part 10.
raj nay jab nida ki mail read ki tu us ka dil jasay tham kar reh gya...aankhu main aansu aa gye. us nay khud ko bohat samjanay ki koshish ki magar nakaam raha ore phir us nay nida ko call kar li...nida apni suchu main gum window kay paas khari thi jab raj ka phone aa gya..us nay jasay he us ka number dekha aik dam say pick kia..
Raj! nidaaa, raj kay tu jasay awaaz be nahi nikal rahi rhi ..nida ye kia pagal pan hay...tum nay ye sab..
Nida! rutay huye ye pagalpan nahi ye meray dil ki awaaz hay jisay aap tak punhanchana zarori tha phir baad main kia pata main...
Raj! tum aysa kuch nahi karu gi...tum nay suna main nay tum say kia kaha..
Nida! tu kia karu kyun kia aap nay meray saath aysa...main nay tu apni zindagi kay saath samjuta kar liya tha phir kyun dekhaye mujay wo sapnay...ab jab mujay un sapnu ki adat hu gye hay tu kyun wo sab kuch muj say cheen leyna chahtay hain...nahi chahyyee mujay wo zindagi jis main aap meray saath nahi...
Raj! usay samaj main nahi aa raha tha ki wo kia karay wo khud be tu isi dard say guzar raha tha. please nida mujay samajnay ki koshish karu. meri dunya ore hay main kisi aik jagah per nahi ruk sakta...
Nida! mujay aap ki her dunya main rihna manzoor hay ..agar hum mil nahi saktay tu kia hua meray liye aap ka ehsaas be kaafi hay per please muj say aysay door mat jayee. main jee nahi pao gi..
Raj! usay kihna chahta tha ki main be tu tumharay bina nahi jee sakta mar jao ga..per kisi say kiye huye waday nay usay mujbore kar dia..
Nida! aap chup kyun hain kuch boltay kyun nahi ...aysi kon si baat hu gye hay ki aap muj say itni door chalay gye..please kuch tu bolyeee...per raj nay phone disconnect kar dia ore aansu us ki aankhu say nikalnay lagay...
doosri tarf nida eik baar phir toot kar reh gye...per us ka dil kih raha tha ki koi aysi baat zaror hay warna raj yun achanak aysa kasay kar sakta hay usay apnay raj per pora bharosa tha...
ghar main tayyaran shuru hu gye thi ...weekend per larkay walay aanay walay thay...per nida tu jasay eik khamoosh but ki manand reh gye thi...usay kuch be acha nahi lag raha tha..us ki is halat per noor be bohat udaas thi wo apni friend ko aysay nahi dekh sakti thi.
'''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''''
raj ki papularity her roz bharti ja rahi thi wo na sirf india balki ore be bohat say countries main papular hu gya. ore inhi dino usay eik pakistani drama serial main act karnay ki offer hui jo raj nay accept kar le. ore isi week usay apnay new project ki shooting kay liye pakistan aana tha.
nida ko jasay he pata chala . wo khushi say pagal hu rahi thi wo apnay janu raj say eik baar milna chahti thi, usay chuna chahti thi us kay galay say lag kar apna dil ka bhuj halka karna chati thi...
raj kay dil ka be yehi haal tha per wo khud ko samja raha tha ki nahi raj agar tu us say milay ga tu tu kamzur par jaye ga....kasi uljan thi ..
ore aaj doosra din tha raj ko pakistan aye huye..wo apni shooting main bohat busy tha..
sana say apni sweet sister ki halat dekhi nahi jaa rahi thi finally us nay himmat kar kay mamma say baat kar le.
mamma! sana main nay tum say kaha naa ki is baat ka zikar is ghar main dobara nahi huga..
Sana! mamma sirf eik baar please . aysa kuch nahi huga please eik baar nida ko raaj say milnay ki permission day dain itna bharusa tu hay naa aap ko apni beti per..
mamma! bohat mujbore hu kar theek hay per shaam say pihlay pihlay ghar wapas ana hay..ore khyal rakhna hay tum samaj gye naa..
Sana! oh mamma thank u so much main hun naa us kay saath...
per mamma ko tension hu rahi thi wo kuch such main par gain...
sana nay raj say pihlay he baat kar le thi per ab jab us nay ye kaha ki hum nay mamma say pucha hay tu raj nay be milnay kay liye haan kar di...omg dono kitnay khush thay ....nida ko yakeen he nahi hu raha tha ki ye koi khwab hay ya haqeeqat ki wo apnay janu say milnay jaa rahi hay. waha raj ka dil be bekaboo tha usay eik eik pal guzaarna mushkil hu raha tha. ore phir finally wo waqt aa he gya jis ka intizaar tha.
raj sana kay bataye huye address per puncha. it was a beautiful old building jisay 'shesh mehal" kihtay hain jo Lahore ki purani khubsoorat buildings main say eik hay . raj jasay he ander enter hua tu us ka dil nay jasay eik pal kay liye dharakna bhul gya...us kay samnay nida bohat he khubsoorat white dress main kisi hoor say kam nahi lag rahi thi. jab nida nay apnay raj ko dekha tu bhaagti hui us kay paas chali gye ore us kay galay lag gye...wo bas rui ja rahi thi
us kay saath raj be ru raha tha . thori dair baad raj nay usay khud say alag kia n then he smile ..
Nida! mujay believe nahi hu raha. ki aap mery saamnay hain.she just touch his face.
Raj! believe tu mujay be nahi hu raha. aaj main tumharay saath hun per sab kuch kitna badal gya hay naa...
Nida! she just put her hand on his lips ..please aaj kuch mat kahayyee..in do palu ko meri zindagi kay yaad gaar pal bana leynay dain. bas dono eik doosray ki aankhu main kahin khu gye.....raj ko whiswas nahi hu raha tha ki wo apni jaan kay itnay paas hay, nazrain us kay chehray say hut he nahi rahi thi....us ka bas chalay tu wo is pal ko hameesha kay liye apnay dil main kaid kar lay...
Nida! aaj main itni khush hun ki aysa lagta hay ki pagal hu jao gi..
Raj! aaj main be bohat khush hun...per..raj ko ek dam say jasay kuch yaad aya ore wo baat badaltay huyee..nida ye jagah kitni khubsoorat ore pursukoon hay naa..ore is deewaru per sirf sheeshay joray hain ore in main sirf tumhara aks nazar aa raha hay kitna acha hay naa main aaj tak itni khubsoorat jagah nahi dekhi..
Nida! aap ko pata hay kihtay hain shahjahan badshah nay apnay dur main isay banwaya tha apni khaas muhabbat kay liye wo her taraf usi ka akas dekhna chahta tha...
while nida was talking raj usi ko dekh raha tha us ki masoom batu main kahain gum tha..wo dheeray dheeray us kay paas aya ore ahesta say us kay chehray per bikhray balu ko peechay kia nida be usi ko dekh rahi thi us ka dil zor zor say dharak raha tha ore raj phir ore us kay kareeb aya ore is samay dunya ki koi be taqat un duno ko paas anay say nahi ruk sakti thi she just close her eyes n he kiss on her forhead n then on her cheek n then other cheek ore phir raj ko jasay kuch realize hua ore wo peechay hu gya..nida just open her eyes she just look at him us ki aankhu main kuch sawal thay per us waqt raj usay nazrain nahi mila raha tha. kia baat hay raj aakhir aysi kon si baat hay jis ki wajah say tum muj say itni dur rihna chahtay hu..
Raj usay kuch nahi kihna chahta tha..nida main tumhain khush dekhna chahta hun..
Nida! ore aap ye kyun nahi samajtay ki meri khushi aap say hay. kia aap mujay meri khushi day gain...
Raj! just looks at her n then hugs her very tightly. raj jitna usay door huna chahta tha per khud ko us kay paas anay say ruk nahi sakta tha.
phir wo kitni dair tak aik doosray ki dunya main magan rahay raj nay nida ko bohat samjanay ki koshish ki bt wo kaha sunnay wali thi. ore sach baat tu ye hay ki raj be usay door nahi jana chahta tha . ye pal waqi main un ki zindagi ka aik yaadgaar pal ban gya.
love
seher
Edited by sknra - 16 years ago
41