anmul muhabbat. in saat saalu main raj superstar tu ban gya per is duraan na he us nay apnay parents say waasta rakha ore naa apnay payar ki habar le. kyunki wo be tu apnay papa ka he beta ..usay khud ko aziat main rakhna gawa tha per apni zid say nahi hat sakta tha...per is poray arsay main koi aysa pal nahi guzra tha jab wo apnay payar kay liye tarpa na hu..apnay parents say judai ka dukh tu tha he kyunki wo un say bohat payar karta thaper najanay aysi kon si zid thi ki jis nay us kay pairu ko jakra tha...ore ye tanhai ka arsa kitna takleef deh tha ye wahi jaanta tha wo lugu main tu rihta tha per apnu say door tha. jo muskurahat us kay chehru per lugu ko dekhaanay kay liye huti thi kisi ko kia maloom tha ki us muskurahat kay peechay eik gham ka tufaan chupa hay..ore wo gham usay chupana achi tarah ata tha...ore shaid yehi us kay payar ki sachaye thi ki nida aaj be us kay liye utna he tarapti thi ore us kay intizaar kay lamhaat ko be khushi khushi jee rahi thi beghair kisi shikway kay...
aaj raj jab shaam ko ghar wapas luta tu thakan ki waja say wahi sufay per he lait gya, per achaanik phone ki bell nay us ki aankh khul di, us nay jasay he phone uthaya tu usay yakeen nahi hua doosri taraf raj ki mamma thi...mamma! hi raj main tumharai mamma baat kar rahi hun...
raj! mamaa aap ,,,aaj itnay saalu baad apni mamma ki awaaz sun kar usay khuch ajeeb lag raha tha ore believe be nahi hu raha tha us ki aankhu main aansu aa gye..
mamma! beta raaj un ki awaaz bohat dabi dabhi si thi ore runay waali be...beta ghar lut auo hum bohat akeelay hain ore tumharay papa ye kih kar wo runay lagain...
raj! mamma kia hua papa ko theek theek say batain..
mamma! rutay huye tumharay papa ko heart attack hua hay ore wo huspital main admit hain....
raj! ye suntay he jasay wo shock hu gya ...kia papa ko....app fikar nahi karainmain aaj he jai pur kay liye nikalta hun...eik he pal main us ki zid toot gye. wo kabhi such be nahi sakta tha ki papa ko...raj nay mamma ko tassali di ore us nay usi din jai pur janay ka fesla kia.
jab wo waha huspital pouncha . tu hospital kay baad media walo ko kasay pata chal gya jasay wo usi ka intizaar kar rahay thay ore finally raj nay bari mushkil say un say jaan chura kar jab aandar aya tu mamma ko dekh kar un kay ghalay say lag kar hoob ruya. itnay arsay say jo gutan us kay andar thi pal bhar main jasay khatam hu gye..
raj! mamma papa kaha hain?/
phir mamma usay papa kay paas lay gain. us nay jasay he papa ko dekha tu toot kar reh gya us ki aankhu say aansu girnay lagay..raj phir khud ko sambhaltay huye..papa kasay hain aap?
papa ! mujay laga ki tum nahi auo gay? un ki aankhu main aansu thay hum tumharay bina aadhuray hain kia tum hamain maaf nahi kar saktay...
raj! papa aysa mat kahayee...main be kaha aap kay bina jee sakta hun...
papa! main nay tumhari maa ko be tum say door rakha shaid main tum sab ka mujrim hin. wo bari mushkil say bole rahay thay...ore raj say un ka dard dekha nahi jaa raha tha .
raj! papa please aap ko aram ki zarorat hay..itnay main narse be andar aa gye ore kaha ki patient ko aram karnay dain zyada baat nahi karain...ore phir wo room say bahir aa gye...mamma ru rahi thi ore raj unhain tassali day raha tha. wo aaj apnay betay kay saath apnay dil ka bujh halka karna chahti thi..
mamma! raj tum aa gye naa ab wapas tu nahi jao gay naa. raj unko galay say lagatay huye..kabhi be nahi.
mamma! ye kasi zid thi ki tum hum say itna door rahay kia tumhain hamari kabhi yaad nahi aye ???
raj! per ab tu main aa gya hun naa ab sab theek hu jaye ga..
mamma! ore hamari bahu kaha hay??
raj! per raj abhi is baat ka koi be jawab nahi dena chahta tha. phir wo do din tak wahi rukay ore teesray din un sab ghar chalay gye papa ab pihlay say behtar thay. jab wo ghar aya tu usay ajeeb sa lag raha tha ore eik ajeeb si khusi be...
mamma! raj tum hum say wada karu ki ab tumharay saath rahu gay??
raj! main wada karta hun per main aap ko is baar apnay saath mumbay saath lay kar jao gaab aap meray saath he rahain gain..
mamma! per beta is ghar ko chur kar hum kasay jaa saktay hain. is ghar main hamari eik umar guzri hay..is ghar say hamari zindagi ki yaadain juri hain.
raj! mamma hum is ghar ko hameesha kay liye tu nahi chur rahay hum atay rahain gain..
abhi wo lug baatain he kar rahay thay ki papa aa gaye..
papa! raj beta tum nay abhi tak hamari baat ka jawab nahi dia sab theek hay naa ore hamari bahu???
raj! papa main nay shaadi nahi ki ore naa he us say kabhi milnay gya ore na he koi wasta rakha. main aap ki baat ko kasay taal sakta tha.
papa ore mamma ye sun kar heraan reh gye unhain yakeen nahi hu raha tha..
mamma! tu kia tum nay....
raj! jee mamma main nay us say koi waasta nahi rakha. per ye be sach hay ki main aaj be usay utna he payar karta hun. main nahi jaanta ki wo aaj be mera intizaar kar rahi hay ya nahi per meray dil main sirf wahi hay ore ye jagah main kisi ore ko dun ga be nahi ore isi eik payar kay saharay apni saari zindagi guzaarnay ko tayyar hun....
Edited by sknra - 16 years ago
41