Aaj ki subha Raj ore Nida ki zindagi main wo bahaar lay kar aye jis ka sapna wo najanay kab say dekh rahay thay, aaj un kay adhuray payyar ko eik nai zindagi mil gye, jo dil aaj tak eik doosray kay liye dharaktay thay aaj eik hu gaye....nida ki ankh jab khuli tu us nay khud ko raj ki baahun main paya, us nay eik nazar utha kar raj ko dekha wo eik sweet si muskaan huntu per sajaye su raha tha. he was looking so cute....nida ki nazrain bas usi per jasay tham kar reh gaye ore phir najanay kitni dair tak wo usay aysay he dekhti rahi, ore kuch dair kay baad she kissed on his forhead, ore jis say Raj ki aankh be khul gye, usay dekhtay he nida kuch sharma kar uthnay lagi per Raj nay us ka haath pakar kar apni ore kia .
Raj! good morning mrs.raj ... nida kuch sharmatay huye Good morning...
ore ye kih kar wo waha say janay lagi per Raj nay usay phir apni taraf kheenchtay huye kaha jaa rahi hu aaj hamari shadi ki pihli subha ore tum muj say bhaag rahi hu..
Nida! us ka haath churatay huye raj bohat dair hu gye hay na neechay mamma papa hamara wait kar rahay hun gay breakfast per hamain tayyar hu jana chayyee..
Raj! oh god aaj hamari shaadi ka pihla din hay ore aaj say he tum ....
Nida! Raj please samajnay ki koshish karu na..
Raj! yehi tu main tum say kihna chahta hun please samajnay ki koshish karu naa , main tumhain khud say eik pal be nahi janay dey sakta , main chahta hun tum bas yunhi hameesha meray samnay bethi rahu, ye aankhain bas tumhain he dekhti rahain, in haathu main bas sirf tumhara he haath hu ore ye dil.......Nida us ki baat cut kartay huye ore us kay huntu per apna haath rakhtay huye shhhhhhh Raj ore kuch nahi I LOVE U Raj...
Raj! i love u too jaan n he huggs her. aaj main bohat khush hun jaan , thanks nida mujay meri zindagi lutaanay kay liye. past main jo kuch be hua hum usay bhula kar aaj eik nai zindagi ki shuraat karain gain , payyar ore sachai ki bunyaad per eik nai dunya banay gain jis main jis main payyar , sach ore trust huga ! especially jis dunya say main wabasta hun waha per her roz nai baatain hun gi scandels hun gain , per tumhain muj per bharoosa karna huga tabhi jaa kar hamara rishta safal huga, and i hope ki tum mujay kabhi ghalat nahi samju gi ore mera saath du gi....du gi na jaan...
nida ki aankhain num hu gain, wo khud ko Raj say alag kartay huye tum aysa kyun kiha rahay hu ,,,,i trust on u. mujay tum per hameesha bharoosa rahay ga . Raj main tum say payyar karti hun ore jaha baat dil ki hu waha dunya walu ki baatu main nahi aya kartay , ye sirf eik rishta he nahi hamaray payyar ki sachyye hay jisay hum mil kar mazboot banay gain, dunya chahay kuch be kahay mujay apnay Raj per pora bharoosa hay. he just smile n kiss on her forhead ....
phir kuch he dair main jab wo tayyar hu kar bahir aye tu Raj usay dekhta he reh gya wo aaj bohat alag dekh rahi thi , she was wearing beatiful blue color saarhi , galay main mangal sutar ore aankhu main apnay pati ki muhabbat wo aaj eik complete suhaagan lag rahi thi...Raj slowly slowly us kay pas aya ..
Nida ! kasi lag rahi hay aaj first time saarhi pihni hay naa tu is liye..
Raj! bohat khubsoorat , nida kuch sharma kar nazrain neechay kartay huye...thanks.. acha ab tum jaldi say ready hu jao main neechay jaati hun,
Raj ! eik min he picks the sindoor and fill her maang with sindoor ab jao...Nida khushi say us ki taraf dekhtay huye waha say chali gye, ore Raj usay peechay say dekhta he reh gya...
Edited by sknra - 16 years ago
324