Ek Mitha Ehsash, Part 4, 02/06 - Page 2

Created

Last reply

Replies

119

Views

20k

Users

14

Likes

103

Frequent Posters

Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#11

Originally posted by: luv_guru

Atti uttam ...Bonai ji 👏....very meetha scene....waiting for the next part Thank u guru ji, i m happy aapko pasand aaya

[Quote] but chalo sare FF ke sahare virtual RK world achhi ja rahi hai [/Quote] very true...ab toh sirf FF aur forum ka hi saath hai....me 5...to miss RK...
this is for you... so sweet of u

hope u like it....😃

oh boy u made my day, its very nice dear, perfect for the story and wahhhh Kranti is looking amazing and Raj too. Pehle penu ka mix dekha aab tumhara yeah sweet sweet picture, abhi to aaj hi mujhe next part khatam karke post karna hi hai (Office ka kam to hota hi rahega 😉). thaaaaaanks again for ur comments & this wonderful pic.

sami01 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago
#12
der se aayee par door se nahi aayee kya karoon majboori thee par maine wada to nibhaaya....
what sweet scene maza aaya kranti phir raaj ko dosh dene kyun lagi bhai....
but continue aage..kuch meethe se ehsaas hum sab ko aur dedo....

namita25 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#13
hi...bonai..... I just loved this creation of yours......😳.😳
n what a captivating piece of writing................👏👏👏
R-K convo is really very entertaining .............😊😊
hai...why did this serial have to end...........😭😭
dear I am waiting for the next part........😊
n thanks for such a lovely treat.......

Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#14

Originally posted by: sami01

der se aayee par door se nahi aayee kya karoon majboori thee par maine wada to nibhaaya....
what sweet scene maza aaya kranti phir raaj ko dosh dene kyun lagi bhai....
but continue aage..kuch meethe se ehsaas hum sab ko aur dedo....



Aap aaye itna hi kafi hai, waise late reply karna to meri bhi fitrat hai. I m glad aapko scene pasand aaya. Aab Kranti ke pas Raj ko dosh dene ke siwa aur koi important kam tha keya ?😉
Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#15

Originally posted by: namita25

hi...bonai..... I just loved this creation of yours......😳.😳
n what a captivating piece of writing................👏👏👏
R-K convo is really very entertaining .............😊😊
hai...why did this serial have to end...........😭😭
dear I am waiting for the next part........😊
n thanks for such a lovely treat.......


Thanks Namita for ur encouraging 😳 comment, aab itna encourage kar diya hai to abhi ek do aur parts bhugatne 😃 parenge aap sabko. Sach kaha yaar kash yeah show aur kuch din chalta....... mujhe to jaise scenes dekhne the wohi abhi likh rahi hu, hopefully next part bhi sabko pasand aaye.
Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#16

Part Two

Kuch din baad...........

Raj aaj bahat khush tha aaj usne sachhai ka saath diya aur ek case jita ek British ke khilaf. Kuch din pehle hi usse mehsosh ho gaya tha ke bina kisi jurm ke saza milti hai to kaisa lagta hai. Aur agar koi kisiko apne maatlab ke liye fasata hai to samne wale insaan ki keya halat ho sakti hai. Toh abhi usne tai kar liya tha ke woh aab se sirf sachhai ka saath dega agar is me usko govt ke khilaf bhi jana para to koi parwah nehi.

Raj ghar pahcha to sham ho rahi thi dekha jagat kaka bagiche me pani de rahe hai aur darwaza khula hai. Woh sidhe chai ji ke kamre me gaya aur hath me jo thaile the usko bistar me rakhha aur chaijee ko piche se pakar liya. I am very happy today chaijeeee'

Arrey rey keya kar rahe ho kranti chauk ke boli aur Raj ke taraf ghum gayi.

Asal me Raj jab andar aaya tab kheyal nehi kiya ke woha par kranti kuch kam kar rahi thi aur chaijee nehi the.

R: Arrey tum yeha keya kar rahe ho?

K: Yeah keya baat hui? Tum batao tum yeha keya kar rahe ho?

R: Main kyun? Tum bolo, waise Chaijee kaha hai?

K: Sab log sham ke puja ke liye parjai ji ko le ke mandir gaye hai.

R: Tum nehi gayi?

K: Nehi nehi main kaise ja sakti hu, mere wakil patidev jo anewale hai duniyabhar ke jhute mukaddame jit ke.

(itni jo baatchit ho rahi thi aab tak Raj ne kranti apne dono haton se pakar rakhha tha aur kranti bhi aapne aap ko chhudane ki jara si bhi kaushish nehi kar rahi thi)

Aab Raj ko bura laga usne kranti ko chhod diya aur kaha tum hamesha har baat ko aapne najeriye se kyun dekhti ho? Tumhe pata hai''

K: (baat bich me hi kat di) Tumhare bare me kuch aur soch sakta hai koi? Tum to'

Aab Raj ka achha mood dhire dhire kharab ho rahi thi.

R: hya kaho main to'.

K: Hum yeah bekar ki baate kyun kar rahe hai. Main tumhare liye nasta leke aati hu yeah kah kar woh waha se jane lagi.

R: Ruko, mujhe tumse baat karni hai.

K: Mujhe koi baat nehi karni, humne tae kiya tha na ke ek dusre ke raste me nehi ayenge.

R: Tum mere bare me soch thi ho? (Raj ekdam Kranti ke samne khade ho ke yeah sawal kiya)

K: (Chauk gayi achanak aisa sawal sun ke, par sar jhukaye khamosh rahi aur Raj itne karib khada hai ke woh kuch aur kar bhi nehi sakti)

(kranti ka reaction dekh ke Raj khush hua kyunke usne aisa hi expect kiya tha, aaj ghar me koi nehi hai aur baatchit suru hui hai to aaj usse sab baat karni hai kisi bhi kimat pe karni hai, usse samajh aa gaya tha kranti aapne se to kabhi bhi pyaar ka ijhar nehi karegi jab ke usse pata hai ke kranti loves him, to usse hi un dono ki zindagi sawar ne ki kaushish karni paregi)

R: Keya hua mere sawal ka jawab nehi diya? Keya tum mere bare me soch thi ho? Keya tum mujh pe apna haq samajh ti ho?

(Raj aur karib aa gaya aur Kranti ke pass koi chara nehi tha siwae Raj ke ankho me dekhne ka. Kranti samajh rahi thi ke andar hi andar woh tut rahi hai, aur kuch der woh aise Raj ke itne karib rahi to apna man uske kabu me nehi rahegi. Par dhire dhire usse sab bhulne laga aur uske ankho me pani aa raha tha)

R: Main fir apna sawal dahrata hu. Keya tum mere bare me soch thi ho? Keya tum mujh pe apna haq samajh ti ho? Keya tum mujhse thoda sa bhi pyaar karti ho jitna ke tum mere gharwalo se karti ho?

(Kranti ka dimag sun ho chuka tha, jitney bhi sikayat usse Raj se aur apne aap se thi sab juban pe ane ko bekarar ho gaye)

K: Kyun main kon hoti hu tumhe pyaar karne wali. Tumhare liye to hai na woh ''(aab uske ansu nehi rukh rahe the)

R: Kaun hai kaho, aaj sab kah do?

K: Kyun mere mu se keya sunna chahte ho, tumhe pata nehi hai keya? Tumhare liye to hai na tumhari Manpreet.

R: Mere liye kaun hai yeah mujhe pata hai, tumhe batane ke koi jarurat nehi. Tum apne bare me batao manpreet ke bare me nehi. Keya tum mujhse pyaar karti ho?

Kranti Raj ko dhakka mar ke woha se bhag jana chahti thi par Raj ne usse kamar se pakar liya, aaj kuch bhi ho jaye faisla ho ke rehga. Kranti mu niche kar ke roh rahi thi. Raj ne uska muh apne taraf uthaya.

R: Jab tumhe lagta hai ke tum mere bare me nehi sochti, mujhe pyaar nehi karti, mujh pe apna haq nehi samjahti to fir kaise tum meri taraf se meri zindagi ka itna ahem faisla le sakti ho. Aaj meri baat pehle ek ledki ban kar suno baad me mujhe ek krantikari se bhi baat karni hai. Par please aaj meri baat sun lo.

(kranti waise hi Raj ke karib khade khade roye ja rahi thi, usne halke se apna sar hilaya kyun ko woh bhi kahi na kahi aapne aap se jujhte jujhte thak chuki thi lekin saath me yeah bhi hai ke Raj ko dusra mauka dene se uska dil ghabrata hai)

R: Pehle tumahri sabse bari sikayat dur karne ki kaushish karte hai, Manpreet meri khash dost thi lekin woh sadi ke pehli ki baat thi, sadi ke baad maine tumhare siwa kisi aur ke bare me kabhi nehi socha, is baat ka main koi sabut to nehi de sakta par mujhe pura bharosa hai ke tum agar jara si bhi apne dimag pe jor doge to tumhe sab samjah me ayega. Yeah baat to tumhe bhi pata hai ke main apne paribaar se kitna pyaar karta hu aur tumhe lagta hai ke main bhari mehfil pe Manpreet ko bulake apne sare paribar ko pareshani me daal sakta hu. Aur to aur maine tumhare samne hi manpreet ko bata diya tha ke you are my wife and I love you, and that was the truth. Aur mujhe yeah baat pata to nehi par pakka yakeen hai ke tumhe bhi us raat chhat pe bheja gaya tha (Kranti ne jhatke se Raj ke taraf dekha aur fir se apna sar jhuka liya) jaise ke mujhe. Aur woha itna andhera tha aur Manpreet bhi pile chunri me thi'.. kash tum agar hamare baatchit suru se sun pati to aaj mujhe yeah safai dene ki jarurat nehi parti. Iske agge mujhe is bare me aur kuch nehi kehna.

(Kranti chupchap uski baat sun rahi thi, thoda rukh kar Raj ne fir suru kiya) aaj bina koi majboori, dabawe yea bina koi chah ke main manta hu ke maine kafi galat kiya tumhare saath aur mere profession ke sath bhi. Mujhe jhute case ladne nehi chahiye the. Jo ho gaya usse to main lauta ya badal nehi sakta, lekin haan itna yakeen dilana chahunga ke tum mujhe maaf karo na karo maine yeah baat tae kar li hai ke aab se main jhuta case nehi larunga fir agar woh british govt ke khilaf bhi hui to bhi koi parwah nehi. Aur tumhe to pata hai jo main ekbaar thhan leta hu woh main kisi bhi halat me pura karta hu.

Par mujhe abhi bhi tum logo ke kranti laneka tarika sahi nehi lagta, aur mujhe yeah bhi lagta hai ke british govt ke wajah se hamare desh ki kafi unnati bhi ho rahi hai. Par is bare me hum baat kar sakte hai, ek dusre ko apne apne najariya samjha sakte hai. Par is ke liye jaruri hai ke hum dono ek dusre se baat kare. Mujhe tumhari yeah baat pasand na hote hue bhi yeah wada karta hu ke main tumhe apne kam me nehi rokunga jab tak tum ya mere paribaar koi pareshani ya khatre na par jao.

Yeah zindagi hum dono ki hai magar abhi hum chahe na chahe ek bandhan me bandh chuke hai. Aur main ise apne pure dil se aur sachhai se nibhana chahta hu, main chahta hu ke tum bhi ek aur mauka do hamare riste ko.

Aur pata nehi maine kabhi bhi tumse kaha hai ke nehi ke tumne jo kuch bhi mere paribaar ke liye kiya uske liya shukriya thank you very much. Tum bhi aaj dil khol ke bol do jo kuch bhi kehna hai mere bare me.

K: Yeah paribaar keya mera nehi hai? Sirf tumhara akele ka hai? (kranti ke najre jhuki hui hi thi)

R: (dono haton me kranti ka chehra liya) Yeah bhi koi kehne ki baat hai sab tumhare hai siwae mere, kyun?

(dono kuch der ek dusre ko dekhte reh gaye, aur kranti ne apne najre jhuka li)

K: Maine aisa to kabhi nehi kaha'.

R: Sach mujhe yakeen nehi ho raha hai'

K: Par maine ekbaar tum pe bharosa kar ke apne dil ko tut te hue dekha hai, to mujhe thora waqt chahiye, mujhe kuch chiso ke bare me thoda sochna hai.

R: Main sari zindagi tumhare liye intezar kar sakta hu jaise ke aab tak karta raha hu, par main yeah kehna chahta tha ke jo bhi ho hum ek dusre se baat karenge, har tarha ki baat (thoda naughty smile diya) jiske liye sayad tumhe kuch training ki jarurat pare, tum samajh rahi ho na meri baat?

Kranti Raj ke ishare se sharma gayi. Raj ka ji to kar raha tha ke kranti ko tut kar pyaar kare, lekin usne apne aap par kabu rakhha. Uska dil halka ho gaya tha na jane kitne din o se woh kranti se yeah baate karna chahta tha. dono chupchap khade the.

R: arrey main jo baat chaijee se karne aaya tha woh baat to bhul hi gaya, aaj maine pehli baar ek case jiti hai puri sachhai se woh bhi ek gore ke khilaf, to man khus ho gaya tha ke sayad aaj kisiko mujh pe thodi rehem aa jaye, aur main sabke liye gifts bhi laya hu, dekhogi.

K: Kyun nehi, dikhaye.

Raj ne sab ka gift dikhaya par usme kranti ke liya kuch nehi tha, kranti ka chehra dekhne layak tha Raj ko bara maja aa raha tha, woh dekhna chahta tha ke kranti kuch puchti hai ke nehi.

K: Sare gifts bahat ache hai, sabko pasand ayegi. Kitna achha lagta hai na agar koi taufa lata hai to.

R: haan sahi hai, aur kabhi kabhi to bin mange achanak itni peyari taufa mile to keya baat hai, zindagi sawar jati hai.

(Kranti soch rahi thi abhi to itni lambi chaudi baate kar raha tha dekho sab ke liye gifts laya par mere liye kuch bhi nehi)

K: Haan aab kisi kisi ko to meherbani karne pe bhi kuch hashil nehi hota ek chota sa gift bhi nehi.

R: Arrey tum to aise keh rahi ho ko main kisi ko bhul gaya gift dene ke liye.

(Kranti keya bole soch rahi thi bistar pe baithe baithe. Raj apne briefcase se ek packet nikal ke kranti ke hath me rakh deta hai.)

R: Is gift ki naseeb achhi hai ke aaj hi tumhare hath pahuch gaye barna main to soch raha tha kaise du tumhe.

(Kranti packet khol chuki thi, usme do kitab ek Krantikari aur dusri Ahimsa ki thi, ek diary aur ek pen tha, Raj ne uske soch ka parwa kiya yeah dekh usse bahat achha laga, tabhi jagat kaka puchne aaye ke bitiya chae taiar hai upar le ayun, kranti ne kaha ji thik hai le aaye, jagat kaka niche chale gaye)

K: Shukriya.

R: I am Sorrry Kranti.

K: Kis liye?

R: kuch der pehle maine sirf tumhara shukriya ada kiya, but I should say sorry to you for all that sometime intentionally sometimes unintentionally I did to you.

(Kranti ko fir rona aa raha tha)

R: Par main ek baat ke liye tumse sorry nehi kahunga kabhi bhi.

(Kranti apne ankho me sawal liye Raj ki taraf dekh rahi thi, Raj sidhi uski ankho me dekh kar kaha)

R: circuit house wale raat ke liye. Us raat maine apne biwi ko pehli bar apne itne karib mehsosh kiya tha aur pure haq se pure hosh me usse pyaar kiya tha. Woh koyi galti nehi thi. (yeah baat kehte kehte usne bistar pe rakhi hui kranti ke haton pe apna hath rakhha bare pyar se, jaise ke woh kranti ko bharosa dilana chahta hai ke main hu'.. tumhare liye main hu'., Kranti fir se roh rahi thi, kuch der baad Raj ne uske asson ponche aur usse bahon me lene hi wala tha ke Jagat kaka chae le kar aa gaye.)

Aaj Raj Kranti dono hi khush hai, rone ke baad Kranti ka man halka ho gaya tha, dono ne chupchap apne apne chae khatam ki, Raj soch hi raha tha ke baat kaise suru kare, par usse pehle Kranti boli sab ka aneka samay ho gaya, tum mu haat dho lo, mujhe rasoi me kam hai aur woha se bhagi isse pehle ke Raj kuch keh pata. Raj ka man khusi se jhum raha tha. Aur fir raat tak dono me aur kuch baat nehi ho payi.

Aur fir us raat''.

Edited by Bonai - 15 years ago
pennu thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
#17
Ahhhh😛......Bonai... Raj aur Kranti ke saat mere man bhi halkaa ho gaya.... you made all those talk/chat between Raj and Kranti... which i always want to see in the real one😃.... especially the way he told about manpreet and that circuit-house night.... superb...👏 I was also shocked like Kranti at the begining never thought that it will be Kranti at Chaiji's room.... Happy to see Kranti listoning to Raj.. and he too, moved forward with some nice talk other than..."Kranti mere baat tho suno...😡"(which we were forced to see in the real one...) Aur yeh Jakat kakka bhi na.. humeshaa galat samay par aatha he... 😉 Waitng to see what will happen at night...😳 Thanks alot for this lovely update dear.....👏👏👏
Bonai thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#18

Originally posted by: pennu

Ahhhh😛......Bonai... Raj aur Kranti ke saat mere man bhi halkaa ho gaya.... you made all those talk/chat between Raj and Kranti... which i always want to see in the real one😃.... keya karu mujhe apni man ki murad bhi to puri karni thi 😃 especially the way he told about manpreet and that circuit-house night.... superb...👏 main hamesha chahti hu ke har ek show me all misunderstanding should be clear this way and then go ahead to create new misunderstanding other wise to shows banbh kar dena parega na.....waise regarding circuit house wale night hopefully sab ko apna Raj ka opinion sahi lage...... I was also shocked like Kranti at the begining never thought that it will be Kranti at Chaiji's room.... Happy to see Kranti listoning to Raj.. and he too, moved forward with some nice talk other than..."Kranti mere baat tho suno...😡"(which we were forced to see in the real one...) dono bechare is post me to hamare kabje me hai na, isi liye hamare mutabik chalna to....... Aur yeh Jakat kakka bhi na.. humeshaa galat samay par aatha he... 😉 sahi kaha yaar Waitng to see what will happen at night...😳 Thanks alot for this lovely update dear.....👏👏👏



thanks for ur comments yaar, waise tumne jo woh gaana suggest kiya tha "aaj na chorunga tujhe......" party wale Raj,Kranti ke liye ekdam perfect tha.😆😆😆
namita25 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#19

Haii……..bonai…marjawaan……..what a terrific update………👏

Kya kamaal ka likhti ho tum ………👏

So finally Raj clarified all the misunderstandings………😳😳

And thank god Kranti listened to him without making much fuss………😃

Otherwise bahut pareshaan kiya tha isne Raj ko………😆😆😆

Hey ab next part kab update kar rahi ho………😊

Jaldi karna plz………😳

rudeMRindia thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 16 years ago
#20
Wonderful scene Bonai ji…..it has all the ingredients…pyaar hai , takkraar hai, drama hai and most importantly direct conversation between the two, to clear all the misunderstandings which we hardly saw in actual Mrd....

Raj ghar pahcha to sham ho rahi thi dekha jagat kaka bagiche me pani de rahe hai aur darwaza khula hai. Woh sidhe chai ji ke kamre me gaya aur hath me jo thaile the usko bistar me rakhha aur chaijee ko piche se pakar liya. I am very happy today chaijeeee'
Arrey rey keya kar rahe ho kranti chauk ke boli aur Raj ke taraf ghum gayi.
Asal me Raj jab andar aaya tab kheyal nehi kiya ke woha par kranti kuch kam rahi thi aur chaijee nehi the.

this scene was very cute 😳

Waiting for your next update.

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".