For the story at one go (Netu made the index for us, Thanks Net)
Part 1- page 1
Part 2- page 2
Part3 ' page 5
Extra 1- page 7
Extra 2- page 8
Extra 3- page 8
Extra 4- page 10
Extra 5 - page 12
Char panch hapte ho gaye basant panchami ke baad. Kranti abhi akele jitna ho sake Raj ko nazar andaz karti hai par sabke samne woh dono achhe pati-patni banne ka natak karte hai. Yeah baat BBR ko ekdam pasand nehi aati. Woh kafi kaushis karti hai Kranti ko gussa dilane ki, par koi fayda nehi hota, kyunke kranti ko lagta hai Raj ke liye apne sare jasbaat woh mita chuki hai isi liye use koi faraq nehi parta. Aur Raj to mauka dhundta rehta hai BBR ko chirahne ka. Par Raj ko yakeen hai ke ekdin Kranti ko samajh me aajayega ke Manpreet ka Raj ke zindegi me aab koi jaga nehi hai. Aur Raj yeah baat soch ke apne dil ko behla leta hai ke manpreet ke ane se pehle kranti ne apne pure dil se aur hosh me Raj ka pyaar apnai thi, kyun ke usne khushi se gulab li thi.
Ek din Raj office se laut ke apne kamre ke taraf ja raha tha aur thik kamre ke darwaje ke samne BBR se amna samna ho gaya. Kranti andar khadi kuch kam kar rahi thi.
BBR: Din kaisa gaya devar ji
R: Achha hi tha,'. sukar hai musibaat har jaga saath nehi hoti (uska ishara BBR ki taraf tha)
BBR: (uska ishara samajh ke gussa aa gaya fir bhi hash di) arrey rey devrani ji suniye suniye devar ji apke bare me keya keh rahe hai.
Kranti ne halka sa muskuraya (par uske hasi me koi jaan nehi thi) aur fir se ghum ke kam karne lagi.
R: (thora chauk ke Kranti ke taraf dekha fir apne aapko samhal li aur haske BBR ke taraf dekh ke kaha)
Meri itni taqdeer kaha ke itni hasheen musibaat har waqt saath rahe
Dil me to hamesa hi woh rehti hai par hatho me bhi unka hath rahe
(Abhi chaukni ki bari thi Kranti ki, usne ankho ke kinare se BBR ka gussa wala chehra dekha aur man hi man muskurai)
(Yeah kahke Raj ne BBR ko selam kiya aur muskurake kaha)
Par ek baat hai yeah to ek kabita thi keh dali, par yeah to sab gharwalo ke pata hai na ke is ghar ke liye kaun musibaat hai aur kaun keya hai'..
BBR: Aap ka kehne ka keya matlab hai devar ji, saaf saaf kahiye, aapne.. aapne mujhe musibaat kaha
R: (Raj ko bahat maja aa raha tha) arrey aap to gussa ho gayi, maine aapko kab kuch kaha'..yeah to aap khud hi '.
BBR: Haan haan pata hai pata hai kaun keya hai, mujhe to koi pasand hi nahi karta, main to sare ghar ke liye paresani hi hu na'
(Aab kranti ko laga ke kuch kehna chahiye, woh darwaje ke samne aa ke Raj ke hath se coat, hat aur briefcase le li aur kaha)
Yeah aap log keya bekar ki bahas karne lage, usne BBR ko kaha keya parjai ji aapki tabiyaat kharab ho jayegi aur fir Raj ke taraf ghum ke ankhon se ishara karke kaha kyun ji aap ko court me koi nehi mila jo ghar me aakar practice kar rahe hai. Aaye thora aram kar lijiye.
R: (Raj ko kranti ka yeah lagao bahat achha laga, usne gusse se lal BBR ki taraf dekha aur kaha) aap gussa mat kijiye musibaat ho jayegi maatlab ke aapki tabiyat kharap ho gayi toh. Aur abhi aapki agya mile to main jara apni bibi se do char baat kar lu parjai ji.
BBR: ji haan haan jaroor main kaun hoti hu aapki aur aapki haseen musibaat ke bich me anewali (use laga ki yeah baat sayad kranti ko gussa dilae de ke Raj ne use uske samne musibaat kaha).
Yeah kah kar woh siri ki taraf jane lagi aur Raj apne kamre me chala gaya. Kranti Raj ke chhese jage par rakhte hue kaha keya jarurat thi parjai ji se bahas karne ki, unka swabhab to pata hi hai na aapko. Raj hash raha tha.
K: Keya hua?
R: (hash raha tha)
K: Arrey bhai hua keya?
R: (fir bhi hashe ja raha tha)
Kranti ko kuch samjah nehi aa rahi thi woh woha se jane lagi to Raj ne kaha tumne kheyal kiya?
K: Keya?
R: Arrey maine hindi kabita banaya, do line hi sahi, isse pehle to main sirf English poems aur songs gungunata tha. (aur jaise usse kuch yaad aa gaya ho aise aur jor jor hashne laga)
K: kisbaat pe hash rahe ho?
R: Tumko pata hai kuch din pehle main apne kheyalo me itna modhosh tha ke gungunate hue jagat kaka ko pakar liya tha koi aur samajh ke?
K: ha' kisse samajh ke pakre the?
(Raj ko pata tha ke BBR dekhne ko ayengi jaroor ke Kranti aur Raj ke bich me jaghra ho raha keya aur usse mehsosh hua ke BBR chupke se darwaje ke pass aa kar khadi ho gayi hai)
R: aur kaun ho sakti hai meri haseen musibaat tumhare siwa.
yeah keh kar usne kranti ko apne taraf khicha aur kranti kuch samajh paye usse pehle woh Raj ke bahon me thi, Raj ne use halke se pakra hua tha, kranti bahat kuch kehna cha rahi thi par uski gale se awaz nehi nikal rahi thi, woh dono kuch pal chupchap ek dusre ko mehsosh kar rahe the, Raj ne ahista se kranti ke kan me kaha "sister-in-law is standing outside the room, please don't mind". Kranti ko samajh me aa gayi baat, par na jane kyun usse achha lag raha tha yun Raj ke baho me rehna. Raj kuch aur nehi soch raha tha.
Kranti ne achanak ekdam achhi biwi ko tarha kaha chhodiye na' aap bhi keya karte rehte hai darwaja khula hai koi aa gaya to.
Raj ko samajh me aa gaya tha natak, par kranti ki tarha usse bhi yeah kuch pal bahat achha aur sachha lag raha tha. usne kranti ko nehi chhoda aur kaha sabhi log niche hai is waqt koi nehi aaye ga.
Ushi tarha ek dusre ke bahon me khade the dono. Kranti ne kaha hya to keya keh rahe the aap.
R: Parjai ji ka shukriya ada karne ka dil kar raha hai, na hi woh mujhe puchti aur yeah musibaat wali haseen pal hame milte.
Raj ne BBR ke saye ko gayab hote dekha kyunke Raj ka muh us taraf tha aur darwaja kranti ke piche tha, aur man hi man BBR ka gusse se bhara chehra uske samne aaya, usse achha laga aur khusi se usne isbar kranti aur jor se apne bahon me jakar liya. Uske hath kranti ke ptih par ghum rahe the, kranti ka sar uske kandho pe tha, dono aur ek dusre me khote jah rahe the, achanak kranti ko bahat sharam aayi kyun ke usse laga ke parja ji unko aise dekh rahi hai.
K: Dhyattt'' Chhodo'. (ek jhatke se apne aapko Raj ke bahon se chhudaya aur darwaje ke taraf bhagi) main pani leke aati hun.
Raj ko yakeen nehi ho raha tha, usse ajeeb sa bhi laga lekin khusi bhi bahat hui, usse aaj fir se is baat ka aitbaar ho gaya ke Kranti usse chahti hai bhale hi man hi man magar chahti hai.
Kranti daur ke aapne kamre se nikli aur usne BBR ko jate hue dekha, kuch der woh wohi par khadi khadi aapne aapko samet rahi thi. Kuch der baad usse aapne aap par gussa aane laga, woh kaise Raj ko fir se chah sakti hai, uska chhuna usse kaise aise madhosh kar sakta hai, uska man kyun din ba din uske kabu se bahar ja rahi hai, kyun usse aisa lag raha tha ke jab woh Raj ke bahon me thi to pal wohi rukh jaye aur dono aise hi ek dusre me khoye rahe, par fir jaise woh hamesha karti hai is baar bhi sara dosh Raj ko dene lagi man me, ke kranti ka to woh pati bhi hai aur pyaar na sahi lekin pasand to hai par woh kyun manpreet ko chhod kranti ko gale lagayega, yeah thik nehi hai usse aisa nehi karna chahiye, agli bar agar us rajveer ne aisa kuch kiye to main usko dikha doongi, ha..
Kuch der baad jagat kaka kamre me chai nasta le ke aaye. Raj ko pata tha abhi kuch der to kranti uske samne nehi ane wali. Par mauka dekhte hi usse kranti se baat karni paregi. Usse kranti ka dukhi chehra aab nehi dekha jata aur woh bhi bina wajah. Yeah un dono ki zindagi hai aur kranti akele faisla nehi suna sakti ke tum apne raste aur main apne raste.
Kuch din baad''
37