Part 3
Aur fir us raat…….
Raj bekarar apne kamre me baitha tha, use kuch samajh me nehi aa raha tha ke jab Kranti kamre me ayegi to woh keya karega, roj jitney baje kranti kamre me aati hai aaj usse kai samay baad aayi, aake chair pe baitha hua Raj ki taraf dekhi bhi nehi sidha apne bistar lagaya aur so gayi. Raj hakka bakka kuch der wohi baitha raha fir ja ke bistar me lait gaya.
Dono ke dil me halchal thi, par kaise kuch byaan kare yeah kisiko bhi pata nehi tha. lekin ek baat Raj ko pata tha yeah waqt Kranti ke liye jaruri hai, aur Raj koi jaldbaji nehi karna chahta tha. Aur ek baat ka bhi use pakka pata tha ke jo kuch bhi karna hai, use hi karna hai, kyunke Kranti to agge bar ne se rahi. Kranti ki dil ka haal use khud pata nehi tha ya woh manna nehi chahti thi. Par fir se uske jasbaat Raj ke liye badal rahe the aur usne Raj ke kahi baaton ko, uske ankho ko mehsosh kiya tha. jo bhi ho dono khush the.
Abhi dono me baatchit suru ho gayi hai, yeah dono apne apne sidhanto ke bare me bhi baat karte hai kabhi kabhi aur jaise ke hona chahiye dono kisi natije pe nehi pahach pate hai, dhire dhire dono me halat aur sudhar rahe hai, par jab bhi mauka milta hai woh majak me hi sahi par ek dusre ko tana marne ka mauka nehi chorti khas kar ke Kranti.
Raj to keya keya sochta rehta hai par asal baat to yeah hai ke woh baatchit se age nehi bar pa raha tha aur har waqt uspe Kranti ka kheyal chaya rehta tha. Fir ek din raat ko usne khana jaldi se khatam karke bhaag ke library me se jitney ho sake kitab nikala aur apni files le ke apne kamre me aya, fir jamin pe baith gaya sab files aur kitabo ko bikhra ke, jaiske use dhero kaam hai. Aab use sirf Kranti ka intejar tha. kuch der baad kranti kamre me aayi aur yeah dekha. Raj to jaise kranti ko dekha hi nehi aise kaam me duba hai par uske dil me bahat kuch chal raha hai aur kranti keya kare use kuch samajh nehi aaya.
K: Bahat kaam hai keya?
R: Hu.. Hya…
K: Lekin Tum jamin pe kyun baithe ho?
R: Kyun keya hua?
K: Nehi tumhe adat nehi hai itne der khali jamin par baithe ne ki agar tabiyaat kharap ho gayi?
R: Kuch nehi hoga. Bahat sare books study karne parenge table me paresani hoti, isi liye..
K: Bahat jaruri case malum parta hai, gore sahab ko khus karna hai?
R: Tum fir se….. (Raj ne thode gusse se dekha)
K: Achha achha nehi kahungi. Par tum bistaar me to baith sakte the itni bari jaga hai.
R: Wo… main to bhul hi gaya tha, tumko to sona hai…. Thik hai main library me ja ke jamin pe baith kar kaam karta hu.
K: Maine tumko jane ke liye kaha keya? Aur fir mere sone ki baat kyun aa gayi bich me? Aur yeah jamin pe baitha ne ka keya jid hai?
R: Kyun jid karni ki haq keya sirf tumhari hai?
K: Aab meri jid ki baat kaha se aa gayi?
R: Kyun tum jo roj yun jamin pe soti ho yeah jid nehi hai?
K: Woh to main……
R: Woh to keya? Tumhe pata hai mujhe kitna bura lagta hai...
K: Mujhe koi dikkat nehi hoti Rajveer…
R: Par mujhe hoti hai. Abhi tumne hi kaha itni bari bistar hai…. Par keya fayda….. tumhe to aisa lagta hai sayad hum dono ke liye kafi nehi hai …..
K: Nehi aisi baat nehi …. Utho… (Kranti ne apni bistar ke chadar ko haath me le kar Raj ko uspe baith ne ka ishara kar rahi hai) (Kranti baat ko ghumana chahti thi) Tum kaam karo maine to bahat disturb kar diya…
R: Hya thik hai. (Raj yehi chahta tha).
Kranti Ja ke study table ke chair pe baith ke ek kitab parne lagi. Thodi der me hi usko neend ane lagi.. Raj ne aur thodi der wait kiya….
R: Kranti …. Kranti….
K: Hya keya hua (uski neend tut gayi jhatke se)
R: Mujhe aur time lagega tum bed pe so jayo.
K: Nehi nehi thik hai, koi jaldi nehi hai, tum aram se kaam khatam kar lo.
R: Tumhe pata hai na ke tumhe yun pareshani hogi to mera kaam nehi honewala, par yeah jaruri bhi hai. To please keya tum thodi der ke liye hi sahi par mera man rakhne ke liye bed pe so jaogi? Mera kam khatam ho jayega to main tumhe bula dungi.
Raj ka chehra dekh kar Kranti ko bura laga woh chupchap ja ke bed pe baith gayi. Raj ne ek aur baat nehi ki aake kam pe baith gaya.
Kuch der baad usne mur ke dekha to Kranti gehri neend me thi. Raj ne socha chalo yeah jung to adhi jit li usne. Fir use pata nehi chala par woh wohi pe so gaya tha.
Subhe jab Kranti ki neend khuli usne dekha Raj jamin pe so raha tha, usse bahat bura laga. Usne sari files kitab samet ke table pe rakhha aur Raj ko bahat pyaar se bulaya, Raj ki ankh khuli aur woh Kranti ko dekhe ja raha tha..
K: Tum ja ke thodi der aram se upar so jayo, main baad me bula dungi.
Raj ja ke so gaya, kuch nehi kaha.
Fir se us raat Raj kam karne baith gaya pichli raat ki tarha. Kranti aayi aur dekha, fir wohi pe khadi ho ke kuch sochne lagi.
R: Wo….. Kranti mujhe aaj bhi thodi der ho jayegi, to tum abhi bed pe so jayo main tumhe baad me bula dunga.
K: Jaise kal bulaya tha?
R: (muskurake) Asal me jab mera kam khatam hua tum gehri neend me thi, mujhse tumko jagaya nehi gaya.
K: Aur isi liye tum jamin par hi so gaye.
R: To aur kaha sota? (sidhi Kranti ke taraf dekha raha hai)
K: Kyun bed par jaga nehi thi keya? Ya main keya tumko kha jata? (yeah baat bolte hi Kranti ko laga hai rabba woh keya bol rahi hai par jab bol hi diya to fir …….)
R: (man hi man socha wohi to main chahta hu) Nehi mujhe laga ke agar tumhe bura lage, yehi soch ke maine…..
K: Koi baat nehi. Roj roj aise thodi na hone wala hai, kuch din kam jyada hai isi liye bas…. Thik hai na….
R: (man me hash raha tha) hya hya thik hai, aab tum so jayo.
Subhe jab Kranti ki ankh khuli Raj uske saath bistar pe tha, par dono me jaruri duri barkarar thi. Na jane kyun par Kranti ko ek sukun si mehsosh hui, usne ji bhar ke sote hue Raj ka chehra apne ankho me kayed kar li. Aur din ki suruwat ho gayi… kuch raat fir aise hi chali……
Sanibar raat ko Kranti jab kamre me aayi tab dekha ke Raj bahat sare kitab table pe rakh kar chair pe baitha tha jaise ke usse kranti ka hi intejar ho. Aab Kranti soch rahi thi ke woh keya kare jamin par bistar lagaye ya … par aise kaise woh apne aap bistar pe ja ke so sakti hai jab ke jamin khali ho, use Raj pe gussa aa raha tha, yeah sab sochte hue woh almari khol ke khadi thi jaise ke kuch kam ho.
R: Agar tumhara kaam ho gaya ho to mujhe kuch puchna hai.
K: Hya bolo…
R: Agar main abhi kaam nehi karunga to keya tum bed pe so jaogi?
Aise sidhe sawal se Kranti chauk gayi, kuch nehi kaha khali Raj ke taraf dekha.
R: Mera matlab hai ke agar tum niche sone ki soch rahi ho to mujhe abhi kam karna hai aur agar tum meherbani kar ke bed pe so jaogi to main kal subha kaam nipta lunga, kal chutti bhi hai.
Kuch der kisine kuch nehi kaha, Kranti ne mehsosh kiya Raj ne ek kadam barhaya hai aab uski bari hai, aur Raj ne uska kaam bahat asan kar diya hai.
K: Tum so jayo main thodi me aati hu. Mujhe rasui me ek kaam yaad aa gaya.
(Kranti ja rahi thi, Rak uske samne aa kar khada ho gaya)
R: Mujhe samajh nehi aaya, tum kaha pe sone……
K: Maine keya ek bar bhi kaha ke main jamin pe soungi….
Raj sach me khush hua, uske chehre se khusi jhalak rahi thi, usne kranti ki jhuki hui chehre ko dekha aur kaha,
R: Mujhe mera wada humesha yaad rahega aur main tumhari Ha ka hamesha intejar karunga. Good night.
Raj ja ke bed ke ek taraf so gaya. Kuch der baad Kranti aa kar bed ke dusri taraf lait gayi.
…………………………………………….
Raj abhi khali ek hi baat sochta hai ke na jane woh kitne din apne aap pe kabu rakh payega jaise ke usne wada kiya hai Kranti se. ek hi bed pe kranti uski intni paas hoti hai, woh usse chhu nehi pata. Par yeah baat to tai hai woh Kranti se bahat pyaar karta hai aur kisi bhi halat me woh nehi chahega ke uski wajah se Kranti ko fir se koi pareshani ho.
Aise karib dus din beet gaye. Dono dhire dhire aur karib aa rahe hai, aab to kabhi kabhi need khulti hai to dono ke hath ek saath hote hai.
Ek din shaam ko un sabko kisi ke ghar koi utsav me jana tha.
37