do naam ek jaan (a fan- fic) - Page 2

Created

Last reply

Replies

90

Views

31.9k

Users

13

Likes

32

Frequent Posters

kahish-rox thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#11
marroo farah kaha tha na post marro story...jaldi karo warna class ki bisti keroon gi...lol šŸ˜†
easygold thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
#12
Wah kya story likhi hai!!!!!!!!!!!! šŸ‘
plz iss mulakat ko pyaarr mein badal dijiye with chatpata romance farahji akhir yeh tou farahji telefilm hai not balaji... šŸ˜‰
And ofcourse do continue!!!!!!!!!!!
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#13
hey guys...ok woops....bahut dair ho gayi.....hehehe..kiran yaar ab to addat si hai mujko bisti sehne kiiii....hey heyyyy....lolzz... šŸ˜†

ok guys will continue from now onwards....ab plz par lena logoooon šŸ˜›
thank you all šŸ˜‰
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#14
ok guys i will continue further......

Principle is played by....lets see......ok Lalit Raheja (kth, i dont know his name)

kashish ghuse se pehle sujal ki taraf upar se neeche tak dekhti hai aur phir principle ki taraf murti hai aur kehti hai
kashish: Sir yeh mein kya sun rahi hon, app ne mera naam final students ki teacher ke liye appoint kiya hai, app jante hain na keh us calss mein kis tarah keh students hain.....(again stared at sujal).....aur phir mere paas to itna experience bhi nahi

Principle: kashish beta tum mere sab se ache doost ki beti ho, kya mein tumhar liye kabhie koi ghalat faisla kar sakta hon?
kashish: nahi sir...magar.....mein....kaise?
principle: tum kaise se kya matlab? jab mujhe yakeen hai keh tum handle kar sakti ho yeh job to phir kyun mana kar rahi ho.
kashish confused ho jati hai, usse samajh mein nahi ata keh kyun woh apni taraf ane wali promotion se bhag rahi hai ( ya phir promotion se zaida woh rishi ek bare mein soch rahi thi)

while this discussion was happening btw lalit and kashish.......wahan sujal khara sun raha tha aur nazrein kashish par tikayi hui thi. kabhie kashish keh haathon ki tarf dekhta to kabhie masoom ankhon ko, to kabhie uski nazar uske lambe balon par jati to kabhi uske galoon par............he was totally bowled over by her bueaty.......magar kya yeh pyaar tha?

Sujal: rehne deejye na principle sahib. mera nahi khayal keh yeh students ko par ha payeingi (he said it in a very sujal like tone, attitude)
Kashish yeh sun kar uski taraf bhari aur kaha: jee?
sujal: jee!!
kashish: aap kon hote hain humein batane wale ke kya karna chahiye aur kya nahi? (she was now angry, actually woh bhi sujal jaise handsome larke ko dekh keh kuch nervous feel kar rahi thi......magar jab kashish ko ghusa ata to bus na woh age dekhti thi aur na peeche)

sujal: principle sahib, jo teacher class shuru hone se pehle itna ghabra rahi ha woh class mein kya kare gi, i think she is not fit for the job.
kashish: hello? app samajhte kya hai khud ko, and how dare you say something like that to me, aap mujhe jante bhi nahi
sujal: mein khud ko jo bhi samjhon filhaal mein aapko achi tarah se samjh gaya hon aur ek baat janta hon jo app nahi janti (kashish ki taraf bhate huwe, sujal ek kadam age rakhta to kashish ek kadam peeche karti)
kashish: kya.....kya jante hain aap mere bare mein?
sujal: yahi...
kashish yahi kya..........
sujal had almost cornered kashish by now or principle beech mein interupt karta hai to sujal aapna haath peeche ki taraf utha hai...signaling to him to not to interfere
sujal: yahi keh.......
kashish aapne forehead par haath pherte huwe,.......
sujal: yahi keh aapke peeche dewaar hai
Bang!!! kashish deewar mein ja lagti hai.
Sujal: jo larki khud keh kadomon ka hissab na rakh sake woh is desh ki ane wali naslon ko kis rah par chalaegi!! (yeh keh kar sujal peeche murta hai)
kashish is waqt itne ghuse mein thi jaise keh woh ek erupting volcano ho
kashish: excuse me! mein un larkiyon mein se nahi jo daar keh mare aapni rah badal dein. mere kadam dagmaga zaroor saktein hain magar mein kisi bhi keemat par apni manzil nahi badalti, aur raha sawaal meri kabliyat ka to woh mujhe sari duniya ko dikhane ki zaroorat nahi hai. haan albata mein ane wali naslon ko kis rah par chalna sikhongi.....woh to ab aapko aapke bhai hi bhetar bataeinge (she said all this with "i'll teach you a lesson" sort of a look)
kashish: principle sahib....mein chalti hon, class ka time ho gaya hai!
principle: magar kashish tum to.......
kashish: jee mein hi ab final year ko par hon gi, zara une bhi to pata chale keh mein kis kisam ki larki hon!!!.
yeh keh kar woh darwaze ki taraf muri, jahan sujal khara tha, kashish stared at him right through his eyes........and then started to walk pass him......keh achanak atka...........jee han kashish ka dupatta hamesha ki tarah sujal ki ghari mein atka. kashish ne peech mur kar dekha aur duappta churwane ke liye peech muri.......likin bechari kashish ghuse keh mere usse dupatta hi nahi nikal raha tha................aur phir wohi huwa jis ka intezar tha,,,,,sujal ne apni jaib se dosra haath nikala aur dupata nikalne laga keh dono keh haath apas mein takraye...........dono ne ek dosre ki taraf dekha aur is bar kashish ki ek hi nazar kaam kar gayi............seedha sujal ke dil mein uthri!!!!!! (thoda sa pyaar huwa haiiiii...thoda hai baqi.....background score)
kashish apna haath peeche kheechti hai aur dupatta khud ba kudhi nikal ata hai, aur kashish bhi office se bahir nikal ati hai..........
peeche chor jati hai ek asia chakas jo ab bina uske udhura hai!!!!!!

kya sujal khud ko pura kar payega......kya yahi pyaar ki ghanti kashish ke bhi dil mein ghar karegi...............well......lets see..................waiting for your comments
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#15
so guys i am back with the next part!!!

kashish to bina kuch kahe wahan se chali jati hai aur sujal ek kash mokash mein reh jata hai
principle: yeh kashish hai hi aisi
sujal principle ko dekhta hai aur phir apne us haath ko jis ne kashish ke nazuk haath ko mehsoos kiya tha.....
sujal: (in the rajeev's style) Kashish...... and yeh keh kar smile karta hai aur bahir chala jata hai.
the principle goes back to work. Jab sujal bahir ata hai to dekhta hai keh zameen peh ek kitaab parhi hai.He picks up the book and reads....."kashish sinha".
sujal: yeh to kashish ki hai, shayad ghalti se gir gayi ho gi. Kashsih abhi zaida dor nahi gayi thi aur sujal kashish keh peeche peeche chalna shuru ho jata hai......kitaaab waapis karne.

Kashish realizes keh sujal is following her, she starts to walk faster.
sujal: excuse me!
kashish bina jawab diye age chalti rehti hai, as if ignoring him
Sujal: mein aapse baat kar raha hon
kashish ek dum ruk jati hai aur sujal ki taraf palati hai.
kashish: Jee ab kya masla hai? (in a strict tone)
sujal: dekhiye.....
kashish: mein nahi ab app dekhiye ( she was alomost shouting, ird kird keh students unki taraf dekhna shuru ho jate hain, sujal felt a little embarrsed). pehli nazar mein mujhe laga tha keh shyad aap suljhe huwe insaan hain likin aapki baatein aur yeh har kat dekh kar mujhe yakeen ho gaya hai keh aap awargi mein apne bhai se bhi do haath agye hain. is tarah se mujhe follow kar ke aap sabit kya karna chahte the.....mein aap jaise larkon ki fitrat achi tarah se janti hon....likin mein un larkiyon mein se nahi........aur yeh baat aap yaad rakhiye ga! (she ended her lecture while pointing a finger towards sujal's face)

yeh sab keh kar kashish dosri taraf muri , likin isse pehle ke woh ek kadam bar haye, sujal ne uska bazoo pakra aur apni taraf zor se kheecha. (ab to jo log nahi bhi dekh rahe the dekhna shuru ho gaye). sujal ne usse peeche se pakar liya. kashish uske bahut nazdeek thi. dono ek dosre ko dek rahe the, sujal to kuch zaida hi ghor se. (song time.......
............ammne sammne hain
humare dil oo janum
kya yahi hai mohabat
mujhse puche mera maan
teri bataon ne mujhko
teri oor hai kheecha
teri bahon mein jaise,
pehle bhi waqt hai beeta
teri sasein yeh kahein.....
oooooooooooo
pyaar peh yeh bhi chalein
manja ho humari
dil ne tujhko chuna hai, mere humari
thoda sa pyaar huwa hai....thoda hai baqiiii!!!
(music ends.....and both come out from their fantasy back to reality)

sujal ne eek haath se kashish ko pakra huwa tha aur dosre haath se woh kitaab kashish keh samne ki
sujal: yeh kitaab....apki hai......lotane aya tha
kashish: ek lambi sans leti hai aur nazre jhuka ti hai (sharmindigi ki wajah se. woh kya soch rahi thi sujal keh bare mein aur woh kasia nikla)
kashish: (kitaab pakarte huwe) jee.woh........mein......
sujal: thanx ki zaroorat nahi hai ( yeh keh kar woh kashsih ko chorta hai aur side se nikal ta hai, par jate jate uska kandha kashish keh kandhe ko chuta hai aur kashish sujal ki taraf murti hai aur use rokne ke liye haath bharati hai .......likin bahut der ho chuki hoti hai............sujal to wahan se ja chuka hota hai. kashish apologetic feel karti hai aur wahan khare log use dekh rahe hote hain, with a "tum ne acha nahi kiya" look.

ab sujal aur kashish apni apni manzil ki taraf chale jate hai.....are kashish class mein aur sujal apne daftar.


BACK AT KASHISH"S HOME

tulsi is doing pooja aur pooja keh baad woh professor sinha ki tasveer keh paas jati hai aur kehti hai
tulsi: na chate huwe bhi na jane mein kashish ko kyun takleef pohanchti hon. mera dil janta hai keh is sab mein uski koi glati nahi......magar usko dekhte hi beeti sari baatein yaad ajati hai......aur najane kyun khudh peh kaboo nahi rakh pati. aap the to usse bhi sambhal lete the aur mujhe bhi........magar ab (she has tears in her eyes).........mein cha kar bhi usko nahi sambhal paongi........mein khud se sach chupa sakti hon....duniya se chupa sakti hon......likin kashish se sach chupana ab mere liye mushkil ho gaya hai.
kyun mujhse is mushkil mein chor gaye.......mein kya karo kuch samjh nahi araha hai (woh tasveer ko table peh rakhti hai aur khud rona shuru ho jati hai)

yeh kya sach hai jo tulsi apne maan mein dabaye huwe hai......woh kya sachayi hai jo usse kashish se dur rakhti hai...........janne ke liye ..........ummmm...intezar!!!!!!

guys waiting for your comments!!!! and yes woh thoda sa pyaar ke verse ke lyrics are my own!!!!
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#16
kashish was heading towards her class and as she entered the class she took a deep breath....she herself knew that its not going to be easy.....likin this is her part of proffession aur kisi keh daar se woh peeche hatne wali nahi!

one of the girls: are charu, teri sister.....is she going to take the class
charu was sitting with her gruop of friends...
charu: are di....aap
kashish ne charu ki awaaz suni to uski taraf palti aur kaha: its ....Ma'am.
charu yeh sun kar thoda sharminda par bahut zaida proud feel kar ne lagi. akhir kyun na hoti ....her di had just got promoted. wasie uske maan mein yeh bhi chal raha tha.....(ayen zara charu keh maan ki baat sune)
charu's maan: are wah yaar charu. teri to nikal pari. ab to di sara kaam kar ke deingi.......i bet keh mujhe itna easy final year kahin karne ko nahi milta.
as she was thinking about this...uske chehre par smile ayi.....kisi ne bhi notice nahi ki siwaye ek chakas ke.....jiska class mein kaam hi yehi tha.......charu ki har move aur uski har baat ko observe karna (the character will be introduced shortly)

so the class begins. kashish ne apni seat aj kar check ki. everything was perfect, she took her seat aur register bahir nikala for attendence. likin isse pehle keh woh kuch kehti peeche se awaaz ayi.
some guys: are yaar idhar hai class aur lagta hai shuru bhi hogayi
a guy: are nahi yaar professor aye hi nahi
yeh sun ka kashish unki taraf muri aur kaha........: class shuru ho chuki hai and i am your professor!!!
yeh sun kar us group of boys keh peeche se ek nojawan...khud ko hero samajhne wala larka nikla aur kaha
larka: WOW! guys lagta hai college walon ne humare liye nayi machinery ka intezaam kiya hai (looking at kashish while he said all this)
yeh sun kar charu khari hui aur zor se use larke peh chilayi: RISHI. behave yourself.
kashish: charu plz...take you seat and i belive you are rishi (rishi ko dekhte huwe and rishi apna attitude wala behaviour dekhate huwe) waise tum ne sahi kaha, is college ko nayi machinery ki bahut zaida zaroorat thi......specially kuch kharab aur bigre huwe products keh liye!!! (kashish felt a strange confidence in her and her tone complemented it well) Class attend karne ki khawhish ho to chup chap apni saet peh bhet jayein.....warna pehle din hi absence record mein achi nahi lagti.........hain na (as if she was giving him a challenge).

yeh sun kar rishi with his gang ja kar apni seats peh bhet gaye.....magar no no no woh itni jaldhi har mane walon mein se nahi the.
Kashish: Good morning everyone
before anyone could reply rishi bola: And what a goooood mornin!!! (all his frends started to laugh. jitna ghusa kashish ko araha tha, untna hi ghusa charu ko bhi tha, akhir kyun na hota, uski behen jo thi
Charu: rishi will you just shut-up, warna........
Rishi: warna? warna kya? hey guys look whose giving rishi a challenge!!!!!

yeh sach tha keh rishi college ka stud banta tha, magar charu ki aur uski ek minute keh liye bhi kabhie nahi bani....woh jitna usse chirti thi rishi utna hi usse chirata tha. (in a mean way)..........class ki baat yahan tak chorte hain aur chaltein hain zara sujal ki janib


IN THE CAR
the cell pohne rings. sujal picks it up
sujal: jee mamma?
sujal's mamma: sujal to pohancha nahi abhi tak daftar, mein ne phone kiya tha magar koi utha nahi raha, to hai kahan? sab theek to hai? ( she as the usual mother's are was extremly caring especially for sujal)
sujal: are mamma, aap bhi na kaisi choti choti baaton par pareshan ho jati ho.......mein rishi keh college gaya tha, principle se kuch baat karni thi, bus pohanch hi raha hon daftar.....ab theek hai na.....ab to pareshan nahi ho?
veena (mamma): haan haan bus bus. tu jab baap bane ga tab puchungi tujhse, keh bachon ki kitni fikar rehti hai...
sujal: aur meri kuch zaida hi, are mamma mujhe kabhie kuch nahi hoga, aur agar ho bhi gaya na........
veena: sujal, chup kar. khabar dar jo dobara aisa waisa kuch kaha to....
sujal: sorry mama, likin ab mein phone rakhon, shaam ko jaldhi ajaonga.
veena: theek hai, jeeta rahe. end of conversation. veena hangs up the phone and turns around to see Chetan standing behind her.
Chetan: kyun fikar karti ho uski, ab woh bacha nahi raha veena
Veena: maa, baap keh liye aulaad hameshsa aulaad rehti hai aur aap kaise bhool saktein hain.....poojari ji ne sujal keh bare mein kya kaha tha......yaad hai na aapko?
chetan: oh ho tum bhi kya purani baatein le kar bhet gayi.....wo sab sach nahi hoga. dont worry. (yeh keh kar chetan apna bag utha kar office ki taraf nikal gaya)
veena to herself: aur agar woh sab sach ho gaya to.......mera sujal.....(she gets tears in her eyes)

phew......its quite late now. so another sachayi sara!!!!!!hehehe. well coming up, will be the leftover part from the class and some more secrets built and revealed..........so till then enjoy and take care
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#17
Veena is now all alone in her house, sab chale gaye hain apne apne kaam par. veena keh kano mein abhi bhi chetan ki awaaz gunj rahi thi keh " kuch nahi hoga, bhool jao". veena ja kar sofe par bhet jati hai while still crying and now time for some flashbacks!!!!!!!!!!!!!!
FLASHBACK......... sujal abhi teen mahina ka tha jab chetan aur veena ne uske paida hone ki khushi mein ek party rakhi, unke sare doost bhi aye huwe the aur veena ne apne ek jane mane pandit ko bhi bulaya tha for the pooja.
Ab it was time for the pooja aur pandit ji ne veena se kaha keh sujal ko layein. jab veena sujal ko layi to pandit ji ne veena se pucha
pandit: putre ka naam kiya hai? aur kundli de di jiye
veena: yeh le li jiye pandit ji .(handing over the kundli) iska naam Sujal hai.
yeh sun kar pandit ne veena ki taraf dekha, phir thodi der kundli parhi aur veena ki taraf phir se dekha aur kaha
Pandit: is ke jeevan mein bahut dukh ayenge........aur ek waqt asia bhi ayega jab ya to iski zindai ek naye morr par chal pare gi ya phir zindagi keh sare morr hi kahatm ho jayeinge.
veena: pandit jee...yeh aap kya keh rahe hain?
pandit: bilkul sahi keh raha hon. iski zindagi mein ek aisa toofan aye ga jo ise apni taraf kheeche ga aur yeh cha kar bhi us toofan se bach nahi paye ga.ab woh sirf ek hadsa hogaya ya tumhare bete ki zindagi ki ek dardnak haqeeqat, yeh to waqt hi bataye ga...... magar us toofan mein bahut kashish ho gi, yeh bhe jaye ga, yeh bhe jaye ga
End of flash back.
veena was still sitting on her sofa aur pandit jee ki awaaz uske kano mein gunj rahi thi."us toofan mein bahut kashish hogi......us toofan mein bahut kashish ho gi....yeh beh jayega.....................nahiiiii. (she came back to reality) nahi aisa nahi ho sakta. mere sujal ko kabhie kuch nahi hoga, mein hone nahi dongi, mein hone nahi dongi.


BACK TO COLLEGE
Kashish: Charu bhet jao, abhi.
Charu: magar di..yeh
Rishi: oh i see, to yeh ms Chalu ki di hain (he used to call her chalu to irritate here)
charu: haan hain. and i'm charu not chalu
Rishi. no no no, your name is charu but you are ChaaLLuu, kyun guys? (his friends started to laugh)
kashish: enough. tum dono abhi isi waqt, apni apni seats peh bheto and start behaving like adults.
Rishi: aaj tak rishi ne koi kaam kisi keh kehne par nahi kiya. ( woh kashish ki taraf barha, aur apna pura haath attendence keh register par rakha and rotated the register towards himeslf, phir table peh se pen uthaya and said: umm.....rishi garewal.....present (he marked himself present)
yeh dekh kar kashish ko bahut ghusa aya. magar pehla din tha woh kuch aisa nahi karna chahti thi keh baqi students ko bhi koi problem ho,isliye woh chup rahi.
Rishi: aaj tak rishi ko koi class mein nahi rok paya, to tum kon hoti ho haan? (he shook his head and went out of the door and his chela'z(freinds) followed him).
kashish ignoring rishi's behaviour decided to start the class............................ ............end of class. everybody was leaving when charu came up to kashish: di...ap theek hona?
kashish: haan mein bilkul theek hon, sorry woh tumhe danta...
charu: di plz, kaisi baatein kar rahi ho, acah chalo ghar chalein
kashish: tum chalo mein thodi der tak aongi, staffroom mein kaam hai
charu: ok theek hai, apna khayal rakhna. (yeh keh kar woh bahir jane ke liye bari likin phir darwaze ke paas se muri aur kashish ko kaha: di.....you were awesome today and winked at her
kashish smiled and waved at her!
kashish class pack up kar ke staff room gayi aur ja kar kuch files check karne lagi, check karte karte uski ankh kab lagi yeh usse pata hi nahi chala. TANG!! the clock struck, kashish ki ankh foran khuli.
kashish: OMG, 6 baj gaye, aur mein.....yahan.......ghar jana chahiye (guys its winter to abhi andhera hone hi wala hai). kashish apna bag utha ti hai aur files sameit kar ek side par rakhti hai and leaves for home.......likin bahir to toofan aya huwa hai.............zor se barish ho rahi hai............kashish kisi bhi tarah kar ke college ke main gate tak pohanch jati hai, magar toofan ki wajah se koi taxi ya rickshaw dor dor tak nazar nahi araha hota hai. woh ghabra jati hai, ab kya kare woh..............keh achanak..................well, achanak keh baad ki kahani thodi der baad.

kya is toofan mein koi uski madaat karega.....kya is toofan ka taluk sujal se ho sakta hai!!!!!!!! well wait and watch.....i mean read
i hope this part was not so boring..................c yous
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#18
so i am continuing..........from achanak........

keh achanak, kashish keh samne ek gari ake ruki, she was facing the passenger seat. the door of the car opened and she bent dwon to see who it is.........and who could it possibly be...........ofcourse guys Sujal!!!.
sujal: hi, ayiye mein aapko lift de deta hon
kashish: (a little hesistent, sepcially after the incident in the morning).....um.....nahi....woh .....mein khud chali........
sujal: dekhiye, ap apni khudari kisi aur din dekha dijeye ga, kyunke agar aap abhi na bheti to kal tak shayd bache gi bhi nahi!!! (strong words hi used there )
kashish idhar udhar dekhti hai aur phir car mein bhet jati hai. they leave from there.

they both were constently looking at each other but not speaking at all.
phir dono akhate bole
sujal and kashish: woh mein. (yeh keh kar they smiled)
kashish: i am sorry, subha mein ne aapke saath batameezi ki, asal mein aapko galat samajh bheti.
sujal: koi baat nahi, aksar aisa ho jata hai, aap samjhte kuch aur hain aur sachiye kuch aur hi hoti hai.
after saying this sujal gear badalta hai aur galti se, (remember GALTI) kashish ka dupatta gear ke upar ata hai aur sujal ka haath dupaate keh upar.
kashish was now feeling a little realxed after talking to sujal aur brish bhi kuch kuch ruk gayi thi, kashish ek bar phir se sujal ki taraf baat karne ke liye muri aur usne sujal ka haath apne dupate peh dekha.........
aur phir se usse ghuse keh doore pare
kashish: gari rokiye
sujal: jee?
kashish: maine kaha gari rokiye,
sujal at once stoped the car
kashish gari se neeche utri and sujal too came out.
sujal: likin baat kya hai?
kashish: baat......aap ek baat kaan khool keh sun lijiye, dobara mujhse milne ki ya mere samne ane ki zaroorat nahi hai, galat kaha tha maine keh main ne aapko galat samjha, aap bilkul waise hi hain jaisa mein ne tasavoor kiya tha. aapne mujhe lift di, phir baat ki aur phir mera dupata.....
sujal thoda confuse ho jata hai
kashish: khair, meri hi bhool thi jo mein aapki gari mein aa behti! thank you very much and good bye.
yeh keh kar woh paas mein khari taxi mein bhet jati hai aur ghar chali jati hai

idhar sujal abhi tak kahara soch raha hota hai keh uski galti kya thi!!!!
sujal: ajeeb larki hai! par jaisi bhi hai......meri hai! (yeh keh kar hi smiles and sits in the and drives off)

AT KASHISH"S HOME
kashish arrives at home.
Charu: di, kahan reh gayi thi aap? kitni der laga di
kashish: haan woh barish ho rahi thi to mein.....
charu: chalo koi baat nahi, aap fresh ho jao, mein dinner ready karti hon! ok
kashish: theek hain.....waise mama kidhar hain?
charu: apne kamre mein hongi!
yeh keh kar charu kitchen mein chali jati hai aur kashish apne kamre mein!!
jab woh kamre mein pohanchti hai she realize keh.....
kashish: are mera purse....???????????

........likin purse to woh sujal ki gari mein bhool ayi hai.....oopsso doopsi kashish!!!!!

sujal is coming out of his car when he realizes that kashish ka purse seat ke side peh para huwa hai. he picks it up and says
sujal: kashish ka hoga......shayad galti se bhool gayi.......yeh ladki kcuh zaida hi galtiyan nahi karti????!!! and smiles. lagta hai usse cheeckhne chilane ke ilawa bhoolne ki bhi bimari hai............


sorry guys have to cut it here. i write the nerxt part in a few hours!!! take care and enjoy
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#19
ok guys........next part!!!!!!!

sujal: lagta hai isse cheekhne chilne ke ilawa bhoolne ki bhi bimari hai.....kabhie kitaab bhool jati hai to kabhi purse......ab waapis karne jaonga to aur problem mein phaas jaonga..........to phir kya karon? (he starts to worry while holding the purse close to him) ........haan, agar us hitler ko yaad agaya to khudhi dhunti hui ajayegi......mujhe kya?
(yeh keh kar he shrugged his shoulder and went inside his home).

INSIDE GAREWAL HOUSE

inside garewal house, rishi, veena and chetan were all waiting for sujal.
rishi: are woh dekho, Big b agaye
veena,: sujal, kitni der laga di, dekh tere papa ko kitni bhook lag rahi thi, chal ab jaldhi se fresh ho kar a jao mein khana lag wa deti hon
sujal: sorry, mama woh daftar mein hi thodi der ho gayi. ap log shuru karein mein ata hon. (he was hiding kashish's purse inside his coat)
Rishi looked at him and thought that something is fishy , he came upto sujal, who was trying to hide the purse.....
rishi: kya baat hai big b, koi tension?
sujal: nahi to, kyun?
rishis: nahi wohhhh ( and he brought his hand forward to touch sujal's hand with which he was holding onto the coat
sujal: kya hai, kyun tang kar raha hai?
veena: are sujal tum abhi tak yahi khare ho, aur rishi tum kya kar rahe ho, chalo table par
rishi: mom.....mujhe lagta hai keh big b keh saath koi panga........
veena: (slapping rishi lightly on his cheek) yeh kya zabaan istemal kar rahe ho. khabar daar jo dobara is tarah ki behuda zabaan istimal ki mere samne!
rishi: its cool mom
veena: mujhe pata hai kya cool , school hai. chal ab tu. (then she turn towards sujal jo keh abhi bhi ghabra raha tha keh kahin woh ek larki keh purse keh saath pakra na jaye......)
veena: aur yeh rishi kis pange...........
rishi: (in amusement) moooom...aap bhi. (and cracked up, so did chetan)
chetan: veena , mother language ka to suna tha magar tumne to apne bachon ki zabaan bari jaldhi sikhi hai!
veena: (a little embarassed) aap bhi na... mein to bus.........aur tu (while talking to rishi and holding his ear) chal mein tujhe abhi theek karti hon

all left laughing towards the dinner table while sujal ne thandi aah bhari and went in his room to hide the purse.

KASHISH"S ROOM

kashish was still in her room, thinking about her purse
kashish to herself: kahin uski gari mein to nahi bhool ayi. oh no! ab kya karun! phone karun? nahi..... phone nahi? likin phir .....us mein to mera ID card bhi hai.......(after loads of thoughts she decided to call sujal. she looked for his number in the directory)

KASHISH CALLED AT GAREWAL"S PLACE

tring tring....tring tring.....
veena: hello?
kashish: un....hello. ji.....namaste.....kya mein sujal garewal se baat kar skti hoon?
veena: (smiled, ek larki ka call sujal ke liye. she felt really excited) han beta, aap kaun baat kar rahi hain?
kashish: jee....mein...mera naam kashish hai
veena: kashish! (wow she thought to herself) beta ek minute. SUJAL, tera phone hai!!
sujal and the rest of the family were having dinner, he stood up from his chair and wiped his hands with the napkin.
sujal: kaun hai mama?
veena: koi larki hai (she said in a teasing tone and gave the phone in sujal's hand)
rishi: LARKI!!!!! aur big b?
veena: to, sirf tu hi larkiyon se baat kar sakta hai, woh nahi?
rishi: nahi...matlab haan. magar nahi.....
chetan: agar magar choru.......aur khana khao, woh baat kar raha hai na!

sujal to himself while holding the reciever......." larki kaun ho sakti hai"
sujal: hello
kashish: mr sujal?
sujal: jee...aap....kashish (God he recognizes her voice)
kashish: jee, woh mein ne isliye phone kiya......
sujal: kyun kiya? (he wanted to tease her a bit, akhir itni insult ki uski, thoda sa to tang karne ka haq hai)
kashish: wohi bata rahi ho.......
sujal: abhi tak to bataya nahi
kashish: aap bolne deinge to baton gi
sujal: mein ne apko mana to nahi kiya
kashish (now extremly fuming) aapko suna hai keh mein phone rakhon
sujal: nahi....baataye....
kashish: hmm..... mein shayad aapna purse apki gari mein bhool ayi hon,
sujal: mujeh maloom hai...to?
kashish: to...to kya matlab.....i want it back.....
sujal: to ake lein le (upar se akaro bane ki koshish kar raha tha magar dil mein ladoo phut rahe the. he want to hear her voice, )
kashish: mein....mein is waqt kaise a sakti hon?
sujal: to apka matlab hai keh mein ake de kar jaon?
kashish: jee! (demandingly)
sujal: likin mein is waqt kaise a sakta hoon
kashsih: matlab? kyun nahi asakte?
sujal: aap bhi to nahi asakti
kashish: magar mein to.....
sujal : magar app to kya?
kashsih was almost about to cry. she was sooo frustrated. us purse mein uske ID card ke ilawa uske papa ka diya huwa ek locket bhi tha jo us ne utar keh purse mein rakha tha! kashish ki awaaz bhet si gayi aur sujal ko ehsaas huwa keh woh ro rahi hai
sujal: are...app ro rahi hain, dekhiye mein to mazaq kar raha tha. plz royi mat......mujhe address batayi mein abhi ata hon
kashish.....siskiyan lete lete address bata ti hai and hangs up.

sujal to himself: idiot rula diya na usse!
then he came to the dining table and says: mama mein bus abhi ata hon. ek zaroori kaam hai
rishi: zaroori kaam? hummmmmmm?
sujal: rishi.....shut up
rishi: are.....pehle kuch tension mein aap ghar aye, phir larki ka phone aya aur ab aap ja rahe hain kisi ZAAROOORI kaam se. kuch to hai???????
sujal: tu soch jab tak mein aapna kaam kar keh ata hon!
he goes to his room,picks up the purse and leaves for kashish's house!



ok guys....hope you enjoy it!!!! coming up kashish and sujal's encounter at her house........will their love blossom ya aur takrar hoga????????
take care guys!!
rajeev1 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#20
ok,,,,so for your grinzzz.............next part. lol

sujal sits in his car and drives to kashish's place, thodi der lagti hai as he is finding her address.

KASHISH HOUSE:
ding dong!!! (the door bell)
kashish:(standing up from the sofa she was sitting on) mein dekhti hon!
charu: di aap bheto . i 'll see
tulsi was still in her room. charu ja ke darwaza kholti hai.........
charu: are.........sujal bhaiya aap?
sujal: charu!! (he looks surprisingly at charu) yeh .....tumhara ghar hai?
charu: bhaiya.....aap bhi na, aap mujhse milne ayen hain to yeh mera hi ghar hoga na.
sujal: haan.....nahi likin mein tum se milne nahi..........
charu: mujhse nahi? to phir kisse?
sujal: woh....kashish......hai?
charu: haan hain na, likin aap bahir kyun khare hain, andar to ayiye.
charu brings sujal inside.
Charu: di, aapse milne sujal bhaiya ayen hain.
kashsih was sitting on the sofa while her back was facing the door.
kashish to herself: sujal bhaiya? (are kashish sayiyan ko bhaiyan kyun keh diya. lol)
she turns around to see sujal there. woh pehle sujal ko dekhti hai aur phir charu ko!
kashish: charu, tum janti ho isse?
charu: haan di, ofcourse bahut achi tarah se.
kashish: kiase? (suspiciously)
charu: di woh last year jab college mein funds ki kami hui thi aur humara dance show cancel hone wala tha, tab sujal bhaiya ne hi to humari madat ki thi! aapko yaad nahi?
kashish: (kuch yaad karne ki koshish mein). haan.....koi tha to sahi....likin.......woh aap to....... (still couldnt remember properly)
charu: gosh di. inhone silently paise donate kiya the, woh to mein show kar rahi thi isliye mein ne inke saath mulaqat ki thi, he is a great gentleman aur mere liye to bare bhai ki tarah hain!...mein ne apko bataya to tha, aapko yaad nahi?
kashsih was still confused...
sujal: charu, tumhari di ko to bhoolne ki bimari hai.....inhe kuch yaad kaise reh sakta hai
kashish: excuse! mujhe.......i think mujhe thoda thoda yaad hai. likin that doesnt matter. aap yahan jis kaam keh liye ayen hain woh de kar aap ja sakta hain.
sujal: (dissapointingly apne peeche se kashish ka purse nikalta hai aur uski taraf age karta hai) yeh li jiye.
kashish holds the purse. her fingers touch sujal's fingers aur phir............thoda sa pyraa huwa hai .thoda hai baqi...............
kashish purse le ti hai, starts checking...
sujal: charu , kya mein shakal se chor dekhta hon?
charu: nahi to. kyun?
sujal: to phir apki yeh di purse aise kyun check kar rahi hain jaise mein ne is mein se kuch churaya hoga.
kashish sujal ki taraf dekhti hai
kashish: waise aapka kya bharosa....
sujal aur kashish dekhte hain ek bar phir se!
sujal to charu: aaj kal bhalayi ka zamana hi nahi raha. khair, ab mein chalta hoon. take care
charu: are. aise kaise bhaiya, mein apko kuch khaye piye bina nahi jane dungi
kashish: kya zaroorat hai charu! shayad yeh kisi jaldhi mein honge.
sujal: (kashish ki yeh baat sunke woh bhi zid peh utar aya) nahi waise aisa bhi koi important kaam nahi hai, mein coffee pee ke chala jaonga (he passed a wining smile to kashish)
charu: yeh hui na baat. di plz, aap coffee bana do. aapke haathon ki coffee ki taste hi aur hoti hai
kashsih: mein? tum ne roka hai isse, to khatir dari bhi karo! and starts to leave.
sujal: mannerism............aaj kal ki larkiyon mein dhund ne se hi milte hain (woh kashish ki taraf point marta hai)
kashish: what do you mean?
charu: (beech mein larayi ko bharne se rokne ke liye kehti hai) di plz na, dekho sujal bhaiya kitne armaan se yahan ruke hain, ek coffee ka hi to sawaal hai! plz (charu kuch kahe to kashish use na nahi kar sakti thi isliye purse ko sofe peh rakh ke kitchen ki taraf gayi)
sujal: uff.......kafi ziddi hain
charu: nahi, bus ghar ka sara bujh wohi uthati hain isliye kabhie kabhie chirchari ho jati hain
sujal: (while seating himself on the sofa) kabhie kabhie....hummmmmm!

charu and sujal were chatting when kashish arrived with the coffee.
kashish: sugar?
sujal: aap mujhse puch rahi hain?
kashish: kyun, yahan koi aur bhi aya hai coffee peene (tauntingly)
sujal lays back on the sofa and says: panch chamche
charu: PANCH?"
kashish also looks at him in shock!
sujal: haan, waise to mein normlly do spoons leta hon, magar tumhari di ka ghusa dekh kar lagta hai keh aaj meethe ki zaida zaroorat paregi! (hummmm flirting.....kyun sujal??????/)
charu: (cracked up) bhaiya aap bhi na. waise itni sarooo nahi hai meri di!
kashish: charu!
charu: oops, sorry!
kashish, do spoons sugar dalti hai aur coffee sujal ko dene ke liye uske paas ati hai, tray le kar thoda sa jhukti hai aur sujal thoda age hota hai. sujal haath age barhata hai magar nazar kashish ki jhuki hui nazron par hoti hai.
sujal to himself: itni masoom ankhen aur un mein itna ghusa!!!! kashish keh baal sujal ke haathon ko chu rahe the. woh bechari khare khare thak rahi thi, magar sujal sahib ko uski khoobsurti dekhne se fursat hi nahi mil rahi thi........

kashish: coffee uthna pasand kareinge? (ghuse mein)
sujal: ummm....haan, yeh wali?
kashish: jee!
sujal coffee uthata hai and comes back to his senses!
sujal coffee peene ke bajaye, abhi bhi kashish ki adaon mein khoya hota hai
charu: kyun bhaiya, kaisi lagi coffee?
sujal: ( takes a sip , its hot and he burns his lips) garam hai (while looking at kashish)
kashish usse dekhti hai (with questioning eyes)
sujal looks at kashish aur foran kehta hai while lifting the coffe cup
sujal: coffeeee......gaaram hai!
kashish yeh sunkar upar chali jati hai.....................

sujal finishes his coffee and tells charu that he is leaving.

Kashish in her room thinks to herself: hunh, garam hai.........yeh bhi koi tareef karne ka tareeka hota hai.............agar achi ya tasty keh deta to kya jata. (acah to yeh ghusa sujal ki tareef na karne ka tha.....hmmmmmmmmm, lagta hai kashish ke dil ka haal uski zabaan se juda hai)
woh dekhti hai apni wondow se keh sujal is leaving. she goes by the window and stands behind the curtain to see a glimpse of sujal! magar sujal to seedah gari mein bhet jata hai...............while kashish still awaits for his one glance behind the curtains.....................

kyun itni betaabi hai kashish ko.........kya usse bhi kuch kuch ho gaya hai. hahahahah! kya is bar sujal aur kashish ki nazrein takrayeingi..............welll.............let me think.....while you enjoy it!
take care

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ā–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".