Anmul muhabbat.
aaj raj bohat khush tha ki aaj itnay saalu baad he sahi per us kay papa us kay pyaar ko samjay tu sahi..ore jab papa nay kaha ki wo aaj he pakistan nida kay ghar walu say baat karain gain tu usay yakeen he nahi hua ore ore wo dur kar papa kay ghalay say lag gya us ki aankhu main aansu aa gye ore papa be itnay arsay baad betay kay galay say lag kar bohat khush thay. ore is baar jab wo mumbay lut kar aya tu apnay parents kay saath khushi khushi aya....
raj ki mamma nay pakistan call ki tu nida ki mom say baat hui unhain be yakeen he nahi hu raha tha jab unhu nay kaha ki hum jaldhe pakistan aa rahay hain nida ko lay janay kay liye tu un ki be khushi ki intiha nahi rahi. wo be tu kab say apni beti ki khushi kay intizaar main thi. jab raj ki mamma nay usay kaha ki nida aaj be us ka intizaar kar rahi hay tu us ki aankhu main eik chamak si aa gye per us ka dil tu kab say jaanta tha ki nida sirf usi ki hay ore rahay gi.
mamma! raj aaj tumhara pyaar jeet gya. hum bohat khush hain tu batao kab chalay....
raj! wasay kyun na aaj he chalay kia khyal hay..??
mamma! shaitaan hatu! abhi tumharay papa say baat karti hun tu aysa kartay hain ki kal chaltay hain kyunki aaj mujay bohat saari shopping be karni hay apni beti kay liye...
ab dekhtay hain doori taraf nida ka haal...us nay jasay he ye baat suni ki raaj kay ghar walay aa rahay hain wo tu jasay khushi say paga hu rahi thi. us kay ghar main subha say raj ore uski family ki anay ki tayyaran hu rahi thi. sabhi bohat khush thay. nida kay liye eik eik pal guzaarna kitna mushkil hu raha tha itna intizaar shaid us nay saat saalu main be nahi kia jitna us din wo mehsoos kar rahi thi. us ka dil kar raha tha ki wo eik baar apnay jaanu say baat kar lay ore raj ka be yehi haal tha us ki zid be toot gye thi ore ab wo ore intizaar nahi kar sakta tha...ore aanay say pihlay jab raj nay usay call ki tu uski awaaz sunkar nida ka chehra gulaab ki tarah chamak utha dil kay saara bhauj pal bhar main khatam hu gya usay abhi be yakeen nahi hu raha tha sab kuch eik khwab kay jasay lag raha tha..
raj! kasi hu meri jaan! ore aansu uski aankhu main aa gye..
nida! wo tu khuch kih be nahi paa rahi thi ....bari mushkil say khud ko sambhaltay huye aap kasay hain....
raj! main tumhain leynay aa raha hun jaan!..
nida! kuch be nahi kih rahi per aansu uski aankhu say nikal rahay hain...
raj! aaj say in aankhu main aansu kabhi nahi gain bas bohat seh liye ab ore nahi..I LOVE U.. jaan...
ore phir dono ka intizaar khatam hua ore wo waqt aa he gya. nida nay aaj wahi dress pihna jo usnay last time raj say miltay waqt pihna tha. wo apna silsila wahi say shuru karna chahti thi. wo abhi apnay room main he thi ki sana nay aa kar batya ki wo lug aa gye hain ore wo be jaldi say tayyar hukar neechay aa jaye. per usnay sana ka haath pakartay huye please tum meray saath he rihna mujay ajeeb sa feel hu raha hay ore mujay controle be karna ( hanstay huye) kahain aysa na hu ki raj ko dekhtay he main sab kay saamnay uskay galay say lag jaon....okk okk main tumharay saath he rahu gi per abhi ruku main thori dair baad aati hun...wo neechay chali gye sab lug aa gye thay ...
raj's mom! acha ab ye batain hamari beti kaha hay??
raj ki nazrain be idhar udhar usay he dhund rahi thi..phir wo kuch he dair baad sana kay saath neechay aa gye. ore jasay he raj ki nazar us per pari us ka dil khushi say bekaabu hu raha tha uska dil kar raha tha ki wo bhaag kar apnay jaanu kay paas chali jaye ore udhar raj ki be kuch aysi he feelings thi. ore itni muddat baad eik doosray ko dekh kar kuch ajeeb sa be feel hu raha tha. nida nay agay aa kar mamma papa ko salam kia ore eik nazar raj per dhaal kar un kay paas beth gye.
raj's mom! waqi main hamain apnay betay ki pasand per naaz hay..ore wo nida kay saath kuch baatu main lag gain.. raj bas sab say behabar usay he dekh raha tha jis pal usay . usay nida main koi be badlau nazar nahi aa raha tha jis pal wo jaha usay chur kar gya tha wo si tarah thi balki apnay pyaar ki sachaye kay noor say us ka chehra ore be haseen hu gya tha. sab lug eik doosray say baatain kar rahay thay nida kuch dair baad waha say uth kar apnay room main chali gye..phir kuch dair baad sana raj ko be uper lay gye nida kay room.. nida window kay paas khari thi jab raj andar enter hua us ki eik aahat say he nida nay peechay mur kar dekha ore bhaag kar us kay paas chali gye per usay eik ajeeb si jeejak hu rahi thi per raj nay agay bhar kar usay hug kia n then she huggs him more tightly dono ki aankhu main aansu thay per aaj in aansu main khushi thi.
nida! main jaanti thi aap eik din zaror ayain gain ore mera pyaar adhura nahi huga..
raj! thanks jaan mera pyaar nibhaanay kay liye..
nida! thanks nahi kahain ye mera apna pyaar tha jisay her pal main nay aap kay saath jeeti rahi hun.
raj usay khud say alag kartay huye aaj kay baad main tumhain kabhi akeela nahi churu ga. ye wada raha tum say. ore kia yum puchu gi nahi ki main nay tumhain kyun?/....
nida us kay huntu per apna haath rakhtay huye. mujay kuch nahi sunna meray liye is say bari baat aaj koi nahi ki aap wapas aa gye mera intizaar rayga nahi gya mera pyaar adhura nahi raha. meri muhabbat meray saath hay mujay ore kuch be nahi chayyee. raj usi aankhu main apnay liye muhabbat dekh kar bohat khush tha us nay nida ka chehra apnay haathu main liya ore us kay forhead per kiss ki n then they both lost in each other ...............
Edited by sknra - 16 years ago
41