Anmul muhabbat
last part
us din raj say milnay kay baad jab nida ghar luti tu sab kuch kitna badla badla sa lag rag raha tha ...sab kuch wahi tha wahi lug wahi ghar per wo khud wo nahi rahi thi....jasay he wo ghar aye mamma nay usay dekha us kay maang main sandoor ore juki nazrain wo bina kuch kahay he smaj gain...mamma! nida tum theek hu naa sab theek hay naa???
nida! sirf khamoosh khari hay kuch nahi bole sakti eik ajeeb sa darr us kay andar tha...
mamma! tum chup kyun hu kuch bolti kyun nahi ..sana tum batao...
sana! wo main batati hun..phir sana nay sab kuch mamma ko bata dia..mamma sab kuch sun kar jasay saktay main aa gain...nida tum nay ye sab ..ye kar dia eik baar be hamaray baaray main nahi sucha..ore sana tum nay kaha tha na ki mujay tum per whiwaas hay tu ye sila dia tum lugu nay ore ye kih kar wo runay lagain...
nida! please mamma mujay ghalt mat samajyee
mamma! mat kahu mah mujay ....main nay tum per bharosa kia ore aaj tum nay...
nida! rutay huye per mamma main nay aysa kuch nahi kia. yakeen karu mera...
mamma bas ru rahi hay ore kuch nahi kihti...
nida! mamma main raaj say bohat payar karti hun, wo be muj say bohat payar karta hay, main us kay bina nahi jee sakti...please mamma ....
mamma! sana is ko bolo yaha say chali jayee nahi tu ....
Nida bohat ru rahi hay ore sana usay us kay room main lay jaati hay..nida to herself main nay aysa kia ghalat kia .. mamma aap samajti kyun nahi main eik joothay bandhan main nahi bandhan main nahi band sakti please mujay maaf kar du ore ye kihtay huye wo ronay lagi....ye raat nida ki zindagi ki sab say lambi raat thi jo us nay suchtay huye guzaari...ore mamma be saari raat suchti rahi ki ab larkay walay anay walay hain kia huga wo nida kay papa say kia kahay gi....ore saari raat unhun nay be inhi waswasu main guzaari...
doosri taraf raaj be suchta raha ki jaldbaazi main kahain us nay kuch ghalat tu nahi kia ???? per pata nahi kyun usay dil kay kisi kony main eik sukoon sa tha. jis ki waja say wo khush be tha..
next morning nida kay ghar main ajeeb sa mahul tha , sab apnay apnay rooms main thay nida apnay room say bahir nahi ana chahti thi kyunki jo kuch be raat ko hua shaid wo mamma ko face nahi karna chahti thi lyunki usay abhi tak darr tha...jab adha din guzar gya tu daadi jaan us kay room main ayain..wo be dil main us say naraaz thi per usay udaas be nahi dekh sakti thi kyunki wo nida say bohat payar karti thi ore is waqt wo jaanti thi ki nida ko un kay payar ki bohat zyada zarorat hay...jab wo us kay paas ayain tu nida nay dekhtay he un kay galay lag kar runa shuru kar dia....i'm sorry daadi jaan main aap ka dil nahi dukhana chahti thi per aap jaanti hain naa main nay aysa kyun kia...main aap ko dukhi nahi kar sakti per main us kay bina be nahi reh sakti main us say bohat payar karti hun..ore wo be mujay bohat chahta hay...
daadi jaan! agar aysi baat hay tu tu usay ghar bula hum us say milna chahtay hain..ore tumharay papa say main baat karu gi..
nida! kia sach daadi jaan, aap papa say baat karain gi..
daadi jaan! haan main baat karu gi per tu aaj he raj ko ghar bula huamain kuch decide karna huga ..un lugu kay anay say pihlay .
ye suntay he nida huggs her daadi ore us nay kaha okk main aaj he raj say baat karti hun...
nida was so haapyus nay jaldi say raaj ko call ki per wo apni shooting main bohat busy tha...shaam ko jab usay time mila tu us nay call return ki...tu nida nay usay batay ki us kay ghar walay us say milnaa chahtay hain....raj ko be sun kar khushi hui ore wo raat ko us kay ghar a gya...daadi jaan nay us say detail say baat ki , ore raj nay ye kaha ki wo nida ko bohat chahta hay per abhi shaadi nahi kar sakta, ye sun kar nida ko be ajeeb laga per usay apnay raj per pora bharoosa tha is liye wo kuch be suchna nahi chahti thi,
daadi jaan! tum jaantay hu naa ki nida kay papa us ki shaadi ,,,,,
raj! jaanta hun per aap ko muj per yakeen karna huga main jald he ayun ga nida ko leyne.....ye mera wada hay app say...
ore ye kih kar wo chala gya...
mamma! nida say baat kartay huye,...ab kia suchti hu, main nay kaha tha naa ki wo eik dhuka hay ore kuch nahi...
nida! mamma please us ki aankhu main aansu aa gye wo dhuka nahi hay wo zaror aye ga....
ddadi jaan ko be samaj main aa rah tha per unhu nay himmat kar kay nida kay papa say baat ki ore u ko yehi bata ya ki nida abe intersted nahi hay wo abhi parana chahti hay..wo abhi raj kay baray main unhain nahi batana chati thi unhain darr tha ki agar abhi sab kuch sach bata dia tu kahain wo ghussay main aa kar nida ki shaadi na kara dain is liye unhain ye baat un say chupaani pari...ore unhu nay finally naa chahtay huye be dadi jaan ki baat maan le ore un lugu ko anay say ruk dia...
doosray din raj india wapas chal gya....per lagta tha ye saal raj ki success ka saal tha , her jaga bas usai kay charchay hunay lagay , us ki pilhi film he itni hitt hui ki us kay baad continues movies ka silsila shuru hu gya wo apni showbiz ki dunya main kahain bohat agay nikal gya....
waha pakistan main nida us ki success ko dekh kar khush huti rihti per us ka dil bohat udaas tha kyunki jab say wo pakistan say wapas gya tha yab say us ki nida say baat nahi hui thi....nida tu us ki awaaz kay liye taras gye thi. per najany kyun us ka dil andar say mutmain tha. usay raj say koi shikwa nahi tha, wo tu us ki khushi main jeena chahti thi...ore aaj tu nida ko raj say bicharay huye du saal hu gye thay...nida kay papa ko maama nay aakhir kaar sach bata he dia ore wo apni beti per gussa nahi huye balki un ko us kay dukh ki fikal hunay lagi ...sab nay nida ko bohat samjaya per wo tu aysay safar per nikal chuki thi jaha say wapsi ka koi raats nahi thi, ye waqt be bohat zalam hay naa kabhi kisi kay liye nahi rukta ore phir dekhtay he dekhtay eik ore saal be guar gya per raj ka koi pata nahi chala wo apni dunya main kahain bohat door jaa chuka tha....nida ki is halat kay liye sabhi bohat pareeshaan thay per wo apni zindagi main khush thi....aaj raj ka birthday tha ore nida her saal ki tarah us ka birthday celebrate kia khud he ore raat ko sunay say pihlay us nay eik poem raaj kay naam likhi..
( ye poem meri friend ki hay jisay main yaha post kar rahi hun)
jisay soochti hun tanhai kay udaas lamhu main
kia wo be muj ko suchta huga.................
main nay yaad kia hay us ki shaid
cheenk anay per us nay ye kaha huga
bekhyali main her taraf ...
muj ko he dhoongha huga
phir naa pa kar mujay haqeeqt ki dunya main
is baat per wo kai baar ulja hua
roz parti hun us ki her tehreer ko
kia wo be muj ko suchta huga
khyalu ki dunya main her pal
muj ko he apnay saath paya hua
haan main suchti hun meri tarah
judai nay usay pe tarpaya huga
aankhain nam hui hungi us ki jab
akeelay main un raastu say guzra huga
main us ki humsafar huti aa kaash
her kadam per us nay ye sucha huga
suna hay musmu kay saath badal jaatay hain lug
per nahi wo nahi badla huga
chup na saki hugi bechaibi us ki
laakh us nay magar chupaya huga
aankhu ki surhi main ayyan hugi tasveer meri
raat su na saka ye bahana banaya huga
meri neendain ujaar kar khud be
saari raat yakenan wo jaga huga
haan main suchti hun usay raat kay pichlay pihar
kia wo be muj ko suchta hua
ore ye likhtay he uski aankhain eik baar phir num hu gain....waqt guzarta raha ore phir sana ki shaadi hu gye ore phir dekhtay he dekhtay noor be apnay ghar ko hu gye...nida kay liye be bohat say proposal aye per koi samjay ya na us kay dil main tu sirf raaj basa hay...mamma papa sabhi nay haar maan le wo jantay hain nida koi react nahi karay gi.....
aaj 7 saal guzar gye ...per wo aaj be raaj ka intizaar kar rahi hay wo apni maang main aaj raaj kay naam ka sindoor bhari hay ore aaj be her roz usi jaga per zaror jaati hay jaha per wo apnay raj say mili thi usay us jaga say apnay raj ki khushbu aati hay un sheeshu ki deewaru main apnay raaj ka aks nazar ata hay ....per wo bohat khush hay wo jaanti hay us ka raaj eik din zaror aye ga......
tu ye thi kahani nida ki main nay kabhi sucha be nahi tha ki main is story ka end aysay karu gi per karna parah! shaid isay parnay kay baad tum lugu kay dil main be bohat saaray sawaal hugay ki raaj nay aysa kyun kia , us nay nida ko intizaar ki umeed kyun dilaye.....per inshallah zindagi rahi tu main is story ka part 2 jab start karu gi tu shaid un sab sawalu kay jawab be mil jain...per aaj ki kahani ka bas yehi amjaam hay. agar mian nay tum say kisi ka dukhya hu tu please forgive me....
i'm very thankful to u gys kashish, sumy, nandni, deepa , aarti n nida thanks friends for ur support n love. mujay story likhnay say zyada tum lugu kay sweet comments read kar kay acha laga...so thanks once again so inshallah zindagi rahi tu phir milay gain 2nd part kay saath.
love
seher😳
Edited by sknra - 16 years ago
41