kuch nahi karunga..........mujhe aitbaar hai apne pyaar peh..............ek din uski dharkane is dil mein dharkein gi, mujhe zaroorat nahi is tarah ki koi har kat karne ki!!!!!!
rishi: ooooooooo, chill bro! mein ne socha keh shayad.........khair aapki marzi...........waise humari hone wali bhabie se kab mil wayein ge?
sujal: (now facing rishi and smiles )very ...........ve...rrr...yy soon!

rishi hugs sujal and leaves.
sujal to himself: agar meri nazrein tumhara ghus pigla sakti hain, agar mera dil tumhari dharkano ki raftar barha sakta hai to mera yeh pyaar bhi tumhe ek din mera bana de ga!!!!!!! ye sujal garewal ka waada raha!


gosh i am tired!!!!!!!!!!! ok i'll try to speed up the story too, sorry agar zara slow lag rahi ho,,,,akhir pyaar to ahista ahista hi hota hai na!!!!!! well, coming up....kashish and tulsi's encounter.............rishi , kashish and college and ofcourse..........humare majnu aur laila ki mulaqat...........ek aur mulaqat
until then.........take care

Farah
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#22
ok so the next day begins!
its now 7.30am , kashish and charu are ready for college. they take the blessings from tulsi and as alwayz tulsi gives no response to kashish!!!

AT THE COLLEGE:

charu goes to the class while kashish is going to the staffroom when she turns the corner and hears some guys.
boy #1: yar rishi, college shuru ho gaya par kuch maza nahi aya, koi ragging shagging ki jaye in juniors keh saath
rishi: nahi yaar, is saal ka plan kuch aur hai!
boy #2: kya plan hai?
rishi: is bar kisi student ko nahi balke teacher ko bakra banaye gein!!!! (he was wearing goggles and slowly brings then down with his finger)
boy#3: par kisko. kon se professor ko?
rishi: wohi, jisne kal rishi garewal ko challenge kiya tha..........Mssss Sinhaa!
boy #1: pagal ho gaya hai, woh bari tez cheez maloom hoti hai
Rishi: (while touching that boys face) kyun daar gaya, agar woh tez cheez hai to hum bhi kaam nahi. kal ke challenge ka jawaab to mein donga!!! aur woh bhi yaad rakhe gi! lets go guys!

kashish yeh sab sunleti hai, thoda sa dar jati hai magar phir.....usko woh baatein yaad ati hai jo usne sujal ko kahin thi...she builds her confidence and says to herself: tum mujhe kya yaad dilaoge...aaj to mein tumhari class lungi!
picks up her stuff from staffroom and heads towards the class

the class has started, everyone in the class is seated and kashish has marked their attendence. after 15 minutes......rishi arrives with his gang!
as he was entering kashish sees him and now the fight begins:

kashish: class shuru huwe 15 minute guzar chuke hain, role mark ho chuka hai, ab tashreef lane ki koi zaroorat nahi, aap ja sakte hain............magar haan kal se time par ana. (yeh keh kar she turns towards her students)

rishi: oh really! you'll stop me? waise meri ghari mein to abhi theek 8.30 huwe hain! kyun guys?//
his freinds agreed with him!
kashish ab kya kehti, ek student ko parne se mana to nahi kar sakti thi. so she let him come inside
likin itni jaldhi har woh bhi nahi manne wali thi, so she thought of a plan!!!

kashish: ok, so before i begin i want you guys to intrduce yourself to me..........so who should be first................ok yes you.........rishi.
rishi: main? (surprisingly)
kashish: jee aap. plz come in front and introduce yourself!
rishi: they all know ne....i'm RISHI GAREWAL.
kashish: kya mein ne aapse kaha keh aap in sab introduction dein. i said keh intruduce yourself to me! to plz bahir ayen......stand here..........pointing beside her and tell me about yourself.

one of rishi's friend spoke up: madam jee, yeh college hai school nahi!
kashish: acah student jee, to aap bhi student hain is school keh malik nahi.
the guys got embarrassed.
kashish: agar college mein parne ka shauk hai to behave like adults, class mein time peh ayen aur dosron ki respect karein. atleast college students ko itna to ana hi chahiye.
the guys were feeling insulted (khair insult hi to kar rahi thi kashish)
kashish: and now.......rishi introduce yourself.
rishi: (uske andar aag to lag hi gayi thi magar woh confuse tha keh ek larki usse is tarah se insult kar rahi hai) mmmm......mein.......i........i'm...............
kashish: oh ho lagta hai aap daar gaye!
the students started to giggle!
rishi: Wrong, na rishi ne daar na sikha hai aur na hi harna!
kashish: oh really. to meri class attend kar lia karein.....ap darna aur harna dono sikh jayienge.
rishi was totally messed up. somehow he wasnt able to compete in words with kashish, so in anger he pushed the table and kicked the chair and left in a huff!
rishi pointing at kashish: tumhe to mein dekh longa
kashish: agar roz class mein ajao to mein zarror dekhongi!!!!!

as rishi left the students started to laugh!
kashish: stop it plz. mein ne yahan koi mazak nahi kiya tha. magar aapke samne yeh sab karne ka maksad rishi ki insult nahi magar apko yeh sikhana tha keh dar dar keh jeena is wrong. agar aapke aas paas kuch ghalat ho raha hai to face it....dont run away...............aur yeh rishi jaise larke kisi ka kuch nahi bighar saktein..........yeh sirf bolna jante hain, so next time i want you all to face the situations.......understand!
sab ne kaha jee but charu stood up and started to clap. everyone looked at her and the bell rang (yani class time over, oh ho aaj to kuch par haya hi nahi)

college day finishes.................................

KASHISH"S HOME

charu apne kamre mein thi , tulsi kitchen mein aur kashish kuch files check kar rahi thi. dinner was ready, kashish table par ati hai!
kashish: are charu kahan hai?
tulsi: apne kamre mein (bura mun bana kar)
kashish: acha mein usse bula keh lati hon
tulsi: koi zaroorat nahi hai
kashish: magar kyun mama! khana thanda ho jayega
tulsi: kashish plz. stop it. itna interfere mat kiya karo meri aur meri beti ki zindagi mein! (scolding her)
kashish: meri beti? kya matlab mama, kya mein nahi hon aapki beti!
tulsi: tum se to baat karna hi fazool hai.
kashish: (thoda chirte huwe) aap karti hi kab hain mujhse baat. bachpan se le kar aaj tak apne khud ko mujhse dur rakha. hamesha se dekhti ayi hon keh meri wajah se aap aur papa larte rahe! mujhse baat nahi karti aap, meri baat sunti nahi aap............aur ab charu ko bhi mujhse dur kar rahi hai. woh meri choti behen hai.............kyun ma kyun.......kya ghalti hai meri........

tulsi: kiski galti hai yeh mein nahi janti....bus itna janti hon keh tum humse dur raho to behtar hai (she said this and left the table)
kashish: (holding her hand).....kyun dur rahon............koi wajah to hogi? aap mujhe zindagi bhar ki saza de rahi hain, magar saza dene se pehle meri ghalti kya hai yeh to baateyein ma, mera kasur kya hai ma.........kuch to bolo ma plz...............ma? (she was almost begging)
tulsi: (apna haath churate huwe) nahi hon mein teri ma! (furiously aur phir rona shuru ho gayi) nahi hon mein teri ma................nahi hon, tu meri beti nahi hai!

tana tana taana (kashish in skock)
tulsi: jana chahti hai apna kasur, tumhara wajood hi tumhara kasur hai, tumhara guzra huwa kal tumhara kasure hai..........tumhari shakal mein mujhe us aurat ki shakal nazar ati hai..............tumhare papa ki bewafai nazar ati hai.........................
kashish was in tears.........: mama aap jhoot bol rahi hain!
tulsi: yeh hi sach hai. tum ....haan tum meri zindagi ka ek aisa sach ho jisse mein cha keh bhi mita nahi sakti! meri nafrat tumhe dekh keh aur bharti hai . tum ek dhooka ho.......chali jao yahan se...........chordo mujse akela............jaoo! (pushed her towards the main door, aur khud apne kamre mein chali gayi!)

charu was still sleeping and didnt hear a word!
kashish toot chuki thi, ankhon se ansoo to bhe hi rahe the magar dil bhi ro raha tha.
kashish to herself: nahi aisa nahi ho sakta...mama mujhse jhoot bol rahi hain....mein..unki..........beti......nahi nahi (yeh sochte sochte woh ghar se bahir nikal gayi, on the main road now)

rishi and the gang were coming out of a near by pub......
rishi's friend : are woh dekh rishi........mssss Sinha!
rishi: really! lets go guys....aj maza chaka hi dein,,,,yeh bhi kya yaad karegi!
............................................................ ..
.. ............................................................ ..
............tulsi ki awaaz kashish keh kano mein gunj rahi thi. "tumhari shakal mein us aurat ki shakal nazar ati hai!!!!" " tum ek dhooka ho" " tum ek aisa sach ho jisse mein cha keh bhi nahi mitaa sakti" .......................keh achanak............................


SUJAL....
sujal was coming back home from office,,,still thinking about kashish, nazrein kahin thi aur dehaan kahin aur keh achanak woh gari rokta hai...bahut rush laga huwa tha sarak par, traffic block thi.
sujal to a man passing by:kya huwa hai, itna rush kyun hai
the man: koi accident huwa hai sahib
sujal: accident?
sujal gari se utarta hai dekhne keh liye, aur accident site peh pohanchta hai.
sujal: kisi ne ambulance ko bulaya?
another man: haan phone to kiya hai , ati hogi
sujal thoda aur age jata hai and finally age tak pohanch jata hai, aur dekhta hai keh khoon mein lipti ek larki pari hui hai..................................................
sujal goes close to her and he is terribly shocked at what he sees

sujal: KAAASSHHIIIIIIIIIISHH!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

well...zara aaj kuch zadia emotional ho gayi kahani......koi baat nahi kabhie kabhie udaas bhi ho jana chahiye......kyun? ab kashish.....bach payegi ya nahi?kya iske peeche rishi ka haath hai? what will sujal do? milte hain break keh baad!

farah

rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#23
ab break khatam!!!!!!next part...............

sujal was horrifed: KASSSHHIIIISH!!!! (he shouted) kashish hosh mein ao. kashish plz meri taraf dekho!
but there was no response from kashish!
sujal picked her up from the ground and started to walk towards his car
a man pulled him back: suniye, ambulance ati hogi
sujal confronted him: mein ambulance ak inetzar nahi kar sakta.....agar meri kashish ko...............(he stopped in btw and walked faster towards his car.)

sujal placed kashish in the car and started to drive to the hospital!

...................meanwhile rishi and the gang were in a car driving really fast
rishi's friend: rishi gari roko
rishi stopped the car at once: kya huwa (he sounded scared)
friend: yar yeh humne acha nahi kiya
rishi: is keh ilawa aur koi chara nahi tha
freind: likin yaar, usse ........is halat mein hum log................nahi nahi. humein waapis jana chahiye, madaat keh liye
rishi: pagal ho gaye ho?
another friend: rishi likin usne humare saath jo bhi kiya so kiya, humein unko aisi halat mein chor ke nahi ana chahiye tha.
rishi: dekho mein is accident keh case mein nahi phas na chahte. tum logon ko itni fikar ho rahi hai to get down from my car and go help her!
third friend: yaar yeh tum log kya keh rahe ho.hum ne jo kuch kiya theek kiya. ab bus bhool jao sab kuch and lets go home!
they all agree and rishi drops them home and then he also goes home!

KASHISH"S HOUSE

it was now around 10pm. charu ki ankh achanak khuli.
charu to herself: are dus baj gaye. mein ne khana bhi nahi khaya, bahut bhook lagi hai. chalo neeche chal keh dekhti hon kya bana hai.
she goes down, likin wahan na hi usse kashish milti hai aur na nahi tulsi. she looks around for them in the kitchen, living and drawing room, but couldnt find both
charu: shayad di apne kamre mein hongi, wahan ja ke check karti hon
charu quickly went upstairs and opened kashish's room: diiiiiiii! dii aap kahan ho? washroom mein? (she knocks on the washroom door.....no reply.......she moves the handle and opens the washroom.........no ones there) are yeh di kahan chali gayi. (she was now getting tensed, charu phir tulsi keh kamre mein bhagi bhagi jati hai to ask her)
charu: mama! di kahan hain, sare ghar mein dhundha magar woh kahin nahi mili!
tulsi who was holding sinha's photo and looked at charu with a "what are you saying look" (ok guys this is the old proffessor sinha, not amar talwar coz he looks a bit older for tulsi)

tulsi: yeh kya keh rahi hai
charu: haan mama, kya di aapko bata keh nahi gayi
tulsi remembers keh it was her who pushed her out of the house, she suddenly realizes what a blunnder she has made: hey bhagwaan! yeh mein ne kya kar diya. ab kashish ko kahan dhundo........kahan gayi hogi???? (agar tulsi keh dil aur dimaag mein kashish keh liye nafrat thi to itne saalon mein kashsih keh pyaar ne uske dil mein kahin ek soft corner bhi bana liya tha, isliye na chahte huwe bhi tulsi ko kashish ki fikar thi)

charu: mama dont worry, mein dekh thi hon, paas mein hi gayi hongi!

charu goes out in search for kashish............................magar woh kahan janti thi keh kashish zindagi aur maut keh beech mein jhul rahi hai..................................

OPERATION THEATRE

sujal was standing outside the operation theatre, his shirt was soaked in kashish's blood. he looked helpless aur uska pyaar uski ankhon se ansoo ban kar bhe raha tha!

the red light goes off and the doc comes out. sujal holds the doc and asks him : aab kaisi hai woh?
doctor: dekhiye, kuch kaha nahi ja sakta, chot to itni gheeri nahi thi magar kuch sadma pohancha hai jiski wajah se brain par asar huwa hai.......she is still unconscious................jaise hi hosh ata hai i'll let you know (the doc leaves)

kashish ko bahir late hain operation table peh to be shifted in ICU...............

sujal goes to meet kashish: tumhe kuch nahi hoga.............mein hone nahi donga..............na hi mera pyaar hare ga aur na tum apni zindagi se! mein ne khud se wada kiya tha keh ek din tum meri bano gi.............aur woh waada mein kabhie tutne nahi donga..... (kashish was still unconscious) he kissed her lightly on her hand and then left the ICU.
bahir ja kar he calls at her house!! (number...........directory se lia tha. heheheh)
charu ab tak ghar a chuki thi......tring tring!!
charu: hello! (she was still tensed)
sujal: charu! mein sujal bol raha hon
charu: bhaiya..ap......bhaiya di pata nahi kahan chali gayi hain, unka kuch pata nahi chal raha
sujal: charu ghabrao mat. kashish ka accident ho gaya tha.
charu: KYYYAA?
sujal: mein usse hospital le aya hon, operation hogaya hai magar wo abhi bhi under observation hai.
charu: kon se hospital
sujal: Balaji memorial hospital (hheheheheh)
charu: theek hai mein aur mama ate hain

AT THE HOSPITAL
..........sujal was still waiting. it was past midnight. he called home and said keh uske freind ka accident huwa hai, and he is in the hospital isliye aaj ghar late aye ga...........

charu and tulsi arrive,
charu: mama, woh rahe sujal bhaiya. (pointing at sujal, who was leaning against the wall.......all worried)
tulsi: beta.....kashish kahan hai..........
sujal: umm....andar
tulsi and charu rush inside to see kashish.
charu: di...yeh ....di aapko kya huwa....ap kuch bolti kyun nahi??? (she was in tears)
tulsi sat beside kashish, she couldnt see kashish in such condition! and a tear fell from her eye on kashish's hand................ek dum filmi style!!!!

sujal noticed some movement in kashish and ran to call the doc.
the doc checked her up and said.: congratulations, unhone hosh to agaya hai magar mein ne neend ka injection diya hai....she still needs proper rest....ap log plz sab bahir ajayein....................

outside, sujal still standing, charu and tulsi were sitting next to each other.
tulsi: yeh sab meri wajah se huwa. mein aapse apna wada nahi nibaah payi......aaj kashish ki is halat ki zimidaar mein hon...

charu: mama yeh aap kya keh rahi hai?
tulsi: sahi keh rahi hon,na mein ne kashish ko sab sach bataya hota aur na hi woh ghar se bahir jati aur na hi yeh sab hota
charu: kaisa sach mama.....baataiye na aisi kya baat thi..
tulsi is confused......she doesnt know whether she should tell charu or not...........
charu: mama apko mere sar ki kasam! plz baataiye

after a thought tulsi tells her about what happened in the evening..................................................... .......................
sujal bhi udhar hi khara sun raha tha...both charu and sujal are shocked after hearing tulsi
charu: kya? di.....aapki beti.........nahi?
tulsi: haan....nahi hai woh meri beti.............(tulsi ke purane zakham phir taza ho gaye) woh tumhara papa ki najayaz..................( she went away without completing her sentence)

aur peeche reh gaye sujal and charu in complete shock!!!!!!!!


kal ki subah kya rang laye gi......kya kashish us sach keh saath reh payegi...........(what a ryhme..hehehhe)..kya sujal kashish se kabhie apne pyaar ka izhaar kar paye ga..................kya tulsi kabhie apna guzra huwa kal bhool paye gi...........well hopefully next part will touch these points

ok guys, hopefully kal se thodi lightness ayegi story mein......melodrama zaida ho gaya hai.
anywayz,,thanx everyyyyyyone for liking my story and i hope you guys like it further on too!!!

luv .....farah

rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#24
ok guys......next part!

tulsi left the hospital as she remembered her past and got depressed. while charu and sujal were left shocked!

Charu: yeh sach kaise ho sakta hai......mama keh thi hain keh di unki beti nahi.............di........jo humare liye apni jaan bhi de sakti hain..............jo apni khushi ko bhula keh meri khushi ke liye kuch bhi kar sakti hain.......jo mama ko mujhse zaida pyaar karti hain.....................zaida izzat karti hain................jinhone apni ab tak ki zindagi mama ki ek pyaar bhari nazar ka intezaar karte guzari..............woh di......woh kashish, humari kuch nahi lagti..........(she is crying helplessly and sujal holds onto her)

sujal: charu, sambhalo khudko
charu: kasie sambhalon, kyaa yeh ek sach humein di se alag kar deta hai, kya woh sari qurbaniyan bhoolne ki ijazat de deta hai.................hargiz nahi!!!!
......mama kuch bhi kahien, di meri di thi aur hamesha raheingi, (wiping off her tears)
charu: aur mama ko yeh baat mani hogi,,,,,,,,,,,,to kya huwa agar unka di ke saath janam ka rishta nahi, khoon ka rishta nahi.................mamta ka rishta to hai na! jiska ehsaas unhe dilna hi hoga.

sujal: tum theek keh rahi ho charu! yeh to aunty bhi janti hain keh is sab mein kashish ka koi kasur nahi.....phir janne anjane woh ussi ko chot pohancha rahi hai, ab tumhe khud ko bhi sambhalna hai aur apni mama aur apni di ko bhi!

charu: (looking up at sujal) bhaiya, mein aapse ek baat puchon?
sujal: haan pucho
charu: (a little hesistent) agar kabhie di......
sujal: bolo
charu: mere kehne ka matlab hai, agar kabhie mein kamzor pari to kya aap di ko...............
sujal: (though she didnt complete her sentence magar uski ankhon mein sujal par leta hai keh woh sujal se kya chahti hai)
sujal: pata nahi yeh theek hai keh nahi.............magar ab yeh meri zindagi ki sab se khoobsurat haqeeqat hai...............kashish keh pass koi ho na ho.......mein hamesha uske saath rahonga!!!!!!!
charu: (khush hote huwe) thanx bhaiya...........mujhe aap peh pura bharosa hai!
sujal pats her on the shoulder.
charu: mein abhi ati hon, mama ko dekh keh (she leaves).........................................

sujal goes towards the ICU and sees her lying there. she is in deep sleep.
sujal: kal ki subah tumhare liye sirf khusiyan layegi...........kasshhish!


NEXT MORNING:

kashish ko hosh ajata hai, charu was still with her in her room, woh kashsih keh paas ja kar uska haath tham thi hai and makes kashish sit up.
charu: di, ab aap kaisi ho?
kashish: kuch bhetar hon.....magar mein yahan kaise
charu: woh............(before she could complete sujal and the doc enters)
doctor: so ms. kashish, kaisa feel kar rahi hain ab aap?
kashish: better,likin mujhe huwa kya tha, aur mein yahan kaise ayi?

sujal: (before anyone could say anything) oh noooo! please ab tum yeh mat kehna keh mein bhool gayi!! (making a funny face)
kashish: haan!....aur tum yahan kya kar rahe ho? (asking sujal)
sujal: mein.....haan.........mujhe ICU ke kamron keh bahir bhetna bahut acha lagta hai......mera part time kaam hai!
charu and the doc start to laugh!

kashish: sujal, tum kabhie mere sawalon ka seedha jawab nahi de sakte.
sujal: de sakta hon na, likin agar tum koi seedha sawaal pucho to. ab mein yahan hospital ki safai to karne nahi aya aur na hi doctor ka haal puchne aya hon. is kamre mein khara hon.........aur yahan sirf ek hi patient hai,,,,,,to obvioulsy tumhe dekhne aya hon

kashish: feel shy!

charu: di, aapka accident huwa tha, aur sujal bhaiya aapko yahan laye the
kashish looks at sujal (with respect and love aur nazrein neech kar leti hai)
sujal was smiling all the way through!

doc: charu aap mere saath ajayein, kuch papers sign kardein aur phir kashish ko discharge kar diya jayega!

the doc and charu leave.
kashish to sujal: thanx, aap mujhe yahan layein...ap na hote to....shayad......
sujal: (still smiling at kashish at staring at her constantly)
kashish: aise kyun dekh rahe hain?
sujal: nahi,......mein soch raha tha.
kashish: kya? (innocently)
sujal: yehi keh, keh kahin yeh chot ka asar to nahi
kashish: asar? chot ka? kya matlab?
sujal: bhai...aj aap itne pyaar se jo baat kar rahi hain............
kashish feels so shy and blushes, while sujal sits beside her on the bed.
sujal: waise thanx ki zaroorat nahi, mein ne aapki nahi khud apni madaat ki thi
kashish: jee?....mein samjhi nahi
sujal: (shakes his head) mein............mein tumse.................
...............before sujal could continue......................kuch interruption ho jati hai!!!!!!!

so kya sujal apni baat puri kar paye ga, kya kashish sujal ki undhri baat samajh paye gi...............well wait guyz........i am thinking !!!! hehehehe
coming up......tulsi, kashish and charu's talks and sujal with his mama!!!!!!!
so until then take care guys and thanx to each and everyone for liking my story!!!!!!!!!!mmuuuuuuuwwwaaahhhh\

rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#25
ab break khatam!!!!!!next part...............

sujal was horrifed: KASSSHHIIIISH!!!! (he shouted) kashish hosh mein ao. kashish plz meri taraf dekho!
but there was no response from kashish!
sujal picked her up from the ground and started to walk towards his car
a man pulled him back: suniye, ambulance ati hogi
sujal confronted him: mein ambulance ak inetzar nahi kar sakta.....agar meri kashish ko...............(he stopped in btw and walked faster towards his car.)

sujal placed kashish in the car and started to drive to the hospital!

...................meanwhile rishi and the gang were in a car driving really fast
rishi's friend: rishi gari roko
rishi stopped the car at once: kya huwa (he sounded scared)
friend: yar yeh humne acha nahi kiya
rishi: is keh ilawa aur koi chara nahi tha
freind: likin yaar, usse ........is halat mein hum log................nahi nahi. humein waapis jana chahiye, madaat keh liye
rishi: pagal ho gaye ho?
another friend: rishi likin usne humare saath jo bhi kiya so kiya, humein unko aisi halat mein chor ke nahi ana chahiye tha.
rishi: dekho mein is accident keh case mein nahi phas na chahte. tum logon ko itni fikar ho rahi hai to get down from my car and go help her!
third friend: yaar yeh tum log kya keh rahe ho.hum ne jo kuch kiya theek kiya. ab bus bhool jao sab kuch and lets go home!
they all agree and rishi drops them home and then he also goes home!

KASHISH"S HOUSE

it was now around 10pm. charu ki ankh achanak khuli.
charu to herself: are dus baj gaye. mein ne khana bhi nahi khaya, bahut bhook lagi hai. chalo neeche chal keh dekhti hon kya bana hai.
she goes down, likin wahan na hi usse kashish milti hai aur na nahi tulsi. she looks around for them in the kitchen, living and drawing room, but couldnt find both
charu: shayad di apne kamre mein hongi, wahan ja ke check karti hon
charu quickly went upstairs and opened kashish's room: diiiiiiii! dii aap kahan ho? washroom mein? (she knocks on the washroom door.....no reply.......she moves the handle and opens the washroom.........no ones there) are yeh di kahan chali gayi. (she was now getting tensed, charu phir tulsi keh kamre mein bhagi bhagi jati hai to ask her)
charu: mama! di kahan hain, sare ghar mein dhundha magar woh kahin nahi mili!
tulsi who was holding sinha's photo and looked at charu with a "what are you saying look" (ok guys this is the old proffessor sinha, not amar talwar coz he looks a bit older for tulsi)

tulsi: yeh kya keh rahi hai
charu: haan mama, kya di aapko bata keh nahi gayi
tulsi remembers keh it was her who pushed her out of the house, she suddenly realizes what a blunnder she has made: hey bhagwaan! yeh mein ne kya kar diya. ab kashish ko kahan dhundo........kahan gayi hogi???? (agar tulsi keh dil aur dimaag mein kashish keh liye nafrat thi to itne saalon mein kashsih keh pyaar ne uske dil mein kahin ek soft corner bhi bana liya tha, isliye na chahte huwe bhi tulsi ko kashish ki fikar thi)

charu: mama dont worry, mein dekh thi hon, paas mein hi gayi hongi!

charu goes out in search for kashish............................magar woh kahan janti thi keh kashish zindagi aur maut keh beech mein jhul rahi hai..................................

OPERATION THEATRE

sujal was standing outside the operation theatre, his shirt was soaked in kashish's blood. he looked helpless aur uska pyaar uski ankhon se ansoo ban kar bhe raha tha!

the red light goes off and the doc comes out. sujal holds the doc and asks him : aab kaisi hai woh?
doctor: dekhiye, kuch kaha nahi ja sakta, chot to itni gheeri nahi thi magar kuch sadma pohancha hai jiski wajah se brain par asar huwa hai.......she is still unconscious................jaise hi hosh ata hai i'll let you know (the doc leaves)

kashish ko bahir late hain operation table peh to be shifted in ICU...............

sujal goes to meet kashish: tumhe kuch nahi hoga.............mein hone nahi donga..............na hi mera pyaar hare ga aur na tum apni zindagi se! mein ne khud se wada kiya tha keh ek din tum meri bano gi.............aur woh waada mein kabhie tutne nahi donga..... (kashish was still unconscious) he kissed her lightly on her hand and then left the ICU.
bahir ja kar he calls at her house!! (number...........directory se lia tha. heheheh)
charu ab tak ghar a chuki thi......tring tring!!
charu: hello! (she was still tensed)
sujal: charu! mein sujal bol raha hon
charu: bhaiya..ap......bhaiya di pata nahi kahan chali gayi hain, unka kuch pata nahi chal raha
sujal: charu ghabrao mat. kashish ka accident ho gaya tha.
charu: KYYYAA?
sujal: mein usse hospital le aya hon, operation hogaya hai magar wo abhi bhi under observation hai.
charu: kon se hospital
sujal: Balaji memorial hospital (hheheheheh)
charu: theek hai mein aur mama ate hain

AT THE HOSPITAL
..........sujal was still waiting. it was past midnight. he called home and said keh uske freind ka accident huwa hai, and he is in the hospital isliye aaj ghar late aye ga...........

charu and tulsi arrive,
charu: mama, woh rahe sujal bhaiya. (pointing at sujal, who was leaning against the wall.......all worried)
tulsi: beta.....kashish kahan hai..........
sujal: umm....andar
tulsi and charu rush inside to see kashish.
charu: di...yeh ....di aapko kya huwa....ap kuch bolti kyun nahi??? (she was in tears)
tulsi sat beside kashish, she couldnt see kashish in such condition! and a tear fell from her eye on kashish's hand................ek dum filmi style!!!!

sujal noticed some movement in kashish and ran to call the doc.
the doc checked her up and said.: congratulations, unhone hosh to agaya hai magar mein ne neend ka injection diya hai....she still needs proper rest....ap log plz sab bahir ajayein....................

outside, sujal still standing, charu and tulsi were sitting next to each other.
tulsi: yeh sab meri wajah se huwa. mein aapse apna wada nahi nibaah payi......aaj kashish ki is halat ki zimidaar mein hon...

charu: mama yeh aap kya keh rahi hai?
tulsi: sahi keh rahi hon,na mein ne kashish ko sab sach bataya hota aur na hi woh ghar se bahir jati aur na hi yeh sab hota
charu: kaisa sach mama.....baataiye na aisi kya baat thi..
tulsi is confused......she doesnt know whether she should tell charu or not...........
charu: mama apko mere sar ki kasam! plz baataiye

after a thought tulsi tells her about what happened in the evening..................................................... .......................
sujal bhi udhar hi khara sun raha tha...both charu and sujal are shocked after hearing tulsi
charu: kya? di.....aapki beti.........nahi?
tulsi: haan....nahi hai woh meri beti.............(tulsi ke purane zakham phir taza ho gaye) woh tumhara papa ki najayaz..................( she went away without completing her sentence)

aur peeche reh gaye sujal and charu in complete shock!!!!!!!!


kal ki subah kya rang laye gi......kya kashish us sach keh saath reh payegi...........(what a ryhme..hehehhe)..kya sujal kashish se kabhie apne pyaar ka izhaar kar paye ga..................kya tulsi kabhie apna guzra huwa kal bhool paye gi...........well hopefully next part will touch these points

ok guys, hopefully kal se thodi lightness ayegi story mein......melodrama zaida ho gaya hai.
anywayz,,thanx everyyyyyyone for liking my story and i hope you guys like it further on too!!!

luv .....farah

Mrs.Fr.. thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#26
FARHA COMPLETLY ROCKS JANU ....THREE PARTS AT ONE TIME ...ME SO HAPPY !!!!!!!!!!!!!!!!HURAH ....LOVELY PAPRTS ....AND KEEP GOOD WORK ON .........KASAM SE ON FAN-FIC HAI TERA!
Mrs.Fr.. thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#27
AREY AT ONE TIME KITNEY OPTION DE DIYA SOCHNEY KE LIYA! WITH ......KYAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA šŸ˜†
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#28
šŸ˜† 😃 ..lol..thanx amna...yeh kiran har wat peeche pari rehti hai..isiliye mein e dobara likh di....
šŸ˜›
Mrs.Fr.. thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#29
KIRAN U R GR8 KE TU FARHA KE PEECHEY PARI REHTI HAI GR8!
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#30
farah purani yaadein tazza ho gayi......... 😊

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ā–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: RN555

5 months ago

Tharla tar mag fan fiction

Write your story here Trying for first time, so please post suggeations for improvement

Expand ā–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".