Xtra - 2
Raj khare khare use dekh raha tha, use samjah nehi aa raha tha ke Kranti keya kar rahi hai, Kranti bistar pe baith kar Raj ko ishara kiya uske samne bistar pe baith ne ke liye. Raj aa kar baith gaya.
K: Aapna shirt kholna jara
Raj Kranti me khone laga tha.
K: Rajveer… Raj …. shirt kholo
R: Kyun?
K: Oof…. Kyun keya.. mujhe keya pata nehi hai tumhe morche me chot aayi hai, aapna shirt kholo mujhe dekhni hai
R: Oh… arrey tum bekar me pareshan ho rahe ho, bas thodi si chot hai serious kuch nehi, thik ho jayegi.
K: Han chot jaldi se thik ho jaye isi liye to lep lagana hai.
R: Chhodo na ….
K: Arrey mere wakil sahab hamesha itna bolna jaroori nehi hota, kitne bolte ho tum…
Aab Kranti khud hi uske shirt ke button khol ke shirt khol di, shirt nikalte waqt Raj ko thori taqlif jarror hui, aabhi tak to kuch nehi ho rahi thi par aab Kranti ko thoda ajeeb sa lagne laga. Par chot pe lep lagana bhi to jaruri hai. Raj ko char panch jage pe chot aayi hai, hath aur pith pe, sare jakham nile parne lage hai……
Raj ko Kranti ka chehra dekh kar maja aa raha tha, aur woh khus bhi tha ke Kranti uske liye itni pareshan hai.
Kranti Raj ko marham laga rahi hai par uske ankho me ek bar bhi nehi dekh rahi hai. Use pata hai Raj sidhi usko hi dekh raha hoga, aajkal Kranti Raj ke aise najro ke samne na jane kaise par madhosh sa ho jati hai. Raj Kranti ke thoda aur karib aa kar baith gaya.
Raj use dekh e hi ja raha tha, Kranti ka chehra jhuki hai aur woh Raj ke baye hath par lep laga rahi thi, use bahat bura lag raha the ke uski wajah se Raj ko itni chot aayi hai, Raj ka hath Kranti ke god me hai, achanak Raj ke hatho me do tin boond garam pani gira. Kranti ro rahi thi, Raj ne apni baye hath ki muthhi bandh kar li, daye hath se Kranti ke ansoo poche aur kaha main apne hath me aur tumhare ansoo ke bojh nehi utha paonga, main apne hatho se sirf…. sirf khusi bhar dena chahta hu tumhari zindagi me, mujhe ek mauka do Kranti…… Please.
Kranti thodi der chup rahi fir ek saans chhori aur kaha tumhe aur koi chot aayi hai keya, (uske najre aab bhi jhuki hi thi)
Raj ne uske chehra uthaya kuch nehi kaha sirf dekhta raha.
K: Aur kahi lep lagana hai?
R: Us chot pe tum kaun sa marham lagaoge, jo itne din o se mere dil me hai, aur jo sirf tum hi thik kar sakte ho…
K: (sidhi Raj ke ankho me dekh kar) kuch chot pe jitney bhi marham lagao woh kabhi thik nehi hote, aise chot ka tazurba tumhe sayad pehli bar ho raha hoga par mujhe to adat si par gayi hai waise choto ke sath jine ki. (yeah baat karte hue uske ankho me ek dard dikh raha tha)
Raj kuch keh nehi paya, use Kranti ka dard ka ehsash tha aur use apne aap pe gussa bhi aaya yeah soch ke, ke unchahe hi sahi Kranti ki kayi dard ke wajah Raj khud hai. Uska chehra bhi thodi maush ho gaya. Yeah dekh Kranti ko Raj ke liye bura laga. Katori utha kar jate jate usne kaha ke "Waqt ke sath sath agar koishis kare to sayad kayi jakham bhar bhi jaye". Dono ne jaise ek dusre ki kahi unkahi baante samajh li, halka sa muskuraya aur ankho se ek dusre ko bahat hausla diya.
K: Tum thodi der aram kar lo, main aati hu..
R: Hun…..
Aur ek din ki baat hai……….
Raj dopehar ko ghar lauta ek jaruri file ke liye, woh jab ghar aaya tab sab lok khana kha ke apne apne kamre me aram kar rahe the. Raj jab chupchap apne kamre ke samne gaya to dekha ke darwaja bandh hai. Usne halka sa dhakka diya to darwaja khul gaya par andar se koi awaj nehi aa rahi thi. woh ahista ahista andar gaya aur bina koi awaj kiye darwaja fir se bandh kar diya…….
Kranti bistar me ulti so rahi hai samne ek kitab hai sayad parte parte so gayi hogi. Aur woh bistar me tedi karke so rahi thi …..
Raj ko use dekh kar hasi aa gayi. Woh dono rat me sath sote to hai par Kranti ek kone me aur Raj ek kone me, jab tak puri neend na aa jati tab tak jitna ho sake woh kheyal rakhte hai ke dono takra na jaye aur jitna ho sake duri bani rahe, uske baad bhi jab neend khulti hai to aksar dono bahat pas hote hai. Par aab dopehar ko Kranti ka sona dekh kar lag raha hai ke jaise woh pure haq se apne bistar me so rahi hai. ….
Raj kuch der khara use dekh raha tha, uski chehra ka sukun use bahat achha lag raha hai, usne socha Kranti soyi hai to use thodi aur pas se ji bhar ke dekh le. Kranti ke dono taraf itni kam jaga hai ke Raj apne pair jamin pe rakh kar dhire se bistar me aapne hatho ke upar sar rakhke adha lait gaya, aur kranti ko dekhne laga. Thodi hi der me uski ankh lag gayi aur woh sidhe lait kar waise hi so gaya, fir thodi der baad achnak uski ankh khul gayi……
Aab Kranti sidhi lait e hui hai uske behad karib, Kranti ka baya hath Raj ke sine pe hai aur hath ke ungliya Raj ke baye taraf ke gal ko chhu rahi hai. Raj ke dono hath uske sar ke piche tha. Kranti ka hath parte hi Raj chauk gaya tha aur uski neend khul gayi thi, thodi der jaise usne aapni saans bandh kar li ho, use samajh nehi aaya ke woh keya kare, usne halke se apne garden daye taraf ghumaya Kranti ka chehra dekh ne ke liye. Raj thoda sa hi hila to…Kranti jaise koi mitha sapna dekh rahi hai aise muskurake ke baya hath ko thodi piche le li aur Raj ke taraf mur gayi, aur aab to sach me Raj ki saans atakne wali halat ho gayi kyunke Kranti ka sar Raj ke daye hath ke upar kandhe ke pas hai, Kranti ka daya hath Raj ke sine pe hai, uske pair Raj ke pair o ko (jitna bed pe hai) chhu rahe hai, matlab ke Raj aab puri tarha Kranti ki bahon me hai…….
Aab aise halat me yeah mumkin nehi tha Raj ke liye ke woh apne aap ko rokh paye. Woh Kranti ke taraf mur ke Kranti ko apne bahon me le liya aur Kranti ka matha chum liya. Kranti ki ankh khul gayi. Pehle to woh adhi jagi adhi soyi madhosh nazro se Raj ko dekhne lagi aur sath sath Raj ko aur kas ke pakar li, Raj ne uske galo pe halke se apne hoth rakhhe tab jaise Kranti ko jhatka laga aur uski neend ya sapna tut gayi, usne jhatke se apne aap ko Raj se alag kiya aur uth kar baith gayi, Raj achambhe me tha. Aab woh bhi uth kar baith gaya. Dono sharmake kuch keh nehi pa rahe the aur ankh to bilkul nehi mila rahe the. Thodi der baad…
R: Wo mujhe ek file chahiye thi, isi liya main….
K: (thodi der baad) Na jane kab ankh lag gayi meri kuch pata hi nehi chala ke tum kab aaye.
Raj apne table ke pas ja kar file dhunde laga, Raj Kranti ka chehra dekh kar kuch samajh nehi paya ke Kranti gussa hui ke nehi. Kranti apne aap ko kos rahi thi ke keya ho gaya hai use har waqt use Raj dekhai deta hai, aur aaj to usne had hi kar di sapna samajh ke Raj ke bahon me khoyi hi ja rahi thi.
R: Wo .. Kranti agar tumhe bura laga ho to I am sorry…. Par …
K: Tum kuch khaoge?
R: Kranti please gussa mat ho…. Mera kuch……
K: Tum aaye kab aur dopehar ka khana kha liya keya?
Raj Kranti ke pas aa kar jamin pe adha baith kar Kranti ke dono hath apne dono hatho me le kar bola "mera yakin karo Kranti, maine kuch jan bujh kar nehi ki, woh bus …." Kranti abhi pehle ke tarah gussa nehi hoti usne Raj ko bich me hi rokh di aur kaha " maine koi sikayat ki keya…… aur dekha jaye isbar galti to meri bhi hai….."
R: (Hausla thoda barah) pata nehi Kranti par mujhe ek baat samajh nehi aati.
K: (ankho se jaise pucha "Keya")
R: Hum dono pati patni hai aur hum kyon hamesha galti galti kiye jate hai. Main manta hu ke tum sayad aab bhi mujhe puri tarah se apna nehi saki par main pure dil se tumhe apni patni manti hu aur fir hum dono ka rista hai shadi ka. Tumhe nehi lagta jo ho gaya use bhula ke hum dono ko agge dekhna chahiye, apne anewale zindegi ke bare me sochna chahiye.
Kranti chup hai. Raj bhi thodi der waise hi baitha raha par chupchap. Raj ka hausla bar gaya tha kyunke na to Kranti gussa thi aur na hi woh bahat khush thi par yeah baat Raj ko samjah aa rahi thi ke Kranti puri tarah se koshish kar rahi hai zindegi me agge bar ne ke liye,
R: Achha tum sapna dekh rahi thi keya?
Kranti chup…
R: Achha ek baat batao, tumhare sapno me main hi aata hu na?
Kranti thodi chauk gayi aur muskura di
K: Nehi to
R: Arrey.. main abhi tum jo sapna dekh rahi thi uske bare me thodi na baat kar raha hu, main to tumhare bina pyaar ke jo sapne hote hai un ke bare me puch raha tha. Unme bhi keya meri thodi si jaga nehi hai?
K: Nehi..
R: Keya ? Jaga nehi hai ya tum aajkal bina pyaar wale sapne nehi dekhti ho?
(dhire dhire mahaul halka ho raha tha)
K: Mere pas sapne dekhne ka samay nehi hai.
R: Hya yeah baat bhi hai, dinbhar itna ghar ka kaam, bahar ka tumhara apna kaam aur fir sochne se fursat mile tab na tum sapna dekh paogi.
K: Bhala main kyun tumhare bare me sochne lagi
R: Aha… par maine kaha keya… ke tum hamesha din aur rat meri hi bare me sochti ho.
Kranti sharma gayi.
K: Tumhe kaam pe wapas nehi jana hai keya?
R: Hya jana to hai…
K: Main jaldi se kuch khane ke liye lati hu..
Kranti uth kar jane lagi par Raj ne uska hath nehi chhoda dono kuch der ek dusre ke ankho me dekhne lage.
R: Main keya kabhi bhi tumhe chhu nehi sakta?
K: Aise puch rahe ho ke jaise meri har baat sunte ho.
R: Tum keh kar to dekho, jaha jaise bhi ho tumhari baat jarur manunga.
K: Mujhe aur thoda waqt de do Raj….
Raj ne uska hath chhod diya aur ek achhi si muskaan diya aur gardan jhukake
R: Jaisi tumhari marji.
Raj jaldi se file le kar kamre se nikal raha tha. Jate jate usne murk e Kranti ko dekha aur kaha… "Par ek baat tumhe bata du meri koshis hamesha jari rahegi" fir Kranti ke bahat pas aa kar "tumhe puri tarah apna bana ne ki"……"Bye"
Raj chala gaya Kranti wohi baithi baithi muskura rahi thi…..
Usi din raat ko…..
Edited by Bonai - 16 years ago
37